Sir ap ko fhir 2 kw ka connection lena chahiye agar fridge and washing machine ko bhi form me dikhayenge lekin yah load regular load nahi hota washing machine and fridge ka kuch der machine chalti hai aur band kar di jati hai zarurat ke motabik agar aise jodne lagenge to 5 kw ka connection bhi Kam pad jayega . Aap ke liye 2 kw ka connection perfect rahega agar sab kuch dikhana chahte hai to ya fhir 1 kw ka connection lelijiye baad me load badhwa lijiye SDO ko bas aik application dena padta hai load badhwane ke liye , aap calculation kar lijiye fridge kitne watt ki hai washing machine kitne watt ki hai fan kitne ghar me hai aur kitne watt ke hai moter Pani wala kitne watt ka hai led kitni hai aur kitne watt ki hai sab jod lijiye aur isme kuch load regular chalte hai aur kuch din bhar me 1 ya 2 ghante hi chalte hai to kya Ghar ka load ghata ke fridge chala sakte hai aise hi 1 baar washing machine aur jab kapde dhul jaye to fridge chalu kar lijiye aise calculation kar lijiye tab deside kariye 1 kw sahi rahe ga ya 2 kw sahi rahega. Ummid hai samajh aa gayi hogi meri baat aap ko
मेरा तीसरा चरण पूरा हो गया है और 1306 पेमेंट करने की जगह पर 1896 पेमेंट करने के लिए बोल रहा है यह क्या समस्या है। जबकि मैने 1kw rural hi select Kiya hai. Plz reply,
Area ke hisab se payment karwate hai sab mere area me 1306 payment karwate hai dehat ka yah fees Shari area ki zayada hoti hai. App yah dekhiye ki pdf me kitna amount J E ne dikhaya hai PDF wahi 3rd step me hi dikhe ga jo JE ne report lagaya hai. Dehat ka 1306 aur Shari area ka 1800 ke aspas fees lagti hai
Sir mene 7584 rs ka pement kiya he preepaid meeter lagna he hamara me 7 step pr hu pement kiye huve mujhe 2 weeks ho gaye hain per abhi tak metre nahin Laga Jay se baat ki to vah bolate Hain hamari side nahin hai sar koi bhi Sahi nahin bata raha
Bahutt umda zannkari hai..prr 3 step prr rokk diye th..main bhi kmm nhi tha ghuus diya aur video bana li.aub khud phone krr rahe hai ki sir aajar mul lijiye..meter lgg gaya apka..lekin inki video dm ko aur news channel ko dunnga.phir samjh ayega inhe
Sir mene 5 kw ka commercial apply kra hai ma 6 step pa agya hun usma 2 option ma yes no ka araha hai Armour cable and site ready for meter installation usma yes yes krduna and kuch upload to krna nhi hai usma noc bhi dikha raha hai 50 kw k liye to wo hamare liye nhi hai na. Baki wo 15000 fees black ma lete hai unhone liye wrna to wo idhar udhar jane k liye bolte rehte hain 😢 total 118+10849 online laga application ma and baki 15000 ghus liya😑
Aise hi sab dimand karte hai thoda manage kijiye ya fhir complent koi prof rahe to kar dijiye. Sabse asan online kar dijiye aur sath me online ke 10 days ke baad agar connection ke liye nahi aa rahe sab to cm helpline pe shikayat kar dijiye aur bizli wibhag me bhi complent kariye fhir 5000 se 2500 pe aa jayenge sab
Last step me details rahta hai jab meeter ghar pe lag jata hai to last step me wahi certificate download hota hai jo aap kah rahe hai. Yani login karke nikal lijiyega
Sir mera application level 3 me hai officer aaya tha survey karne 500 rupees mang raha tha mene nahi diya mushe kah raha hai ki apka application me cancel karwa dunga Aur woh stamp ka affidavit mang raha tha file bol raha tha Help😢
Line man aaiga woh khud connection karega agar pahle se light chal rahi ho to hata dijiye warna fine lag jayega. Ap wire jo electricity department kahe woh kharid ke rakhiye ga woh khud connection karega yani lineman. Aaj kal aik tar aata hai bahut manhga hota hai. Uske rahne pe hi connection karte hai sab
