Thankyou Thankyou Thankyou so much didi 😘😘 ap nahi janti apne meri kitani badi madad ki hai. Maine poora RUclips ki vidios dekh li kisi ne bhi apke jaisi shastriya vidhi nahi batai mai yahi dhundh rahi thi.apne bhot achhe tareeke se bataya. Apko Dil se dhanyabad hai mera.
Thankyou so much didi aapke wajh se ab mai achhe se puja kr sakungi sabhi niyam ke saath kyunki mujhe kuch samjh nhi aarha tha ki kese krna h ye puja ab mai aapki video ko.dekh dekhke ke krungi puja thankyou again🤗🥰😘😘
@@spiritualwoman79 didi jaiseki abhi barsaat ka mahina hai aur hum gharme hi Pooja kar rahe hai toh Jo Prasad k churma laddoo hai wo gau Mata ko dene hote hai , but agar gau Mata kahi paas nhi mili toh kya kare? 1 laddoo toh hum kha lenge dusra pariwar me Prasad Swaroop baatenge aur teesra laddoo kya kare agar gau Mata ko Dena Sambhav nhk hua toh? Please bataye 🙏
Di kya har somvar ko kalash sthapna krna rhta h???aap kaise kr rhi h or parthiv sivling ko agle din gamle m visarjan kr diye h....or agle din tk shivling khud se khandit ho gya tha Pani ki wjh se...to isse koi dikkat nhi h n???di aap meri msg ka rply krur kijiyega please
@@spiritualwoman79 di plzz btaye n ye chauki hatani aur shivling ka visharjan kb Krna h parsad khane k bad usi din ya phir dusre din aur prasad k sath hi chay bnake usi waqt pi sakte ap jawab dijiye ga mere pass bs kl ka time h 22 se mujhe Krna h
Mam solah somvar sawan ke pehle se shuru krenge to mana konsa vrat jayega?? Sawan ka ya solah somvaar ka?? Or isme prasaad mein meethi puri bna sakte hain?? Reply soon...
Mam jese ab 22.07 se pehla solah somvaar vrat rakhne ja rahi hu.. Lekin ye puchna hai ki navratri me somvaar aayega to kese karenge pure navratri vrat rakhte hain to usme ann kese khayenge mtlb prasad kese grahan karenge?? Reply me please 🙏🙏
दीदी मैं आपके बताए अनुसार सोलह सोमवार की पूजा में हर सोमवार को पार्थिव शिवलिंग बनाकर पूजा करती हूं तो क्या 17 सोमवार को उद्यापन में भी पार्थिव शिवलिंग बनाकर पूजा करनी है...plz bataiye और हर सोमवार को मैं शाम 4:30 पूजा करती हूं तो क्या उद्यापन में भी शाम 4:30 पूजा करनी होगी
Mujhe aaj se 16 somwar ki puja suru karni h lekin main agle somwar ko gav se mumbai chali jaungi to puja waha kar sakte h yaha uthane k baad please bataiye didi
Hi Priyanka, 17th somwar how to do puja? I mean what needs to be done? Thank you for your videos. I have been able to do solah somwar vrat following your videos.
Har Monday ko karna h kalash aur fir puja ke turant baad vida kar diya jata h deep shant hone k baad kbhi visarjan Shringar smaan rakh len uddyapan ki puja k baad panditani ko. .dete hain
agar ek ghar main do log brat karna chahte ho to kya ek parthiba shivling se kare ya dono alaga alag shivling se puja aur bhog lagaye reply dijiye please
Didi aapne jaise bataya waise hi maine paper pe likh k puja kiya. Lekin aaj mere solah somvar ke pehle din hi 3 glti ho gyi mere se. Aapne bahut achhe se smjhaya mai aapko dhanywad krti hun. Aur sath me bas share krna chahti hu ki mujse pehle hi din glti ho gyi bahut badi badi wo b tin. Kisi se kehna tha socha yha likh du. ☹️
mam plz jaldi se reply de...16 somvar vrat me subah churme ka prasad bana lia or shivling bhi bana li sham ko pooja krne ke liye lekin dophr me hi preiod a gya to kya kre uss prasad or shivling ka pooja to kar nhi sakte to fir kya kre...plz urgent hai reply kre..🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Kisi aur se puja karwa len... Koi bhi kar den na karen To jaise roj ki puja karte hain waise hi koi bhi chdha k apko de de aaap kha len gaay ko dila den
Kisi aur se puja karwa len... Koi bhi kar den na karen To jaise roj ki puja karte hain waise hi koi bhi chdha k apko de de aaap kha len gaay ko dila den
