jaane-man aap ka bahot bahot shukrea, muje to mekenic ne dara dea tha kehta tha is ka engine khatem hea meri alto 2008 halka sa neela dhua marte the। aap ka bahot bahot shukrea je
Meri bs3 3718 16 model hai mene diesel pump pura general banaya hai Nozzle bhi original new dali hai air filter bhi new dala hai fir bhi gadi khinchai karti hai matalab dab jati hai chadan aane ke time aur kala dhua bhi nikalti hai problem kya ho sakta hai sir please tell me 🙏🏻
Hlo sir mere pass wagnor2008 model hai or m hp se hun jab m hills pe gya tha to mere car 1st gear main bhi pikup ni ley rahe the ye kya problem h or clutch plate bi new dali hai..
कार के डेसबोर्ड के इंडिकेटर लाईट के कलर और उनके संकेतों के इंजन ज्यादा गर्म होने पर कोई अलग से इन्डीकेटर ब्लो होता या बजर बजना जैसी वार्नींग के बारे में विडियो बहुत महत्वपूर्ण होगा।
Sir ji मेरे पास ashoka layland dost cng gaddi h इसमे कोई पेट्रोल या disal नहीं होता फिर भी गाड़ी ब्लू और Blake स्मोक de रही है और अब इसी समस्या के चलते overall enjein ka काम करवा दिया लेकिन समस्या और जायदा हो गया है sir please 🙏 कुछ समाधान बताये
Me tata Manza diesel car use karta hu. Mera car pickup kami hai aur smoke aata hai Level road per 100+ speed jata hai. 2 , 3 Gair me jyada hit hota hai aur top gear me hit kam ho jata hai
Sir meri gari dzire vxi petrol 2021 hai long drive ke bad isme start karne par rpm jyada rahta hai white bhap jaisa nikalta hai aur engine sound jyada rahta hai 5 minut ke bad sab normal rahta hai but thoda sound rahta hai aur bhap nikalta hi rahta hai
Aap kabhi 1 ghanta chalane ke baad check karna ki bhaap band hota hai ya nahi .....agar fir bhi nikalta rahta hai aur sath m coolant ka level bhi kam hota hai tho fir head gasket ka problem hai.
Bhai ji mere pas honda cb shine bike h uska engine oil bar bar Kam ho raha hai mene macenik ko dikhaya wo kah raha ki cylinder ka bor karna padega ya fir new cylinder kit dalne padegi please right adwise me
Iss ghatna ko diesel run-away kahte hai, ... Diesel ki fumes crankcase m jyada jane ke karan ,,, oil fuel ki tarah jalne lagta hai ....fumes ke karan iss tarah hue combustion ko diesel run-away kahte hai....agar aap engine ki oil filing cap se dhua likalne ko nazar-andaaz karte hain tho , aage chalkar aisi condition aati hai........ Iska main karan hai piston rings/cylinder wall ka kharab hona
Sir ji mere pass maruti Suzuki zen tiger MPFI engine wali hai or wo subah bhi blue smoke deti hai or din bhar light blue or whitish niklata hai. Please Suggest me sir ji🙏🙏
Agar purane engine oil se dhua nhi de rha tha, aur ye wala oil daalne ke baad se hi ye problem aana suru hua hai tho ,oil ki viscosity jyada hai....apko kam viscosity ka oil use karna chahiye...like 5w30
Sir mere pass R15 bike hai jab usko morning me start krte hai to 2 mint bhaff jaise dhuan aata hai.. Jab bike chalti hai koi dhuan nahi hota.. But jab bike neutral krke full race deta hu to full RPM pe halka halka dhuan ata hai? Kya wo piston ring change krne se chala jayega ya puri cylinder kit dalni padegi? Bike ka meter 12000 RPM hai aur dhuan 10000 RPM se uppr ja k hi aata hai wo bhi halka halka
Hello sir I have pulsar 150 bs4 and my bike causes black smoke I have done carburettor tuning,new sparkplug,change airfilter and not oil burning what reason
Brother mere bike ke engine ke awaz bilkul brand new jese hai 17k chali hui hai.Lekin jab bike idle pr hoti hai aur mobile ke light se dekhen tu bohat zda light aur bohat he thora light sa smoke atta hai smell ni hoti koi b but agar thori se be race den tu bilkul normal ho jati hai. Kya ye tuning ke zrurt hai?
