In the history of Pakistan Alhamdolillah koi aisa channel RUclips par aya jis say wakie he Banda educate ho raha... Baki tau bas RUclips par SB apni videos sale jisay daikh Kar Banda Kuch b learn ni... Dr shb Allah apko es Ka ajar dy ap ko aisay he himmat dy ap aisay he logn ko educate karty rahen.... Once again sir hat's off you 👍
Alhamdullilah Sir Alhamdullilah Ap jesay Bhaion ki Duayen saath han to In sha ALLAH issi trha Poultry ka Pure Practical knowledge Share karty rahain gy. ALLAH apko khush rakhy Ameen. Bohat Shukriya 🌹
@@DrARSHADVeterinaryClinic InshaAllah sir duian aur Puri support apka sath aur apka practical knowledge bht worth rakhta InshaAllah in future ya bht aagy janay wala q k aisa aik b channel ni Jo aisay logn ko itni detail ma ja Kar guide... Dil say dua nikalti Allah apko es Ka ajar dy...apke videos har os gareb ameer k leay Jo RUclips par daikha daikhe kaam tau start but jab birds ma problems osay samaj ni ab InshaAllah bht say log nuksan say Bach jian gy.... Bas sir ap say request aisya he sachy Dil say khidmat karty rahen... Allah apko es Ka zarur ajar. .. InshaAllah.
In sha ALLAH mujhay b poori umeed h k bohat sy log Nuksan sy bach jayen gy aur yahi mera asal mawsad h. In sha ALLAH esay hi Dil sy Duaon ki Gharaz sy Videos bnata rahun ga 👍. Thanks for your Precious & Encouraging Complements Sir 🌹
Dr Sahb Hamari Hamesha se ye khawahish rahi hay kay breeders ka size wo Karen jo professionals Kay paas hota hy. Lakin bohat achi khorak denay kay bawajud aisa nhi hota. Aap rahnumai farmain gy.
Mohtaram bhai sahab. Assalamu alaikum. Mery pas 3 australop murgian aur 3 murghy 2 rir cross murgian aur 2 rir cross murghay 1 aseel murghi 1 desi murghi aur 1 desi murgha he. total 7 murgian aur 6 murghy hen. Ghar ki chat per 13 x 15 ka shed he. Eske andar 3 x 4 ke ooper neechy 8 cages hen. Ooper ke 3 cages men 2 australop merghy aur 1 desi murgha alag alag rakhy hen. Neechy Waly 1 cage men 1 aseel murghi andoon per bethi he. Baqi 4 cages khali hen aur open hen. Unmen andon ke leyey baskets rakhi hen. Shed ke ander 3 australop murghion, 2 rir cross murghion ke sath 1 australop murgha aur 1 rir cross murgy ke sath 1 desi murghi apny 4 chicks ke sath he Jo 1 mah ke hen. Har chand haftey baad murghon ko change karta hoon. Kia yeh theek he ya ghalat he. Shed men maujood 1 australop murghi weight kam kar rahi he. Jabkeh 1 rir murghi ko baqi murghian marti hen jabkeh donon murghy usko bar bar cross karty hen jiski wajah se woh aksar unsy bachny ke leyey ooper lakri pe bethi rahti he aur jab bhi feed dalta hoon woh dar ke mary neechy nahi utarti aur khoorak nahi khati. Detail deny ka maqsad yeh he keh mujhey kia karna chahye. Jawab ka muntazi rahoon ga.
Doctor sab you are very good person ALLAH ap ko jzay khair day bohat information dety ho ap .hmary bohat msail hal hoty hen ki videos say Sir ek baig kitny wzan ka hota hai???
اسلام علیکم ڈاکٹر صاحب ماشاءاللہ بہت فائده ہو رہا ہے آپ کی ویڈیو سے الله برکت فرمائیں آپ سے ایک مشورہ کرنا ہے میری مرغیاں 7 ماہ کی ہے وزن اُن کا بالترتیب 650 یا 700 یا 750 یا 800 یا 850 یا 900 گرام ہے لیکن ایک مرغی انڈے دے رہی ہے 75 میں سے 2 ماہ سے 13 نمبر فیڈ دے رہا ہوں کیا کروں پہلے ان کا وزن پورا کروں اب تو فیڈ کے پیسے بھی مشکل ہو رہے ہیں
Dr sahib meray shed main golden misri murgay or murgiyan mix hain on ki age ha 70 days ha main on ko week main do bar gosht yani chechday charbi wgera khela sakta hon
Asslam o alaikum . Sir main ny new business start kia hy desi chicken ka. 50 murgiaan lii hain. Or abi srif main unko 14 number feed dy rha hoo. 900 gram k round about wait hy . So kindly mujy guide karin k unka wait kasy increase karon. Unki kon kon si vaccine kron sardioo sy phly. Thank you ☺️
sir hamaray pass 4 mah kay phaty ha or oun ka weight 1kg ha or weight increase nahi ho raha.(2) hum nai in ko 3mah feed khilay or ous kay bad chawl,mingi or gundam khi larahy ha.(3) or oun sab ak dosaray ki puchal say saray par kha leya ha. or bari murgiya anday nahi day rahe.3 mah say. or umar 1year ha.Kindly guid me.