Niaym to bina puja ke kuch lene ka nahi h Par tapsya apne shakti ke hisab se karna chahiye Ki aapko ak panv oar khade hokar tapsya karna h baithkar aapka nirnay hota h
Di hm 16somwar m phla somwar start kiye the lekin utna kuch ny jante hai baad m apki video dekhe to kya dusra somwar m aap ki bataye upay kr skye hai please reply dijye🙏🙏🙏
Didi kya solah somvar ke pehle din jaha puja karte hai aasan lagake puja puri hone ke baad kya hum sari cheezon ko us jagah se hata kar mandir me rakh sakte hai Pls reply kijiyega
Mam thank you iss vedio k liye aapne Itni detail me or bhot asani se smjhaya h 🙏 yeh Puja krne k baad hamein Mandir me bhi jakar puja krni h? Please btaein
kripya kr batye...kya subah time mitti ke shivling or choorme ka prasad bana kar shaam ko puja ķar sakte hai( office se 4 bje akar puja kr lenge)...plz reply🙏🙏🙏🙏
Ha.. par jo sama k chawal laal chawal aaate hain jinko phashi ke chawal bhi bolte hain Churma ke bad dusra kheer bhi shiv ji ka priy bhog h .par adhiktar log.. dusri chijo se karte hain..kheer bahut hi kam lagate hain Dusri chij h jis chij se bhi niyam len pure somwar wahi hona chahiye Isliye sma k chawal ekathha hi mga len
@@spiritualwoman79 ghar me kya mandir me bi kr skte h kya kya ham vrt ki pooja ghar par kr rhi h Or kisi karn hame khi jana pde to ham vha pr bi pooja kr skte h kya please didi btaya ga please🙏🙏
Mam mne shiv bhgwan se bola tha ki m 17 July se 16 somwar start krugi lekin mam mujhe pta nhi tha 17 July krishn paksh me h isliye mne start nhi kiye or ab 21 august se start krugi mam glt ni hota kya mne 17 July ka bola tha or mne start nhi kiye
Didi mai apke channel p pehli br aai hu kaash apka vdo muje pehle mil jata pr ni mila .........mene hi 16 somvar ke brat ki pooja ki thi pr ek br aarti karte samay dipak bujh gaya isse kuchh bura hoga ky pls reply dii😑
Didi main is bar 1st time 16 sombar karungi Aap yeh yeh video bhot help ful tha par phla sombar ko puja karne k baad kalash ko utha denge ya rhne denge 16 sombar tak plz reply 🥺
Gaay ka koi aur option nahi h agle din khila den rakh len , muskil me kanya ko hila sakte hain Fir bhi gaay gaay h uske sharir me devi devata ka vas hota h
Didi mein hostel mein rehti hu toh yaha chota sa mandir h shivling hai vaha sham ko Pooja kr skti hu mere pass wo choki nai h toh ese photo rkh k kr skti hu ky ??
Didi hamara pehla vrat h to kisi mandir me jake puja kar sakte h kya quki ghar se bahar padai karte h etni samgree nahi ho pati h plz didi batayega 🙏 radhe radhe 🙏
Radhe Radhe mam Mam me 16 somwar ka vrat jr rhi hu mam me ekadashi ka bhi vrat rhti hu bich me abhi somwar aur ekadashi ek hi din pd rha h to me churma ka ladu bnarti hu ek hisaa me bhi khati hu aur jb me ekadashi ko nhi khaungi to koi presani to nhi hogi naQ ki me vrat rhi tu ekadashi ka
Ghar me kro... Mandir me gauri ganesh kalsh alag se bnane ki jarurat nhi hoti to aadha smaan to thi kam jo jata h Par fir bhi bahut bheedbhad wale mandir me achhe se nhi ho pata
Dainik hawan me alag se diya ki adhik anivaryata nahi Wahi jo puja me sbhi bhgwan k liye jalaya ho wahi paryapt h Aur tel ka bhi jala sakte hain Asuddh ghee se achha tel h
Khandit to nahi hota...agar namak ka khane ka pehle se socha ho ki Namak se hi karungi..tab... Par adhik achha hota h ki vrat me namak ka tayg karte hain log..swad heen bhojan karte hain taki tapsya kathin ho..fal avhha jldi mile Aap extra ak vrat kar lijyega..agr Pure. Bina namak k karne ho to
didi kripya kar batye period se hone par upbas to rkhna hai.par jese sham ko choorme ka prasad banate hai 3 bhag karte hai or 1 bhag khate hai to fir period se hone par kya khayenge .....pls reply kre🙏🙏🙏🙏
