Mai Bhool Gaya 2 - Mufasa Rex X High-Born

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 15 сен 2024
  • Mai Bhool Gaya 2 by HIGH-BORN X Mufasa
    Music : HIGH-BORN
    Mixing and Mastering : Mufasa rex
    Lyrics : HIGH-BORN & Mufasa rex
    Managed by : Black Bond Management
    Spotify :
    Connect : linktr.ee/Mufa...
    Lyrics -
    ( HIGH-BORN)
    Humare zakhame tamanna ab purane hogye hain
    Uski gali mei gaye hue zamane hogye hain
    Apne chahane vaalo ki tum baat mat sunana
    Tere chahne vaale ab mere deewane ho rahe hain
    Apne taur se jo kabhi humne the guzare
    Vo sham o shubha jaise ab fasane ho rahe hain
    Mere baad aye hain mubarakh ho unhe
    Uss virane mei ab kaafi kaar khaane ho rahe hain
    Teri berukhi se tang hoke hosh aya aaj
    Barson baad tere khat saare kar die hain khaak
    Mite veham tere pyaar se aaj hue hain azaad
    Tere sath khade hoke bhi tum the mere hi khilaaf
    Haan mai bhool gya ke yaad teri aai hai
    Tera zehan iss khayal mai khudse lagti bewafai hai
    Lamhe lamhe ki yeh jaise na rasai hai
    Zindagi ab lagti halat e judai hai
    Halat esi hogai hai meri jaan e jaan
    Tujhe bhool ne mei hi meri bhalai hai
    ( Mufasa)
    Hamare zakhm tammana ab purane ho gaye hai
    Uski gali me gaye hue zamane ho gaye hai
    Jitne bhi aaye the sunne meri daastan ko
    Saare laut'te hue yahan se rote hi gaye hain
    Jabse tu gayi hai chand bhi jagah se na hili
    Kya karunga maut ke bhi baad jo tu nahi mili
    Khuda ke dar pe baitha kar pooja maine ki thi teri
    Tu hi ab jawab de ki kahan reh gayi kami
    Kahaniyaan suni thi
    Taaron se aati pari thi
    Jabse tujhko maine dekha
    Mujhko lagti tu wahi thi
    Dil tha tera mera hissa
    Jaisa mujhse tu bani thi
    Tujhko hai pata kya
    Tu mere lai janmi thi
    Haan mai bhool gya ke yaad teri aai hai
    Tera zehan iss khayal mai khudse lagti bewafai hai
    Lamhe lamhe ki yeh jaise na rasai hai
    Zindagi ab lagti halat e judai hai
    Halat esi hogai hai meri jaan e jaan
    Tujhe bhool ne mei hi meri bhalai hai

Комментарии • 98