शानदार बहुत बढ़िया बहुत ही सुंदर अब रेलवे में किस पोस्ट पर है रेलवे स्टाफ नर्स में ठीक है ऐसे ही रूम मिलते हैं या फिर कैसा मिलता है आप अपने वीडियो में बताइएगा प्लीज प्रेजेंट में आप कहां पर जॉब कर रहा है
Aap ne maths ka only preparation kaise ki thi Ex : - Book name , pyq book , mock test kis company or publication ka tha please reply dijiyega💯💯💯 Aur aap kis teacher se padhe hai 😢😢😢
@@Gulsan-Kumar math me mera basic clear tha isliye mujhe math ke liye jyada mehnat ni karna pada tha Book - RS Agarwal/SD Yadav PYQ book - Pinnacle publication Mock test - Testbook
@@Railterra Thanks sir reply Dene k lie Hum yah kahna chah rahe hai ki hum koi bhi book RS Agarwal or SD Yadav se PERCENTAGE CHAPTER complete Kiye toh turant hi PERCENTAGE CHAPTER ka PYQ BOOK lagaye ki poora chapter khatm karne k bad PYQ BOOK LAGAYE reply dijiye ga sir
Sabhi aise hi sundar quater honge uski koi guarantee nahi. Kahi achhe hote kahi bekar. Type 1 milega ya type 2 ye availability pe depend karta hai. Hamare yaha SSE bhi type 1 me rehte hai. Ha. Ye sahi baat hai dhire dhire renovation bahut jagah suru ho gaye hai.
Bhai meri math aur reasoning cgl level tk ki complete hai but kya science me jo cgl level ka usse cover ho jayega ki class 9 ya 10 ki ncert compulsory hai padhna bhai reply krna please
Bhaiya math ke practice ke liye kiran ya youth ka book lena jaruri hai kya ,jisame 15000+question ho , mere paas notes hai aur rukmini ka book h jo 3000 question mix question hai type wise nahi hai , kaise kya kare , kiran ka youth ka book bahut mota hai dekh ke hi dar lagta hai , paise bhi nahi h ki mai le lu, kaise kya karu , mock test kafi nahi hoga , aapne kisase kiya bhaiya , aapne kaise kiya , kya karu mai
Sir group d me employee contract base pr hai ya government hai ye kaise pta kre ?..unke id card me valid upto date hai 2028 to wo contract base pr honge kya? Aapse bat. Krni hai sir kaise kr skte hai bs iski information chahiye k samne wala contact base pr hai ya real government
@@ns123-x7u jo railway employees hote h unko salary slip milta h or jo contract base me hote h unko railway ka salary slip ni milta h, niche jo link diya h usme click kr ke ap dekh sakte h railway ka salary slip kaisa hota h or usme kya kya details diya hota h ruclips.net/video/PLhbxliFI-c/видео.html
Sir mai previous year mock par ache se dekha, 90% science ke questions sirf 10th class ki he. Class 9 or 8 ke question nahi he. Class 9 or 8 ka science books nahi padhne se kuch dikkat hoga kya?
Haa bhot dikkat ho skti h qki 2018 me 9th and 10th dono se barabar questions puche gye the, isliye ye confirm ni h ki 2024 me sirf 10th hi puchega ya dono
Bhai me ek exam de raha hu useme likha hai 7th standard leval ki chemistry, physics and biology to ncert ke books se all cover jo jayega please reply?❤
@@Railterra Physics, Chemistry and Life Sciences of seventh standard level. Esa likha he to mujhe konse konse book se study karna padega? please reply 🙏
@@TARABARI-qx9kq 0% sachai h agar ap acha se mehnat krenge to kismat v apka sath dega or agar padhenge hi ni or bolenge kismat ke bharose ho jaye aisa to kvi ho ni sakta
@@Railterra Aap Group D per A to Z video phir se laiye matalab ki books ,PYQ , mock test kyoki RAILWAY me jane ka ek hi tareeka hai GROUP D phir department exam k trough aage badha jayega
Technician grade 3 me is baar qualify hone ke baad quarter milegi ya khud mess ya room lena padegi please reply confusion me hu aur me kalkata zone se aaply ki hu to kalkata me ho hogi kya exam?? And me math reasoning science 2024 yct book me padh rehi hu sab cover ho jayegi na??
