अरे सर मैंने कितने सालो से सर्च करा.. पर ये वीडियो अब मिला है..ज़ब गोल्ड आया है.. सर 2011मे जिला स्तर मे मैंने जेवलिन मे पॉजिशन लिए थी, पर आज तक कोई गाइडेंस नहीं मिला.. सर मैं राजस्थान से हूं और गवर्नमेंट जॉब की तैयारी करती हूँ.. मैंने बहुत से कोच से बात की है.. पर वह मेरी उम्र ज्यादा बता रहे हैं और वहां पहुंचते-पहुंचते मुझे 10 साल लग जाएंगे... 2011 से आज तक भी यदि में प्रैक्टिस करती तो कितना आगे निकल चुकी होती 😔.. जैवलिन थ्रो के लिए लड़कियों के लिए एक सेपरेट वीडियो बनाओ मेरा नहीं किसी और का भला होगा.. 🇮🇳
Garib family se hona koi paap nhi hai Bhai...Garib family ke bacche ki kuch bada karte hai Life me ... Me aapse bhi Jada Garib family se hu... Lakin Archery me Kai national khele hai.. 3 lakh rupy ka dhanush aata hai... Join Karne ke baad raste apne aap dikhayi dene lagte hai...
Girls ke liye bhi same vohi process hota h... Training ke liye aapko Jaipur me to sms stadium hi jaana hoga.... Iske alawa apne aas paas koi acchi si academy search kijiye
In my life I have thrown javelin 3 times and won 2 gold and one bronze but when I came to my parents they told what is javelin , go and focus on your studies 🙂 bas aur Kaya dream drop 😄
Sir apki bat suni mene par jese me medal class femily se ho to sir iske liye mujhe kya karna hoga jese me ambala cent se ho or ye jevilen thrwo me kese sikhe kiske pass pass jaye koi contest no ya koi pass jgha jha me ache se sikh sako meri ag 21 hai
Jankari bahut hi achi lgi . thanks Sir m diseblity hu one hand 🧤 se age 30 year h m jeviln throw krna hahta hu or practice bhi kr rha hu sirf 2months hi huye h .kya kru kuch fayeda h ya nhi ? Plz reply sir
Sir koi sports hai Jo Jada popular nhi par us me v ham gold medal la sakte hai Olympics level pe . For girls Or sir javelin ko star kaise krne Sir mujhe koi idea nhi h kaise start kre . Sir I am 14 years Sir how to contact with training center. Sir I am from Bihar. Sir aap Bhut accha video bna rhe hai
Aise bahut saare game hai Olympics me Jo Jada popular nhi hai ... Lakin un games ke Coach bhi India me nhi hai... Or javelin start Karne ke liye aapke near koi athletic academy yaa stadium hai to waha ke Coach se miliye... Coach ke under training start kijiye ...
Sir , main to punjab main nhi rehta aur rajasthan me bhi nehi rehta to sir, main ab kaise javelin academy join karu? Aur mera age to 20 hai to main konsi category me aa sakta hu ? Please help sir.🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻
@@IndiasPrideTushartinker Thanks bhaiya. Bhaiya main jaha rehta hu waha par koi academy nei hai toh bhaiya main kaise practice karu ?aur bina academy ke mai kaise khelu ? Aur main kaise apne state ko represent karu? Please bhaiya help .please please please 🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻
Same problem Mein West Bengal mein rahata hun aur Yahan per Bhi Koi Academy Nahin Hai To Main Kaise Apne state ko represent Karun please bata do bhaiya
Yes... Jis district se aap hai state level ke liye usi district se Entry hogi aapki... Or iski jankari aapko Coach or players ke touch me rahne se mil jaygi ki tournaments kaha ho rahe h...
Tokyo Olympics to ho chuke...ab next Paris Olympics hai 2024 me... Usme direct nahi jaa sakte . .. kisi bhi sports ki starting district level tournament khel kr ki jaati hai... Usme select hone ke baad state level tournament khelna hota hai... Agar usme bhi select hote hai to national tournaments khelne hote hai .. national me 1, 2 , 3 position laane per international tournaments khelne ka moka milta hai ... Phir un international tournaments mese Jo Olympics qualify score kr leta hai wo Olympics jaata hai
Sir agr koi child girls javelin sikhna chahti h jaise 12,13 year ki javelin sikhna chahti h to vo kease sikh skti h varanasi mai or unki kya kya exercise hoti h jo v apne gher mai kr ske
Actually Ghar pr wo sabhi exercise nhi ho sakti jo coach karwate h khudke samne ... Lakin thoda prepare hoker jaa sakte hai join Karne se pahle... Aap unhe Running , yoga and meditation start karwa dijiye... Baki exercise coach btayenge javelin ke hisab se.. And aapke near Academy kaha hai ye to me nhi BTA sakta... Lakin aap ek kaam kariye.. uttar Pradesh athletic association ki website per jaiye waha contact details mil jaygi.. waha contact karke pta kijiye ki aapke near koi Academy kaha hai??
Uske liye aapko Athletic Academy Jake Coach se hi milna hoga... Coach permission dete hai Practice karne ke liye.... Or sarkari stadium yaa Academy me fees nhi lagti coaching ki .. bs javelin khudka hona chahiye
@@IndiasPrideTushartinker bro me 21 age ka hu or me javelin throw ki practice kar hra hu ..but ye samaj nahi a rha h ki me distcit kese khelu mere distcit me kab hoga javelin throw game ye kese pata chalega mera koi कोच v nahi h bro
Tournaments kab honge ye aapko Coach ke touch me rahne se hi pta chalega... Aap Bhopal ke Athletic coach se baat kijiye... Virender dabas naam h unka... Google per search kijiye
@@IndiasPrideTushartinker or sir humare district me games kb start hoga kese pta chle ga ,, esi koi website jha se pta lg ske ki kha kha games hore he ? Plzz sir
Jab aap kisi Coach ke Or players ke touch me rahoge to apne aap pta chal jayga... Website se filhal pta nhi chalta hai... Kyoki Corona ki wajah se kisi bhi federation ne apna event ka calendar nhi bnaya hai is baar
Sir Bikaner me bhi apki acedmy hai kya, mere husband last year college level pe javelin ke champion 🏆 hai, Olympic tak jne ke liye kitna year tak practice krna pdega
Nhi ji meri koi academy nhi hai me ek youtuber hu sports per jankari deta hu bss... Aap Google par search kijiye aas paas mil jayegi academy... Agar bikaner me nhi hai to other districts yaa State me bhi academy join kar sakte hai
Sir 33 age pe javelin throw start karke national khel sakte hai kya? Agar strength ho, aim ho aur power generate karne ki achi capacity ho toh? Bcz mene filhaal 4500 ka Javelin kharida hai aur youtube ke videos dekh k mene khud se practice start ki hai aur mein 62.40 metre tak aram se throw kar raha hoon abhi filhaal...