Assalam walekum doctor sahab Maine aapse bahut Kuchh Sikhaya Mashallah Maine murgi rakhi hai ghar mein pahle Darta tha Kaise rakhunga FIR Maine Rakhna Shuru kar di Chhote chuhe aapane Mujhe pura former banaa Diya Sar Mujhe Chhota Sa doctor banaa Di Hai Main Har ek video aap bhi dekhta hun main karta hun Mashallah hundred percent result Aate Hain Allah aap Khush Rakhe Itna guide karna hai Itna guide karna Aur Din tafseel Se Badi ki tak baat Samjhana Sar Aise Koi Nahin samjhata Sar Allah aapko Khush Rakhe ISI Tarah Abad Rakhe mere pass
Assalamualaikum doctor sahab main ny gher per hurgiya rakhi hui hain un ki growth sahi tarha sy nahi ho rahi un ka wazan b kafi kam hye to is ka ilaj bata dy shukriya
Dr sb Mare aseel murghi ka ando pa chilka buhat kamzor hota ha anda daita e anda damage ho jata ha plz is pa koi video banay ya kun hota ha aur is ka elag kiya ha
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ ڈاکٹر صاحب میں دواٸیاں دے دے کر تھک گیا ہوں اپنی مرغیوں کو لیکن پھر بھی کچھ نہ کچھ مسلہ رہتا ہے ان کو
Aoa hamar chicks waite gain bahut sloli kr rahy koi tip batain r ayk dosry ko nochty hain r eis tarha un ki deth ho jati hy chonchin bhi cut krai hoi hain namak wala pani veta sol r vitaman cbhi pani main dia hy
Sir Asalam o alikum Sir mri 8 murghyan hain jin ma se 7 eggs laying hain. Unko kitni khorak ma sokha doodh mix kr k don? Or doodh ki mixing k sath sath kia ma dahi or cooking oil mla skta all in once? Alhamdulilah isky elawa ma roz neem garam pani ma unko calcium or vidaylin b pani ma dy rha hn. Or isky elawa har week bad 2 2 drops fish oil pila dta hn. Kindly suggest more and answer the questions plz.
Walaikum Aslaam Sir, Aik waqat m sirf aik cheez istmaal krni h Agr Doodh malai mix krni ho to sirf aik Chamch malai ko aik kilo khurak m mix krain, Sookha doodh mix krna ho to 10 grams ko aik kilo khurak m, Cooking Oil adha Chamach aik kilo khurak m... Aik waqat m sirf aik cheez
Ap Bilkul theek kr rhy han Lekin Fish Oil Aik Week bd sirf aik Drop dia krain aur Ajkal Mosm k mutabiq Birds ko ziada Energy chahiye h isliye khurak m b izafa karain aur agr din ko Darja hararat 24 py jaye to raat ko 19 sy neechy na aany dain iss sy sehat Behtreen rehti h
Salam. Sir agr chozo ko nd ki bemari hu Jaye aur us ma chozo ko laqwa hu Jaye ya 1 tang sa disable hu Jaye kya wo recover hu skty hy ya nai? Mery kch Chozo ko laqwa howa hy aur un ki qardan mor Gai hy us ka koi Hal bta dain plz.
Dr sahb main ny ap say phly b pocha tha ky ap ny mugiyo ky egg ziyada dyne ki jo khuraq btai thi.. osa mein feed ky elawa jo ap ny cheze btai thi wo kaha say milye gyi? Mehrebani jawab ka intezar rhy ga
Awais Bhai, Main ny Feed k khawaly sy 07 Videos Upload ki hui han kindly uss Video py Comment karain jis m Feed k ilawa baaki cheezain btai hui han q k m ny Chicks, Jawan Murgi aur Andy deny wali Murghion ki Commercial Feed sy ly k Organic Feed tak Videos Upload ki hui han ap uss Video py Comment karain m abhi apko uski Tafseel bhejhta hun
Main ny apki os video per b comment kia tha per ap ka waha jawab ni aya... sir jo ap ny organic feed ky andar aur b cheze shamil ki thi jis main DAC e.t.c. jysi kuch cheeze thien yeh kis shop say milye gyi .? Plz yeh bta dye.. shukria
Aslam alikum sir me ap ka naia subscriber ho ,sir mere zehan me balkul ye bat bet gai he k hen farming zaroor karni he .ab kia australop achi he ya Golden misri as sardi ki moosam me pure australop pakistan me ka ha per he
Walaikum Aslaam Shukriya Bhaijaan Donu achi han. Donu ka chuza agr ap A1 lain, 2 Number Chuza na lain, Achi dekh bhaal krain, har hafty matlooba wazan poora karain, achi khurak aur Behtreen mahol dain to kabhi b Nuqsaan bhi hota lakhoon bhai behnain iss Karobaar sy munslik han. Aur Pure Australorp khareedn k liye apny hi ilaaqy m Hatchery ya Australorp Breeder Farm py jaa k Unhain Order likhwaye lekin sb sy zaroori cheez ye k CHUZA ACHI QUALITY ka Hona chahiye usk maa Baap m kisi qism ki Bemaari nhi honi chahiye
Asslamoalaikum sir apky hath mein Jo murghiyoun ki feed Hy is Ka kya name Hy me 13 or 14 number feed mangwati hn to wo same mix Dana hee hota Hy ye Jo ap k hath mein feed Hy mein dukandar sy kesy khareed skti hn
Doctor sb ye batein k choker murghion k liye kaisa hai agar kuch miqdaar feed mein mix kr k dein mein already 13 number mein bajra gandum or makae mix kr k de raha hoon.
