ham milenge kahi ham milenge kahi ajnabi shehar ki khwaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop mein ek din ham kahi saath hoge waqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se mitti hataate huye ek hi jaise aansu behaate huye ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon me kho jaayenge ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aankhen chabo jaayenge ham milenge kahi barf ke bajuon me ghire parvaton par baanjh qabro me lete huye koh pemaaon ki yaad mein nazm kahte huye jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen waqt aane par maa baap ne apni aaghosh mein le liya ham milenge kahi shah sulemaan ke urs me hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge ham milenge kahi naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge ham milenge kahi roos ki daastaon ki jhoothi kahaani pe aankhon me hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon me mehmaan ban kar milenge ham milenge ek murda zamaane ki khush rang tahzeeb me zasb hone ke imkaan mein ik puraani imarat ke pahluu me ujde huye laan mein aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan me ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam mein udte huye kaaleen par ham milenge kisi baar mein apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath me lenge aur ek hi ghoont mein ham ye saiyal andar utaarenge aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai ham milenge baagh mein gaav mein dhoop mein chaanv mein ret me dasht mein shehar mein masjidoon mein kaliso mein mandir me mehraab mein church mein mooslaadhaar baarish mein bazaar mein khwaab mein aag mein gehre paani mein galiyon mein jungle mein aur aasmaanon mein kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo mein sadiyon se khaali padi bench par jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogi to bas ek do din ki mehmaan hogi
Well it's not a song it's a saraiki language spoken in south Punjab near river Sindh The sentence he used means Ooo ship ooo ship you are moving but we don't know what is on other side . It's a example used in situation in which nothing is in your hands
Although Hafi is not my favorite poet but this poem is wonderful and I think best one out of his poetry
This is called Nazm...
Namastey from bharat😢😢
Dosto baar baar like comment krke ye masterpiece yaad dilaate rehna😢😢😢
Ok
Keep watching and share to your friends
وہ کسی اور کو مُیسر ہے
اور یہ صدمہ خُدا جانتا ہے 🖤
ham milenge kahi
ham milenge kahi
ajnabi shehar ki khwaab hoti hui shaahraaoon pe aur shaahraaoon pe phaili hui dhoop mein
ek din ham kahi saath hoge waqt ki aandhiyon se ati saahtoon par se mitti hataate huye
ek hi jaise aansu behaate huye
ham milenge ghane janglo ki hari ghaas par aur kisi shaakh-e-naazuk par padte huye bojh ki dastaanon me kho jaayenge
ham sanobar ke pedon ki nokiile patton se sadiyon se soye huye devataaon ki aankhen chabo jaayenge
ham milenge kahi barf ke bajuon me ghire parvaton par
baanjh qabro me lete huye koh pemaaon ki yaad mein nazm kahte huye
jo pahaadoon ki aulaad thein aur unhen waqt aane par maa baap ne apni aaghosh mein le liya
ham milenge kahi shah sulemaan ke urs me hauz ki seediyon par wuzu karne waalo ke shaffaaf chehron ke aage
sangemarmar se aarasta farsh par pair rakhte huye
aah bharte huye aur darakhton ko mannat ke dhaago se azaad karte huye ham milenge
ham milenge kahi naarmendi ke saahil pe aate huye apne gum gashtarashto ki khaak-e-safar se ati vardiyo ke nishaan dekh kar
maraakis se palte huye ek jarnel ki aakhiri baat par muskuraate huye
ik jahaan jang ki chot khaate huye ham milenge
ham milenge kahi roos ki daastaon ki jhoothi kahaani pe aankhon me hairat sajaaye huye shaam lebnaan beirut ki nargisi chashmuro ki aamad ke nohoo pe hanste huye khooni kaziyo se maflooh jalbaaniyaan ke pahaadi ilaaqon me mehmaan ban kar milenge
ham milenge ek murda zamaane ki khush rang tahzeeb me zasb hone ke imkaan mein
ik puraani imarat ke pahluu me ujde huye laan mein
aur apne asiroon ki raah dekhte paanch sadiyon se veeraan zindaan me
ham milenge tamannaon ki chhatriyon ke tale khwahishon ki hawaon ke bebaak boso se chhalni badan saumpane ke liye raaston ko
ham milenge zameen se namoodaar hote huye aathvein barre azam mein udte huye kaaleen par
ham milenge kisi baar mein apni bakaaya bachi umr ki paaymaali ke jaam haath me lenge aur ek hi ghoont mein ham ye saiyal andar utaarenge
aur hosh aane talak geet gaayenge bachpan ke qisse sunaata hua geet jo aaj bhi hamko azbar hai bedi be bedi tu thildi tapaiye pate paar kya hai pate paar kya hai
ham milenge baagh mein gaav mein dhoop mein chaanv mein ret me dasht mein shehar mein masjidoon mein kaliso mein mandir me mehraab mein church mein mooslaadhaar baarish mein bazaar mein khwaab mein aag mein gehre paani mein galiyon mein jungle mein aur aasmaanon mein
kono makaan se pare gair aabda saiyaraaye aarzoo mein sadiyon se khaali padi bench par
jahaan maut bhi ham se dasto garebaan hogi to bas ek do din ki mehmaan hogi
Bhot khub...
بہت ہی اعلیٰ خافی صاحب زبردست۔
Bestest thing ever I heard its incridible nazm .. I am personally fan of Ali zaryoun but this made me fan of Tehzeeb Hafi.....
Awesome hafi good hogya KIA bat h so deep words
ہم کب ملیں گے 🖤
Love from India
Osm
Dil ko chu jani wali nazm hai
Khubsurat khojanewali word
I love hafi and his poetry 😘😘😘
Bahut khoobsurat
Ye Sohaib Mugheera ki nazm hai 100%
Can anyone please share me the song which he mentioned bedi tu bedhi thindi tu paiyen " I cudent it.
Want same...
Well it's not a song it's a saraiki language spoken in south Punjab near river Sindh
The sentence he used means
Ooo ship ooo ship you are moving but we don't know what is on other side .
It's a example used in situation in which nothing is in your hands
@@abbelieveit3685 hey bro thank much and appreciate for telling .those lines are so beautiful means beyond anything .thanks man 👍
Living Legend 🥀
😥😥NO WORD
nice 👍
He wrote all his work for a man! How many of you believe this!
Mukkarrarrr...
Great
😍
🎉🎉🎉🎉😢😢😢😢❤❤❤