Radhe radhe didi🙏didi mai somvar shaptahik vrat shuru karna chatti hu to kbse shuru karu 10 july ko to krishnapaksh hai fhr malmash lg jyega kbse shuru kre pls help me🙏
दी मेरे पास पीतल की मूर्ति है शिव परिवार की तो 16 सोमवार की पूजा में सुबह घर के मंदिर से चौकी में स्थापित करुगी स्नान आदि करा कर तो शाम में कथा पढ़ूंगी तो क्या उस समय भी शिव जी की मूर्ति का स्नान करना है... कृपया बताएं
Main puja solah somvar ki sham ko hi hoti h..mitti ka chhota shivling bana kar puja kijiyega.. Agr shubham vidhivat puja kalash aadi rakh kar ho jayega to sham dup deep hi karna paryapt hoga waise shankar ji ka abhishek prosdsh kal sham me bhi hota h
Har hawan me aahuti..ki same hawan samgri hoti h Chawal ,jau, kali til, ghee ,aadi..ak vishesh anupaat hota h milane ka navaratri k hawan k liye Mila k bhi btayi hu playlist me check karen puja k Sath ke kheeer bhi rakhna h kheer ki alag se 108 ya jitni bhi..hon aahuti dena chahiye
Shubhay normal puja kaise roj karte hain Ya smaan jod k dudh dahi se subahu bhi nehla do jo ghar k mandir me shivling unko Ya mandir bhi ja sakte hai ya normal
Mam aur gauri ganesh shiv parivaar ki photo pr unko pujj nhi sakte kya ya unhe supari aur haldi se banana zaroori hai kyunki mere paas shivling aur shiv parivar ki photo dono hai toh mein kya karun??
@@spiritualwoman79 tysm for replying🙏🙏🙏🙏. Mam bs ek baat aur puchhni thi ki bhagwaan ke liye sankalp, kalash aur chowki toh subah jaldi naha dhoke hi lagani hogi na?? Baaki puja, churme ka prasad aur katha shaam mein krte hain. Ese hi karna hai na???
Didi ek doubt hai Jaise churma ke laddu banate hain to chor mein ke laddu bhi Chadha sakte hain aur Jaise kele se Bharat chhodana chahte Hain to kya kele se chhod sakte hain Priyanka didi please comment mein reply
Thankyou Thankyou Thankyou so much didi 😘😘 ap nahi janti apne meri kitani badi madad ki hai. Maine poora RUclips ki vidios dekh li kisi ne bhi apke jaisi shastriya vidhi nahi batai mai yahi dhundh rahi thi.apne bhot achhe tareeke se bataya. Apko Dil se dhanyabad hai mera.
Thank you so much di aap na bahot aacha sa bataya ❤❤❤ dil sa dhanyabad didi ❤ 11/11/2024 ma maine solah somvar ka varat karana ja rahu hu ....😊
Thankyou so much didi aapke wajh se ab mai achhe se puja kr sakungi sabhi niyam ke saath kyunki mujhe kuch samjh nhi aarha tha ki kese krna h ye puja ab mai aapki video ko.dekh dekhke ke krungi puja thankyou again🤗🥰😘😘
Y to phle din ka h fir dusre Monday ko kaise kya kre
Thanks a lot, Aaj Maine solah somvar ka vrat liya aur aapki video ko follow karke Puja ki
Apko bhi Dhnywaad... radhey radhey 🙏🙏
@@spiritualwoman79 didi jaiseki abhi barsaat ka mahina hai aur hum gharme hi Pooja kar rahe hai toh Jo Prasad k churma laddoo hai wo gau Mata ko dene hote hai , but agar gau Mata kahi paas nhi mili toh kya kare? 1 laddoo toh hum kha lenge dusra pariwar me Prasad Swaroop baatenge aur teesra laddoo kya kare agar gau Mata ko Dena Sambhav nhk hua toh? Please bataye 🙏
Di kya har somvar ko kalash sthapna krna rhta h???aap kaise kr rhi h or parthiv sivling ko agle din gamle m visarjan kr diye h....or agle din tk shivling khud se khandit ho gya tha Pani ki wjh se...to isse koi dikkat nhi h n???di aap meri msg ka rply krur kijiyega please
@@spiritualwoman79 di plzz btaye n ye chauki hatani aur shivling ka visharjan kb Krna h parsad khane k bad usi din ya phir dusre din aur prasad k sath hi chay bnake usi waqt pi sakte ap jawab dijiye ga mere pass bs kl ka time h 22 se mujhe Krna h
@@spiritualwoman79jb reply nh mile to kya faida video ko dekhne ka😢
Mam solah somvar sawan ke pehle se shuru krenge to mana konsa vrat jayega??