सब झूठ है।up मे बगैर रिश्वत के कोई काम नही होता है मै ऑनलाइन आवेदन कर रखा हूँ 3स्टेप पर हूँ JE साईट देख गया है ।अब पैसे माग रहा है रिपोर्ट लगाने के।जब तक रिपोर्ट नही देगा मीटर के पैसे जमा नही होंगे।ये कैसा झटपट कनेक्शन है जो 8स्टेप मे पुरा होता है
Apne bilkul sahi pakda hai lekin process yahi hai jo ki nishulk hai lekin bhai ap to badi achchi tarah se jan rahe hai ki sarkari koi kaam bagair paise ke nahi hota . Koi bahut achcha adhikari ho to woh rishwat nahi leta. Jhatpat bas bolne ko hai yah process 10 din se lekar 2 month Tak ka hai jo ki apne bilkul sahi kaha ki yah jhatpat kaam Kahan hua ise bhi mai Manta hun. 1 se 8 step ki video bhi banane ke liye mujhe 1 month se upar wait karna pada
J E report ke liye paise mang raha hoga fhir line man jam meeter lagane aaiga tab bhi paise lega lekin sir yah baat mai RUclips video me nahi bol sakta tha warna video RUclips delete kar deta isi liye video me rishwat ki baat nahi bola mai
Achcha ab ham kar kya sakte hai jab process hi yahi hai. 1. Ap J E ko paise dete samay video bana sakte hai lekin je ki video banaiye ga uske kisi sahyougi ki nahi kiyun ki paise lene ke liye JE kisi ko rakhe rahta hai. 2. Ap iski shikayat kar sakte 1912 pe ya CM portal 1076 pe call kar sakte hai. 3. Yah sab na karna pade isi liye log jhanjhat me nahi padna chahte aur paise dekar connection karwa lete hai lekin pura process free hota hai 4. Agar aap kisi dukandar se online karwaiyenge to woh 3000 ya 2500 leta hai jisme woh adhikari ko bhi khilata hai yahi aap online khud se karke aur sabko khila pila ke 700 se 800 ap bacha sakte hai . Ummid hai sari bate apko samajh aa gaye hongi lekin mai rishwat ke khilaf hun . aap ladna jante hai to bagair paise ke hi Sara kaam ho jayega . Agar meri baton se ap sahmat hon to reply dedijiye ga
Jb jee rpuye mngta h toh record krne bad ek aaplication लिखनी ह usko post office se cm dm bijli office or likh kr post kr do khud aayenge or connection krnge Kyu mere sath bhi aisa he hua main ne in sb ke report type kr se post kr de. Ab khud se jee or lineman aaye or connection kr diya
Sir mujhe ye pata karna hai ki feasibility report upload hone mein kitna time leta hai JE abhi tak 3rd step pe hi hain sir iss chiz par bhi ek baar video banaiye
Aap ne kya select Kiya tha jab form online Kiya tha wahan option ata hai ki taar aap denge ya vibhag taar laye woh aap dekh lijiye but aksar taar hamko hi purchase Karna hota hai
हां आवेदन मे केबल स्वय॔ मैने देने का ऑप्सन भरा था। JE कह रहा है कि इतना ही केबल लगेगा , हमे जो केबल मिलती है वह हम कहॉ ले जाएंगे। केबल केवल 10 मीटर ही लगेगी। और वह 45 मीटर जारज कर रहा है।
Ap to badi shoking wali baat bataye hai bhayya, bagair meeter installation ke 7 step ki report lagate hi nahi J E log, meeter ka photo and meeter se khambhe Tak ka video bana ke le jata hai lineman,
1. Agar Aisa hai to sir SDO office yani power house me Jake baat kariye tabhi kaam ho payega. 2. Lineman jo gaoun me ata hai usse bhi baat kar sakte hain meeter wahi install karta hai. 3.is toll free number pe 1912 shikayat bhi darj kar sakte hain isse yah hoga ki J E aapko call karega . Dekh lijiye yahi sab tarike hai
Sir meri 11 RS fees kati thi or ab 2278 ka estimate bna Diya hai JE ne. Kya ye estimate Kam ho sakta hai JE se baat karke ya phir new registration kraya jaye 59 rs vala. What should I do Sir. Please help me......
