Best fan hai khursheed walon ka ac dc many 3 fan install kiya han ak 150w solar plate per 2 araam say chal jaty han or speen no 2 per 3 fan b chal jaty han ager doop teez ho to very good fan
Sawal ye he..Power Auto he ya Remote se chalo karna hoga...matlb agar sirf Ac pr chalaye aur Light chala jaye.aur pir wapas light ajaye ye hud on hoga ye Remot se karna hoga..?
Aoa Sir aak 180 watt ki mono solar plate pay khursheed k 2 seeling fans chal sagtay hain... Kindly recommend some new good brand solar plates, Muhammad Naeem Karachi پاکستان
Sir aoe say ik questions hay Kay Hume royal fan ko Jo a. C walay hay is ko Jo fan aje Kal a. C aur d. C aa rahay ki kit lagaa Kar in old fan ko a. C/d. C bana sakhtay hay kyaa?
Asslamu alekum Sir Allah apko or apki Family ko hmesha khush rke. 150 solar se 1 khurshed ac dc fan or 1 dc wall brakit fan chla skty hai. Or 2 dc bulb
Sir main direct ak solar plate per chala raha hun 1 year say but ab plates zayada karna chahta hun to per b direct chalny say circuit kharaab to nahi hoga ?
Qasim, her fan ka apna circuit hota hai us k specification k hisab se. Agr ap usi company ka lga lo tu acha hai. Wesy khurshid k circuits Market ma readilly available hain.
Nawaz, hr fan ka circuit us k winding k hisab se design kya jata hai. Is usi company ka circuit lagana chahiye. Khursheed ka ek circuit 600 rupees ma mil jata hai.
@@advancetechnicalsolutions salam bhai ak choti c help ma 2 khursheed AC DC fan Icon model la ka aya hoon ak ki speed 1 2 3 pa kaam ha baqee dosra ki 1 2 3 sab pa zabardas ha tu guide kardain ga ka keya issue ho ga
assalam o alaikum bhai ye fan lia hai ac per chalaya ac curkit kharab hogaya aik din mae dobara fan change kia ac per chalaya 1 ghenty bad same fault aaya please solve the problem
Sir ye generator pe chal sakta hai? Jab ise generator pe chala rahe hen tou generator ke voltage fluctuate ho rahe hen. Ye generator fault hai ya ye fan generator pe nahi chalega?
Is ma electronic circuit hota hai. Tamam electronic circuits voltage fluctuation se kharab ho skty hain. Agr ap k generator voltage ma buht ziyada fluctuations hain tu fr na chalayen.
@@advancetechnicalsolutions sir generator ke meter pe voltage 115 se 141 tak fluctuate ho rahe hen kabhi 130 show ho rahe hen kabhi 136 aur ye seconds main change ho rahe hen.
Ma 2 years se use kr rha hun shi chal rha hai. Is ki kit kharab hony ki ek bri waja is k sath Dimmer lagana hai. Agr dimmer lga hua hai tu us ko bypass kr dena. Is k ander 2 kits hoty hain. Ek ki price 600 or dono ki 1200 hai.
brother is fan ki price jo box par likhi hoee hay wo consumer price hoti hay kia, mene king size AC/DC fan parchase kia hay jis ki box par price 5600 hay jab k khursheed wearhouse walay nay mjhe 6000/. ka fan sale kiya hay.
Mery pass homage ka inverter hy us ki battery sy fan ko power dainy sy battery main koi issue to nae ay ga ku ky jb battery ky sath fan use karty hain to inverter sath charging show karny lg jata hy chahy battery full b ho, to kiya is tarha over charge ka issue ho skta battery main
Asalam o alikum Sir i m from karachi. Me yeh poochna chahta ho k 1 yeh fan without remote on ya off ho sakta hy? 2. Kia ac aur dc connection saath karny sy battery me koi issue to nahy a sakta 3. Aur iss ka circuit kitny ka aata hy Ap ki video bohat hi kaam ki hy aur ager ap ki koi shop hy tu btaain me visit kr k kuch plates aur kuch dc items lena chahta ho
Waseem, thank you for your excellent comment. 1. Remote se ek dfa on kr do us k bad button se direct on off ho skta hai but speed ek hi rhy gi. Simple ye k Remote k baghair use nhi kr skty. 2. Koi issue nhi hoga. Ye design hi isi purpose k liy gya hai. 3. Is k 2 circuits hoty hain. Ek ki price 600 rupy or dono ki 1200. Bro meri koi shop nhi hai, ye channel sirf ap friends ko educate krny k liye hai. Thanks
@@advancetechnicalsolutionsagar hm ne as k sath battery nhe laga ho aur sirf bijle pr chalate ho agr light chala jaye pir ye Remot se on krna hoga ya hud on hoga..