Technician -III me hone se apko aisa hi quarters milega. Exam kahi v ho skta h jaruri ni h Kolkata me hi hoga. Math and reasoning ap koi v book se padh skte h jo apko acha lgta ho par science ke liye NCERT class 9th and 10th ka hi best h
Bhai ek phir request 🙏😢 NTPC, group D and RPF Bhai mere pass math RS agrawal reasoning Kiran publication GK GS speedy lucent abhi esi complete kr rha hu Practice ke liye h math Aditya ranjan sir railway math Reasoning Kiran pub GK GS principal publication5200 aur kuch lena chahiye abhi ya nhi 😥 please reply Bhai only Math 50% syllabus complete practice kr rha hu Reasoning start kiye hai
❤Bhaiya jo padh rahe hai vo bhul ja rahe hai , revision kaise kare , aur kitane din per kare , ❤aap kaise karte the ,aap kisi chij ko padh ke kitne din baad rivision karte the bhaiya thora detail me bataiye❤🙏
Sir,G hamko ye bataye ki Jaise Bilaspur division me gdce ki vacancy nikli, to kya ushe (division/zone) me jo posted hai wahi us form ko apply kar Sakta hai
@@indreshpal1210 agar apka GDCE zonal nikla h to us zone ke sabhi employees bhar skte h or agar divisional nikla h to us perticular division ke sabhi employees bhar sakte h. Jaisa is bar east coast me sab division apna apna GDCE ka form nikal rha h
Vaiya maine rrb Siliguri se ntpc ki form fill kiya post preference mein srif cctc aur junior cum typist tha maine sirf cctc ke liye apply Kiya tha lekin nhi ho raha tha isliye junior cum typist ke apply Kiya kuch dikkat nhi hai to
Bhai north india me naukro ki try treat krte hain Group D valo ko , specialy UP Bihar me , south me thk hoga , and quarter bhi type 1 hi milte hain vo bhi 15-20 sal purane 😅
@@susantpatro6863 obc+ur dono ka seat count kr ke dekhiyega qki obc ka seat aplog ke liye reserved h and aplog acha number lane par UR ka v seat le skte h
Aapke pehle wale quater ka vlog dekha vo ghar theek tha ..lekin aap usme bhi khush the, santushth thein... aapke iss ache swabhav ke vajay se aapko acha ghar mila..
@@sagarika3686 haa mere liye to wo v mahal hi tha ☺️
सर आप बहुत बहुत बहुत बहुत बहुत बहुत बहुत बहुत अच्छा पढ़ाते हो आपकी हर एक बात हमें बहुत अच्छे से समझ आती है प्लीज हमारी यह रिक्वेस्ट मान लीजिए
Sabhi log Bhai ke channel ko jarur subscribe kare
Bhai bahut achhahai ❤❤❤❤
Congratulations sir.....main to kar hi rhi hu RRB group d ki tyari
Ache se tyari kikiye
@@Railterra sir number mil sakta h padhayi se related kuchh puchhne ke liye
@@ArtiPrajapati-nr9qb ap mujhe Instagram me msg kar skte h
@@Railterra sir id bta dijiye
@@ArtiPrajapati-nr9qb description me link h
Bohat acha quarter he, mera dream home😊❤
Bhai bahut accha aur ap ne bahut mahnat kiya hai maine ap ka hr vlog dekha hai selute hai bhai ko
Bhai group D ki vacancy kb tak aayegi?
Aap jaha rhte hai vha ka mahol mujhe bhut achha lga gov job ki baat hi alag hai please reply kijiyega
@@nadexsoul1m173 November
Very nice 👌👌👌
Sir
Bahut badhiya bhaiya
Wahh Bhai साहब !
Nice video keep it up
Ek .number hai bhai ❤
BHAI KYA GROUP D KE SATH SSC KI TAIYARI KARNE KE TIME MILTA HAI.❤❤❤❤❤
@@NONSTOP67 wo depend krta h apka capacity kitna h or ap kitne ache se time management krte h
शानदार बहुत बढ़िया बहुत ही सुंदर अब रेलवे में किस पोस्ट पर है रेलवे स्टाफ नर्स में ठीक है ऐसे ही रूम मिलते हैं या फिर कैसा मिलता है आप अपने वीडियो में बताइएगा प्लीज प्रेजेंट में आप कहां पर जॉब कर रहा है
@@deepaparivlogs8366 nurse ko isse bada room milta h , mai avi odisha me posted hu
@@Railterra 👍 tnx
Aapko dekha kar me bahot मोटिवेट huva hu me bhi kosis karugs railway job ke liye
@@mrazuvlogs kosis kijiye jarur hoga
Aap bahut mehnati hu bhiya
Lekin mujhe aapse ek sikhayat hai you deserve better aap ise achaa paoge
@@lakhansisodiya9989 kosis kr rha hu pr mujhe phle job chahiye tha
Sir ek confusion h kya quater sab ko milta h ya Jo Lena chahta h use hi milta h or quater lene per sellery me se paise kate jate h kya ?
Sabko milta h agar app lena chahte h to le skte h, haa salary se 500-600rs kata jata h
Mast hai ❤
Bohot acha hai bhai❤
Bahut mast hai sir
Aap ne maths ka only preparation kaise ki thi
Ex : - Book name , pyq book , mock test kis company or publication ka tha please reply dijiyega💯💯💯 Aur aap kis teacher se padhe hai 😢😢😢
@@Gulsan-Kumar math me mera basic clear tha isliye mujhe math ke liye jyada mehnat ni karna pada tha
Book - RS Agarwal/SD Yadav
PYQ book - Pinnacle publication
Mock test - Testbook
@@Railterra Thanks sir reply Dene k lie
Hum yah kahna chah rahe hai ki hum koi bhi book RS Agarwal or SD Yadav se PERCENTAGE CHAPTER complete Kiye toh turant hi PERCENTAGE CHAPTER ka PYQ BOOK lagaye ki poora chapter khatm karne k bad PYQ BOOK LAGAYE reply dijiye ga sir
@@Gulsan-Kumar 1 chapter khtm hone se uska pyq lgaye
@@Railterra Aapke hisab se present time me RAILWAY MATH ka PYQ kaun sa best padega please reply dijiyega sir
@@Gulsan-Kumar pinnacle publication
Maja aa gaya...
