D.V case full procedure, घरेलू हिंसा मामला in 2024, DV Act 2005, dv case kya hota hai

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 16 ноя 2024

Комментарии • 36

  • @poojajeswani9392
    @poojajeswani9392 Месяц назад +1

    Agar ladki mayke me he, koi pareshan nahi kar rahi, but ladka saamne nahi aa raha, seedha divorce case file kar diya ladke ne, & ladki ne vapis sasural jaane ki try ki, par usko enter hone nhi diya gaya, naa hi ladke ko saamne laaya gaya, ladki ko bahar se hi vaapis maayke bhej diya gaya, esa 2 baar hua, toh kya yeh domestic violence hua.?

    • @adeshlegalpoint
      @adeshlegalpoint  Месяц назад

      Yes

    • @poojajeswani9392
      @poojajeswani9392 Месяц назад

      ​@@adeshlegalpoint, Toh kya yeh poora incident likhwa kar & cab ki booking kar ke ladki vahan gai thi, & dusre din subah vaapis mayke b cab karwa ke gai, vo cab booking ka screenshot as a proof dikha kar, ladki ko apne sasural me vaapis rehne ka haq mil sakta he.? Jab dusri baar yeh hua tab, police b bulaai thi, ladki ne, help karne ke liye, vo b proof he, toh kya ladki ko uske sasural me rehne ka haq mil sakta he.? Vo saari responsibilities nibhati hi thi, ab aage bhi nibhaayegi..

  • @er.tariqalamfarooqi4771
    @er.tariqalamfarooqi4771 8 часов назад

    Mahila court mein to mera case nhi hai...

  • @sufeeljan3245
    @sufeeljan3245 8 дней назад

    Mam reply b barny kay baad phr kya step hota hein

  • @girimaya2210
    @girimaya2210 Месяц назад

    My case at evidence stage... How much time case will finish?

  • @birendrasingh5885
    @birendrasingh5885 3 месяца назад +1

    Ma'am meri sister ke sath uski sasural mein maarpit ki gayi aur usko jaan se maarne ka prayas kiya gaya. Wo apni suraksha ke karno se apni friend ke yahan reh rahi hai. Wo dv case file karna chahti hai lekin police fir nahi likh rahi. Police keh rahi hai ki Jahan mmaarpit hui hai wahan ke police station mein fir likhwaye. Ma'am please guide me. Kya fir kewal matrimonial home se sambandhit police station mein hee likhee jaati hai. Ma'am mein UP Ghaziabad se hoon.

    • @adeshlegalpoint
      @adeshlegalpoint  3 месяца назад +1

      Women cell me ja kr complaint kre vaha se FIR ho jayegi

    • @birendrasingh5885
      @birendrasingh5885 3 месяца назад

      @@adeshlegalpoint Thank you very much, ma'am.

  • @Navitanyra
    @Navitanyra 2 месяца назад +1

    Mam mere in laws ne maar peet kr mujhe aur mere beti ko ghr se nikal diya hi aur mere in laws ne mere husband ko kahe bahar bhej diya aur mujhe bilkul nhe pta ke wo Kaha gye hi kya kru ab mai

    • @adeshlegalpoint
      @adeshlegalpoint  2 месяца назад +1

      Women cell me complaint kr sakte h aap sabhi ke against

  • @KAVYAESHANIVLOGS342
    @KAVYAESHANIVLOGS342 6 часов назад

    Madam gg me apni wife ko rakhna chata hu. Magar wo apni maa ke eshare pe chalti hai.or mere khilf dv case kar diya hai.ky muje mantance dena hoga

    • @adeshlegalpoint
      @adeshlegalpoint  4 часа назад

      Case ke facts dekhne ke bad hi decide hota h maintenance dena hoga ya nhi

  • @Kritikakapoor115
    @Kritikakapoor115 9 дней назад

    Hello mam,mere pati nai ghar se nikal diya hai ghar par apni maa bhen k kehne par marta tha mujhe....mai bhut time se pareshani mai hu...mere mummy papa bhi pareshan hai...cashier hai ..khud ashoo aram ki jindagi bita raha hai...ancestors property wala hai...mai rent par reh rahi hu....talak mang raha hai ..kuch paise bhi nahi dera hai...1 time settlememt mai ...kya karu mai...12 crore k aadmi hai aaj ki date hai...mujhe tang kar k rakha hai maa bhen k kehne par......