Bhai zarbardast lekin ya baatain iss ka air flow kasa ha Normal Royal Ac fan wala ha bec Royal na bee 50 watt fan banaya tha uss ka air flow kuch bee nahe ha
Assalamualikum Sir mai ek electric feeld sy wabsta hu ek msla smj nhi a rha 150 ki 2 plate 200amp ki batry py Sir din ko phkga chlta he night nhi chlta fane Chang bhi kren hen Please gaid kren
Brother, Agr ap k pas purana fan hai tu usy 50watt k fan se replace kr dy. Aisa maloom hota hai k Solar plates se ap ki battery charge nhi ho rahi hain. Ap apni battery k voltage subha, dopeher or sham ko meter se check kr ly. apko clear ho jyega. Ap ki Battery agr old hai tu ye bhi ek waja ho skti hai.
@@advancetechnicalsolutions sir Abbottabad ka nam sona hwa ho ga us se pehly Haripur hazara ata ha sir mjy price bata dein r prcess b bata dein kis tara ap ki payment karni ho gi
Bhae 3 fan lagae thae 2 sal phelae Khorshed k magar 3 no k sarcit kharab hogae .2srae sarcit lagae who bhe kharab hogae . ab ye bataen Khorshed compani k apnae sarcit kahan melengae
Ap apni wiring check kr ly. Agr dimmer lga hua hai us ko remove kr dy. Is ka circuit kisi bhe khursheed k dealer se mil jye ga. Ek circuit ki price 600 jab k dono ki 1200 hai.
3500 , 4000, 4800, or 5000 tak market ma available hain. In sab k sath remote hai or ye ac, dc dono pe chalty hain. Agr ap sirf ac lena chahty ho 50watt ka tu us k sath remote nhi hai or 4000 tak mil jata hai royal ka.
Thank u bhai, bhut jald apna whatsapp no share krnga. Filhal ap ka koi bhi sawal ho comment section ma poch skty hain. Ap ki hr tarah se rehnumai krnga Inshallah.
Bhai es ka card bhot jald kharab ho jata hai 1 sal me he kharab ho gaya aur original Milta Bhi Nahin Hai sab ka pas copy card Milta Hai 220 se 12v jo pankha ko data hai wo card
Sajid, apko is ka original card kisi bhi khurahid k authorized dealer se mil jye ga. Dosra , agr ap ny is fan k sath koi regulator lagaya hai tu usy remove kr dy wrna card kharab ho skta hai.
@@advancetechnicalsolutions very nice! Aur regulater sirf AC fan ki winding k hisaab se hota hai Ac ki winding speed regulater se direct conect hoti hai aur DC ki remote control se speed control hoti hai Ac currunt direct kro kbi bhi card kharaab ni ho ga
ماشااللہ بھائ لاجواب اچھی معلومات فراہم کیں آپ نے
Thanks bro. Your appreciation means a lot to me.
Best fan hai khursheed walon ka ac dc many 3 fan install kiya han ak 150w solar plate per 2 araam say chal jaty han or speen no 2 per 3 fan b chal jaty han ager doop teez ho to very good fan
MashaAllah very well explained..keep it up 👍🏻
ماشأاﷲ
Sawal ye he..Power Auto he ya Remote se chalo karna hoga...matlb agar sirf Ac pr chalaye aur Light chala jaye.aur pir wapas light ajaye ye hud on hoga ye Remot se karna hoga..?
Bhai ye new model nahi ye dono design mere pas 2018se hain haan ye remote aur dibbi new chez add ki hy
میں نے GfC فین خریدے تھے جو چھ ماہ بعد اسکی کٹ خراب ہو گئی نئی کٹ 1000 زوپے کی ہے جو ایک دو ہفتے بعد جل جاتی ہے
Sir dc pa bht slow speed ati kindly correct wire gauge btade DC ka
4mm pure copper
دوست لاہور فین کے بارے میں بھی بتائیں نام تو بہت سنا ہے کیا کام بھی کرتا ہے ؟شکریہ
Atiq, sorry yar, Lahore Fan k baray ma mery pas koi information nhi hai.