nice sir agar kisi ne ghar 10 se 20/ 30 chicks rkhe ho tu wo kitni feed mei dry milk use kr or agar 1/2 kg fd mei dry mlk use Kiya 1/2 mei se kuch Bach Jaye tu wo stor kr k dobara de skte hei ya new bnaye gy
Assalam alaikum sir broiler ka weight badan kay liya milk powder to pani mai use karsaktay hain kya agar yes to quantity kitna dena hai batao plz mera 25000 boiler farm hai
AoA sir Mera issue yeh hai ky mery aseel birds jb 5 month sy uper jaty hain to in ki growth ruk jati hai r is sy pehlay bht achi growth rehti un ki lekin hmsha mujy yehi problem ata hai growth ka after 5 months...lekin un ki jgah change kro..agr ksi r environment main to bilkul sahi grow krty..
Assalam-o-Alaikum.doctor sab 10 kilo khurak jis me 5 kilo daal daana aur 5 kilo feed ha mix kr kay day rha hn me chicks ko chicks ki age 2 months ha ye 10 kilo khurak me dahi agar me add kroo yani mix kr kay doo chicks ko to 10 kilo khurak me kitna dahi dalna hoga mujhay. Aur sobah ke waqt me feed aur daal daana use krta hn aur second time organic feed use krta hn kindly sari details parh lay aur 10 kilo me dahi ki quantity bta day thanks waiting for your reply.tc
Walaikum Aslaam Increase Hen Weight & Offer balanced Ration along with Well Ventilated Environment. Nutritional Deficiencies & Age of the Bird are Main Factors. Store Eggs around 18 to 20 C°. Offer More Calcium as Feed Supplement.
Meri murgion ko zukam ho gya tha doctor sy tylofosin leny gya lekin us ny kha k nuksan ho jy ga in ki rtubat jam jy gi or goli ban jy gi sans ki nali mn goli banny sy sans ruk jay ga or motelity ho gi . Us ny mukhtlif dwaein dein lekin nazla thek ni hua muga bhi ek mah sy bimar hu or khar kgar bhi thek ni hui us ki. Ab tyloforcin lya hun . Ab tylocin dun ya na?
aslamu alikum doctor sahib kia hal ha ap ka m ny doctor sahib 300 murgi rakhi ha jo ab 2 mah ki hn or un ka weight sahi sy ni bahr rha ha m ny un ko 8 feed ky bag dy chuka hn abhi un ka w8 600g ha mujy un ky w8 ky lia kia krna chahia koi tips bta dyn
Walaikum Aslaam Raheel bhai Sokra tb hoga jab Kisi bemari ya achi ghaza na hony ki waja sy Quatemadaafat km hogi, ap ye Video dekhain is k mutabiq Wazan brhayen sb theek hojaye ga ruclips.net/video/7Kw9dbFWQsE/видео.html
Assalamoalikum sir! Kindly guide about the feed plan. My chicks are about 23-24days. I'm giving them 3number feed. Kindly guide when to change feed? And what's the week wise feed requirement of chicks? Kindly guide about the starter, grower and finisher feed for layers. Thanks in advance sir!
@@DrARSHADVeterinaryClinic JazakAllah sir :) What are the feed numbers for these grower, starter, pre lay and layer feed? As for grower is 3number and layer is 13number.