  • @yogisaxena1133
    @yogisaxena1133 2 месяца назад

    Sec 24 ki application kaise likhe

  • @kalpkalp9456
    @kalpkalp9456 2 месяца назад

    Thanks

  • @yogisaxena1133
    @yogisaxena1133 2 месяца назад

    Nice video

  • @UmeshKumar-wr1ld
    @UmeshKumar-wr1ld 4 месяца назад

    Mam kya wife case withdraw kar sakte haa after her cross examination.without settlement

  • @GAURISHANKARRADHERADHE
    @GAURISHANKARRADHERADHE 2 месяца назад

    Divorce ke baad domestic violence file kar sakte he

    • @adeshlegalpoint
      @adeshlegalpoint  2 месяца назад

      If it's a contested divorce then you can file domestic violence even after divorce

  • @manineesahoo425
    @manineesahoo425 3 месяца назад

    What if a woman file a fake DV Case.. is it mandatory for a wife to prove the domestic violence..

    • @adeshlegalpoint
      @adeshlegalpoint  3 месяца назад +2

      Yes
      Both of parties have to prove their defence

  • @sachinverma-dt4lz
    @sachinverma-dt4lz 24 дня назад

    Koun se section mein likha hai ki reply file karne ka time 60 days hota hai aur bad mein 90 days aur milenge

  • @bhavisingh1370
    @bhavisingh1370 4 месяца назад

    Thanks mam🙏🏻

  • @UshaKapse-l2q
    @UshaKapse-l2q 3 месяца назад

    Mam is kes mai kiti ne din lagta hai

  • @monaasmr2936
    @monaasmr2936 12 дней назад

    Ok

  • @ਸੰਜੇਦੱਤ
    @ਸੰਜੇਦੱਤ 3 месяца назад

    Meri sister ko uski saas or ladke ki behan(jo married hai par wo jyadatar apne sasuraal nahi rehti ,apni maa ke paas rehti hai) or ek ladke ki bhuua jo vicholan thi ye teeno meri sister ko bahut tang kar rhe,pishel ek saal se upar ho gaya,hum 7 baar sulaah krwa kar chod ate the par fir bhi nahi sudhar rhe,,dahej ke liye gaali galoch,maarte hai,or mentaly harrasment karte,,sara din usko cheap comments pass krte,,sis.suicide krne ka bol rhi...hum kya kre btao mam....😢
    Mai punjab se hu mam,,hume kya karna chahiye btao,,ek ladka hai meri sis ke paas 5month ka,bache ko maa se cheen lete hai sass uski or sara din door rakhti,sis.roti rehti
    Jab hm ghar laane ki baat karte to wo bache ko nahi dete...hume dar hai ki jab hum sis or bache ko lene unke ghar jayenge to wo jhootha parcha karwa denge ki inhone hume ghar aakr jaleel kia,hum bahut fasse huye hai plz koi rasta btao

    • @adeshlegalpoint
      @adeshlegalpoint  3 месяца назад

      Sister ko bolo ki jab bhi marpítai kre to police ko call kr de or women cell me complaint kr de
      Baby abhi bahut chhota h vo apni mother ke sath hi rahega saas nhi rakh sakti apne pas baby ko

  • @GAURISHANKARRADHERADHE
    @GAURISHANKARRADHERADHE 2 месяца назад

    Dv me nbw kyo nahi hota