Yes aap Khel sakte hai but Opportunitys bahut km milengi 33 age me... 1St to aap Only senior category me kheloge and 2nd Aapko sports quota se Government job lene me problem aayegi... Lakin aap accha kheloge to Senior category me bhi success ho jaoge
@@IndiasPrideTushartinker Mera aim hai k kuchh bhi karke 80+ tak pahochna hi pahochna hai because abhi toh ache se coaching start karna hai if aapko Gujarat mein koi ache se coaching academy ki information mile toh plz share karna sir. Bdw thanks for reply and giving me information 🙏🏻😊
Buddy I am 27 yrs of age but I was a left handed fast bowler, I am thinking to start Javelin practice with an aim to be like Neeraj Is it too late to start now ?
Yes you can Start & Aapki fitness and Technics catching power ke hisab se Aapko success milegi...but Aapko opportunitys km milengi... Aap only senior category me khel sakte hai..and Sports quota se job lene me problem aayegi...
@@IndiasPrideTushartinker Mai CA finalist hu job ki problem nai hai Bus opportunities in terms of national, international me koi dikkat nai hogi na due to age ?
Agar aap 15-20 saal ke hote to aapko bahut tournaments milte...like sub junior.. junior... & Senior... Iske alawa University games,. But aapki age 27 hai isiliye only senior category me khel sakte hai
Sir apne video a ha banaya h mujhe bhut acha laga javiling throw ke bare me jankari dekar pr sir aap ek handicaft viklang baccho k liye bi game me participate Karne ki jankari ke liye ek video Dale plz sir I request u
Sir me phone tower upara ball throw karke bachapan se 140 meter thrown kar deta hnu,plz sir avi me samaj paya ki javling me kyun nehi sikha,so me bahut depression me rahati hnu kavi kavi...me kya karu sir... reply sir
Approx 70 se 75 mtr... And National Neeraj Chopra mil hi jayenge...wo kitna door throw karte hai aapne dekha hi hoga Tv per😅... To National ka andaja aap laga Lena ..
Waise to height ki koi boundations nhi hai ek China ke Athlete hai unki height kaafi km hai Lakin javelin accha throw krte h... Kai international medals hai unke paas...
आपके नज़दीक किसी भी स्टैडियम में जाके एथलेटिक कोच से मिलिए।।। बिना कोच के आप ट्रेनिंग नहीं कर सकते। आपके नज़दीक कोई स्टेडियम नहीं है तो पास के जिला में जरूर होगा।।
25-30 mtr ka Run-up chahiye bhala fenkte time... Or training me Stamina badhane ke liye kaafi run karna padega... Like 5-6 km daily.or kuch exercises..and week me ek baar cross country race like 15km...
Yes ... Aapki abhi se start krni chahiye... Is age me bahut saari opportunities milengi... Baki jitna late hote opportunities km hoti jaygi... Ye perfect age hai
10th मे था तो मैं अपने college मे इसी खेल मे 1rst आया था। सर मैं दिल्ली मे रहता हूँ और join करना चाहता हूँ। सर दिल्ली मे कँहा इसका तयारी कराई जाती है। प्लीज बताइए।
Sir Meri age 27 yr ho gyi but m ek baar isme Jana chahta hu .. I'm from Jodhpur ..sir muje ye puchna tha ki iski training kitne time tk hoti h ..or ek baar 4-6 month Sikh kr apne yaha practice KR ksta hu Kya or konsa coach sahi h ye kese PTA chalega ...ya fir muje wahi rehna pdega all time jab tk m ek acha player nhi bn jata ..
Sabse pahle to aapkj fitness acchi honi chahiye... Uske baad aap Ghar pr nhi Kar sakte Practice....aapko hamesha coach ke under hi Practice karni padegi... Coach or players ke touch me rohoge to kuch naa kuch sikhne ko bhi milega humeshs
Sir mera age 29 he,javling thrown me sikha nehi kavi but sir me 250 gram ball ko 140 meter thrown kar deta hnu,kya me avi age me javling sikha ke kuchha kar paunga ,plz reply
Bhai 30 plus wale bhi join kar sakte hai specially in throwing event shot put, Javelin throw and discuss throw,40 plus wale shot put or discus me acha throw kar lete hai to mislead na Karo
Jab tak fitt ho State National international tournament khel sakte ho Sports me age limit nhi hoti....bss sports quota se government job lene ke liye Age limit fix hoti hai ... Javelin ka weight 800 grm hota hai boys ke liye or 600 grm hota hai girls ke liye... Javelin ki centre ki motai 2inch tak hoti hai or aage piche se nukeeli hoti hai...
International khelne SE pahle bahut SE tournaments khelne hote hai... District level se start karna padega...usme sabhi khiladio ko harate hue state ke liye Qualify karna hoga... State me bhi sabhi khiladio ko harate hue National ke liye Qualify karna hoga... Uske baad national me bhi minimum 3rd position Leni hogi...iske baad India camp me selection hoga... Phir aap international level ki trial denge...trial me select hone ke baad aapko international khelne ka moka milega...