Aapki bike perfect condition m hai , koi tuning ki jarurat nhi hai... ha agar aap mechanic ke pass jaoge tho wo jaroor apko tuning ko bol sakta hai..kyoki aap uske liye ek customer hai...aage aap kudh samajhdar hai.
Bhai abhi nere pass ek fogo diesel aai he pickup pow problen he. Usme, egr bhi chok tha turbo bhi oil fekta he, engine back compressor bhi krta he, egr change kiya to pickup me 50 %se jyada farak pada he, ab turbo ya back compressor,,, kya ho sakta he reason. Plz bhai fast reply dena
Sir mere pass 2 cy tata magic hai wo ek din 1 ltr mobile khatam kar rhi hai engine head block sab new dal diya tabbhi khatam kar rhi hai kya problem hogi please help me😞
Bike ke liye coolant wali baat fit nhi hoti hai.... Bike m engine bahut chhota aur simple hai isliye normal bike m mainly ek hi tarah ka dhua dekhne ko milta hai jo ki Grey/White/Bluish hota hai ... iska karan piston rings/cylinder_wall ka ghiss jana hota hai
Sir Mera scooty Start krne se Kuch time tak blue smoke deta hai Uske bad agar Jada Der tak off Raha toh duwara start krnse fir blue smoke deta hai.piston ring bhi change krwaya . please help me out
1. Engine oil max se jyada na Dale 2. Engine oil kam viscosity wala Dale .....agar pahle 20w50 dala hai tho agli baar 10w40 ya 15w40 daalna,,aur agar pahle 10w40 daala hai tho iss baar 5 w30 daalna.
Bhai mera swaraj 735 hai start krte hue black smoke deta hai Or ikdum accelerate krne pr black smoke dkhata hai kia samsya hai btaye hawa mahel thik hai
Bhai engine banwaya tha .aur one month ke baad engine oil badla . Ab jab bike speed 80 ,90 par kuch door chalane par dhua deti hai . Thodi der rok dene k baad chalane par dhua nahi deti . Dhua smell bhi kar rha hai . Hunk bike hai
Bhai aap jo engine oil use kar rhe hai, wo aapki bike ke engine ke hisab se kam viscosity wala (patla)hai ,agli baar jyda viscosity wala oil use karoge tho problem khatam ho jayegi.
Thoda engine oil kam hone se problem nhi h ...ye normal consumption h.,.......................................... Dhuva kam karne ke liye air filter saaf kare
Missing ki problem ke liye injector saaf kra lo.... Dhua ke liye .... Pcv valve change kar ke check kra lo .. Nhi tho fir engine m kaam karana padega...like , valve seal change/ piston rings change/ head gasket check
Aapne likha hai sham ko kam hota hai, jabki aap din m use karte hai ...tho gadi band karne ke kuchh ghante baad jab pani thanda hota hai tho kam hota hai ....matlab ki thanda hone par radiator tank se wapis pani nahi kheech pa rha, ...iske liye aap radiator ka dhakkan badal kar dekh le , aur doosra ye cheez bhi dekhe ki coolant tank ke ander pani ya coolant sahi Nishan tak bhra ho..