Aap aik application dedijiye sdo office me Power House me yah office hoti hai application me estimate fees badhi hai uske bare me likhiye ga apka estimate ghata denge koi aur registration karne ki zarurat nahi hai
Line man Ghar pe aaiga jo 3 date apne select Kiya hai woh jis Ghar me light lagni hai woh site ready hai ki nahi agar sab sahi rahega to wo JE ko report dega tab JE uspe ok likh dega meeter ke payment ke liye
Line man se puch lijiye ya apke pados me kisi ka connection hoga uspe dekh lijiye ya apke najdeek jo bhi power House hai wahan contact kar lijiye. Online se ap confused honge is liye offline hi dekhiye achcha rahega. Thanks for comment
Payment ho jayega to 3 step ya 7 step pe ruk jayega. Aap status chek kariye login kar ke jhatpat Portal. Jab payment Kiya jata hai to success ka massage aa jata hai
90% log Ghar ke liye 1 kw ka hi Connection lete hai. Bilkul milega. Agar nahi power house wale de rahe to 1912 pe call kar ke shikayat darj karwa dijiye
Sarkari kaam hai. Date ka selection isi liye kiya jata hai ki visit karen but yah log apne hisab se deal karte hai yahi dikkat hai. Thoda late lateef aaiga ya call zarur karega , dekhiye ga meeter laga ke paise bhi mangega manage kar lijiye ga. Paisa na dena behtar option hai.
Ji 1 week se 20 din Tak ka time lagta hai 1 se 8 steps pure hone me kabhi kabhi to 1 month se upar bhi lag jata hai 1912 se koi help nahi milti woh log power house ki side lete hai hamesha
Koi zarurat nahi help line number ki mai apki help karta hun , helpline wale bhi is mamle me koi help nahi hai bas bol dete Hain ki najdiki power house me jaiye samjhe aap
@@publichelpdesk2020hmm , abhi mai result ka wait ker raha ki approv hue ki reject , agar reject kerdege mere application , phir mai offline hi jao ga , maine baat ki hai bijli wale se , wo bol raha ek new appplication phir daal do , ab bar bar application dalege , tho step 3 mai tho wahi ayega...
Offline kabhi connection nahi hota apko offline bola ja raha hai but paise zayada leke fhir woh wahi wala approve kar denge aap bilkul bhi pariksha mat hoiye, line man se zayada padhe likhe aap honge , koi new application mat daliye ga abhi isi application pe dobara se query aaigi to us samay usi zameen ki khatauni upload kar dijiyega
yaar mere mai bola gaya step 3 mai ki upload all registry pages and noc stamp , jab maine 25 pages upload kiye , upload tho hogaya but jab submit kiya tho , bas 1 page show horaha , files view mai , pata nai kese website banate ye log , offfline hi jaaana padhega
Aik baar online karne me dikkat hogi fhir apko yahi kaam asan lagne lagega , bilkul bhi offline nahi Jana hai aap offline jayenge to agla bhi online hi karega aur aapse charges badha ke lelega , ham apki help me hai
Ap apne gaun ya padosi se kisi ka bill dekhiye ki woh kis power house me jama karne jata hai ya meeter reader se contact kar lijiye ki woh kis power house se aya hai apke pados me bill nikalne . Ap khud hi sahi power house pata kariye J E kaam Kam karte hai parishan zayada karte hai
Ap 3rd step yani rs 59 ka payment Kiya hai aapne ya full 1400 ke aas paas payment Kiya hai. Bahut late kaam karte hai sab power house wale . Mere yahan 10 din ke andar sab kuch ho jata hai
बहुत ही शानदार तरीके से समझाया है अपने इस वीडियो❤
धन्यवाद सर आपका,
Bahut accha explain kiya bhai ek ek step samjh me a gya
Mera aaj 3rd step ho gya JEE ne report lga di hai ab aage complete kr luga thanks bro😊🙏🏻
Bahut saandar samjhane ka tarika hai aapka
Thanks tabrez bhai
बहुत अच्छी तरह से explain किया है आपने 👍
बहुत अच्छे से समझाये है भाई जी ऐसे हि वीडियो बनाते रहे
Thanks bhayya meri puri koshish rahti hai ki bilkul sahi aur buniyadi jankari di jaye
Very Helpful video. 🙏
Very informative video ❤
Thanks
Very informative video ❤️
Thanks
Sir mera 7 step par meter nhi laga lekin meter no allott ho gya ab main kya karu age
Washing Machine & Fridge bhi unhe bhi Mention karna padega kya or aggar larna hai to kitna watt show kare...?
