Women's Rights In ISLAM! | Ft Ashfaq kazi |

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 18 сен 2024
  • Kya aapko pata hai Islam mein Miras kaise divide hoti hai? 🤔 Aur yeh 4 types-Fard, Asaba, Zawil Arham, aur Mawla-kya signify karte hain? Har ek ka kya role hota hai property distribution mein?
    Miras kya hota hai? Iska matlab sirf maal ya property ka batwara nahi hota, balki ek zimmedari hoti hai jo Allah ne har ek par farz ki hai. Lekin kya hum betiyon ko unka haq de rahe hain? Aur Islam mein betiyon ka kitna haq hai?
    Aise aur bhi interesting sawaalon ke jawab milenge aapko humare podcast mein, jismein humare guest hain Mufti Mohammed Ashfaq Kazi ji, jo ek mashhoor Islamic scholar hain. Woh Mumbai ke sabse bade masjid, Juma Masjid ke chief preacher hain aur 20 saal se Islamic law aur fiqh ka tajurba rakhte hain. Unhone Family First Guidance Centre bhi banaya hai, jo families ko Islamic teachings ke zariye guide karta hai.
    Toh aaiye, Across the Table with Nisar pe, jahan humari theme hai ‘Be a Responsible Muslim’. Hum yeh samjhenge ke ek zimmedar Muslim aur insaan bankar hum duniya aur insaniyat ki behtri mein apna kirdaar kaise ada kar sakte hain.

Комментарии • 1