In the history of Pakistan Alhamdolillah koi aisa channel RUclips par aya jis say wakie he Banda educate ho raha... Baki tau bas RUclips par SB apni videos sale jisay daikh Kar Banda Kuch b learn ni... Dr shb Allah apko es Ka ajar dy ap ko aisay he himmat dy ap aisay he logn ko educate karty rahen.... Once again sir hat's off you 👍
Alhamdullilah Sir Alhamdullilah
Ap jesay Bhaion ki Duayen saath han to In sha ALLAH issi trha Poultry ka Pure Practical knowledge Share karty rahain gy. ALLAH apko khush rakhy Ameen. Bohat Shukriya 🌹
@@DrARSHADVeterinaryClinic InshaAllah sir duian aur Puri support apka sath aur apka practical knowledge bht worth rakhta InshaAllah in future ya bht aagy janay wala q k aisa aik b channel ni Jo aisay logn ko itni detail ma ja Kar guide... Dil say dua nikalti Allah apko es Ka ajar dy...apke videos har os gareb ameer k leay Jo RUclips par daikha daikhe kaam tau start but jab birds ma problems osay samaj ni ab InshaAllah bht say log nuksan say Bach jian gy.... Bas sir ap say request aisya he sachy Dil say khidmat karty rahen... Allah apko es Ka zarur ajar. .. InshaAllah.
In sha ALLAH mujhay b poori umeed h k bohat sy log Nuksan sy bach jayen gy aur yahi mera asal mawsad h. In sha ALLAH esay hi Dil sy Duaon ki Gharaz sy Videos bnata rahun ga 👍. Thanks for your Precious & Encouraging Complements Sir 🌹
Beshak thek farmaya apny
ماشاءاللہ جی ڈاکٹر صاحب بہت خوب جناب۔ کچھ لوگ اللّٰہ پاک کی طرف سے ملک و قوم کے لئے انعام یافتہ ہوتے ہیں۔
ڈاکٹر صاحب،
برائے مہربانی اگر آپ supplement کی مقدار کو percentage % میں بتائیں تو زیادہ آسان ہو گا
جزاک اللہ ڈاکٹر صاحب۔ آپ بہت اچھا گائیڈکرتے ہیں۔ اللہ تعالیٰ آپ کو ترقی اور خوشحالی عطا فرمائے۔ آمین
آمین ۔ بہت شکریہ بھائی ۔ خوش رہیں
Dr. saab ap legend ho yaar. Kamaaal ki informations hoti hsin fully professionally
Bohat Shukriya Bhaijaan
Ji Bhai ye mera Passion h aur issi kaam m Sara din guzrta h
Alhamdullilah 9 saal ho gy
Bohat Shukriya
Dctr shb apki videos bht e informative hoti hn geniun smj ajati hai. Baqi loog to apki videos ko dekh bna rhy hoty hn
Pyari batti ko ALLAH pak zindgi day jo apne baba ke help kar rahi ha
Ma sha ALLAH
ALLAH ap zindgi day Docter Sahab ❤️❤️❤️❤️
Bohat bohat shukria apki tips se mainly apni murgio ka laqwa thek ker lia.
Thank you doctor , 1st vet related channel in Pakistan
You're Welcome
& Thanks Alot Sir
@@DrARSHADVeterinaryClinic bro me apni murgi murga ko milk desakta hon liquid or cerelak desakta hon
Dr Sahb Hamari Hamesha se ye khawahish rahi hay kay breeders ka size wo Karen jo professionals Kay paas hota hy. Lakin bohat achi khorak denay kay bawajud aisa nhi hota. Aap rahnumai farmain gy.
Dr sab it's unique info 👌 very very good. My question is turkey birds 🦃 k lie b same formulas can be used?
Carminative/liver tonic/Alfa Alfa syrup chicks ko kya ratio rahe ge
Great information dr shb Allah Pak ap ko khush rakhe
Thanks Brother
AMEEN jazak ALLAH
MASHAALLAH ZABARDAST VERY INFORMATIVE VIDEO CARRY ON JAZAK ALLAH KHAIR
Bohat Shukriya, Ameen. Stay Blessed
Wow bohot hi acha Allah hi apko.iska ajar dy bohot hi acha kaam karahy hai aap MashaAllah
AMEEN Sum Ameen Jazak ALLAH Bhaijaan bohat Shukriya
Mohtaram bhai sahab.
Assalamu alaikum.
Mery pas 3 australop murgian aur 3 murghy
2 rir cross murgian aur 2 rir cross murghay
1 aseel murghi
1 desi murghi aur 1 desi murgha he.
total 7 murgian aur 6 murghy hen.
Ghar ki chat per 13 x 15 ka shed he. Eske andar 3 x 4 ke ooper neechy 8 cages hen.
Ooper ke 3 cages men 2 australop merghy aur 1 desi murgha alag alag rakhy hen.
Neechy Waly 1 cage men 1 aseel murghi andoon per bethi he.
Baqi 4 cages khali hen aur open hen. Unmen andon ke leyey baskets rakhi hen.
Shed ke ander 3 australop murghion, 2 rir cross murghion ke sath 1 australop murgha aur 1 rir cross murgy ke sath 1 desi murghi apny 4 chicks ke sath he Jo 1 mah ke hen.