Sawan ka ya solah somvaar ka??
Or isme prasaad mein meethi puri bna sakte hain??
Reply soon...
Didi kalash ki sathapna ek bar hi somvar ko krni hoti ya har somvar ko plz btye??
Mam 16 somvar vrat me vrat ke kitne din phle se lashun aur pyaj nahi khana hai
Har har Mahadev
Didi, aapne bahot acha karke bataya, thank u so much..❤
Mam jese ab 22.07 se pehla solah somvaar vrat rakhne ja rahi hu..
Lekin ye puchna hai ki navratri me somvaar aayega to kese karenge pure navratri vrat rakhte hain to usme ann kese khayenge mtlb prasad kese grahan karenge??
Reply me please 🙏🙏
Ma'am agar shivling na ho aur मिट्टी ka shivling bhi na bna paye to kya shiv parivar ki murti se puja kar skte hai please btaiye
Ha kar sakte hai, lekin mitti ka shivling ka vishesh mahatv hai. Ap apne gmale ki mitti le sakte hai.
@@killbillpandey-p2m hostel me possible nhi ho payega na esliye puchi
@@princysingh3363 to fir aap pure shiv parivar ko photo/ murti puja mai use kar sakti hai
Har har mahadev
Mam...Shivling k sath nandi bhi rakhna h kya ...
Didi sanklp subah me ke ya sam me
बिलिपत्र कितने चढ़ाने चाहिए??
Didi maine aaj vart kiya sam ki puja ke bad hi mera period aa gya to ky mera vart kharab ho gya ky wo mana nhi jayega please help me
Agar 16 somvar ke vrat ke waqt kahin travel karna pad jaaye to kya kar sakte hain jisse vrat bhang na ho
दीदी मैं आपके बताए अनुसार सोलह सोमवार की पूजा में हर सोमवार को पार्थिव शिवलिंग बनाकर पूजा करती हूं तो क्या 17 सोमवार को उद्यापन में भी पार्थिव शिवलिंग बनाकर पूजा करनी है...plz bataiye और
हर सोमवार को मैं शाम 4:30 पूजा करती हूं तो क्या उद्यापन में भी शाम 4:30 पूजा करनी होगी
Shivshakti ka photo konsi disha main rakhna chahiye pls reply mem🙏
Gauri ganesh ko har somvar ko shringar smn chadhana hai ki
Di pls rply kijiye
@@ravina8017 nhi pehle or udhiyanpn k din
Mujhe aaj se 16 somwar ki puja suru karni h lekin main agle somwar ko gav se mumbai chali jaungi to puja waha kar sakte h yaha uthane k baad please bataiye didi
Hi Priyanka, 17th somwar how to do puja? I mean what needs to be done? Thank you for your videos. I have been able to do solah somwar vrat following your videos.
17 ve somwar ke uddyapan ka video hamne Diya h alag se samagri aur puja bhi kar k dikhayi h
Plz channel name ke sath search karen
ruclips.net/video/0U45Iev57t4/видео.htmlsi=zTASCx1QkZBJbYTu
Bahut Dhanyawad, Priyanka 😀
Bahut ache Tarah se samjhaya hai, Priyanka. Dhanyawad.
Sankalp har somwar ko krna hota h ki phale din bs krna rhta h
Visarjan kb krna hota hai parthiv shivling ka??
Thank u didi ji Har Har Mahadev❤
Jai siya ram
Yadi solah somwar vrat ke bich me teej jaise mahatwapoorn vrat somwar ke din hi ho toa kya kre... Kya dono vrat same day rkh skte hain?
Mam hr Monday ko aise hi pooja krna ya sirf phle somvar ko
Har somvar aise hi
@@spiritualwoman79 thank you mam
Didi, kheer ka bhog laga sakte hain ya nahi
Apne Shiv ling par nag devta bhi bnaya h kya ??
Didi kalash ki asthapna har monday ko krna h plz btaea.aur singar ka saman chaday huye chor dena h kya 16 somvar tk.ya utha lena h
Har Monday ko karna h kalash aur fir puja ke turant baad vida kar diya jata h deep shant hone k baad kbhi visarjan
Shringar smaan rakh len uddyapan ki puja k baad panditani ko. .dete hain
हर हर महादेव मुझे मेरा प्यार पंकज दे दो प्रभु में अपनी मां को दुनिया की सारी खुशियां दे सकू ❤❤
Kya 16 somvar tk har somvar ko kalash rakhna hai plz reply me 🙏
Muje v janna h
Mam shivling ek do din pehle bna skte h???