सर जी मेरी गाड़ी महिंद्रा 265 है उसके साइलेंसर से जाला हुआ काला मोबिल आ रहा है और हेड से बहुत हल्का उजला भाफ गैस आ रहा है कैसे ठीक करे... क्या आप बता सकते है रिमांग डाउन है ya हेड गैस kit जला हुआ है
Sir good morning Sir mere paas tata indigo ecs (D) 2014 model hai ....uska ac continue work nahi karta....bich bich me trip karta hai....Baad me 2 to 4 min k baad start kare ti sahi work karta hai.... To sir kya problem ho sakti hai?
Sir apki video ko dekh kar mene apni mashin ka filtar chenj kiya or sab thik ho gya thnx you sir
Bahut ache se bataya and samjhaya hai sir apne. Bahut-bahut dhanyawad.
Dhanyawad 🙏
jaane-man aap ka bahot bahot shukrea,
muje to mekenic ne dara dea tha kehta tha is ka engine khatem hea
meri alto 2008 halka sa neela dhua marte the।
aap ka bahot bahot shukrea je
Sir apki Jankari mujhe bahut achi lagi
Thanks 😊
Welcome 🙏
Thank you vaiya achha video tha ❤❤❤❤❤ aise or video dalo vaiya. ❤❤❤❤❤ god bless you
Assam main aise koi achaa mechanic dekha hi nahi jo mera problem ko dur kaar sake
😌
This video is reallly very very informative and unique with fully helpful.
Thanks
Thank you
Very nice topic and lecture. Keep it up and continue
Meri bs3 3718 16 model hai mene diesel pump pura general banaya hai Nozzle bhi original new dali hai air filter bhi new dala hai fir bhi gadi khinchai karti hai matalab dab jati hai chadan aane ke time aur kala dhua bhi nikalti hai problem kya ho sakta hai sir please tell me 🙏🏻
Thank You Very Much Sir Good Explanation Sir Please Explain BS3 Trax Toofaan Vehicle Maintenance
Very nice knowledge sir ji.
Very easy and very sweet language.❤
Thanks and welcome
Very nicely explained ☺️. Thank you very much
Welcome 🙏
एकदम् अच्छा समझाते है आप। थॅक्स
धन्यवाद 🙏
Chevolate beat caar mai jnha se injn oil feel krte hai wnha se wite smoke aa ri sir thoda running k baad kya problm gai srr
widely explained,sari baat samajh aa gyi
Aapke comment se bahut motivation mila @Suresh_Kumar g... Thank you
Hlo sir mere pass wagnor2008 model hai or m hp se hun jab m hills pe gya tha to mere car 1st gear main bhi pikup ni ley rahe the ye kya problem h or clutch plate bi new dali hai..
Very nice sir bhot acha samjhaya aapne thanku
Welcome 👍
कार के डेसबोर्ड के इंडिकेटर लाईट के कलर और उनके संकेतों के इंजन ज्यादा गर्म होने पर कोई अलग से इन्डीकेटर ब्लो होता या बजर बजना जैसी वार्नींग के बारे में विडियो बहुत महत्वपूर्ण होगा।
ओके
सहीहै ईनजीनर साहब आपकी बात
शुक्रिया भाई
Thanks you sir aapko bahut achi jankari dene ke liye
Welcome
Kafi best list engineer ho aap
👍
Bahut duwadar video tha 😎✌🏻❤
🙏 Thanks
haha
mazedaar aur samjdaar
Thank you
Sir ape bs4 white dua de rahi hai pickup bhi kam ho raha hai sar kya samasya ho sakti hai sar bataiye please
Sir g black smoke intake manifold carbon sy egr sy bhi hoti h diseal car Mai?
Ha g hota hai
Sir ji मेरे पास ashoka layland dost cng gaddi h इसमे कोई पेट्रोल या disal नहीं होता फिर भी गाड़ी ब्लू और Blake स्मोक de रही है और अब इसी समस्या के चलते overall enjein ka काम करवा दिया लेकिन समस्या और जायदा हो गया है sir please 🙏 कुछ समाधान बताये
Oil cooler replace krne k baad radiator clean krwaleya sir ab gaddi black smoke dikha rhe ha sir ❔
Me tata Manza diesel car use karta hu. Mera car pickup kami hai aur smoke aata hai
Level road per 100+ speed jata hai.