Har chand haftey baad murghon ko change karta hoon. Kia yeh theek he ya ghalat he.
Shed men maujood 1 australop murghi weight kam kar rahi he. Jabkeh 1 rir murghi ko baqi murghian marti hen jabkeh donon murghy usko bar bar cross karty hen jiski wajah se woh aksar unsy bachny ke leyey ooper lakri pe bethi rahti he aur jab bhi feed dalta hoon woh dar ke mary neechy nahi utarti aur khoorak nahi khati.
Detail deny ka maqsad yeh he keh mujhey kia karna chahye.
Jawab ka muntazi rahoon ga.
Very nice info.
Agr 5, 10 birds hn to unki doze kis ratio se bnaen ge.
Assalamualaikum
Bhai 8 murge Hain mery pas.
1 murge black bettain kar Rahe hay.
Kya karo plz Kuch gaid kar dain.
Doctor sab you are very good person ALLAH ap ko jzay khair day bohat information dety ho ap .hmary bohat msail hal hoty hen ki videos say
Sir ek baig kitny wzan ka hota hai???
Thank you so much Amir Bhai, Aik Bag 50 kilo ka hota h
بہت ہی اچھی وڈیو سر۔سلامت رہیں
آمین ثم آمین جزاک اللّہ بھائی جان بہت شکریہ
Excellent DR sb your knowledge, communication skill is outstanding very helpful information, Allah bless you
I'm Grateful Dear Sir
AMEEN
Jazak ALLAH
Stay Blessed
Nice video Mr Arshad
AsLam o alaikum
Dr sahb Allah Pak kamyab kry ameen
Allah app ko sahat vali lambi zindgi aata kry ameen
Ager murghi ka weight ziyada hojae aur Andy na dy to fat kaisy kum kerain? Dr sahib is per bhi video banady please. Jazakallah
dr sb boht khoob.Allah jaza dy.ameen
kia ye sb tips choty chicks isi trah dni hai feed
AMEEN bohat Shukriya Sir ji issi trha Chicks ko b deni h
Allah ap ko mazeed ilm dy.ameen
Ameen Sum Ameen
اسلام علیکم ڈاکٹر صاحب ماشاءاللہ بہت فائده ہو رہا ہے آپ کی ویڈیو سے الله برکت فرمائیں آپ سے ایک مشورہ کرنا ہے میری مرغیاں 7 ماہ کی ہے وزن اُن کا بالترتیب 650 یا 700 یا 750 یا 800 یا 850 یا 900 گرام ہے لیکن ایک مرغی انڈے دے رہی ہے 75 میں سے 2 ماہ سے 13 نمبر فیڈ دے رہا ہوں کیا کروں پہلے ان کا وزن پورا کروں اب تو فیڈ کے پیسے بھی مشکل ہو رہے ہیں
Wonderful effort dr sb
Thanks Sir 🌹
ڈاکٹر صاحب مہربانی دوسرے برڈز کبوتروں اور فینسی پرندوں میں بھی استعمال کر سکتے ہیں
bulb ke zareeay light kitny or kese dein
Assalamualaikum dr sb bazar se dry milk Jo milta hay jaisay nestle us par tea whitener likha hay,kia wo theek hay?
Dr. Can I purchase R-Tone in the USA please?
Dr sahib meray shed main golden misri murgay or murgiyan mix hain on ki age ha 70 days ha main on ko week main do bar gosht yani chechday charbi wgera khela sakta hon
Morgiyon ko Nimuk estemall kurana kesa he ....?
Sir very good sir ek aur vidoe banay coxi pr mara murgi sa coxi nahi jati bar bar coxi ati ha please help me
Asslam o alaikum . Sir main ny new business start kia hy desi chicken ka. 50 murgiaan lii hain. Or abi srif main unko 14 number feed dy rha hoo. 900 gram k round about wait hy . So kindly mujy guide karin k unka wait kasy increase karon. Unki kon kon si vaccine kron sardioo sy phly. Thank you ☺️
مرغیوں کی کھانسی یا کریزے کا علاج بتائیں شکریہ میرے پاس چار سو برڈ ہے ان میں سے کوئی دس ایک کو یہ مسئلہ ہے
Sir broiler k ilawa konsi nasal k chicks leni chayay jo gosht b zyada dy aur eggs b
sir hamaray pass 4 mah kay phaty ha or oun ka weight 1kg ha or weight increase nahi ho raha.(2) hum nai in ko 3mah feed khilay or ous kay bad chawl,mingi or gundam khi larahy ha.(3) or oun sab ak dosaray ki puchal say saray par kha leya ha. or bari murgiya anday nahi day rahe.3 mah say. or umar 1year ha.Kindly guid me.
