khuda ne ser ka kaha tou phir chalenge kabhi mushkilein ghair hogayin tou phir hansenge kabhi zakham gar seir hogaye tou phir larenge kabhi sharabein nehr hogayin tou phir doobenge kabhi khuda ne seher ka kaha tou phir uthenge kabhi bhari dopeher mein niklenge aur karenge rami fursat e waqt jo milay tou phir tootenge kabhi dil ko phir jaan jo milay tou phir marenge kabhi hathon ki lakheerein apas mein meri takrayen qismaton ka ulajhna hai aam sa ab dard bhi ek bin bulaye se mehman sa ab lagay likhna bhi fuzool se ek kaam sa ab sada alfaz me mein baatein karun, har aik lafz chun ke bolta hun mein lafzon ka karigar hun aur ab hath kitnay kalay karun, matti kheenchti hai mujhay aur mein khud hi usmein pani bharun muflis ko zeher hi jachay kahay hai marasi karke khirkiyon ko muqaffal mein andhera sametun kifayat e zikr e yaar ke mela lapetun shikayatein samete pyar se unko mein dekhun ab tu hi bata mujhko kya dillagi ne mara tabhi bandagi mein jhuk gaya teri khata meri pehchan diya jo zeher tu ne wo mere liye mushk hogaya dillagi ne mara tabhi bandagi mein jhuk gaya diya jo zeher tu ne wo mere liye mushk hogaya
khuda ne ser ka kaha tou phir chalenge kabhi
mushkilein ghair hogayin tou phir hansenge kabhi
zakham gar seir hogaye tou phir larenge kabhi
sharabein nehr hogayin tou phir doobenge kabhi
khuda ne seher ka kaha tou phir uthenge kabhi
bhari dopeher mein niklenge aur karenge rami
fursat e waqt jo milay tou phir tootenge kabhi
dil ko phir jaan jo milay tou phir marenge kabhi
hathon ki lakheerein apas mein meri takrayen
qismaton ka ulajhna hai aam sa ab
dard bhi ek bin bulaye se mehman sa ab
lagay likhna bhi fuzool se ek kaam sa ab
sada alfaz me mein baatein karun,
har aik lafz chun ke bolta hun mein lafzon ka karigar hun
aur ab hath kitnay kalay karun,
matti kheenchti hai mujhay aur mein khud hi usmein pani bharun
muflis ko zeher hi jachay kahay hai marasi karke khirkiyon ko muqaffal mein andhera sametun
kifayat e zikr e yaar ke mela lapetun
shikayatein samete pyar se unko mein dekhun
ab tu hi bata mujhko kya
dillagi ne mara tabhi bandagi mein jhuk gaya
teri khata meri pehchan
diya jo zeher tu ne wo mere liye mushk hogaya
dillagi ne mara tabhi bandagi mein jhuk gaya
diya jo zeher tu ne wo mere liye mushk hogaya