Nahi usi samay ak do ghante pehle
@@spiritualwoman79 mam maa Gauri ko Jo sringar chdhayenge uska kya karna h ?
Ye puja sham ko kare ya subha
Jay mahakal
Didi Agar mandir me kr rahe to gauri ganesh ki puja kese karenge?
Didi, vrat rehta hai toh aachman Kar sakte hai kya, Pooja karne sae pehle pls batayen .. mai 16 somvar vrat karna chahti hoon.
Ha kar sakte hain
Didi kya har bar kalash rakh ke puja krna jruri h?????plzz bnaiye kyuki Mai kr rhi hu ye puja please jrur btaiyega
Ha ji
Didi, parthiv shivling phir visarjan kab karna hai..batayen aur mitti shivling banane ke liye kahaan milegi.. batayen
Vrat mei sankalp lete waqt vo samagri boli thi aagar ussme se koi Ek din nahi mile tho Kya Karna chahiye...jese aaj mujhe dobh nahi Mili Kya karu
agar ek ghar main do log brat karna chahte ho to kya ek parthiba shivling se kare ya dono alaga alag shivling se puja aur bhog lagaye reply dijiye please
Dono ak hi shivling me puja kar len
Lakin dono puja ke liye smaan rup se vyavastha me hath batayen
Didi kya solah somvar vrat ki pooja mandir me bhi kar sakte hai please bato na
Didi aapne jaise bataya waise hi maine paper pe likh k puja kiya. Lekin aaj mere solah somvar ke pehle din hi 3 glti ho gyi mere se. Aapne bahut achhe se smjhaya mai aapko dhanywad krti hun. Aur sath me bas share krna chahti hu ki mujse pehle hi din glti ho gyi bahut badi badi wo b tin. Kisi se kehna tha socha yha likh du. ☹️
Kya hua ?? Chinta na karen insan galtiyon ka putala h bhagawan jante Hain
Aap k man me karne ka bhav h bs yhi prem chahiye prabhu ko
@@spiritualwoman79 bahut bahut dhanyavaad didi. Bholenath aapki manokamna puri kren🙏
Didi mangla gori vrat pr bhi video bnao
Dii agar mandir me Puja kare toh koun koun si samagree chahiye hogi....mandir me paswadevtaon ke sath sani dev aur hanuman jii b birajit hote hai
mam plz jaldi se reply de...16 somvar vrat me subah churme ka prasad bana lia or shivling bhi bana li sham ko pooja krne ke liye lekin dophr me hi preiod a gya to kya kre uss prasad or shivling ka pooja to kar nhi sakte to fir kya kre...plz urgent hai reply kre..🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Kisi aur se puja karwa len...
Koi bhi kar den na karen
To jaise roj ki puja karte hain waise hi koi bhi chdha k apko de de aaap kha len gaay ko dila den
Kisi aur se puja karwa len...
Koi bhi kar den na karen
To jaise roj ki puja karte hain waise hi koi bhi chdha k apko de de aaap kha len gaay ko dila den
@@spiritualwoman79 thanku..🙏🙏🙏🙏
Di 16 somwar m morning me milk ya curd le sakhte h plz reply me.
Niaym to bina puja ke kuch lene ka nahi h
Par tapsya apne shakti ke hisab se karna chahiye
Ki aapko ak panv oar khade hokar tapsya karna h baithkar aapka nirnay hota h
Ok thanku di❤
Agr mandir me puja kre to 17 somvar ko usi mandir me bda abhishek krna jruri h ya gr me kr skte h
Plzzz btaiyega jrur
Kahi pe bhi karen koi dikkat nahi ghar par ho to mitti k shivling hone chahiye
Thank u
Hr somvar ko havan jrur h kya
Di hm 16somwar m phla somwar start kiye the lekin utna kuch ny jante hai baad m apki video dekhe to kya dusra somwar m aap ki bataye upay kr skye hai please reply dijye🙏🙏🙏
Bilkul kariye jab Jago tabhi sawera 🙏
@@spiritualwoman79 di mera to set hua rista Aaj hi Tut gya ab Kiya kre 😭😭
@@spiritualwoman79 di ye phla wala somwar ko gin skte hai 16somwar m please reply 🙏🙏🙏
Didi kya solah somvar ke pehle din jaha puja karte hai aasan lagake puja puri hone ke baad kya hum sari cheezon ko us jagah se hata kar mandir me rakh sakte hai
Pls reply kijiyega
Ha rakh sakte hain
@@spiritualwoman79 thank you Didi❤️
Didi agr vrat ki shan ki pooja ke bat raat ke time period aa jate toh yeh somwar ginti me lena hai yah nhi ??????plzz btayeee
Puja k baad period aaya h to vrat gin sakte hain
Mam thank you iss vedio k liye aapne Itni detail me or bhot asani se smjhaya h 🙏 yeh Puja krne k baad hamein Mandir me bhi jakar puja krni h? Please btaein
Nahi ghar par karo ya mandir me ak hi jagah bhi paryapt h
@@spiritualwoman79 Thanku Mam 🤗
मै 16 somvaar vrat 2023 मे phlei bar karna hai vrat me kab शुरू karu savan मे
10 se kr lijiye
kripya kr batye...kya subah time mitti ke shivling or choorme ka prasad bana kar shaam ko puja ķar sakte hai( office se 4 bje akar puja kr lenge)...plz reply🙏🙏🙏🙏
Ha kar sakte hain par dhyan rakhna helwa me sukhne k liye mat rakhna warna chitak jayenge
@@spiritualwoman79 ji..dhanyabaad🙏🙏 hm halka ghee ka leep kr denge taki chitke na..
