Aisa Hoga Kalyug | Narci | Hindi Rap Song (Prod. By Narci)

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 8 сен 2024
  • Song: Aisa Hoga Kalyug
    Rap & Lyrics: Narci
    Music, Mixing & Mastering: Narci
    Lord Krishna's Vocals: Sarvadaman D. Banerjee (Ramanand Sagar's Shree Krishna)
    Artwork & Visuals: iKillGraphix
    ABOUT 'AISA HOGA KALYUG' SONG/TRACK
    This song has been prepared in such a way as if Lord Krishna is giving the description of the coming era i.e. Kaliyuga in the Dwapar period. The scene of Kalyug is very horrifying and cruel where justice is gradually ending and crime is rapidly spreading its roots. As Kaliyuga progresses, it is becoming more dangerous. The existence of devotion and love is gradually disappearing and humans are becoming worse than demons here.
    Copyright Disclaimer under section for “fair use” for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, education and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing.
    LYRICS
    [Lord Krishna]
    Kalyug mein manushya dusron ke dukh mein apane sukh dhoondhega apne parivaar ka pet paalne ke liye dusron ki hatya karne mein bhi use koi glani, koi paschatap nahi hoga
    Dusron ke rakt mein sani hui roti wo swyam bhi khayega aur apni santaan ko bhi khilaayega
    Apne bhi paryaae ho jayenge
    [Narci]
    Khoon ke rishte maile honge sharam karega koi na
    Paksh aasuree bhayega, dharam padhega koi na
    Karm ki baatein sab karenge hathon mein le Geeta ko
    Falon ki sabko chinta hogi, karm karega koi na
    Nyaay bikega khula aur maun padenge nyaayaadheesh
    Logon ke hi aage hogi hatya fir to nyaay ki
    Jisne na kasoor kiya wo kaaraagaar mein royega
    Jaan lega bhai saga swyam apne bhai ki
    Awaaz uthegi neki ki na sab karenge chota man
    Log hasenge dekh kisi ka bebasi mein rota kshan
    Dwapar se bhi neech yahan honge sau Duryodhan
    Cheer fatega naari ka to sab banege shrotaagan
    Neech bade uskaaeynge ki tyaag dena tu dharm
    Hari katha chor aur Kali ke aake chhoo charan
    Maa, bhabhi aur behanon ko na chorenge wo bhediye
    Bachon se bhi neech karenge wo giroh mein kukarm
    Aane waala kaala yug hoga kuch aisa
    Poojenge wo dev ek hi jise kahenge paisa
    Rishton ko ye khayega, nyaay rakhega jeb mein
    Sharrdha jhoothi kabhi bhi dil ki kaalik ko hai dhakti na
    Dhongiyon ki jhoothi leela kabhi dhong se thakti na
    Mandiron ke aage ye naachenge shrrngaar mein
    Paane ko prasiddhi bas dhong karenge bhakti ka
    [Krishna]
    Arey ye to kuch bhi nahi hai Kalyug mein manushya ki vichaardhaar isse bhi giri hui hogi
    [Narci]
    Asthaayee sukhon ko paane hetu sabhi havas ko bhaagenge
    Sahas hoga jeene ka na, kaya khud ki taangeinge
    Nahi milenge Shravan Kumar, maangeinge sab sampatti
    Ram naam to lenge par maryada bhi laanghenge
    Madira, jua, sona, kaam baithenge ye sar par hi
    Veshyaalay hi karenge tab sabke man ko aakarshit
    Lahu lagega muh aisa ki maanvta ko bhoolenge
    Pashuon tak na simit honge banege saare narabhakshee
    Prem ki paribhasha bhi ye denge yahan pe poori raund
    De vachan ye premi ko karenge saaron se sambhog
    Kali kaal ke praani na saat vachan nibhaayenge
    Na nishtha hogi rishton mein, chinta ka bas hoga dhong
    Chhote se hi vivaran mein lena tum anumaan laga
    Asuron se bhi neech banege shrishti ke insaan wahan
    Prahlad ke jaise mila koi to bhavsagar ke hoga paar
    Baithega na koi warna Narayan mein dhyan laga
    [Outro]
    Kalyug ki sabse badi vidambana ye hogi ki manushya apne chhote se swarth ke liye dusron ke bade bade hiton ko bhent chadhane se sankoch nahi karega
    #krishnastatus #krishnavani #hindirap

Комментарии • 1,1 тыс.