Iqbal Bano - Kuch Tu Ehsas e Ziyan Tha Pehlay

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 13 май 2024
  • Only platform for High Quality noiseless Audio & HD Video Songs of Pakistan
    Don't forget to subscribe / @pakistanmusicvevo
    Presenting you from the golden era of music hits.
    Original Music of Pakistan
    Pakistani Ghazal & Songs
    Pakistan Music VEVO
    #pakistanimusic
    #Pakistanmusicvevo
    #pakistanmusic
    #pakistanisongs
    #iqbalbano
    #nasirkazmi
    #ghazal
    Vocal: Iqbal Bano
    Lyrics: Nasir Kazmi
    Pakistan Television Program Nikhar 1974
    Tabla: Muhammad Alvi
    Audience: Ehsan Danish, Nayyara Noor, Sheheryar Zaidi, Kishwar Nahid, Amjad Islam Amjad, Ahmed Faraz, Ayub Roomani, Yusuf Kamran and Others
    Audio Video enhanced by Shaam PRoductions
    کچھ تو احساس زیاں تھا پہلے
    دل کا یہ حال کہاں تھا پہلے
    اب تو جھونکے سے لرز اٹھتا ہوں
    نشۂ خواب گراں تھا پہلے
    اب تو منزل بھی ہے خود گرم سفر
    ہر قدم سنگ نشاں تھا پہلے
    سفر شوق کے فرسنگ نہ پوچھ
    وقت بے قید مکاں تھا پہلے
    یہ الگ بات کہ غم راس ہے اب
    اس میں اندیشۂ جاں تھا پہلے
    یوں نہ گھبرائے ہوئے پھرتے تھے
    دل عجب کنج اماں تھا پہلے
    اب بھی تو پاس نہیں ہے لیکن
    اس قدر دور کہاں تھا پہلے
    ڈیرے ڈالے ہیں بگولوں نے جہاں
    اس طرف چشمہ رواں تھا پہلے
    اب وہ دریا نہ وہ بستی، نہ وہ لوگ
    کیا خبر کون کہاں تھا پہلے
    ہر خرابہ یہ صدا دیتا ہے
    میں بھی آباد مکاں تھا پہلے
    اڑ گئے شاخ سے یہ کہہ کے طیور
    سرو اک شوخ جواں تھا پہلے
    کیا سے کیا ہو گئی دنیا پیارے
    تو وہیں پر ہے جہاں تھا پہلے
    ہم نے آباد کیا ملک سخن
    کیسا سنسان سماں تھا پہلے
    ہم نے بخشی ہے خموشی کو زباں
    درد مجبور فغاں تھا پہلے
    ہم نے ایجاد کیا تیشۂ اشک
    شعلہ پتھر میں نہاں تھا پہلے
    ہم نے روشن کیا معمورۂ غم
    ورنہ ہر سمت دھواں تھا پہلے
    ہم نے محفوظ کیا حسن بہار
    عطر گل صرف خزاں تھا پہلے
    غم نے پھر دل کو جگایا ناصرؔ
    خانہ برباد کہاں تھا پہلے
    ناصر کاظمی
    kuchh to ehsās-e-ziyāñ thā pahle
    dil kā ye haal kahāñ thā pahle
    ab to jhoñke se laraz uThtā huuñ
    nashsha-e-ḳhvāb-e-girāñ thā pahle
    ab to manzil bhī hai ḳhud garm-e-safar
    har qadam sañg-e-nishāñ thā pahle
    safar-e-shauq ke farsañg na pūchh
    vaqt be-qaid makāñ thā pahle
    ye alag baat ki ġham raas hai ab
    us meñ andesha-e-jāñ thā pahle
    yuuñ na ghabrā.e hue phirte the
    dil ajab kunj-e-amāñ thā pahle
    ab bhī tū paas nahīñ hai lekin
    is qadar duur kahāñ thā pahle
    Dere Daale haiñ bagūloñ ne jahāñ
    us taraf chashma ravāñ thā pahle
    ab vo dariyā na vo bastī na vo log
    kyā ḳhabar kaun kahāñ thā pahle
    har ḳharāba ye sadā detā hai
    maiñ bhī ābād makāñ thā pahle
    uḌ ga.e shāḳh se ye kah ke tuyūr
    sarv ik shoḳh javāñ thā pahle
    kyā se kyā ho ga.ī duniyā pyāre
    tū vahīñ par hai jahāñ thā pahle
    ham ne ābād kiyā mulk-e-suḳhan
    kaisā sunsān samāñ thā pahle
    ham ne baḳhshī hai ḳhamoshī ko zabāñ
    dard majbūr-e-fuġhāñ thā pahle
    ham ne ījād kiyā tesha-e-ashk
    sho.ala patthar meñ nihāñ thā pahle
    ham ne raushan kiyā māmūra-e-ġham
    varna har samt dhuāñ thā pahle
    ham ne mahfūz kiyā husn-e-bahār
    itr-e-gul sarf-e-ḳhizāñ thā pahle
    ġham ne phir dil ko jagāyā 'nāsir'
    ḳhāna-barbād kahāñ thā pahle
    Nasir Kazmi
    vevo.ly/zQ0Ub5
  • ВидеоклипыВидеоклипы

Комментарии • 4

  • @user-rj8ki1vr3e
    @user-rj8ki1vr3e 2 месяца назад

    Bohut aala singer theen, Ustad Iqbal Bano Sahiba , kya ghazal gaee hai,wah Wah, Very nice collection ,Allah Ghareeqay Rehmat Fermaye unhain. Ameen. 👏👏👏👏👏

  • @hemantmhapankar3645
    @hemantmhapankar3645 23 дня назад

    Nice 👌

  • @muhammadfaheemakhtar6827
    @muhammadfaheemakhtar6827 2 месяца назад

    Good to see so many famous persons in the audience
    Nice selection

  • @sherozkayani6569
    @sherozkayani6569 2 месяца назад

    Thank you so much for posting this. A true hidden gem.