Sir ap ko fhir 2 kw ka connection lena chahiye agar fridge and washing machine ko bhi form me dikhayenge lekin yah load regular load nahi hota washing machine and fridge ka kuch der machine chalti hai aur band kar di jati hai zarurat ke motabik agar aise jodne lagenge to 5 kw ka connection bhi Kam pad jayega . Aap ke liye 2 kw ka connection perfect rahega agar sab kuch dikhana chahte hai to ya fhir 1 kw ka connection lelijiye baad me load badhwa lijiye SDO ko bas aik application dena padta hai load badhwane ke liye , aap calculation kar lijiye fridge kitne watt ki hai washing machine kitne watt ki hai fan kitne ghar me hai aur kitne watt ke hai moter Pani wala kitne watt ka hai led kitni hai aur kitne watt ki hai sab jod lijiye aur isme kuch load regular chalte hai aur kuch din bhar me 1 ya 2 ghante hi chalte hai to kya Ghar ka load ghata ke fridge chala sakte hai aise hi 1 baar washing machine aur jab kapde dhul jaye to fridge chalu kar lijiye aise calculation kar lijiye tab deside kariye 1 kw sahi rahe ga ya 2 kw sahi rahega. Ummid hai samajh aa gayi hogi meri baat aap ko
2 kw aapke liye sahi rahega
मेरा तीसरा चरण पूरा हो गया है और 1306 पेमेंट करने की जगह पर 1896 पेमेंट करने के लिए बोल रहा है यह क्या समस्या है। जबकि मैने 1kw rural hi select Kiya hai. Plz reply,
Area ke hisab se payment karwate hai sab mere area me 1306 payment karwate hai dehat ka yah fees Shari area ki zayada hoti hai. App yah dekhiye ki pdf me kitna amount J E ne dikhaya hai PDF wahi 3rd step me hi dikhe ga jo JE ne report lagaya hai. Dehat ka 1306 aur Shari area ka 1800 ke aspas fees lagti hai
Koi dikkat aai to comment kariye ga
Gaoun me kisi ne new connection lagwaya hai to unse bhi aik baar contact kar sakte hai ki unka kitna laga
Rural select kiye hai but supply urban se to nahi milti yah bhi dekh lijiyega kiyun ki bahut se gaon town area se jude rahte hai
@@publichelpdesk2020 शहरी नही है भाई, ग्रामीण एरिया ही है।
Bahut achhi video
Thanks
mere meter lagne ki date
8 july 2024 thi jo ki aaj nikal gyi hai lekik aaj mera meter nhi laga hai btaiye kya kare ab
J E se contact kariye ya lineman se . Yah log late latifi bahut karte hai. Yahi samasya hai
Sir mene 7584 rs ka pement kiya he preepaid meeter lagna he hamara me 7 step pr hu pement kiye huve mujhe 2 weeks ho gaye hain per abhi tak metre nahin Laga Jay se baat ki to vah bolate Hain hamari side nahin hai sar koi bhi Sahi nahin bata raha
Very helpful video
Thanks
Bahutt umda zannkari hai..prr 3 step prr rokk diye th..main bhi kmm nhi tha ghuus diya aur video bana li.aub khud phone krr rahe hai ki sir aajar mul lijiye..meter lgg gaya apka..lekin inki video dm ko aur news channel ko dunnga.phir samjh ayega inhe
Knowledgable video
Thanks
Sir mene 5 kw ka commercial apply kra hai ma 6 step pa agya hun usma 2 option ma yes no ka araha hai Armour cable and site ready for meter installation usma yes yes krduna and kuch upload to krna nhi hai usma noc bhi dikha raha hai 50 kw k liye to wo hamare liye nhi hai na. Baki wo 15000 fees black ma lete hai unhone liye wrna to wo idhar udhar jane k liye bolte rehte hain 😢 total 118+10849 online laga application ma and baki 15000 ghus liya😑
Isi liye ham log kafi piche hai. Corruption se desh bahut pareshan hai. Bahut dukh hua ki itna Sara paise waste ho gaye. Cable khud kharidiye achcha rahega .