@@IndiasPrideTushartinker सर, मेरा RUNNING बहुत बड़िया है, 5KM इश्लिये मे Running मे एथलीट बनना चाहता हू, और मुझे district मे कैसे खेले वो सब पता नही है, plzz वो मुझे बताइये... 🙏🏻
Sabse pahle to aap Athletic coach se miliye... Unse traininig lijiye..wo aapko technique sikhayenge... Or district kese or kb khelna hai wo hi btayenge... Kyuki coach ke paas tournaments ka schedule hota h
Javelin throw ki special University kahi bhi nhi hai... Or jo video aapne dekha ye Jaipur ka railway ground hai ... Yaha only railway employees hi practice Kar sakte hai... Aapko agar javelin join krni h to apne aas paas athletic stadium search kijiye or waha ke coach se miliye... Google per search kijiye mil jaygi Academy ya stadium
Sir main Javelin to khalta hu , is year mara State selection bhi hua hai . Lakin hamara village may koi teacher nhi hai , to main kya kr sakta hu , advice me plz
Aapko agar lagta hai ki aap javelin me apna career acche se bna sakte ho .. khud per confidence hai..to kisi acche coach ke paas training kijiye.. or usi stadium ke aas paas rent per room le lijiye... Or Dil laga kr mehnat kijiye
Ek baar aage to badhiye... Raaste apne AAP nazar aane lagenge... Aap kisi government coach se miliye... Or aap state me bhi medal jeetoge to government se price money milegi... Aage Jake sports quota se Government job bhi milegi agar national bhi khel liya to...
Sir national tak to coaches ki fees hm khud hi dete h aur jab international ke liye qualify ho jate h phir bhi hm coach ki fees khud hi dete h ya government deti h and international coach government deti hai ya wo bhi apne aap bnane padte hai ..... Sir please bta dijye....
Aapko personal private coach chahiye to aap fees pay karoge.... Normally sabhi player ke sath Practice karenge to free hai government stadium me.... Chahe aap national tak Khelo ya international Tak... Free Coaching milti hai India me.... Equipment aapko Lana hoga khudka
@@IndiasPrideTushartinker sir ek baat or puchni thi ki ... Foreign training ke liye koi bhi athelete ja skta h kya uske liye bhi kuch conditions hai...
Uske liye aap ek acche level ke player hone chahiye... Or Government baar baar kuch naa kuch scheme leke aati rahti hai... Is baar modi sarkar ki taraf Se "Tops" scheme aayi thi... Jisme bahut saare player videsh me training ke liye Gaye the... Or kuch ke liye foreigners coach India me provide karwa diye Gaye the...
kya mai apna district chhor kar kisi or district se participate kar sakta hu?kyuki mere didtrict me competition nahi hota hai,to kosi or district se kar sakta hu?
District aapki wohi rahegi... Kyuki har District me Association hoti hai... Aapke waha Competition nhi hota hoga lakin jab aap State level me participate karoge tab Entry form to aapka wahi se aayga... Or aap jis bhi Coach ke under Practice kroge wo aapko bta denge ki aapki District association kaha hai or waha se Participate karne ke liye Entry kaise karwani hai...
Hi Guy's... Please Subscribe & support my channel ❤️❤️❤️
Sir uttarakhand mae kon kon shi academy best h iski
Sir javilen throw mein girls ka video bnaye
Girls ka kya diet h javelin throw mein
Madhya pradesh me koi academy for javelin hai Kya
Bhai restretion ke bare m btao ke district Olympic ke restretion hote h ya nhi
अरे सर मैंने कितने सालो से सर्च करा.. पर ये वीडियो अब मिला है..ज़ब गोल्ड आया है.. सर 2011मे जिला स्तर मे मैंने जेवलिन मे पॉजिशन लिए थी, पर आज तक कोई गाइडेंस नहीं मिला.. सर मैं राजस्थान से हूं और गवर्नमेंट जॉब की तैयारी करती हूँ.. मैंने बहुत से कोच से बात की है.. पर वह मेरी उम्र ज्यादा बता रहे हैं और वहां पहुंचते-पहुंचते मुझे 10 साल लग जाएंगे... 2011 से आज तक भी यदि में प्रैक्टिस करती तो कितना आगे निकल चुकी होती 😔.. जैवलिन थ्रो के लिए लड़कियों के लिए एक सेपरेट वीडियो बनाओ मेरा नहीं किसी और का भला होगा.. 🇮🇳
Aapki Age abhi kitni hai???
Aap mujhe Facebook yaa Instagram pr msg Kar dijiye...
facebook.com/Tushartinker93/
Please follow me on Instagram : bit.ly/2VfIXAB
@@IndiasPrideTushartinker ok sir 🙏
Par ab kya apne chhod diya javelin throw karna
25 se start kr rha hu m
SMS स्टेडियम में जाकर किसी मीले अगर किसी कोच का नाम या मोबाइल no मिल जाता तो और बेहत्तर होता ।
आपने बहुत ही अच्छा प्रयास किया है thanks sir
Sms stadium Jake aap Athletic coach se miliye... Mobile number to Nhi provide Kar paunga..lakin aap direct Jake mil sakte hai...
@@IndiasPrideTushartinker thanks sir ji
Waha PR aap mahavir ji , surender ji, himmat singh Gurjar ji . Inme se kisi se bhi mil lijiye
@@IndiasPrideTushartinkerhello bhaiya
Hi
सपने तो हमारे भी हैं मगर करें तो क्या करें हम गरीब लोग हैं और यही वजह हम तैयारी नहीं कर पाते किसी भी चीज की
Garib family se hona koi paap nhi hai Bhai...Garib family ke bacche ki kuch bada karte hai Life me ... Me aapse bhi Jada Garib family se hu... Lakin Archery me Kai national khele hai.. 3 lakh rupy ka dhanush aata hai...
Join Karne ke baad raste apne aap dikhayi dene lagte hai...
Thank you sir, mere sbhi questions ka answer mil gya apse
🇮🇳🙏
You make a good channel on sports May be you will definitely success.....