SOLAR ENERGY & TECHNICAL SOLUTIONS کوئ بات نہیں کسی اور وقت پر آپ کے علم سے فائیدہ اٹھائیں گے
From where we can buy this fan at Lahore no available in market.
Fan ka fasla battery se 45 fut he kon say wire use keren???
Ziada mm ka wire laganay se result acha ho ga kua ???plz ans plz
4mm ki wire use kry pure copper ma.
Aoa
Sir aak 180 watt ki mono solar plate pay khursheed k 2 seeling fans chal sagtay hain... Kindly recommend some new good brand solar plates,
Muhammad Naeem
Karachi پاکستان
Naeem, 180w k A grade panel se ap agr taiz dhoop ho tu 2 fans chala skty ho, wrna fr fans ki speed ziyada nhi hogi.
Ye ups per chalay ga fan
Good information
Thank you Ejaz
Sir aoe say ik questions hay Kay Hume royal fan ko Jo a. C walay hay is ko Jo fan aje Kal a. C aur d. C aa rahay ki kit lagaa Kar in old fan ko a. C/d. C bana sakhtay hay kyaa?
No
Asslamu alekum
Sir Allah apko or apki Family ko hmesha khush rke. 150 solar se 1 khurshed ac dc fan or 1 dc wall brakit fan chla skty hai. Or 2 dc bulb
Is k liye apko 2 plates lgany prngy
Ac dc connection dono on aik sath on kar saktay hain. Or yeh ac say pehlay on ho ga ya dc say.
Zahid, bilkul dono ko ek sath on kr skty hain. Phly ac se chaly ga , ac na ho tu fr dc pe chaly ga.
Sir main direct ak solar plate per chala raha hun 1 year say but ab plates zayada karna chahta hun to per b direct chalny say circuit kharaab to nahi hoga ?
nahi hoga kharab, bs ap ny 12Volt k plates ko parallel ma lagany hain. Jis se current brh jyegi jab k voltage same 12volt hi rahngy.
Muje is ke surkit chaye. Aor is ke sarkit dosre compny ke fan me kaam karega
Qasim, her fan ka apna circuit hota hai us k specification k hisab se. Agr ap usi company ka lga lo tu acha hai. Wesy khurshid k circuits Market ma readilly available hain.
Dosre fan k surkit bhi lag sakta hy jo k sasta parega agar khursheed ban ka surkit mhenga hy
Nawaz, hr fan ka circuit us k winding k hisab se design kya jata hai. Is usi company ka circuit lagana chahiye. Khursheed ka ek circuit 600 rupees ma mil jata hai.
@@advancetechnicalsolutions kaha se milta ha air remote b new milta ha kiya?
Ye fan kitny years tak chalta he
Q1) Normal Cieling Fan kitny watt letaa he?
Q2) Normal Fan aur khursheed 50watt Ac Dc fan ki speed (air throw) same he kya?
Kindly ans soon. Thanks
Normal fan 75 se 80 watt ka hota hai.
Khursheed fan ki hawa achi hai.
i need this where from to purchase
Sir mainy khursheed fan lia tha do dfa kit change karwa li abi pher khrab hy kya karon
Wesy sab se reliable fan khusheed hai, ap k han humidity ziyada tu nhi, dusra fan k sath ma dimmer tu nhi lga hua hai?
Bhi kid market se mely ga
Bhai Royal fan kasa ha AC/DC regency model
Khursheed and Taimur fans are better
@@advancetechnicalsolutions salam bhai ak choti c help ma 2 khursheed AC DC fan Icon model la ka aya hoon ak ki speed 1 2 3 pa kaam ha baqee dosra ki 1 2 3 sab pa zabardas ha tu guide kardain ga ka keya issue ho ga
aap ke use mein kon sa inverter h . plz batain
Inverex 2800 solar pro, 4 sal se use kr rha hun.
AOA sir Lahore me yea kether se mille ga Yun kreebtreen
Kisi bhi bry shop se pta kro mil jyega, wesay ye Gujeanwala ma bnty hain.
بھائی لاہور میں جعلی خورشید فین کی بھرمار ہوگئی ہے یہ لاہور زیادہ مقدار میں بنواکر بھیجا جائے
from where u bought these fan. can we run on 150 watts solar panel directly
I bought from saddar karachi, but it is available almost in every big shop
یہ گھروں میں جو عام اے سی پنکھا استعمال ہوتا ہے اس کا RPMکتنا ہوتا ہے؟
اور اس ڈی سی پنکھے کی ہوا نارمل اے سی پنکھے جتنی ہو گی کے نہیں؟
شکریہ
Hawa ma tu normal ac fan se best hai.