Assalam walekum doctor sahab Maine aapse bahut Kuchh Sikhaya Mashallah Maine murgi rakhi hai ghar mein pahle Darta tha Kaise rakhunga FIR Maine Rakhna Shuru kar di Chhote chuhe aapane Mujhe pura former banaa Diya Sar Mujhe Chhota Sa doctor banaa Di Hai Main Har ek video aap bhi dekhta hun main karta hun Mashallah hundred percent result Aate Hain Allah aap Khush Rakhe Itna guide karna hai Itna guide karna Aur Din tafseel Se Badi ki tak baat Samjhana Sar Aise Koi Nahin samjhata Sar Allah aapko Khush Rakhe ISI Tarah Abad Rakhe mere pass
Sir hamare morgheo ke anken harab hai black colour waly hai.ankh ke ander sufaid rang waly dane nekalty hai.sir is ke sath kia karo.thanks
Assalamualaikum doctor sahab main ny gher per hurgiya rakhi hui hain un ki growth sahi tarha sy nahi ho rahi un ka wazan b kafi kam hye to is ka ilaj bata dy shukriya
Dr.Saheb mere pass 2 murgia the ab bemari wajha se mergae.lakin mere pass 13 choose Hain o badte nahi chote he hai unku Kya Giza dalana hai pl batain
Lever tonic kea kam krna jo ap pics m dikhayaa
Dr sb
Mare aseel murghi ka ando pa chilka buhat kamzor hota ha anda daita e anda damage ho jata ha plz is pa koi video banay ya kun hota ha aur is ka elag kiya ha
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
ڈاکٹر صاحب میں دواٸیاں دے دے کر تھک گیا ہوں اپنی مرغیوں کو لیکن پھر بھی کچھ نہ کچھ مسلہ رہتا ہے ان کو
Aoa hamar chicks waite gain bahut sloli kr rahy koi tip batain r ayk dosry ko nochty hain r eis tarha un ki deth ho jati hy chonchin bhi cut krai hoi hain namak wala pani veta sol r vitaman cbhi pani main dia hy
Assallam o alacum doc sb mer murgiyan 3 mah ki hain ab kon c feed istamal karo our vaccine ka bhi bataye plz
you are a best dr sb god belss you
Sir Asalam o alikum
Sir mri 8 murghyan hain jin ma se 7 eggs laying hain.
Unko kitni khorak ma sokha doodh mix kr k don? Or doodh ki mixing k sath sath kia ma dahi or cooking oil mla skta all in once?
Alhamdulilah isky elawa ma roz neem garam pani ma unko calcium or vidaylin b pani ma dy rha hn.
Or isky elawa har week bad 2 2 drops fish oil pila dta hn.
Kindly suggest more and answer the questions plz.
Walaikum Aslaam Sir,
Aik waqat m sirf aik cheez istmaal krni h
Agr Doodh malai mix krni ho to sirf aik Chamch malai ko aik kilo khurak m mix krain, Sookha doodh mix krna ho to 10 grams ko aik kilo khurak m, Cooking Oil adha Chamach aik kilo khurak m... Aik waqat m sirf aik cheez
Ap Bilkul theek kr rhy han Lekin Fish Oil Aik Week bd sirf aik Drop dia krain aur Ajkal Mosm k mutabiq Birds ko ziada Energy chahiye h isliye khurak m b izafa karain aur agr din ko Darja hararat 24 py jaye to raat ko 19 sy neechy na aany dain iss sy sehat Behtreen rehti h
Thank you so much sir
Bht rhnmai ml ri ha apse
Welcome Dear Brother
Salam. Sir agr chozo ko nd ki bemari hu Jaye aur us ma chozo ko laqwa hu Jaye ya 1 tang sa disable hu Jaye kya wo recover hu skty hy ya nai? Mery kch Chozo ko laqwa howa hy aur un ki qardan mor Gai hy us ka koi Hal bta dain plz.