Thanks ❤️
@@IndiasPrideTushartinker bhai aapka koi fb insta ya twitter id ya whatsap no.share kro.. I am also from jaipur
Any queries please contact me on Facebook.. facebook.com/Tushartinker93/
Please follow me on Instagram : bit.ly/2VfIXAB
Apki ye video hame bahut achchhi lagi jo ki apne jevin throw ki sab jankari dee
Thanks ❤️
Bahut bahut dhanyavaad Bhai aapka video ke dvara jankari dene ke liye
Thanks ❤️
Jai Hind sir aap Bahut achha bata rahe hai mujhe bahut achha laga thankyou
Welcome 🇮🇳🙏
Sir aapne bahut acchi jankaari di dhanyavad
Thanks ❤️
Sir girls ke javelin throw ke bare me kuch bta do naa ki Rajasthan me kaha se coaching lee Or kis trah start kre
Girls ke liye bhi same vohi process hota h... Training ke liye aapko Jaipur me to sms stadium hi jaana hoga....
Iske alawa apne aas paas koi acchi si academy search kijiye
Okk sir thanks
Dekhi m bhi koi achi academy h kya
Javelin per???
Ok...
In my life I have thrown javelin 3 times and won 2 gold and one bronze but when I came to my parents they told what is javelin , go and focus on your studies 🙂 bas aur Kaya dream drop 😄
To Kya hua .. phir se shuru krdo😅
@@IndiasPrideTushartinker Nahi bhayia aur Nahi hoga
Sir apki bat suni mene par jese me medal class femily se ho to sir iske liye mujhe kya karna hoga jese me ambala cent se ho or ye jevilen thrwo me kese sikhe kiske pass pass jaye koi contest no ya koi pass jgha jha me ache se sikh sako meri ag 21 hai
Bhaiya thanks that aap ye video banate ho or hamare confusion ko dur ekdam dur kar dete ho
Thank you 🙏
Sir my brother is 7 yrs old and seeing neeraj sir he made his interest in javelin.....sir what is the right age to start javelin for a child
10-12 age is best
Neeraj chopra se ek baar jete to kya hua par india ko to neeraj bro ne gold dilaya👍😍Neeraj Is Neeraj
Yashveer jeet gya chahe ek bar jeeta h aapke bas m to vo b nhi kisi k bare m bolna bhut aasan hota h krke dikhao tb mane
💯
Bhai,
You explain it very well..
Thank you ❤
Please upload more videos related to sports.
Thanks ❤️ and jaldi hi or bhi video aane Wale hai
@@IndiasPrideTushartinker Bhai....sare sports ke liye..... video bano 🙏🏻🙏🏻🙏🏻
@@IndiasPrideTushartinker sir please suggest me an academy for javelin throw in ghaziabad for girls. please. i am not able to find.
Sir mujhe javelin khelna hai is ke liye Mumbai me koi accha sa center batye thank you ❤️👍
Great bro ✌🏻
Thanks ❤️
Jankari bahut hi achi lgi . thanks
Sir m diseblity hu one hand 🧤 se age 30 year h m jeviln throw krna hahta hu or practice bhi kr rha hu sirf 2months hi huye h .kya kru kuch fayeda h ya nhi ? Plz reply sir
Sir koi sports hai Jo Jada popular nhi par us me v ham gold medal la sakte hai Olympics level pe .
For girls
Or sir javelin ko star kaise krne
Sir mujhe koi idea nhi h kaise start kre .
Sir I am 14 years
Sir how to contact with training center.
Sir I am from Bihar.
Sir aap Bhut accha video bna rhe hai
Aise bahut saare game hai Olympics me Jo Jada popular nhi hai ... Lakin un games ke Coach bhi India me nhi hai...
Or javelin start Karne ke liye aapke near koi athletic academy yaa stadium hai to waha ke Coach se miliye... Coach ke under training start kijiye ...
Sir distirt Satae national may qualified Karny Kay leye kitna dur javlin throw faykna padta hai
District me 60 mtr se Jada... National me 70-75 mtr
Thank you sir God bless you
Thanks ❤️
Tnx bhai batane k liye m bhi patiala se hu apne bete k liye accdami dekh raha tha
Gud luck for your son...🙏
Sir Kolkata, West Bengal mein mujhe kidhar achi training milegi? Any idea?
So inspiring.
Does anyone have any idea on where we can get javelin training in bangalore??
Yes.... Bangalore the best city... For SAI.. Sports Authority of india 🇮🇳
Hlo ji
Hi
Thanks you sir me apane bayi ko khilaungi❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Pls ask for Maximum age limit for state, national and for olampic
No age limit for javelin
Bhai aapne bhut atche vedio banai h thanks itni jankari dene ke liye
Thanks ❤️
Sir meri Age 35 years h or meri fitness bi achi h or m already class 1 ki job pr hu to kya m jewelin khel skta hu
Yes...
Delhi me koi stadium mei javlin throw sports ka jha hm Sikh sktehai ??
JLN stadium delhi
@@IndiasPrideTushartinker chatrasal stadium menhi hai ??
Sir , main to punjab main nhi rehta aur rajasthan me bhi nehi rehta to sir, main ab kaise javelin academy join karu? Aur mera age to 20 hai to main konsi category me aa sakta hu ? Please help sir.🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻
Aap jaha bhi rahte hai waha practice Kar sakte hai... But aapko national me apni state ko hi represent krna hoga
May be aapko Aage Jake senior category me hi khelne ko milega
@@IndiasPrideTushartinker Thanks bhaiya. Bhaiya main jaha rehta hu waha par koi academy nei hai toh bhaiya main kaise practice karu ?aur bina academy ke mai kaise khelu ? Aur main kaise apne state ko represent karu? Please bhaiya help .please please please 🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻
Same problem Mein West Bengal mein rahata hun aur Yahan per Bhi Koi Academy Nahin Hai To Main Kaise Apne state ko represent Karun please bata do bhaiya
Sir javelin throw jese game hr district me hote he na plz 😢 🙏 bataeye
Yes... Jis district se aap hai state level ke liye usi district se Entry hogi aapki... Or iski jankari aapko Coach or players ke touch me rahne se mil jaygi ki tournaments kaha ho rahe h...
