Tradition Diwali 2024 | Why Diwali Firecrackers Were Banned (Again) | Festival Traditions In India

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 24 ноя 2024

Комментарии • 5

  • @rockystri9113
    @rockystri9113 27 дней назад +1

    Gyan kyu le rhe h ap, Jo asli Hindu h wo Bhagwan me biswas rkhte h aur hamare bhagwan ye nahi kahte ki pradushan kro Pashu pakshi ko darao, Mar to rhe h log koi patakha bana raha hai to mar raha hai, koi phod raha to mar raha hai. Khushiya Patakha phodne se nahi parivar ke sath beth kar diya jalane me ati hai Pooja karne me ati hai bahar jake dosto ke sath khelne me ati hai padhai me atti hai, chhodo ye patakhe, kya hojyega jalane se patakha.
    Mujhe yaad hai jab me chhota tha apne colony me patakha phodta tha to mere dost ke dada ji the unka halat thik nahi rahta tha paralyzed the jis wajah se hame roka jata tha aur ham bahar phod nahi pate the aur hame bura bhi lagta tha, mujhe yaad hai ki hamesha mere dost ke dada ji mujhe aur mere dost ko bulate the aur dhher sare kahaniya sunate the. Ek bar mene unse pucha ki dada ji ap hame patakha kyu nahi phodne dete? Unhone kaha, ''beta patakha ek manoranjan hai sabke liye h aur bhagwan bhi khate hai ki Manoranjan karo kyuki unka hi to din hai aj" mene pucha, Dada ji phir kyu nahi phodne dete ap? Beta ye batao hamare gali me jo dog Tony hai na! Ha dada ji, Jab tum patakha phodte ho to wo kabhi tumhe dikhta hai? Nahi dada ji! Ekbar uski jagah lekar dekho ki Wo kaisa mahsoos karta hai jab log itna khatarnak dhamka karte hai aur usshe jo pradushad ho raha hai wo uske Sareer ko kya impact de rha hoga, jab hamara yani mera halat kharab ho jata hai ghar me rahte hi to uska kya hota hoga!!!
    Aj wo hamare bich nahi hai aur ab me jab bahar dekhta hu Un janvaro ko un pakshiyo ko unke dard ko to mujhe Insaan se nafraat hone lagti hai!
    Chhodo sayad hi koi ye comment padhega aur me bhi gyaan dene lag gaya! 🙂 Happy diwali aur karo jo karna hai me kya hi kar sakta hu!

    • @Mahikidukan
      @Mahikidukan  13 дней назад

      Bat to aapki bhi sahi hain... Lekin ye pure sal hona chaiye har jagah hona chaiye har vyapar pe lagu hona chaiye lekin visesh isi din kyu

    • @Mahikidukan
      @Mahikidukan  13 дней назад

      Deri se reply ke liye mafi chahta hu sir

    • @rockystri9113
      @rockystri9113 13 дней назад +1

      @@Mahikidukan koi bat nahi Sir, apne itne respect ke sath reply kiya hame bass isshi ka intejaar tha.
      Aisa hai ki ussh samay Diwali tha to acchi baat hai par kuch logo ke wajah se me frustrated tha to ho skta h comment Rude tha but Point of view ek hi h
      Ya to Sarkaar kuch dhyan de ya Judiciary ispar action lene ka kam suru krde!
      Me ya aap nahi chahenge ki kisi mashuum ki jaan jaye wo bhi aise!
      Aur bass hogya!
      Uss din Happy diwali nhi bola tha to Uske liye Advance Happy Diwali Sirr!

    • @Mahikidukan
      @Mahikidukan  13 дней назад

      ​@@rockystri9113 Thank You Sir.. Hum Bhi aapki tarah normal insan hain Koi Paiso ke piche pagal youtuber nahi jo kuch na chale to aslil content bnana suru karde .. agar aapko kisi bhi bat ka bura lga to mafi chaunga aur aese hi support bnaye rakhiyega