Mera 3 step par aa gaya hai report ok hone ke baad 1424 pement karna hai par report ka pdf not ok dikha raha hai kya kare sir reply me
Payment kar dijiye
Maine 2kw k liye apply Kiya h
Govt fees 2700 h
Line man 5000 mang rahe h kya karu
Aise hi sab dimand karte hai thoda manage kijiye ya fhir complent koi prof rahe to kar dijiye. Sabse asan online kar dijiye aur sath me online ke 10 days ke baad agar connection ke liye nahi aa rahe sab to cm helpline pe shikayat kar dijiye aur bizli wibhag me bhi complent kariye fhir 5000 se 2500 pe aa jayenge sab
Nice video bhai ❤❤❤❤
Thanks
Hello bhai mujhse aapse kuch jankari चाहिए मैं भी फूलपुर क्षेत्र के खुटौली,दुर्बासा से हु ... कुछ रिप्लाई करिए
Boliye sir ham bilkul reply denge
Aap ko jo bhi jankari chahiye bilkul puchiye sir . Aap likh dijiye ham sabka jawab denge
Meeter sealing certificate kaise aur kha par milega🙏
Last step me details rahta hai jab meeter ghar pe lag jata hai to last step me wahi certificate download hota hai jo aap kah rahe hai. Yani login karke nikal lijiyega
Good 👍👍
Thanks
Bhai 13/07 date ko apply kiya tha per aaj 17/07 date ho gaya hai bijli vibhag ki taraf se koi visit nahi huwa
Sir mera application level 3 me hai officer aaya tha survey karne 500 rupees mang raha tha mene nahi diya mushe kah raha hai ki apka application me cancel karwa dunga
Aur woh stamp ka affidavit mang raha tha file bol raha tha
Help😢
Fir kya huva reply bhai
J E से मिलो कोई पैसे नहीं देने
@@Aadharpansolution Bhai je bhi paise mang raha tha 5000 fir me apne upper division me sto ko complaint Kiya toh fir Kam ho gaya
Cable kab khichwana padta metre lagane sein pahle dusre sein cable khichwana padta hein kya
Line man aaiga woh khud connection karega agar pahle se light chal rahi ho to hata dijiye warna fine lag jayega. Ap wire jo electricity department kahe woh kharid ke rakhiye ga woh khud connection karega yani lineman. Aaj kal aik tar aata hai bahut manhga hota hai. Uske rahne pe hi connection karte hai sab
सब झूठ है।up मे बगैर रिश्वत के कोई काम नही होता है मै ऑनलाइन आवेदन कर रखा हूँ 3स्टेप पर हूँ JE साईट देख गया है ।अब पैसे माग रहा है रिपोर्ट लगाने के।जब तक रिपोर्ट नही देगा मीटर के पैसे जमा नही होंगे।ये कैसा झटपट कनेक्शन है जो 8स्टेप मे पुरा होता है
Apne bilkul sahi pakda hai lekin process yahi hai jo ki nishulk hai lekin bhai ap to badi achchi tarah se jan rahe hai ki sarkari koi kaam bagair paise ke nahi hota . Koi bahut achcha adhikari ho to woh rishwat nahi leta. Jhatpat bas bolne ko hai yah process 10 din se lekar 2 month Tak ka hai jo ki apne bilkul sahi kaha ki yah jhatpat kaam Kahan hua ise bhi mai Manta hun. 1 se 8 step ki video bhi banane ke liye mujhe 1 month se upar wait karna pada
J E report ke liye paise mang raha hoga fhir line man jam meeter lagane aaiga tab bhi paise lega lekin sir yah baat mai RUclips video me nahi bol sakta tha warna video RUclips delete kar deta isi liye video me rishwat ki baat nahi bola mai
Achcha ab ham kar kya sakte hai jab process hi yahi hai. 1. Ap J E ko paise dete samay video bana sakte hai lekin je ki video banaiye ga uske kisi sahyougi ki nahi kiyun ki paise lene ke liye JE kisi ko rakhe rahta hai.