AC DC pedistal khursheed fan karachi me kaha se mile ga sir jaldi reply chaeay aur 24" key price
Azmat, apko saddar solar Market se mil jyega.24" ki price rs.4500 hai.
@@advancetechnicalsolutions thanks alot sir
Battery aur Fan mai 15 ft wire lagay gi kaun si lagay mm?
3 or 4mm pure copper for good speed.
@@advancetechnicalsolutions thanks 😊
Sir kia hum apny notmal AC fan ko card lagwa kr dc fan me convert kr sakty hain?
Nhi, dc fan ki winding ac fan se mukhtalif hoti hai. Ac fan ki winding dc fan ki circuit se match nhi krti.
Sir AC pe kitne amapare leta ha, aur Jo box pe Likha ha woe hota ha?
Yes,
assalam o alaikum bhai ye fan lia hai ac per chalaya ac curkit kharab hogaya aik din mae
dobara fan change kia ac per chalaya 1 ghenty bad same fault
aaya please solve the problem
Check your ac voltage should not exceed 230v, Remove regulator/dimmer if any. Check if there is any fluctuation in ac voltage.
Direct wapda pr bi chla skty h kya??
Yes
Sir ye generator pe chal sakta hai?
Jab ise generator pe chala rahe hen tou generator ke voltage fluctuate ho rahe hen.
Ye generator fault hai ya ye fan generator pe nahi chalega?
Generator pr bhi chalta hai. Voltage generator k fluctuate hoty hain. Fan ka voltage fluctuation se koi taluq nhi.
@@advancetechnicalsolutions yani jo thori bohat fluctuation hoti hai generator pe tou us se ye kharab nahi hoga?
Thanks for your reply sir.
Is ma electronic circuit hota hai. Tamam electronic circuits voltage fluctuation se kharab ho skty hain. Agr ap k generator voltage ma buht ziyada fluctuations hain tu fr na chalayen.
@@advancetechnicalsolutions sir generator ke meter pe voltage 115 se 141 tak fluctuate ho rahe hen kabhi 130 show ho rahe hen kabhi 136 aur ye seconds main change ho rahe hen.
Ye to bhut ziyada fluctuate ky rhy hain. Is per bilkul na chalyen.
سر اسکی کٹ کتنے دن بعد خراب ہوتی ہے اور اسکی قیمت کتنی ھے
Ma 2 years se use kr rha hun shi chal rha hai. Is ki kit kharab hony ki ek bri waja is k sath Dimmer lagana hai. Agr dimmer lga hua hai tu us ko bypass kr dena. Is k ander 2 kits hoty hain. Ek ki price 600 or dono ki 1200 hai.
price kitna hey sir
brother is fan ki price jo box par likhi hoee hay wo consumer price hoti hay kia, mene king size AC/DC fan parchase kia hay jis ki box par price 5600 hay jab k khursheed wearhouse walay nay mjhe 6000/. ka fan sale kiya hay.
G Asif, bilkul, ye consumer price hai. 6000 tu buht mehnga diya hai.
@@advancetechnicalsolutionsG bhai meri kal un say baat hoee hay wo ammount wapis karnay ko agre ho gaye hen or box par 5400. price likhi thee.
Ho skta hai rates bhra diye ho. Ma ny taqreebn 2 months phely purchase kya tha.
Loot liya apko...me ne abi.liya ha kuch din pehly...5500 likhi ha price mgr 5000 me liya ja sarmad road karachi se
@@iftikharahmad6063 g bhai 500 wapis laya hn us say.
Mery pass homage ka inverter hy us ki battery sy fan ko power dainy sy battery main koi issue to nae ay ga ku ky jb battery ky sath fan use karty hain to inverter sath charging show karny lg jata hy chahy battery full b ho, to kiya is tarha over charge ka issue ho skta battery main
Koi masla nhi, ma bhi aisy use krta hun.
Salam walekum agar pankha Lena Ho?
Plz visit the market. Its price is now increased to 5600 and latest model available at 6000.
Asalam o alikum
Sir i m from karachi.
Me yeh poochna chahta ho k
1 yeh fan without remote on ya off ho sakta hy?