2 , 3 Gair me jyada hit hota hai aur top gear me hit kam ho jata hai
Thanks jaankari dene k liye ji
Welcome 🙏
@@Engineer_Khopdi truck 🚛 clutch air ke baare me btaiye ji kyu air leti h
Sir konsa smoke sahi hota h engine ke liye
Sir meri gari dzire vxi petrol 2021 hai long drive ke bad isme start karne par rpm jyada rahta hai white bhap jaisa nikalta hai aur engine sound jyada rahta hai 5 minut ke bad sab normal rahta hai but thoda sound rahta hai aur bhap nikalta hi rahta hai
Aap kabhi 1 ghanta chalane ke baad check karna ki bhaap band hota hai ya nahi .....agar fir bhi nikalta rahta hai aur sath m coolant ka level bhi kam hota hai tho fir head gasket ka problem hai.
Thenks you enggener bhai
Thanks 👍
Salam ser aap ka videos bohut bast hea
Shukriya
Very intellectual explanation
Thank you
Sir petrol ,diesel, engine oil, break oil,culent,gear oil, in sub ko ek sath rakh kr subko kase pahchane video bna dijiye sir plissss🙏🙏🙏
Ok
Sir hmara tvtv magic tampo subah safed dhuaa deta h or dhke se shuru hota h isko shi krne ka upay
Hello sir very good video
Sir mere car mai jab rpm 3000 p jaky smoke black Kyu deta hai sir
1. Air filter change/Clean karo
2. Clean map sensor
Sir Decarbonization machine se Kya black smoke ki problem thik ho jayegi
Decarbonize machine ke upar koi video bana do
Ok...I will try to make a video on this topic ..good suggestion.
Bhai ji mere pas honda cb shine bike h uska engine oil bar bar Kam ho raha hai mene macenik ko dikhaya wo kah raha ki cylinder ka bor karna padega ya fir new cylinder kit dalne padegi please right adwise me
My advice is new cylinder kit..... tension free rahoge.
@@Engineer_Khopdi Thank you so much
Very very nice bhai ji 🙏🙏🙏🙏🙏
Thank you
It's very good information thank you sir . Sir if possible so given some JCB / Backhoe loader problem solution.
👍👍
Diesel tank me coolent mix ho jaye to woh Diesle use kar sakte he
Use karoge tho safed dhua degi gadi..
Excellent
Sir Meri Tavera Car Hai Aaj Aachanak se White smoke Karri Hai Aur Engine k Waha se Bhi Dhuva Nikal raha hai Kya problem ho sakta hai
Piston rings sudden broken bhi iska ek Karan ho Sakta hai...
Engener khaopri acha vidio
Thank you
Sir tempu start bandh nehi ho raha hai, deep white smoke nikalts hai iska Karan batai.
Iss ghatna ko diesel run-away kahte hai, ... Diesel ki fumes crankcase m jyada jane ke karan ,,, oil fuel ki tarah jalne lagta hai ....fumes ke karan iss tarah hue combustion ko diesel run-away kahte hai....agar aap engine ki oil filing cap se dhua likalne ko nazar-andaaz karte hain tho , aage chalkar aisi condition aati hai........
Iska main karan hai piston rings/cylinder wall ka kharab hona
Good information sir turbocharger pe bhi ek video bnao
Bani hai ...plz check
Sir ji mere pass maruti Suzuki zen tiger MPFI engine wali hai or wo subah bhi blue smoke deti hai or din bhar light blue or whitish niklata hai. Please Suggest me sir ji🙏🙏
Piston rings change karawa lo
20w 40 ingine oil dala scoty mai ab subha dhua de rhi h kya problem h iski
Agar purane engine oil se dhua nhi de rha tha, aur ye wala oil daalne ke baad se hi ye problem aana suru hua hai tho ,oil ki viscosity jyada hai....apko kam viscosity ka oil use karna chahiye...like 5w30
Very helpful 👍👍
Thank you
Sir thanks for the information
Nicely explained
Thank you
Sir mere pass Ecosport TDC hi Usme Aachanak White Dhuan aane laga hi.kaya problem ho sakti Plz 🙏 sir Batayen🙏
Aachanak hua tho head gasket damage hone se ho sakta hai
Ok Thanks Sir ji...
ise kya agency Tak chala kar le ja sakte hain..