2. Ap iski shikayat kar sakte 1912 pe ya CM portal 1076 pe call kar sakte hai.
3. Yah sab na karna pade isi liye log jhanjhat me nahi padna chahte aur paise dekar connection karwa lete hai lekin pura process free hota hai
4. Agar aap kisi dukandar se online karwaiyenge to woh 3000 ya 2500 leta hai jisme woh adhikari ko bhi khilata hai yahi aap online khud se karke aur sabko khila pila ke 700 se 800 ap bacha sakte hai . Ummid hai sari bate apko samajh aa gaye hongi lekin mai rishwat ke khilaf hun . aap ladna jante hai to bagair paise ke hi Sara kaam ho jayega . Agar meri baton se ap sahmat hon to reply dedijiye ga
Jb jee rpuye mngta h toh record krne bad ek aaplication लिखनी ह usko post office se cm dm bijli office or likh kr post kr do khud aayenge or connection krnge
Kyu mere sath bhi aisa he hua main ne in sb ke report type kr se post kr de. Ab khud se jee or lineman aaye or connection kr diya
CBI को call करदो और फिर वो बतायेंगे आगे कैसे रिश्वत देनी है
Sir mujhe ye pata karna hai ki feasibility report upload hone mein kitna time leta hai JE abhi tak 3rd step pe hi hain sir iss chiz par bhi ek baar video banaiye
Report should be submit with in 7 days
Taar free me milta hai kya aur meter tax katta h ky month me
Aap ne kya select Kiya tha jab form online Kiya tha wahan option ata hai ki taar aap denge ya vibhag taar laye woh aap dekh lijiye but aksar taar hamko hi purchase Karna hota hai
@@publichelpdesk2020 kon sa tar acha hota hai
Application me armour cable self bear krne ka option diya tha
To bhi cable 2080 ki charge kr rhe hain
@@mukerjeeparkschool6614 ooo isse acha h khud se khreed ke dena
हां आवेदन मे केबल स्वय॔ मैने देने का ऑप्सन भरा था।
JE कह रहा है कि इतना ही केबल लगेगा , हमे जो केबल मिलती है वह हम कहॉ ले जाएंगे।
केबल केवल 10 मीटर ही लगेगी।
और वह 45 मीटर जारज कर रहा है।
Gst number dalna jaruri hai
Step 8 pura hone k baad bhi meter nhi lga h abhi tk kya kre aage plzz reply
Ap to badi shoking wali baat bataye hai bhayya, bagair meeter installation ke 7 step ki report lagate hi nahi J E log, meeter ka photo and meeter se khambhe Tak ka video bana ke le jata hai lineman,
Aisa hi hua h bhai meter lga nhi hai aur certificate download ho gya h step 8 bhi complete h ab sanjh hi nhi aa rha kya kru
1. Agar Aisa hai to sir SDO office yani power house me Jake baat kariye tabhi kaam ho payega. 2. Lineman jo gaoun me ata hai usse bhi baat kar sakte hain meeter wahi install karta hai. 3.is toll free number pe 1912 shikayat bhi darj kar sakte hain isse yah hoga ki J E aapko call karega . Dekh lijiye yahi sab tarike hai
Ok thank you brother
Sir meri 11 RS fees kati thi or ab 2278 ka estimate bna Diya hai JE ne.
Kya ye estimate Kam ho sakta hai JE se baat karke ya phir new registration kraya jaye 59 rs vala.
What should I do Sir.
Please help me......
