Hopeless Love OST 🎶|Twist of Time fated Union|Moboreader Novel

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 23 сен 2024
  • Thank you for watching, please show your support,This video is for fictional entertainment.Hope you enjoy it and have an amazing time! It's inspired by the song 'Emily' from the novel, available on the Moboreader app. Lyrics penned by Amrin."
    #like #share #subscribe #inspiration #peace #life #love #humanity #happiness #family #kindness#soulmate #romantic #song #relatable #relaxing #relatable #novel #fiction #universe #peace #motivation #music #success #youtube #hopelesslove
    'Lyrics-By Amrin'
    Translation
    Raat ki khamoshi mein, mera dil tera naam leta hai,
    Mohabbat ka khazana, jo sirf tere intezaar mein hai.
    Har aansu jo gira, har khwab jo buna,
    Yeh umeed ke tu mujhe is gham ke jaal mein dhund le ga.
    Aajao aur mujhe utha le jahaan sachhi mohabbat raaj karti hai,
    Jahaan khushi ek naghma hai aur sukoon humare ragon mein behta hai.
    Jannat ka ek zayqa hi mera matloob hai,
    Tere saath mein mazboot hoon, tere bina kamzor.
    Mujhe apne kareeb rakho mere shehzade bano-meri zindagi ka roshan noor,
    Is dawam raat mein mujhe rani ki tarah izzat do.
    Hum saath milke in saayon ka peecha karenge jab tak woh mit na jayein,
    Mere saath hamesha rehna-sirf ek aur din nahi.
    Main in ghumti raahon par talash karti hoon, umeed dar ka sahara liye hue,
    Meri rooh andheron mein chhupi hai magar aansuon ke darmiyan muskurati hai.
    Tumne mujhe apne jadoo mein jhakda tha meethi waadon ke saath,
    Ab sirf goonjain bachi hain jahaan kabhi pyar ki dhun baja karti thi.
    Mujhe tanha mat chhodo aur na chor do,
    Kahaan paun main apni jagah? Zindagi kaanto se bhari hai.
    Kyun hamesha itni mukhtasir lagti hai jab dil ko uraan bharni hoti hai?
    Tumne pyar ka zikr kyun kiya agar tum darwaza band kar rahe ho?
    Main gosht aur haddi se bani hoon, meri zindagi anmol hai, aur mera dard haqeeqat.
    Tum uske saath chale gaye, meri duniya bikher ke.
    Mera dil khamoshi mein dukhta hai, meri rooh doobti ja rahi hai aur main apni raah kho chuki hoon,Sukun talash karte hue, zindagi par tawajjo dene se qayel, apni jagah dhoondhne mein.
    Main pyar ki is zalim leher ki goonj ke saath chhor di gayi hoon.
    Yeh pyar tha ya khali jagah jiske ird-gird hum naachte rahe? Yeh sawalat mere dil ko sataate hain jab tumhari yaadein goonjti hain.Mujhe apne kareeb rakho mere shehzada bano-meri zindagi ka roshan noor,Is dawam raat mein mujhse wafadar raho.
    Hum saath milke in saayon ka peecha karenge jab tak woh mit na jayein, Mere saath hamesha rehna-sirf ek aur din nahi. Kyun hamesha itni mukhtasir lagti hai jab dilon ko buland uraan bharni hoti hai? Tumne pyar ka zikr kyun kiya agar tum darwaza band karna tha? Main gosht haddi se bani hoon; meri zindagi roshan aur haqeeqat hai- Kya tum mazbooti se tham sakte ho bajaye ke sab kuch todne ke? Agar tum ab chale gaye toh main bikhar jaungi-jo kuch bacha hai usay mat todo; Tum meri rooh ke tukde chura chuke ho; aur kya lena hai? Toh in lamhon ko thaam lo jab tak shaam dhalti jaaye- Hamari hasi ko itna ooncha bajne do ke maazi ki yaadein doob jaayein. Magar zindagi anmol hai; main in rakhon se uthungi- Jaise ek phoenix sab jungon ko jhonk kar roshan ho jaata hai. Chahe meri raah abhi dhundhli hai aur saaye chhaaye hue hain, Main apna raasta khud talash karungi; main,mazboot zameen par khadi ho jaungi.

Комментарии • 3