Ghalib - Dhamki Mein Mar Gaya - Complete Urdu Ghazal

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 21 окт 2024
  • #GhalibPoetry #UrduPoetry #GhalibGhazal #UrduGhazal #PakistanUrdu
    دھمکی میں مر گیا جو نہ باب نبرد تھا
    عشق نبرد پیشہ طلب گار مرد تھا
    تھا زندگی میں مرگ کا کھٹکا لگا ہوا
    اڑنے سے پیشتر بھی میرا رنگ زرد تھا
    تالیف نسخہ ہائے وفا کر رہا تھا میں
    مجموعۂ خیال ابھی فرد فرد تھا
    دل تا جگر کہ ساحل دریائے خوں ہے اب
    اس رہ گزر میں جلوۂ گل آگے گرد تھا
    جاتی ہے کوئی کشمکش اندوہ عشق کی
    دل بھی اگر گیا تو وہی دل کا درد تھا
    احباب چارہ سازی وحشت نہ کر سکے
    زنداں میں بھی خیال بیاباں نورد تھا
    یہ لاش بے کفن اسدؔ خستہ جاں کی ہے
    حق مغفرت کرے عجب آزاد مرد تھا
    Dhamki mein mar gaya jo na baab-e-nabard tha
    Ishq-e-nabard-pesha talabgaar-e-mard tha
    Tha zindagi mein marg ka khhatka laga hua
    Urnay say paishtar bhi mera rang zard tha
    Taleef-e nuskha-haye wafa kar raha tha main
    Majmua-e-ḳhayal abhi fard fard tha
    Dil ta jigar, k saahil-e-dariya-e-ḳhun hai ab
    Is rahguzar mein jalwa-e-gul aagay gard tha
    jaati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki
    Dil bhi agar gaya to wahi dil ka dard tha
    Ahbaab charasazi-e-wehshat na kar sake
    Zindan mein bhi ḳhayal bayaban-naward tha
    Ye laash-e-bay-kafan 'Asad'-e-ḳhasta-jan ki hai
    Haqq maghfirat kare ajab aazaad mard tha

Комментарии •