Didi solah somvar vrat me khir ka bhog lga skte hai please btaye
Ha.. par jo sama k chawal laal chawal aaate hain jinko phashi ke chawal bhi bolte hain
Churma ke bad dusra kheer bhi shiv ji ka priy bhog h .par adhiktar log.. dusri chijo se karte hain..kheer bahut hi kam lagate hain
Dusri chij h jis chij se bhi niyam len pure somwar wahi hona chahiye
Isliye sma k chawal ekathha hi mga len
Didi solah somvar vrat ka prasad kab khay
Har har Mahadev ❤❤❤❤❤❤❤
Last me hawan kund ko bhi khiskana hota h kya asan se uthne ke phle...
Aisa kuch nahi
Dhanyavaad🙏
M ye puchna chati hu aap se ki 16 somvar ke vrt ke shiv ji ki pooja khi pr bi ke skte h kya
Ha ji
@@spiritualwoman79 ghar me kya mandir me bi kr skte h kya kya ham vrt ki pooja ghar par kr rhi h Or kisi karn hame khi jana pde to ham vha pr bi pooja kr skte h kya please didi btaya ga please🙏🙏
Mam mne shiv bhgwan se bola tha ki m 17 July se 16 somwar start krugi lekin mam mujhe pta nhi tha 17 July krishn paksh me h isliye mne start nhi kiye or ab 21 august se start krugi mam glt ni hota kya mne 17 July ka bola tha or mne start nhi kiye
kripya kr batye....ki pooja ke baad prasad chadya hai usko khane ke baad shiv ling ko nadi me visarjit krna hai ...
Ha kha k bhi kar sakte hain
@@spiritualwoman79 thanku..🙏
TQ u so m diii
Didi mai apke channel p pehli br aai hu kaash apka vdo muje pehle mil jata pr ni mila .........mene hi 16 somvar ke brat ki pooja ki thi pr ek br aarti karte samay dipak bujh gaya isse kuchh bura hoga ky pls reply dii😑
बेवजह शंका मत पालो
ये सब होता रहता है ...
क्षमायाचना और अंत में भगवान के नाम संकीर्तन से सभी ऐसे गलती अशुभ समाप्त हो जाते हैं
Har har Mahadev 🙏🙏🙏🙏
Hello di main jis shivling se phla somwar ki wo patthr ki thi gir k Tut gyi Aaj to main ab kya kru kis shivling se Puja kru plz kch batiyee
Bhagwan chahte hain ki mitti k shivling bna kr puja karo
@@spiritualwoman79 16 somwar patthr se suru ki thi to koi dikkt to nhi hogaa naa mitti ki shivling se krne se ab ?
