Aana Nahi - Hashim Nawaz & Talhah Yunus ft. Abdullah Maharvi | (Prod. UMAIR x Uzair)

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 16 окт 2024
  • Official Audio for 'Ana Nahi' by UMAIR ft. ‪@HashimNawaz‬ , ‪@TalhahYunus‬ , ‪@AbdullahMaharvi‬ & Uzair
    Stream on Spotify: open.spotify.c...
    Written & Performed by Hashim Nawaz, Talhah Yunus & Abdullah Maharvi
    Produced/Mixed/Mastered by UMAIR & Uzair
    UMAIR:
    Instagram: / umairmusicxx
    SoundCloud: / umairmusicxx
    Twitter: / umairmusic1
    Spotify: open.spotify.c....
    Hashim Nawaz:
    Instagram: / iamhashimnawaz
    Facebook: / iamhashimnawaz
    Twitter: / iamhashimnawaz
    Talhah Yunus:
    Instagram: / talhahyunus​
    Facebook: / talhahyunus​
    Twitter: / talhahyunus
    Spotify: open.spotify.c...
    Abdullah Maharvi:
    Instagram: / abdullahmaharvi
    SoundCloud: / user-abdullahmaharvi
    Uzair:
    Instagram : / uzair_mirza23
    Soundcloud : / uzair-mirza
    Twitter: / uzairmirza23
    Lyrics:
    [Pre-Chorus: Abdullah Maharvi]
    Haathon mein haath ley,
    Aakay tu haal dekh,
    Betha mad'hosh mein,
    Aakay sahaara de.
    Aaja shaam ke nazaaray lein,
    Roothi raat ko aaja hum taanay dein.
    [Chorus]
    Mein tey aana nahi,
    Dil laana nahi.
    (x2)
    [Verse 1: Hashim Nawaz]
    I guess yahan shuru hoga verse
    Samajho ehsaan agar tjh pe likhun lafz
    Agar laga tjhe aashiq mizaaj mein
    Tou phir kala meri haavi rahay gi is mizaaj pe
    Mein hun shak karne waalon mein na
    Akela dar jaanay waalon mein na
    Kirdaar mera mjhe iski ijazat ni deta
    Jana dil tornay waalay hotay waaday karne waalon mein na
    Pasand karte kia haqeeqat pasand log
    Agar tjhe shikayat to phir mjhe badal do
    Lekin parh kabhi mere qadam ko
    Jaan k ko maanga samajh kabhi sitam wo
    Khabardaar mein hun khatarnaak chori
    Na jaanu wazan kia hai mere kalam ka chori
    Tu ne kismat marorri jab thi asal baat morri
    Jana to tha na mein ne jaanay deti thora slowly
    Mein hun karta mulakaat kisi se bhi na
    phir bhi jaakay tjh se mila tha soch
    Mein wo mard rakhta farq hai jo baat yahi sach hai bas
    baaqi saari ki theen mein ne goal
    Mein kia itna bura tha?
    kia mein na tjh se thora sa bhi juda tha?
    bol?
    Bani rahi wo paak daman aagay mere
    hun oh samajhdi mein shuru toun hi chaydi si
    wh*re/hore
    Bitch i got a fanbase mjhe kudyon ki thor ni,
    Apnay aap ko tu khaas samajh
    Agar mein na karun baat to phir nafrat mjhe baaton se hai
    Tjh se nahi meri ye tu baat samajh
    Par tu toh shuru se thi na samajh
    Aur samjhota karne wala mein
    Tjhe zaroorat thi meri nahi thi mjhe teri
    Mera maqsad to bas khud ko khud se milana hai
    [Chorus]
    Mein tey aana nahi,
    Dil laana nahi.
    (x2)
    [Verse 2: Talhah Yunus]
    Haazir jawaab, ye sawaal bhi behaal baray,
    bistar pe mere tootay bikhray paray baal baray,
    Ghum bhi avaara, khud ko dete hain sahara,
    Maine uthaya ye qalam tou phir bheegengay rumaal baray,
    Woh leti imtehaan baray.
    Dilon mai liye we makaan baray,
    Ye fikar bhi ab tujhe lage shaqq,
    Dia waqt, dia sab, phir bhi tere mezbaan baray,
    Hum nigehbaan tere
    Khushiyon ko baant te rahay,
    Ghalti se seekhay kiun hum khud hi khud ko daant te rahay, shayari gumnaam rahay,
    Mu pe wo anjan banay, kese ye jahan milay?
    anjanay mai naye naaam milay, choro k hum kahan milay,
    Dunya k liye chaand banay, Mehfilon ki jaan banay,
    Deewaron k bhi kaan kharay, kehti wo insaan banen,
    Dilon ki zabaan banen,
    Khud se ye sawaal karen, kia tere ehsaan baray?
    Afsanay ye rehte hain dil mai, is mozoo pe likhtaa nahi huu,
    Chahte k hum bhi ghum baantay, afsurda par itna nahi huu,
    Khoon se ranggen ye khaakay, shayad mai bikhra waheen hu,
    Ye baaten hoon ooper se naazil rab jaanay mai kitna sahi hu
    Dekhi meri saadgi woh jaanay meri adaten,
    Urdu lage ye calligraphy kehlo mujhe sadequain,
    Shayad in amaalon pe hon bhaari ye ibaadaten,
    Jung ye apne ap se, is lahu mai shahadaten,
    Dil bhoolay tere shehar mai,
    Yaad ani meri thehar ke,
    Umeed k tum khair se,
    Asar naheen ab is zehar mai.
    [Chorus]
    Mein tey aana nahi,
    Dil laana nahi.
    (x4)

Комментарии • 1,9 тыс.