👌👌🤟
Cricket ke baare mein bhi bataye
max age? Beginner ke liye any tips at age 25🙏.
how to play ipl?
Sure...
kabhi kisi cricketer ko dekha h comments me puchte hue ki IPL kaise khele 😂😂
@@TechyAviral wo bhi sahi he.😊😊🙏
But ek coach ka gyan miljaye wo bhi sahi he🙏🙏
Forum kaisa hota hai kitni fees lagti hai 18 saal naya 17 sal ka ladka join karna chahta hai tu uske number bhi dijiye video accha banaye
Yah video achcha laga mujhe
Bro plz request hi aap se ke aap shooting ko join kese kare or fees structure ka bhi bta ho plzzz🙏🙏🙏🙏
Shooting pr 2-3 video already bnaye hue hai Maine... Aap Meri playlist me dekh sakte h
@@IndiasPrideTushartinker bro kese bhi vedio me aap ne fee structure ke bare me kuch nahi bta ya plz us pr bhi bnaho
Ok
Tokyo olpik long jump ma name kasa dala
Tokyo Olympics to ho chuke...ab next Paris Olympics hai 2024 me... Usme direct nahi jaa sakte . .. kisi bhi sports ki starting district level tournament khel kr ki jaati hai... Usme select hone ke baad state level tournament khelna hota hai... Agar usme bhi select hote hai to national tournaments khelne hote hai .. national me 1, 2 , 3 position laane per international tournaments khelne ka moka milta hai ... Phir un international tournaments mese Jo Olympics qualify score kr leta hai wo Olympics jaata hai
Sir agr koi child girls javelin sikhna chahti h jaise 12,13 year ki javelin sikhna chahti h to vo kease sikh skti h varanasi mai or unki kya kya exercise hoti h jo v apne gher mai kr ske
Sir child girls javelin throw ke bare mai puri details btaiye or sir agr Varansi mai koi academy ho to v bhi btaiye
Actually Ghar pr wo sabhi exercise nhi ho sakti jo coach karwate h khudke samne ... Lakin thoda prepare hoker jaa sakte hai join Karne se pahle... Aap unhe Running , yoga and meditation start karwa dijiye... Baki exercise coach btayenge javelin ke hisab se..
And aapke near Academy kaha hai ye to me nhi BTA sakta... Lakin aap ek kaam kariye.. uttar Pradesh athletic association ki website per jaiye waha contact details mil jaygi.. waha contact karke pta kijiye ki aapke near koi Academy kaha hai??
@@IndiasPrideTushartinker sir abhi to v gher mai hi meditation and exercise krti h bt javlin kease join kre
Uske liye aapko Athletic Academy Jake Coach se hi milna hoga... Coach permission dete hai Practice karne ke liye.... Or sarkari stadium yaa Academy me fees nhi lagti coaching ki .. bs javelin khudka hona chahiye
@@IndiasPrideTushartinker sir pr mere near mai khi javelin academy nhi h
❤❤ Sir me gwalior se hu mujhe javelin throw ki academy join karni he kha par he please reply sir 😞
M v gwl se hu bhai
Gwalior me to Nhi... Lakin Bhopal me jarur h Academy
Bhopal me h ek Academy
@@IndiasPrideTushartinker bro me 21 age ka hu or me javelin throw ki practice kar hra hu ..but ye samaj nahi a rha h ki me distcit kese khelu mere distcit me kab hoga javelin throw game ye kese pata chalega mera koi कोच v nahi h bro
Tournaments kab honge ye aapko Coach ke touch me rahne se hi pta chalega... Aap Bhopal ke Athletic coach se baat kijiye... Virender dabas naam h unka... Google per search kijiye
Hiiiii सर आप कुश्ती के लिऐ एक बार वीडियो बनाइये ना
हरियाणा के बेस्ट कुश्ती अकेडमी के बारे में बताइये सर
Pleuse सर
हमको कुश्ती का तैयारी करना है
Waise Maine 2 video already bna rakhi hai Wrestling per... Aap playlist check kijiye... Bahut acchi jankari hai usme...
Sir ' district level apne district ka hi join krte he ya other district ka bhi kr skte he ?
Jis district se aap hai sirf wahi se participate Kar sakte hai...but aap practice or training pure India me kahi bhi Kar sakte hai...
@@IndiasPrideTushartinker or sir humare district me games kb start hoga kese pta chle ga ,, esi koi website jha se pta lg ske ki kha kha games hore he ? Plzz sir
Jab aap kisi Coach ke Or players ke touch me rahoge to apne aap pta chal jayga... Website se filhal pta nhi chalta hai... Kyoki Corona ki wajah se kisi bhi federation ne apna event ka calendar nhi bnaya hai is baar
@@IndiasPrideTushartinker ok & thank u so much
Bhai ...... Olympic ke sare khel kese khelte sare games ki video bano 🙏🏻🙏🏻🙏🏻
Waise dheere dheere sabhi game cover Kar Raha hu ...
@@IndiasPrideTushartinker Thnx bro.... 🙌🏻🙌🏻
एसएमएस स्टेडियम में कितनी फीस लगती है
Free hai... Koi fees nhi lagti... Equipment aapka hona chahiye
Sir Bikaner me bhi apki acedmy hai kya, mere husband last year college level pe javelin ke champion 🏆 hai, Olympic tak jne ke liye kitna year tak practice krna pdega
Nhi ji meri koi academy nhi hai me ek youtuber hu sports per jankari deta hu bss... Aap Google par search kijiye aas paas mil jayegi academy... Agar bikaner me nhi hai to other districts yaa State me bhi academy join kar sakte hai
@@IndiasPrideTushartinker okay sir,☺️
Sir 33 age pe javelin throw start karke national khel sakte hai kya? Agar strength ho, aim ho aur power generate karne ki achi capacity ho toh? Bcz mene filhaal 4500 ka Javelin kharida hai aur youtube ke videos dekh k mene khud se practice start ki hai aur mein 62.40 metre tak aram se throw kar raha hoon abhi filhaal...
