Suna Hai Log Usay - Ahmad Faraz - Urdu Hindi Ghazal Poetry
HTML-код
- Опубликовано: 25 ноя 2024
- A Beautiful Ghazal Written By "AHMAD FARAZ" And Recited By Zia Anjum - ضیاء انجم
/ xia.anjum
+92-321-4655052
Listen Or Download In Audio:-
www.mediafire.c...
======-Lyrics / Ghazal-========
Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain
Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharaab Haaloon Se
So Apne Aap Ko Badbaad Ker K Dekhtey Hein
Suna Hai Din Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Thehar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain
Suna Hai Dard Ki Ghaahak Hai Chashm-E-Naaz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Se Guzar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ko Bhi Hai Shair-O-Shaeri Se Shaguf
So Hum Bhi Moujazzay Apne Hunar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Hashr Hain Us Ki Ghazzaal See Ankheen
Suna Hai Us Ko Hiran Dasht Bher Key Dekhtey Hain
Suna Hai Us Ki Siyah Chashmagi Qayamat Hai
Soo Us Ko Surma Faroosh Aah Bher Key Dekhtey Hain
Suna Hai Raat Use Chaand Takta Rehta Hai
Sitaray Baam-E-Falak Se Utar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Rat Se Barh Kar Hain Kaakalian Us Ki
Suna Hai Shaam Ko Saye Guzar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ke Labon Se Gulab Jalate Hain
So Ham Bahar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Us Ke Shabistan Se Mutasil Hai Behisht
Makeen Udhar Ke Bhi Jalway Idhar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Aaina Tamasaal Hai Jabee'n Us Ki
Jo Sada Dill Hain Ussey Ban Sanvar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Jab Se Hamail Hain Us Ki Gardan Main
Mizaj Aur Hi Lal-O Gauhar Ke Dekhtay Hain
Suna Hai Chashm-E-Tasavur Se Dasht-E-Imkaan Main
Palang Zawaiye Us Ki Kamar Ke Dekhtay Hain
Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain
Bus Ek Nigaah Sey Lut-Ta Hai Qafila Dil Ka
Soo Raah-E-Rawaan-E-Tammana Bhi Dar Ke Dekhte Hain
Kahanian Hee Sahi, Sab Mubalghey Hee Sahih
Ager Woh Khawb Hai Tabeer Ker Key Dekhtey Hain
Woh Saruqad Hai Magar Begul-E-Muraad Nahin
Ke Us Shajar Pe Shagufay Samar Ke Dekhtay Hain
Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey ?
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain
Ab Us K Shehar Me Tehrein K Kooch Ker Jain
Faraaz Aao Sitaarey Safer K Dekhtey Hein