2. Kia ac aur dc connection saath karny sy battery me koi issue to nahy a sakta
3. Aur iss ka circuit kitny ka aata hy
Ap ki video bohat hi kaam ki hy aur ager ap ki koi shop hy tu btaain me visit kr k kuch plates aur kuch dc items lena chahta ho
Waseem, thank you for your excellent comment.
1. Remote se ek dfa on kr do us k bad button se direct on off ho skta hai but speed ek hi rhy gi. Simple ye k Remote k baghair use nhi kr skty.
2. Koi issue nhi hoga. Ye design hi isi purpose k liy gya hai.
3. Is k 2 circuits hoty hain. Ek ki price 600 rupy or dono ki 1200.
Bro meri koi shop nhi hai, ye channel sirf ap friends ko educate krny k liye hai.
Thanks
@@advancetechnicalsolutionsagar hm ne as k sath battery nhe laga ho aur sirf bijle pr chalate ho agr light chala jaye pir ye Remot se on krna hoga ya hud on hoga..
Sir ye pankha ups p 4 ki speed m nh chalta is ki wajah baqi lite p sahih chalta h
Apka ups local made tu nhi hai?
کراچی میں کہاں سے ملے گا۔ لالو کھیت کی مارکیٹ سے مل جاۓ گا یا آپ کے پاس ہے موجود
Saddar sarmad road se milyga
Bhai zarbardast lekin ya baatain iss ka air flow kasa ha Normal Royal Ac fan wala ha bec Royal na bee 50 watt fan banaya tha uss ka air flow kuch bee nahe ha
Mansoor, is ki hawa us se best hai.
@@advancetechnicalsolutions ak last baat agar hum sirf AC pa run karain tu circuit kharab tu nahe hoga
muja sirf watt ki saving karni ha
@@mansoorshaikh9034 Nhi hoga kharab. bas ik cheez ka khayal rkna, is ko dimmer/regulator k sath nhi lgana wrna circuit kharab ho jyega
1.Ac aur dc per maximum kitnay rpm daita hy.
2. 56 inches mai hay ya 52 mai?
Asal cheez koi nahi btata. Specs share karain ic ki...
Naveed, 56" ka hai , ap ny video pori nhi dekhi us ma is k RPM ka bhi btaya gya hai, FYI AC pr is k rpm 360 or dc pr 330 hain. Thanks
Ye ups per chalay ga
کیا یہ پنکھا بغیر بیٹری کے ڈائریکٹ سولر پر چل سکتا ہے؟
Bilkul chal skta hai.
Royal ka ac 50watt or DC 36watt ka fan kaysa hai warranty 3year
Aneel, sab se best khursheed hai, royal bhi acha hai.
khurshide fan 36,48 inch me ata hai or price kiya han
48 or 56 ma ata hai. Price 5000 rs hai. Ac & dc hai.
Thanks sir
This fanof ciruit where awlble in hyd
Assalamualikum
Sir mai ek electric feeld sy wabsta hu ek msla smj nhi a rha
150 ki 2 plate 200amp ki batry py
Sir din ko phkga chlta he night nhi chlta fane Chang bhi kren hen
Please gaid kren
Brother, Agr ap k pas purana fan hai tu usy 50watt k fan se replace kr dy. Aisa maloom hota hai k Solar plates se ap ki battery charge nhi ho rahi hain. Ap apni battery k voltage subha, dopeher or sham ko meter se check kr ly. apko clear ho jyega. Ap ki Battery agr old hai tu ye bhi ek waja ho skti hai.
56` ke rpm se 48` ke rpm ziada kin hen jub k amp 56 k zida hen plz rpl
Size difference hai
@@advancetechnicalsolutions
air diffence he ???
Nhi , air bilkul perfect hai
review your inverter as seen in this video?
Okay, Thanks. Likely in the next video.
bhi mane lane ha
Bhai mare pass lahore ac fan hai is me dc kit lag jhy gai
Sohaib, mery khaya ma nhi lg skta
@@advancetechnicalsolutions thankz bhai
Khurshid fans ki koi website hai tu bataye please
Asim, net pe search kr lo. Wrna kisi bhi bri shop ma apko mil jyngy.
bhai suna hy k battery pr speed km hoti hy
Yes but negligible. Always connect 4mm wire for good speed.
Aoa sir ye sirf 220v pr chal sakta hai.
Wasalam, bro ye 220v AC aur 12v dc pr bhi chalta hai.