Didi pradosh kal ka samay kaise pata chale
Jo bhog gay ko khilani hoti h.. Agr gay na mile to mandir me chhor sakhte h
Aap jo ye sab chije shivling pr chada rhi ho aur mata ko to fir chadane k bad in ka kya karna hota hai please btaye ga jarur
Kuch khud prsaad lene ke bad Mandir me pujari pandit ko dan
Y kisi bhi bramhan ko daan
Thank you didi ❤
Didi main is bar 1st time 16 sombar karungi
Aap yeh yeh video bhot help ful tha par phla sombar ko puja karne k baad kalash ko utha denge ya rhne denge 16 sombar tak plz reply 🥺
@@PriyaRam-m8x uthana hota h har Somwar phir se kalah sthanpna Krna hota h
@@SaawwariyaSah-1751 ok thanks ♥️
Kya Adikhmas m 16 somwar udyapan kr skte hai faldai hoga
Nahi malmaas me uddyapan nhi krte kayi video me bta chuki hu
Didi main 7sombar tak solah somvar ka Prasad gay ko khilaya lekin ab gay nahi mil rahe hai to kya kisi bade bujurg ko kila sakte hai
Gaay ka koi aur option nahi h agle din khila den rakh len , muskil me kanya ko hila sakte hain
Fir bhi gaay gaay h uske sharir me devi devata ka vas hota h
Didi maine vrat m ganpati bappa ka prashad kha liya galati se mithayi vali to us vrat ko count kare ya nhi plz batao didi 🙏
Ha kr lo count
Didi mein hostel mein rehti hu toh yaha chota sa mandir h shivling hai vaha sham ko Pooja kr skti hu mere pass wo choki nai h toh ese photo rkh k kr skti hu ky ??
Ha kar sakti hain.. bilkul ..photo ko niche Mt rkhna kisi kagaj k cartoon me kapda bicha kr rakhna
Didi hamara pehla vrat h to kisi mandir me jake puja kar sakte h kya quki ghar se bahar padai karte h etni samgree nahi ho pati h plz didi batayega 🙏 radhe radhe 🙏
Radhe Radhe mam
Mam me 16 somwar ka vrat jr rhi hu mam me ekadashi ka bhi vrat rhti hu bich me abhi somwar aur ekadashi ek hi din pd rha h to me churma ka ladu bnarti hu ek hisaa me bhi khati hu aur jb me ekadashi ko nhi khaungi to koi presani to nhi hogi naQ ki me vrat rhi tu ekadashi ka
Agle din dwadashi me jha Lena .. churma
Thank you so much mam
Kis side Beth kr Pooja krna sahi hota hai
Jaise Mai baithi hu shivling k piche waise
Disha
Bhut details mr btaya hai apne pr ye sb mndir me kese krenge
Ghar me kro...
Mandir me gauri ganesh kalsh alag se bnane ki jarurat nhi hoti to aadha smaan to thi kam jo jata h
Par fir bhi bahut bheedbhad wale mandir me achhe se nhi ho pata
Usi din hawan Krna jarari hai ki udhyapan k din kraye
उद्यापन में
Didi bisarjan usi raat me kare ya dusre din aur jo paan supari long sab saman hai use kya kare please bta dijiye
Video dene wali hu deatails se visarjan ka kal raat ya parso subhay Tak
Raat me hi Krna h balti me hi kr den agar nadi k pas nhi ja skte
दैनिक हवन करते समय जो दिया प्रज्वलित करते है वह जरुरी है क्या, जरुरी है तो घी ना होने पर तिल के तेल का जला सकते है 🙏🙏🙏
Dainik hawan me alag se diya ki adhik anivaryata nahi
Wahi jo puja me sbhi bhgwan k liye jalaya ho wahi paryapt h
Aur tel ka bhi jala sakte hain
Asuddh ghee se achha tel h
Didi mene solah somvar ke vart me Prasad me namak Mila liya tha to namak Mila sakte he ya nhi us me or vart खण्डित तो nhi hua na plzz bta dijeye 😞
Khandit to nahi hota...agar namak ka khane ka pehle se socha ho ki
Namak se hi karungi..tab...