Best explanation ❤❤
Sir
Grey rang ka dhua ka Karn hai gear oil
Gear oil engine me kaisa jata hai . Ispar video banau sir
Automatic gear shift wali gadi ke liye ye point bataya hai.....baki normal gadi m tho chance nhi banta hai
White smoke and blue..in the begining it gives white and after running 10-15 kms or high temperature
It gives blue...bs 6 eicher dieseal engine...
Honest review ❤
Sir gaskit lik ho to safad dhuva de to back compressor bhi hota hai
Nhi
@@Engineer_Khopdi back compressor kab hota hai
Sir wall settings par vdo banoo
R170A water pump me gearbox laga sakte hai speed badane ke liye
Engine load nhi le payega
sir mere tractor me exiletor par duaa kala aata hai lekin bad me nhi aata pikup k bad please reply me
Tractor m thoda smoke aata hai..
Jyada details ke liye ye wali video dekhe....
ruclips.net/video/qdgrT0fa8LA/видео.html
Sir mere pass R15 bike hai jab usko morning me start krte hai to 2 mint bhaff jaise dhuan aata hai..
Jab bike chalti hai koi dhuan nahi hota..
But jab bike neutral krke full race deta hu to full RPM pe halka halka dhuan ata hai?
Kya wo piston ring change krne se chala jayega ya puri cylinder kit dalni padegi?
Bike ka meter 12000 RPM hai aur dhuan 10000 RPM se uppr ja k hi aata hai wo bhi halka halka
Kuch change karne ki jarurat nahi hai...
@@Engineer_Khopdi Sir mujhe bike sale krni hai jo buyer hota hai wo bolte hai k isme piston ki problem hai
Sir hundai accent petrol gadi mai ..Thoda thoda blak smok ka problem hai ..lekin pikup ka koi problem nahi hai..pikup mast hai .To kya ho sakta hai..
Air filter aur catalic converter clean kra lo
@@Engineer_Khopdi air filter naya dala hai
बहुत बहुत धन्यवाद जी ❤❤
🙏
Hello sir
I have pulsar 150 bs4 and my bike causes black smoke I have done carburettor tuning,new sparkplug,change airfilter and not oil burning what reason
Engine khulwa lo , piston/rings/valve/block m se kisi m problem hai
@@Engineer_Khopdi इंजिन बनाये 1 महिना हुआ हे
Thanks sir for giving knowledge..
Welcome 🙏
Brother mere bike ke engine ke awaz bilkul brand new jese hai 17k chali hui hai.Lekin jab bike idle pr hoti hai aur mobile ke light se dekhen tu bohat zda light aur bohat he thora light sa smoke atta hai smell ni hoti koi b but agar thori se be race den tu bilkul normal ho jati hai. Kya ye tuning ke zrurt hai?
Aapki bike perfect condition m hai , koi tuning ki jarurat nhi hai... ha agar aap mechanic ke pass jaoge tho wo jaroor apko tuning ko bol sakta hai..kyoki aap uske liye ek customer hai...aage aap kudh samajhdar hai.
@@Engineer_Khopdi sahi bohat bohat shukria bro
Bhai abhi nere pass ek fogo diesel aai he pickup pow problen he. Usme, egr bhi chok tha turbo bhi oil fekta he, engine back compressor bhi krta he, egr change kiya to pickup me 50 %se jyada farak pada he, ab turbo ya back compressor,,, kya ho sakta he reason. Plz bhai fast reply dena
Turbo
Very informative and useful video, Thanks.