OK. Ok
bai sb price b bta deha krin
Brother, ap ny pori video nhi dekhi. Price ka bhi btaya hua hai. Anyhow its price is rs.5200
salam sir khursheed pedestal fan dc 12 volt kaha mel jaye ga 24 inch ka shop ka nam ya ap k pas ha tu bata dein
Qasim, Apka city konsa hai?
@@advancetechnicalsolutions Haripur hazara kpk
haripur hazara kpk
Brother, mujhy ap k city ka nhi pta, lakin ap online mangwa skty hain.
@@advancetechnicalsolutions sir Abbottabad ka nam sona hwa ho ga us se pehly Haripur hazara ata ha sir mjy price bata dein r prcess b bata dein kis tara ap ki payment karni ho gi
Bhae 3 fan lagae thae 2 sal phelae Khorshed k magar 3 no k sarcit kharab hogae .2srae sarcit lagae who bhe kharab hogae . ab ye bataen Khorshed compani k apnae sarcit kahan melengae
Ap apni wiring check kr ly. Agr dimmer lga hua hai us ko remove kr dy. Is ka circuit kisi bhe khursheed k dealer se mil jye ga. Ek circuit ki price 600 jab k dono ki 1200 hai.
@@advancetechnicalsolutions sir as pr hm Daimer laga skte hain.?
Al Burj kisa fan hai
Sorry ma ny use nhi kiya
Bhai jan, baghair remote k kia price hy?
Abdul wali, Remote k satb 5000 ka hai. Remote k baghair kesay chalaogy? Wesy bhi is ka remote 300 rupy ka hai.
@@advancetechnicalsolutions thank you bhai jaan.
@@advancetechnicalsolutions, sir ma baghair remote walay fan ki baat kar raha hun jaisay normal fan hotay hain.
3500 , 4000, 4800, or 5000 tak market ma available hain. In sab k sath remote hai or ye ac, dc dono pe chalty hain. Agr ap sirf ac lena chahty ho 50watt ka tu us k sath remote nhi hai or 4000 tak mil jata hai royal ka.
@@advancetechnicalsolutionsThank you sir
Khursheed fan karachi me kahan milta he
Saddar
Es ke prize keya hay
Bhai, is ki price 5200 rupy hai.
Ye kahan sy.milayga karachi main
Saddar, sarmad road ya kisi bhi jga koi bari shop se mil jye ga
My persnal opinion hy ky ap khursheed fan na khreedayn
Bhai mai tu 2 din mai order karwana tha q kiya hai phair konsa le ac DC fan
Adnan, Ma apny friends ko wrong cheez kabhi recommend nhi krnga. Khursheed fan har tarah se best hai.
Meri jaan bijli dim hote hai bnd q hojati hai treqa kaar
Arshid , yar ye tu low voltage yani 100 volt pe bhi sahi chalti hai.
Price kiya hai
5200
CELLING fan khardny k time ye glti na karen dekhen es video men
ruclips.net/video/W2utQQnCrQI/видео.html&feature=share
Is ko ragoletar ni lagta h
Shahid, is k remote ma 4 speed levels hoty hain. Regulator ki zarorat nhi hai. Regulator lgany se is ka card kharab ho skta hai. Thanks
bhai kahan se mile ga Fan 5000 me.
Kisi bhi bry dealer se mil jye ga 5200 ka
bayi apna number dena take ap se malumat to le sakon
Thank u bhai, bhut jald apna whatsapp no share krnga. Filhal ap ka koi bhi sawal ho comment section ma poch skty hain. Ap ki hr tarah se rehnumai krnga Inshallah.
Bhai es ka card bhot jald kharab ho jata hai 1 sal me he kharab ho gaya aur original Milta Bhi Nahin Hai sab ka pas copy card Milta Hai 220 se 12v jo pankha ko data hai wo card
Sajid, apko is ka original card kisi bhi khurahid k authorized dealer se mil jye ga. Dosra , agr ap ny is fan k sath koi regulator lagaya hai tu usy remove kr dy wrna card kharab ho skta hai.
@@advancetechnicalsolutions very nice!
Aur regulater sirf AC fan ki winding k hisaab se hota hai Ac ki winding speed regulater se direct conect hoti hai aur DC ki remote control se speed control hoti hai Ac currunt direct kro kbi bhi card kharaab ni ho ga
Remote.kharab ho gya.3 month.me.jab k.na gira na itna.used kiya...bekar ha.remote k.bina chalta he nhi...