Yes aap Khel sakte hai but Opportunitys bahut km milengi 33 age me... 1St to aap Only senior category me kheloge and 2nd Aapko sports quota se Government job lene me problem aayegi...
Lakin aap accha kheloge to Senior category me bhi success ho jaoge
@@IndiasPrideTushartinker Mera aim hai k kuchh bhi karke 80+ tak pahochna hi pahochna hai because abhi toh ache se coaching start karna hai if aapko Gujarat mein koi ache se coaching academy ki information mile toh plz share karna sir.
Bdw thanks for reply and giving me information 🙏🏻😊
@@tejaschavda9207 Bro aap kis state se ho????
@@tejaschavda9207 bro wooden Javelin aaya hoga na 4.5k mai
Or aap practice kaha pr krte ho bro???
@@lovegautam6559 I'm from Gujarat State bro.
bina coach ke district,state,national and olympic khel sakte hai?
Nahi... Coach zaruri hai
Buddy I am 27 yrs of age but I was a left handed fast bowler, I am thinking to start Javelin practice with an aim to be like Neeraj
Is it too late to start now ?
Yes you can Start & Aapki fitness and Technics catching power ke hisab se Aapko success milegi...but Aapko opportunitys km milengi... Aap only senior category me khel sakte hai..and Sports quota se job lene me problem aayegi...
@@IndiasPrideTushartinker Mai CA finalist hu job ki problem nai hai
Bus opportunities in terms of national, international me koi dikkat nai hogi na due to age ?
Agar aap 15-20 saal ke hote to aapko bahut tournaments milte...like sub junior.. junior... & Senior... Iske alawa University games,. But aapki age 27 hai isiliye only senior category me khel sakte hai
Aap JLN stadium me Javelin coach se miliye...Waha Girls bhi Practice krti hai... Aapko training free milegi bs Equipment aapka hona chahiye
Ap kaha se ho
Sir apne video a ha banaya h mujhe bhut acha laga javiling throw ke bare me jankari dekar pr sir aap ek handicaft viklang baccho k liye bi game me participate Karne ki jankari ke liye ek video Dale plz sir I request u
Ok Sure...
Thank you sir
Sir javeline start karne par suruaat me kitna dur ja sakta hai throw
Approx 50 mtr
Sir apka no Kya h
@@IndiasPrideTushartinker sr aapse contact kaise ho skta h.plz
Aap mujhe Instagram or Facebook per msg me baat Kar sakte h
@@IndiasPrideTushartinker sr insta pr id kya h aapki
Sir kuch rasta bataiye ki javelin trenig kha kraya jata hai please sir btiye na
Aap kaha se hai??
👌👌🤝
🇮🇳🙏
Sir national label tak phuchney may kis kis label say Gujrna padeyga
District, state , national
Maximum age kitna he Olympic me participate karne ke liye sir
No age limit in Olympics
@@IndiasPrideTushartinkerkoi v kr Skta participate
Olympic me har koi nhi jaa sakta...uske liye qualify Krna padta hai... national or international tournaments khelne padte hai...
Sir javlin throw kitnay bar fayknay Ka chains hota hai
5 baar
Very well explained
Thanks ❤️
Sir me phone tower upara ball throw karke bachapan se 140 meter thrown kar deta hnu,plz sir avi me samaj paya ki javling me kyun nehi sikha,so me bahut depression me rahati hnu kavi kavi...me kya karu sir... reply sir
Jai Shree ram
Jai Shree ram
Sir hadiyana me javelin ki coach kis jagah hoti h
Haryana me Faridabad sector 12...
Bro, I am going to turn 18 years old in December. Also preparing for engineering entrance. Any chance ?
Yes...
@@IndiasPrideTushartinker How to start, bro ? (I am completely a beginner)
Aapke aas paas koi acchi si athletic academy ke coach se miliye
Aapke yaha javelin coach se miliye... Or training start kijiye
Jaipur me KOi sports academy btao jisme player ka pta telent ka pta lga k uske telent se related sports Ki teyri krwaye
Sms stadium
@@IndiasPrideTushartinkerUttarpradesh meerut me h koi
Sir, I'm 21 years old.
I can join this game.
I'm from Maharashtra. Sir, there is a academy
Sir district mein kitna door Javelin fekna padega. Pune
Ye to aapke opponent per depend karta hai agar wo 70 mtr throw karega to aapko usse Jada door throw karna padega..
Lekin sir ek average throw distance district ke liye maximum
65 se 70 mtr
Aur state ke liye
Approx 70 se 75 mtr... And National Neeraj Chopra mil hi jayenge...wo kitna door throw karte hai aapne dekha hi hoga Tv per😅... To National ka andaja aap laga Lena ..
Sir I am only 14 year old. Can I join Javelin
Yes
Muja be join krne ha academy sir kha sa ho
JAipur se hu
@@IndiasPrideTushartinker Mobile no ...Kit na hi
Bhai ab jo October me 3rd national open javlin throw championship honi wali hai kya usme hm participate kr skte hai or participate kese krenge
Javelin throw karne ke liye minimum kitna height hona chahiye
Waise to height ki koi boundations nhi hai ek China ke Athlete hai unki height kaafi km hai Lakin javelin accha throw krte h... Kai international medals hai unke paas...
800 gram height 8.6 feet
Men's height
Not javelin weight
Bhak Neeraj chopra ki height 6 feet hai.
Sir please kabddi ke uper bhi bnao video 🙏
Already bna rakhi hai KABADDI per video... Aap meri sports list check kijiye ..