Welcome
sir swift gadi morning me 15 se 20 mnt dhua mar rahi hai koi problem to nhi hai🙏
Vdi hai tho dhua mar sakti hai 10-15 min ...isme koi bda issue nhi hai
Sir mere pass 2 cy tata magic hai wo ek din 1 ltr mobile khatam kar rhi hai engine head block sab new dal diya tabbhi khatam kar rhi hai kya problem hogi please help me😞
sir mera mahindra supro maxitruc h white dhuaa de rahi h but ab start ny ho rha h ab
Sabse pahle tho battery check karo down tho nhi hai fir self
Sir, kya ye video bike ke liye bhi hai.
Bike ke liye coolant wali baat fit nhi hoti hai....
Bike m engine bahut chhota aur simple hai isliye normal bike m mainly ek hi tarah ka dhua dekhne ko milta hai jo ki Grey/White/Bluish hota hai ...
iska karan piston rings/cylinder_wall ka ghiss jana hota hai
Sir Mera scooty Start krne se Kuch time tak blue smoke deta hai Uske bad agar Jada Der tak off Raha toh duwara start krnse fir blue smoke deta hai.piston ring bhi change krwaya . please help me out
1. Engine oil max se jyada na Dale
2. Engine oil kam viscosity wala Dale .....agar pahle 20w50 dala hai tho agli baar 10w40 ya 15w40 daalna,,aur agar pahle 10w40 daala hai tho iss baar 5 w30 daalna.
@@Engineer_Khopdi thank you soo much sir 🙏❤️
Thenx veer ji
Welcome 🙏 @Sandy
Sar Ji mera tractor new Eicher 485 dhuwa deta hai Jaise accelerator dabate Hain use time per to sar uska kya Karan ho sakta
Air cleaner saaf karo .... acchhe se
Bhai mera swaraj 735 hai start krte hue black smoke deta hai Or ikdum accelerate krne pr black smoke dkhata hai kia samsya hai btaye hawa mahel thik hai
1..... Diesel nozzle saaf kra lo
2.. Agar pump se jyada diesel khulwaya h tho bhi kala dhua dene lagta h ....
Tdhi awaz bhi down si lg rhi hai uska karan bhi ye nozel hi ho skti hai?
Sir ji Tata iris sapet dua Plus latke lena iski suluyion kya hsi
head gasket aur piston rings ke karan ho sakta hai
Misfire plus jatka ka karan botaiye please Tata Zip bs 4(iris)
Bike men aisa safed dhua deti hen to kya samjhe sir..?
Figo diesel me coolant Bottal se air pani leak ho rha h Back compres h white dhuwa aa rha h continously kya khrabi h kya kam krwana pdega g
Head gasket change hoga
Thanks
Sir meri combin black duaa de rahi hai kaya kare sukha air philtar hai chang nahi huaa ha or diesal phieltar bhi chang hoga
Air filter aur diesel nozzle check kar lo
Tata venture ; सरजी क्या एयर फिल्टर मे इंजिन ऑइल आने का क्या कारण हैं!
Same
बहुत बहुत धन्यवाद
🙏
Bhai engine banwaya tha .aur one month ke baad engine oil badla . Ab jab bike speed 80 ,90 par kuch door chalane par dhua deti hai . Thodi der rok dene k baad chalane par dhua nahi deti . Dhua smell bhi kar rha hai . Hunk bike hai
Bhai aap jo engine oil use kar rhe hai, wo aapki bike ke engine ke hisab se kam viscosity wala (patla)hai ,agli baar jyda viscosity wala oil use karoge tho problem khatam ho jayegi.
@@Engineer_Khopdi bhai hp ka sinthetic oil use kar rha hu
Sir tectar Kala dhuva Nikla ta he
Or engil oil dhoda dhoda Kam hota he
Plz Sahi Ansar de ..