Aoa, sir pls ak video egg yoke ko zaida yellow banay ke b bunahay, kasay sauce egg ke hotel hy
Sir choty chozay ko feed ky elawa kya diya jae
Bhai Dalain, Sabzian, Phal, Keeray, Ghaas waghaira
Murghia ktny Tim main anday deny lgty j
Desi ghee bhi feed mein mila ke desakte hai kya please batayeh allahafeez
Morgiyon ko nimuk estemal kurana kesa he
Sir Andy ka vecceen k Sath koi link hy
Dr sahb main ny ap say phly b pocha tha ky ap ny mugiyo ky egg ziyada dyne ki jo khuraq btai thi.. osa mein feed ky elawa jo ap ny cheze btai thi wo kaha say milye gyi? Mehrebani
jawab ka intezar rhy ga
Awais Bhai, Main ny Feed k khawaly sy 07 Videos Upload ki hui han kindly uss Video py Comment karain jis m Feed k ilawa baaki cheezain btai hui han q k m ny Chicks, Jawan Murgi aur Andy deny wali Murghion ki Commercial Feed sy ly k Organic Feed tak Videos Upload ki hui han ap uss Video py Comment karain m abhi apko uski Tafseel bhejhta hun
Main ny apki os video per b comment kia tha per ap ka waha jawab ni aya... sir jo ap ny organic feed ky andar aur b cheze shamil ki thi jis main DAC e.t.c. jysi kuch cheeze thien yeh kis shop say milye gyi .? Plz yeh bta dye.. shukria
Meray chozay. Baray mi ho ray fred b da ra ho moty b ni ho ray koi treka bato kia aa unko bhok zada lagay
Aslam alikum sir me ap ka naia subscriber ho ,sir mere zehan me balkul ye bat bet gai he k hen farming zaroor karni he .ab kia australop achi he ya Golden misri as sardi ki moosam me pure australop pakistan me ka ha per he
Walaikum Aslaam
Shukriya Bhaijaan
Donu achi han. Donu ka chuza agr ap A1 lain, 2 Number Chuza na lain, Achi dekh bhaal krain, har hafty matlooba wazan poora karain, achi khurak aur Behtreen mahol dain to kabhi b Nuqsaan bhi hota lakhoon bhai behnain iss Karobaar sy munslik han. Aur Pure Australorp khareedn k liye apny hi ilaaqy m Hatchery ya Australorp Breeder Farm py jaa k Unhain Order likhwaye lekin sb sy zaroori cheez ye k CHUZA ACHI QUALITY ka Hona chahiye usk maa Baap m kisi qism ki Bemaari nhi honi chahiye
Colic drops b milty hain agar uska istmaal kesa hy?
Assalamualaikum sir. Ye ap ne jo tareeqy btaye ha. Ye sb aik sath use krna ha ya 1 time me aik hi cheez istemal krni ha??
Asslamoalaikum sir apky hath mein Jo murghiyoun ki feed Hy is Ka kya name Hy me 13 or 14 number feed mangwati hn to wo same mix Dana hee hota Hy ye Jo ap k hath mein feed Hy mein dukandar sy kesy khareed skti hn
Doctor sb ye batein k choker murghion k liye kaisa hai agar kuch miqdaar feed mein mix kr k dein mein already 13 number mein bajra gandum or makae mix kr k de raha hoon.
Sir mere choose ka wazen boht kam kon sa feed kilao 1month hy
کیا سوکھا دودھ روزانہ فیڈ میں ملا کر برائلر چوزوں کو دے سکتے ہیں
Sir ak bhory me ketny ketny Gram dalny ha ☺️☺️
JazakAllah mara Arshad Bhai
Sir inko makhan de sakte hen broiler feed ma mix kar ke bchon ko in garmion ma
milk powder ko pani m mila k de sakte hn ?
Please tell me the dosage of carminative syp?
nice sir agar kisi ne ghar 10 se 20/ 30 chicks rkhe ho tu wo kitni feed mei dry milk use kr or agar 1/2 kg fd mei dry mlk use Kiya 1/2 mei se kuch Bach Jaye tu wo stor kr k dobara de skte hei ya new bnaye gy
Asalamualikum. Dr sb can we give some natural feed instead of ready made, to birds of 5 week...if yes then plz suggest
ڈاکٹر صاحب کیا سرکہ گندم یا گندم کے دلیے میں ملا کر مرغیوں کو دے سکتے ہیں تقریبا چار ماہ کے مرغیاں ہیں گھر میں رکھے ہوئی ہے
علی بھائی بلکل دے سکتے ہیں 👍
@@DrARSHADVeterinaryClinic شکریہ
خوش آمدید
Sir coking oil Mazin wala dl saktay hia or 1 kilo horak m kitna dala or sirka 1 kilo horak m 20 ml kitna dn tk istamal kiray
Height ka Liye bi bta dain thanks
ڈاکٹر صاحب بیکری کا خراب مال یعنی کیک پیسٹری کریم رول وغیرہ جوخراب ہوجائے مرغیوں کوکہلاسکتے ہے
Assalam alaikum sir broiler ka weight badan kay liya milk powder to pani mai use karsaktay hain kya agar yes to quantity kitna dena hai batao plz mera 25000 boiler farm hai
Asalam o alaikm!
Sir mri 1 aseel murgi hai uss ki jholli mai bht charbi a gai hai jis ki wajja sa woh anday b nhi dai rhi plz koi solution bta da
Sokra k bary m koe bhtreen ilaj btay mry aseel bemar hn aaj kal 3 mnth k
ruclips.net/video/yp47FMTWxBE/видео.html
AoA sir Mera issue yeh hai ky mery aseel birds jb 5 month sy uper jaty hain to in ki growth ruk jati hai r is sy pehlay bht achi growth rehti un ki lekin hmsha mujy yehi problem ata hai growth ka after 5 months...lekin un ki jgah change kro..agr ksi r environment main to bilkul sahi grow krty..
