Best Poetry Of Saghar Siddiqui In Urdu - Saghar Siddiqui Ki Shayari

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 4 окт 2024
  • Friends, I am here with another word of Sagar Siddiqui. Sagar Siddiqui was a dervish man who became homeless at his last age, but he did not stop writing poetry. Each and every word of his speech goes to the heart.
    Asalam o Alekam! Dosto aaj ki is video mein best poetry of Saghar Siddiqui in Urdu paish ki hai jo un ki ek ghazal se li hai. Yeh best poetry of Saghar Siddiqui in Urdu ek famous poetry bhi hai. agar aap ko best poetry of Saghar Siddiqui in Urdu pasand aeye to like aur shre kar dijiye.
    agar aap ko Saghar Siddiqui ki shayari pasand hai to channel ko subscribe kar lijiye.
    hai dua yaad magar harf e dua yaad nahi
    mere naghmaat ko andaz e nawa yaad nahin
    hum ne jin ke liye rahon mein bichaya tha laho
    hum se kehte hain wohi ehd e wafa yaad nahi
    zindagi jabr e musalsal ki tarah kati hai
    jane kis jurm ki pai hai saza yaad nahi
    mein palkon se dar e yaar pe dastak di hai
    mein woh sayal hon jise koi nawa yaad nahi
    kaise bhar aai sar e sham kisi ki aankhen
    kaise tharai charaghon ki zia yaad nahi
    sirf dhundlaye sitaron ki chamak dekhi hai
    kab hua kaun hua mujh se khafa yaad nahi
    aao ik sajda karen aalam e madhoshi mei
    log kehte hain ke sagar ko khuda yaad nahi
    #sagharsiddiquighazal #urdupoetry #sadpoetry #bestshayari #hearttouchingpoetry

Комментарии •