हम गांव की रहने वाली हूं तो हम कैसे तैयारी करें प्लीहा सर इसके बारे में जानकारी दीजिए
आपके नज़दीक किसी भी स्टैडियम में जाके एथलेटिक कोच से मिलिए।।। बिना कोच के आप ट्रेनिंग नहीं कर सकते।
आपके नज़दीक कोई स्टेडियम नहीं है तो पास के जिला में जरूर होगा।।
Beginners k liye javeline kha se buy kre or konsa buy kre..plz reply
Crown ki Javelin le sakte hai...or Jo sports items ki shop per mil jaygi... Online bhi mangwa sakte hai Amazon se
Or usse bhi accha ek baar Coach se miliye...
Best video's
Thanks
Sir, mai Mumbai ke district goregaon me rahta hu sir, javelin throw ki academy and sports club yaha par kidhar hai
g.co/kgs/y5gHw8
Sir javelin throw k liye runnig kitni karni chahiye or javelin fekte samay kitni duri tak bhag sakte h
25-30 mtr ka Run-up chahiye bhala fenkte time... Or training me Stamina badhane ke liye kaafi run karna padega... Like 5-6 km daily.or kuch exercises..and week me ek baar cross country race like 15km...
Sir abhi mene distic level per jawling Throw me second per aya hu 19oct 2022ko
Mera age 21 years hai mai sports me tuna active nahi hu lekin ab agar chahu taiyarri karna to karsakta hu ???
Agar aap Fitt hai...or financial condition thik hai... To jarur kr sakte ho..
Sir kya u17 tak state lable may 700g javlin throw Ka use karty Hai
600 grm
Sir kaun si class se start kare javelin throw
Minimum 10 class
Hello sir agar koi new player start kare to usko starting me kitne meters bhala fekna chaiye
Beginners 30-35 mtr hi throw Kar paate hai... After coach se training lene ke baad dheere dheere strength gain hoti h
@@IndiasPrideTushartinker thank u sir 💞🥰
Sir kiya mujhe abhi se suruwat kar deni chahiye,mai 13 saal ka hoon aur meri height 5.5 feet hai
Yes ... Aapki abhi se start krni chahiye... Is age me bahut saari opportunities milengi... Baki jitna late hote opportunities km hoti jaygi... Ye perfect age hai
Thank you so much sir for your reply
Sir mana javlien start kiya ha to sabsa phela u14 khale ya dictrk khal sakta ha
U14 ke liye bhi to District level khelna padega... Waise aap u14 ke sath sabhi category me participate Kar sakte hai... Senior me bhi...
Sar ji m bhi javelin throw karta tha ab mere elbow injury ho gayi hai to iska Ilaaj Hoga Kuchh
Ye to aap kisi acche physiotherapist se puchiye...Jo sports injury me expert ho
@@IndiasPrideTushartinker ok sir m bhi national player hu sir
That's Great ❤️🙏
Aap ney sarey sawal puchey hai thanks
Thank you
10th मे था तो मैं अपने college मे इसी खेल मे 1rst आया था।
सर मैं दिल्ली मे रहता हूँ और join करना चाहता हूँ।
सर दिल्ली मे कँहा इसका तयारी कराई जाती है।
प्लीज बताइए।
JLN stadium Delhi....
@@IndiasPrideTushartinker
सर फी के बारे मे थोड़ा बता दीजिये
@@IndiasPrideTushartinker इसका फी structure क्या रहेगा
Free Coaching milegi aapko... Bs javelin khudka hona chahiye
@@IndiasPrideTushartinker JLN stadium me jakar bat karna hoga.
Sir Meri age 27 yr ho gyi but m ek baar isme Jana chahta hu .. I'm from Jodhpur ..sir muje ye puchna tha ki iski training kitne time tk hoti h ..or ek baar 4-6 month Sikh kr apne yaha practice KR ksta hu Kya or konsa coach sahi h ye kese PTA chalega ...ya fir muje wahi rehna pdega all time jab tk m ek acha player nhi bn jata ..
Sabse pahle to aapkj fitness acchi honi chahiye... Uske baad aap Ghar pr nhi Kar sakte Practice....aapko hamesha coach ke under hi Practice karni padegi... Coach or players ke touch me rohoge to kuch naa kuch sikhne ko bhi milega humeshs
Fitness ka to pucho Mt bhai ..Roz subh 4 bje uth k kheto m khud Sara pseena bahate h .. anyway thank you Bhai ...ek baar zarur jaaunga Jaipur ...
Ok
Kitne years lag jaate hai javelin mae district se national par aane mae
Depend on your fitness and talent ... Kai players 1 saal me khel lete h or Kai logo ka kaafi saal lag jaate hai
@@IndiasPrideTushartinker ok thank you 😊
🙏🇮🇳
Sir mera age 29 he,javling thrown me sikha nehi kavi but sir me 250 gram ball ko 140 meter thrown kar deta hnu,kya me avi age me javling sikha ke kuchha kar paunga ,plz reply
Mujhe instagram par msg kr dijiye... Waha acche se guide kr paunga
Bhai 30 plus wale bhi join kar sakte hai specially in throwing event shot put, Javelin throw and discuss throw,40 plus wale shot put or discus me acha throw kar lete hai to mislead na Karo
sir javalin me age limit bhi hoti hai kya..?or hoti hai to kitni....or javalin stick ki motai kitne inch ka hota hai..? Please reply 😢
Aapke sabhi questions ke answers is video me hai... Puri video dekhiye
@@IndiasPrideTushartinker 2 bar dekh liya sir
Jab tak fitt ho State National international tournament khel sakte ho Sports me age limit nhi hoti....bss sports quota se government job lene ke liye Age limit fix hoti hai ... Javelin ka weight 800 grm hota hai boys ke liye or 600 grm hota hai girls ke liye... Javelin ki centre ki motai 2inch tak hoti hai or aage piche se nukeeli hoti hai...
@@IndiasPrideTushartinker thankyou sir 🙏🥰
International मे खेलना है तो कैसे पता करे...? कब है, और क्या क्या Procec है...??