Assalam-o-Alaikum.doctor sab 10 kilo khurak jis me 5 kilo daal daana aur 5 kilo feed ha mix kr kay day rha hn me chicks ko chicks ki age 2 months ha ye 10 kilo khurak me dahi agar me add kroo yani mix kr kay doo chicks ko to 10 kilo khurak me kitna dahi dalna hoga mujhay. Aur sobah ke waqt me feed aur daal daana use krta hn aur second time organic feed use krta hn kindly sari details parh lay aur 10 kilo me dahi ki quantity bta day thanks waiting for your reply.tc
Salam doctr sb birds ko mo pe aj kal bht dany nekal rhy hain oska koi treatment bta dy pls
Sir chozon ko saans ka problem hai.....un ko b ye sab de skty hain
Aslamalikum dr arshad mare murgee eak dosree ko khate hai sab nea eak dosree ki dum kha le zakhmi ker deyea hai keya kero
Bhai me Bangladesh ka ho .mera fram ke morgue sota bara or 6 Maine hogia. mene oil se habar banana Sataho. 100 kg habar oil kitna kg denaprega
Sir g khoshk duod pani mai daisakty our agr daisakty tu 1 liter mai kitna gram milk mili reply plz
Yr me apni murgi murga ko milk desakta hon liquid or cerelak desakta hon
Aoa sir how we increase the size and yellow colour of yellow part(zarde) please tell me Dr sb
Walaikum Aslaam
Increase Hen Weight & Offer balanced Ration along with Well Ventilated Environment.
Nutritional Deficiencies & Age of the Bird are Main Factors. Store Eggs around 18 to 20 C°. Offer More Calcium as Feed Supplement.
Meri murgion ko zukam ho gya tha doctor sy tylofosin leny gya lekin us ny kha k nuksan ho jy ga in ki rtubat jam jy gi or goli ban jy gi sans ki nali mn goli banny sy sans ruk jay ga or motelity ho gi . Us ny mukhtlif dwaein dein lekin nazla thek ni hua muga bhi ek mah sy bimar hu or khar kgar bhi thek ni hui us ki. Ab tyloforcin lya hun . Ab tylocin dun ya na?
aslamu alikum doctor sahib kia hal ha ap ka m ny doctor sahib 300 murgi rakhi ha jo ab 2 mah ki hn or un ka weight sahi sy ni bahr rha ha m ny un ko 8 feed ky bag dy chuka hn abhi un ka w8 600g ha mujy un ky w8 ky lia kia krna chahia koi tips bta dyn
Kia hum mix dany mai milk powder daal k halka nami wala dy sqta haa?! Please tell me
Alfa alfa kesy use karein chicken k liy
Paani m dalain
Aik ltr paani m aik Chamch
Choty chozy Kam khatay han or sensy ke Hadi nikal ati ha elaj bta do plz
Nice video Sir 👍
Thanks Brother
Salaam dr sahab sokray pan se murghion ko kese bachayen or agarr hojaye toh kia illaj karain
Walaikum Aslaam Raheel bhai Sokra tb hoga jab Kisi bemari ya achi ghaza na hony ki waja sy Quatemadaafat km hogi, ap ye Video dekhain
is k mutabiq Wazan brhayen sb theek hojaye ga
ruclips.net/video/7Kw9dbFWQsE/видео.html
Assalamoalikum sir!
Kindly guide about the feed plan.
My chicks are about 23-24days. I'm giving them 3number feed.
Kindly guide when to change feed?
And what's the week wise feed requirement of chicks?
Kindly guide about the starter, grower and finisher feed for layers.
Thanks in advance sir!
Walaikum Aslaam
1st 4 wks ( Starter )
Week Feed ( g )
01 10
02 15
03 22
04 25
5 to 8 ( Grower )
Week Feed ( g )
05 30
06 35
07 40
08 42
9 to 17 wks ( Developer )
Week Feed ( g )
09 45
10 50
11 55
12 60
13 62
14 65
15 70
16 74
17 78
18 to 20 ( Pre lay )
Week Feed ( g )
18 82
19 85
20 90
After that Laying Ration ( 21-42 Weeks ) Followed by Laying Ration 2 ( 43 Weeks Onwards )
Offer 92 g / bird in 21st Week & keep increasing upto 102 to 107 g / Bird at the End of 28th Week.
@@DrARSHADVeterinaryClinic JazakAllah sir :)
What are the feed numbers for these grower, starter, pre lay and layer feed? As for grower is 3number and layer is 13number.
@@DrARSHADVeterinaryClinic sir plz btaye gy k starter grower developer prelayer in sab ka number kon kon sa h. jesy 13 number 14 number
Malik Bhai
11
12
13 A
Aur
13 Number
agar murgay ki dum gur jaye to kia krren .sokra bhi hai usko
Aslamalikum Dr sahib kindly influenza per video banahain
Can we give Flygel syrup to hen??