Thoda engine oil kam hone se problem nhi h ...ye normal consumption h.,..........................................
Dhuva kam karne ke liye air filter saaf kare
sir mere paas wegnar gadi h wo girh rang ka dhuwa derahi h or uski resh b mising maar rahi h baki pikup b nhi h usme to kya kharabi hosakti h usme
Missing ki problem ke liye injector saaf kra lo....
Dhua ke liye ....
Pcv valve change kar ke check kra lo ..
Nhi tho fir engine m kaam karana padega...like , valve seal change/ piston rings change/ head gasket check
thnku sir
Alto K10 3.25Ltr dal diya hai kya koi problem hogi
3.2 m problem nhi hogi
Hi
Mere pass maruti 800 hai woh pahle lpg thi ab nahi hai .ab sirf petrol hai
Woh har suba dhuva nikalta hai
Piston aur Cylinder wall m play aa gya hai .... ghiss gya hai.
woh bda kam hota hai kya
Sir swift ldi ke injectors 4baar karwa liye par morning me kadwa dhuwa aata h kya kru
Engine full overhaul karwa lo... permanent solution
Very nicely described 👌 👍
Thank you
Kirloskar 4 cylinder ka video Dunga किन-किन Karan se deta hai engine
Dhua ke main karan iss video m bataya gya hai
Sir ji mere paa 27 hp tractor hai .jabhi tractor load pe chalata hai ta white smoke deta hai kya karan hoga
1.. .. tubro engine hai tho turbo se leak check kare.
2... Piston rings ka ghis jana bhi ek karan hota hai..
Subah choke se bike(TVS Phoenix 125) start krte time blue smoke aata hai choke hatane pe band ho jata hai kya kare
Agar smoke band ho jata hai tho fir Ok hai....koi problem nahi hai
@@Engineer_Khopdi Thanks 👍👍
Sir me diesel car me white smoke mar rhi terbo mobile uta rha thoda bhur oil silencer me b aa rha kya terbo ki problem h
Turbo ka problem hai
Maine 15 days pehle swift dezire ldi ka turbo change karvaya tha abhi white smoke aaraha hai kya reason hai plz batao
Turbo se hi oil leakage ke karan smoke aane ke jyada chance lag rahe hai, apka question dekhakar
Great explanation
Thank you 😊
Verry good knowledge 👍👍👌👌🙏🙏
Thank you
Alto 2010 gadi me AC START KARNE K BAD SHAM KO REDIATOR KA WATER LEVEL DOWN HO RAHA HAI USKA KOI SOLLUTION
Aapne likha hai sham ko kam hota hai, jabki aap din m use karte hai ...tho gadi band karne ke kuchh ghante baad jab pani thanda hota hai tho kam hota hai ....matlab ki thanda hone par radiator tank se wapis pani nahi kheech pa rha, ...iske liye aap radiator ka dhakkan badal kar dekh le , aur doosra ye cheez bhi dekhe ki coolant tank ke ander pani ya coolant sahi Nishan tak bhra ho..
सर जी मेरी गाड़ी महिंद्रा 265 है उसके साइलेंसर से जाला हुआ काला मोबिल आ रहा है और हेड से बहुत हल्का उजला भाफ गैस आ रहा है कैसे ठीक करे... क्या आप बता सकते है रिमांग डाउन है ya हेड गैस kit जला हुआ है
रिंग डाउन है, इंजन खुलेगा
Sir good morning
Sir mere paas tata indigo ecs (D) 2014 model hai ....uska ac continue work nahi karta....bich bich me trip karta hai....Baad me 2 to 4 min k baad start kare ti sahi work karta hai....
To sir kya problem ho sakti hai?
Good morning Bhai...
Air filter saaf kar ke dekh lo agar thik ho gya tho , nhi tho fir coil ka problem hai jo ki costly hai..