International khelne SE pahle bahut SE tournaments khelne hote hai... District level se start karna padega...usme sabhi khiladio ko harate hue state ke liye Qualify karna hoga... State me bhi sabhi khiladio ko harate hue National ke liye Qualify karna hoga... Uske baad national me bhi minimum 3rd position Leni hogi...iske baad India camp me selection hoga... Phir aap international level ki trial denge...trial me select hone ke baad aapko international khelne ka moka milega...
Or district level kab or kaha honge iski jankari aapko Coach or players ke touch me rahne se milegi
@@IndiasPrideTushartinker सर, मेरा RUNNING बहुत बड़िया है, 5KM इश्लिये मे Running मे एथलीट बनना चाहता हू, और मुझे district मे कैसे खेले वो सब पता नही है, plzz वो मुझे बताइये... 🙏🏻
Sabse pahle to aap Athletic coach se miliye... Unse traininig lijiye..wo aapko technique sikhayenge... Or district kese or kb khelna hai wo hi btayenge... Kyuki coach ke paas tournaments ka schedule hota h
@@IndiasPrideTushartinker जी सर... Thank U🙏🏻
India me con sa stadium hai jablin throw Ka sir or kaha hai name bta dig eye sir
India me bahut saare hai dear... Rajasthan, Haryana, Punjab or bhi jagah h... Google per bhi aajayga
अगर sir Collage se game me participet kar to
Kya rahega netional ya state khele to🙏
College me Jo tournaments hote hai usko all India interuniversity tournaments bolte hai.... Ye bhi open national ke baraber hota hai
Sir please madhya pradesh mai kya Javelin ki practice k liye koi academy hai bataiye 🙏🙏
Sir javeleen per ak or full detail me video banaiye
Sir jo javlin fayktay hai jaha bala girta hai woaha inchi tayp ko kam kar daytay hai
Tum dear questions hi puchte rahna bs... Join to Nhi kroge kbhi😅🤣
Sir apsay kabi question nahi phochnga thik hai
Sir byang vat bol di
Sir banduk ki goli say jada bat ki goli lagti hai tik hai sir
Bro agar koi actual 21years age pe javelin join kiya to uska kuch probability he carrier Karne ke liye javelin ke upar
Yes...
sir Mai uttar pradesh JAUNPUR se hu munhe javelin throw join karna hai kaise karu
Apne aas paas Athletic Academy ke coach se miliye... Aapke aas paas naa ho koi Academy to other state me bhi Practice Kar sakte hai....
sir viklang ko bi nokri mil sak to hy ky🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔🤔
Yes...
Esa mat bolo bhai ap mehnat karo sab kuch mil sakta hai ap apna himmat mat todho
Sir short put ka video banao kitna miter tk fakna hota h
Check kijiye... already bna rakha hai shot put pr video
Bhout aachi video _SMS me timing kya h jevlin k liye
Thank you so much...and sms stadium me morning me 6-8 or evening me 4-7
Sir_मै भी जेवलिन थ्रो में जाना छाता हु कृपया मुझे ये बता दै कि जैवलिन थ्रो यूनिवर्सिटी कहा है और अपने जहां ये video बनाया है वह जगह कहां है/,🙏🙏🙏
कृपया रिप्लाई जरूर करें
Javelin throw ki special University kahi bhi nhi hai... Or jo video aapne dekha ye Jaipur ka railway ground hai ... Yaha only railway employees hi practice Kar sakte hai...
Aapko agar javelin join krni h to apne aas paas athletic stadium search kijiye or waha ke coach se miliye... Google per search kijiye mil jaygi Academy ya stadium
Sir main Javelin to khalta hu , is year mara State selection bhi hua hai . Lakin hamara village may koi teacher nhi hai , to main kya kr sakta hu , advice me plz
Aapko agar lagta hai ki aap javelin me apna career acche se bna sakte ho .. khud per confidence hai..to kisi acche coach ke paas training kijiye.. or usi stadium ke aas paas rent per room le lijiye... Or Dil laga kr mehnat kijiye
Aapke future ke liye all the best 👍🇮🇳
Sir middle class family , parents k bara main bhi sochna padta hai . But tnx for your advice , I will discuss about it with my parents ♥️
Ek baar aage to badhiye... Raaste apne AAP nazar aane lagenge... Aap kisi government coach se miliye... Or aap state me bhi medal jeetoge to government se price money milegi... Aage Jake sports quota se Government job bhi milegi agar national bhi khel liya to...
Sir national tak to coaches ki fees hm khud hi dete h aur jab international ke liye qualify ho jate h phir bhi hm coach ki fees khud hi dete h ya government deti h and international coach government deti hai ya wo bhi apne aap bnane padte hai .....
Sir please bta dijye....
Aapko personal private coach chahiye to aap fees pay karoge.... Normally sabhi player ke sath Practice karenge to free hai government stadium me.... Chahe aap national tak Khelo ya international Tak... Free Coaching milti hai India me.... Equipment aapko Lana hoga khudka
@@IndiasPrideTushartinker ok thanks sir
@@IndiasPrideTushartinker sir ek baat or puchni thi ki ...
Foreign training ke liye koi bhi athelete ja skta h kya uske liye bhi kuch conditions hai...
@@IndiasPrideTushartinker foreign coach bhi government hi provide krati h means
Uske liye aap ek acche level ke player hone chahiye... Or Government baar baar kuch naa kuch scheme leke aati rahti hai...
Is baar modi sarkar ki taraf Se "Tops" scheme aayi thi... Jisme bahut saare player videsh me training ke liye Gaye the... Or kuch ke liye foreigners coach India me provide karwa diye Gaye the...
kya mai apna district chhor kar kisi or district se participate kar sakta hu?kyuki mere didtrict me competition nahi hota hai,to kosi or district se kar sakta hu?
District aapki wohi rahegi... Kyuki har District me Association hoti hai... Aapke waha Competition nhi hota hoga lakin jab aap State level me participate karoge tab Entry form to aapka wahi se aayga...
Or aap jis bhi Coach ke under Practice kroge wo aapko bta denge ki aapki District association kaha hai or waha se Participate karne ke liye Entry kaise karwani hai...
@@IndiasPrideTushartinker thanks❤