Par adhik achha hota h ki vrat me namak ka tayg karte hain log..swad heen bhojan karte hain taki tapsya kathin ho..fal avhha jldi mile
Aap extra ak vrat kar lijyega..agr
Pure. Bina namak k karne ho to
didi kripya kar batye period se hone par upbas to rkhna hai.par jese sham ko choorme ka prasad banate hai 3 bhag karte hai or 1 bhag khate hai to fir period se hone par kya khayenge .....pls reply kre🙏🙏🙏🙏
ruclips.net/video/Yf2pyntxdd4/видео.html
मेरे पास शिव परीबार है उसको बैठा कर पुजा कर सकतें हैं
Bilkul
Agar hme 16 somwar ke vrat ke dauran khi jana pde ar hm somwar se phle aajaye to kya aesa ho skta hai...🙏🙏
Ha bilkul...bas vrat ke din kisi aur ka ann nahi khana chahiye isliye kehte hain ki apne Ghar me vrat karo
Dusre dono ki mnahi nahi h
@@spiritualwoman79 To phir didi hm jaa skte hy n ar kha Maine vrat Kara hai mai phir whi kr lungi Sunday ko aa jaungi Mai Monday ko vrat rkhne se phle
Yeh Pooja shaam ko karna hai ya subah pls batayen
Sam m jada subh hota h 3 4 bje se
Ok
Agar mitti na nai h shivling toh une Vida krke vps rkh skte h n
Mitti k nahi hote shivling to unko vida nahi karte hain tan sirf kalash aadi ko vida karte hain
Shivling ko nhi krte
Radhe radhe didi🙏didi mai somvar shaptahik vrat shuru karna chatti hu to kbse shuru karu 10 july ko to krishnapaksh hai fhr malmash lg jyega kbse shuru kre pls help me🙏
10 se hi kar lijiye ya fir char mhine wait kijiye char mhine baad hi shuru kijiyega
Mam ye sb subah ke vakt krna chahiye ya pradosh kaal mein aur katha kb bolni hai vo bhi please batana
Sham ko 6.30 se 7.45 k bich ho jaye puja
Katha bhi sham me
@@spiritualwoman79 mam aur sankalp to subha hi lena hoga toh suba ye sb lagakr bhagwan ki puja kr deni hai na fir shaam ko dubara katha ke saath??
दी मेरे पास पीतल की मूर्ति है शिव परिवार की तो 16 सोमवार की पूजा में सुबह घर के मंदिर से चौकी में स्थापित करुगी स्नान आदि करा कर तो शाम में कथा पढ़ूंगी तो क्या उस समय भी शिव जी की मूर्ति का स्नान करना है... कृपया बताएं
Main puja solah somvar ki sham ko hi hoti h..mitti ka chhota shivling bana kar puja kijiyega..
Agr shubham vidhivat puja kalash aadi rakh kar ho jayega to sham dup deep hi karna paryapt hoga waise shankar ji ka abhishek prosdsh kal sham me bhi hota h
@@spiritualwoman79 thank you di
Di
24 July ko mera 16 somwar hai to Kya adikhmas k wjh s wo bhi count nhi hoga
Count honge
Udyapn m aahuti kis chiz ki de plz di reply
Har hawan me aahuti..ki same hawan samgri hoti h
Chawal ,jau, kali til, ghee ,aadi..ak vishesh anupaat hota h milane ka navaratri k hawan k liye Mila k bhi btayi hu playlist me check karen puja k
Sath ke kheeer bhi rakhna h kheer ki alag se 108 ya jitni bhi..hon aahuti dena chahiye
Thanku very much ❤❤
Hello didi plzz bataiye ki ham fast rkht h to din me Pani pi sakte h plzz bataiye guruvar ho sombar kab pani piye bataiye plz
Ye vrat thoda kathin h isme puja k pehle nahi pite
Baki agar tabiyat sahi nahi rahe to pine me dosh nahi hota
Guruvar me pee sakte hain dophar me
Ye toh shaam ki puja bidhi h hme subah ko kya krna hoga puja hogi ya nhi hogi sirf brat rakhkr shaam ko hi puja hogi
Shubhay normal puja kaise roj karte hain
Ya smaan jod k dudh dahi se subahu bhi nehla do jo ghar k mandir me shivling unko
Ya mandir bhi ja sakte hai ya normal
Mam aur gauri ganesh shiv parivaar ki photo pr unko pujj nhi sakte kya ya unhe supari aur haldi se banana zaroori hai kyunki mere paas shivling aur shiv parivar ki photo dono hai toh mein kya karun??
Kar sakte hain photo me bhi par rakhne se dudh dahi aadha bund unko bhi chdha skate hain thik rehta h
@@spiritualwoman79 tysm for replying🙏🙏🙏🙏. Mam bs ek baat aur puchhni thi ki bhagwaan ke liye sankalp, kalash aur chowki toh subah jaldi naha dhoke hi lagani hogi na?? Baaki puja, churme ka prasad aur katha shaam mein krte hain. Ese hi karna hai na???
Hawan na ho payega toh Kapur jala skte h ky ?
??
Didi ek doubt hai Jaise churma ke laddu banate hain to chor mein ke laddu bhi Chadha sakte hain aur Jaise kele se Bharat chhodana chahte Hain to kya kele se chhod sakte hain Priyanka didi please comment mein reply
Mam kya pate ko purv ki or rkhna h please reply mam
Kaise bhi rakh den bs belpatr ka aasan dena hota h
@@spiritualwoman79 sorry mam wo Patle ka mukh ki bol rhi thi me ki kis or mukh krna hoga please reply 🙏🙏
Chade huye paan ka kya kare