Sham-E-Ghazal || Ik pal mein ik sadi ka maza || Urdu Poetry || Khumar Barabankvi

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 8 сен 2024
  • Urdu Poetry by Khumar Barabankvi
    Narration by Ranjana Kumar
    Ik pal meñ ik sadī kā mazā ham se pūchhiye
    do din kī zindagī kā mazā ham se pūchhiye
    Bhūle haiñ rafta rafta unheñ muddatoñ meñ ham
    qistoñ meñ ḳhud-kushī kā mazā ham se pūchhiye
    Aġhāz-e-āshiqī kā mazā aap jāniye
    anjām-e-āshiqī kā mazā ham se pūchhiye
    Jalte diyoñ meñ jalte gharoñ jaisī zau kahāñ
    sarkār raushnī kā mazā ham se pūchhiye
    Vo jaan hī ga.e ki hameñ un se pyaar hai
    āñkhoñ kī muḳhbirī kā mazā ham se pūchhiye
    Hañsne kā shauq ham ko bhī thā aap kī tarah
    hañsiye magar hañsī kā mazā ham se pūchhiye
    Ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai 'ḳhumār'
    tauhīn-e-mai-kashī kā mazā ham se pūchhiye
    #Ranjanakumar #Urdughazal #KhumarBarabankavi

Комментарии • 4