Aap aik application dedijiye sdo office me Power House me yah office hoti hai application me estimate fees badhi hai uske bare me likhiye ga apka estimate ghata denge koi aur registration karne ki zarurat nahi hai
J E se nahi pahle sdo office me jaiye yah log bas pariksha karne ke liye Aisa karte hai
Yahi problem mere sath Hui thi 2 week pahle mai ne yahi rasta apnaya jo mai ne bataya apko
Sir kitna ho sakta hai or appla kitne se kitna kar Diya tha or SDO kahan milta hai ?
Mera step 3 pura nhi hua aur not ok
Pending dekha rha hai to kya kare
JE se baat kariye. Ya kya problem hai wahi likha hoga use pura kariye. Ho jayega
Jei report kitne din me lga deta hai 3 option
Line man Ghar pe aaiga jo 3 date apne select Kiya hai woh jis Ghar me light lagni hai woh site ready hai ki nahi agar sab sahi rahega to wo JE ko report dega tab JE uspe ok likh dega meeter ke payment ke liye
बगैर पैसे लिये JE रिपोर्ट नही लगता ।सब रिश्वतखोर है।
2 kilo watt ke liye kitna payment hota hai
Man ke chaliye 2000 se 2500 ke beech Mai bas anumanit cost bata raha hun isme bhi changing ho sakta hai area wise
Sir Application form bharne kebad next batn par klik karne par agla charn kyu nahi a raha hai
Ana chahiye network issue hoga . Kisi aur samay try kariye
3 step par ownership file mag rha h query me
Upload kar dijiye ghar ke zameen ka Jo dastawez hai. Kahin kahin khatauni bhi upload kar Dene se 3rd step se approval mil jata hai.
Online karte samay kya upload kiye the aap , land proof me
@@publichelpdesk2020 court Ka affidavit
Sir mera 7 number se aage nhi bad rha h kya kre kuchh btaye
ruclips.net/video/b1uxhqN6YaY/видео.html 7 number se age ka video
But sir kitna din hua meeter Lage hue.
Abhi conection number bhi nhi mila hai na hi meetar lga hai
Online kiya hu 24 feb ka 7 step pr roka hai
Hello bhai ham apane division kaise malum kare
Line man se puch lijiye ya apke pados me kisi ka connection hoga uspe dekh lijiye ya apke najdeek jo bhi power House hai wahan contact kar lijiye. Online se ap confused honge is liye offline hi dekhiye achcha rahega. Thanks for comment
Hm bhi online apply karne ki soch rahe.. 1 month mai to lag hi jayega..
Process to 1 week ka hai but sir 1 month aaram se laga dete hai power house wale
Property ID me kya bharna hai
House papa ke naam hai hm apne naam se connection le rahe hai to property id me kya fill karen
@@trvishalchauhansame situation kya beta le skta hai new connection
@@jitendra5358 hn
Payment hogye ise kese pata kre
Payment ho jayega to 3 step ya 7 step pe ruk jayega. Aap status chek kariye login kar ke jhatpat Portal. Jab payment Kiya jata hai to success ka massage aa jata hai
Thank you
भाई गांव में कहाँ खतौनी होती है वो तो खेत की होती है
Wahi khet ka paper jo online nikalta hai account number ya khasra number se wahi upload kar dijiye
Bhai sahab kya 7step pura hone ke bad aur miter no milne ke bad light khichwa sakte hai
Khud lineman ata hai aur meeter and sara connection karke jata hai agar nahi aya hai aur sabkuch aapko mil Gaya hai to aap line kisi se jodwa lijiye
Bhai mera payment waiting dikha raha hai
Kiyun payment to on spot ho jata hai yah hamara issue hai isse jhatpat Portal se koi lena dena nahi hai
Bhai 1kilo ka to bijali bale le hi nhi rahe hai canecshtion
90% log Ghar ke liye 1 kw ka hi Connection lete hai. Bilkul milega. Agar nahi power house wale de rahe to 1912 pe call kar ke shikayat darj karwa dijiye
bhaiya meri 3 dates thi 27 28 or aj ki ab tk nhi aye ek bhi bar visit krna .....mene new meter k liye apply kiya h
Sarkari kaam hai. Date ka selection isi liye kiya jata hai ki visit karen but yah log apne hisab se deal karte hai yahi dikkat hai. Thoda late lateef aaiga ya call zarur karega , dekhiye ga meeter laga ke paise bhi mangega manage kar lijiye ga. Paisa na dena behtar option hai.
Koi dikkat ho to comment kariyega
Mene 1912 pr call kiya to vo bolte he time lgta he online me
Ji 1 week se 20 din Tak ka time lagta hai 1 se 8 steps pure hone me kabhi kabhi to 1 month se upar bhi lag jata hai 1912 se koi help nahi milti woh log power house ki side lete hai hamesha
Hello bhai janch karne kaun aata hai
Line man aayega. Ya kisi private admi ko JE bhej dete hai woh ghar aur poll ki duri dekhta hai bas.
@@publichelpdesk2020 cancel kar diya hai kya kare
ismai support help line kese hogi...?
Koi zarurat nahi help line number ki mai apki help karta hun , helpline wale bhi is mamle me koi help nahi hai bas bol dete Hain ki najdiki power house me jaiye samjhe aap
@@publichelpdesk2020hmm , abhi mai result ka wait ker raha ki approv hue ki reject , agar reject kerdege mere application , phir mai offline hi jao ga , maine baat ki hai bijli wale se , wo bol raha ek new appplication phir daal do , ab bar bar application dalege , tho step 3 mai tho wahi ayega...
Offline kabhi connection nahi hota apko offline bola ja raha hai but paise zayada leke fhir woh wahi wala approve kar denge aap bilkul bhi pariksha mat hoiye, line man se zayada padhe likhe aap honge , koi new application mat daliye ga abhi isi application pe dobara se query aaigi to us samay usi zameen ki khatauni upload kar dijiyega
@@publichelpdesk2020okay wait kerta hu phir reponse ka...
Bilkul intejar kariye is baar ok ho jayega nahi hoga to fhir bataiye ga ham apki help karenge
Ya fir 8wa step complete hone ke bad line khichwatenge
Line man aaiga 8 steps se koi matlab nahi hai. Meeter lag jayega light aa jayegi tab 8 steps pura hoga
yaar mere mai bola gaya step 3 mai ki upload all registry pages and noc stamp , jab maine 25 pages upload kiye , upload tho hogaya but jab submit kiya tho , bas 1 page show horaha , files view mai , pata nai kese website banate ye log , offfline hi jaaana padhega
Sir bas front page and front ka back page means total 2 page hi dalna chahiye tha
Ya fhir jo registry apne lagaya hai usi zameen ki khatauni upload kar diye hote aap
Apne payment Kiya ki nahi Rs 59 servey ke liye please bataiye
No online hi kariye ham hain na ham apki help karenge bilkul bhi offline Jane ki zarurat nahi hai ham help karenge
Aik baar online karne me dikkat hogi fhir apko yahi kaam asan lagne lagega , bilkul bhi offline nahi Jana hai aap offline jayenge to agla bhi online hi karega aur aapse charges badha ke lelega , ham apki help me hai
Aur ham JE se Bolte he to vo bolta he ye mera eriya nhi he sir hamare yha 3 bijli ghar he pr teeno me se koi bhi right nhi btata
Ap apne gaun ya padosi se kisi ka bill dekhiye ki woh kis power house me jama karne jata hai ya meeter reader se contact kar lijiye ki woh kis power house se aya hai apke pados me bill nikalne . Ap khud hi sahi power house pata kariye J E kaam Kam karte hai parishan zayada karte hai
Sir mujhe cunection apply kiye huve 1 month ho gya pement bhi kr di 3 date bhi selact ki 5hi pr abhi tak koi nhi aaya meeter lgane
Ap 3rd step yani rs 59 ka payment Kiya hai aapne ya full 1400 ke aas paas payment Kiya hai. Bahut late kaam karte hai sab power house wale . Mere yahan 10 din ke andar sab kuch ho jata hai
Kabhi kabhar meeter hi stock me nahi rehta to bhi late karte hain sab
Reply sir