Bhaiya Aap kitne year preparation kiye thhe ❤❤
plz reply
Aisa laga raha ki mesh wala feeling aa raha hai.. mera ko lagta govt. job ache business hi best hai
Ap mahan ho jb apko ye quarters bura lg rha h to ap mahal wala video dekho or kuch ko santust kro
भईया अपना notes रिवील कीजिये ना please देखना है आप कैसे notes तैयार करते थे और रिवीजन कैसे करते थे
भैया इस बार science ncert 9th base question dalega kyuki usne pichle baar nhi dala tha , sahi h na
Sabhi aise hi sundar quater honge uski koi guarantee nahi. Kahi achhe hote kahi bekar. Type 1 milega ya type 2 ye availability pe depend karta hai. Hamare yaha SSE bhi type 1 me rehte hai.
Ha. Ye sahi baat hai dhire dhire renovation bahut jagah suru ho gaye hai.
1 sal purana vdo dekhne ke bad yaha aayi hu😊❤❤
🤗🤗🤗
Please Bhai railway rpf constable ka bhi quater dikhaye
Hlo bro new Suscriber ❤maine diesel mechanic trade kiya hea muje konsa ke liye apply karna padega group d mea?kya workshop pe mileage? Reply please ❤
@@yoi_yoi10 mujhe jitna pta h avi group d me trade se koi matlab ni h bs apka iti complete hona chahiye chahe kisi v trade se ho
Bahot acha quarter hai Bhai maine bhi rrb bhubaneswar se form bhara h alp mei.....
Category kya h or cbt 1 test me kitna mark aa rha hai
@@manojVlog74 obc 45-50 marks aa rhe h test book pe
कौनसे subject ko कितना टाइम देना चाहिए और डेली कितना घंटा पढ़ना चाहिए उसपे एक वीडीओ बनाओ plzz
Okay
Mast hai 👍
Good sir ji
Bhai meri math aur reasoning cgl level tk ki complete hai but kya science me jo cgl level ka usse cover ho jayega ki class 9 ya 10 ki ncert compulsory hai padhna bhai reply krna please
Class 9th and 10th compulsory h
Thank you
Next month group d vacancy 😊😊🎉🎉
No.. Abhi nhi aayega
Bhaiya please honestly btana
Railway ALP ya technician better kon hai
Agar apko alp ya technician choose karna hai to kisko karenge please 🙏🙏
Mai technician ko choose krunga.
Agar apko bhut paisa chahiye to ALP or agar kam tension wala job chahiye to technician
@@Railterra bhaut bhaut dhanyawad bhaiya
Ye bikil pahle vale jesa h ....mst❤
Wahi quarters sab ko renovate kiya gya h
Gjab bhiya ❤
Bhai is baar ka group d iti pe aayega kya
Haa jyada posts ke liye iti manga jayega
Bahut accha hai bhai
Achha Quater kese milata hai bhai kya quter government jo chahata hai wo deta hai ya hamlogo ko fixed kar deta hai Quater ko merit ke base par Bhai
Apke area me jo quarters khali hoga ap uske liye apply kr sakte h
Congratulations🎉🎉
Great 👍
Bhaiya math ke practice ke liye kiran ya youth ka book lena jaruri hai kya ,jisame 15000+question ho , mere paas notes hai aur rukmini ka book h jo 3000 question mix question hai type wise nahi hai , kaise kya kare , kiran ka youth ka book bahut mota hai dekh ke hi dar lagta hai , paise bhi nahi h ki mai le lu, kaise kya karu , mock test kafi nahi hoga , aapne kisase kiya bhaiya , aapne kaise kiya , kya karu mai
Math jitna jyada se jyada ho practice kijiye jaruri ni h kiran ya youth se hi padhna hoga jaha se sakte h practice krte rahiye
Sir kya group d ke liye iti hona jaruri he ?
Haa pr kuch kuch post me only 10th hi rhega
Konsa place hain aye wola?
science classes
Bhai video Q nhi aa rahi hai... 😢
Hi
Sir Group d ko salary kitna milta hai? Aur salary badhega ki nhi ye bhi batao
Har saal badhta h
ruclips.net/video/PLhbxliFI-c/видео.html
@@Railterra ye video bhi dekhi Maine aapki pahle.. but har sal kitna badhta hai aur pension milta hai kya ye bhi bta do sir
Bhai rrb je walo ko kaisa quarters milta hai
@@Proudsiri-yq8kb type 3
@@Railterra sir to uspe bhi video banayie na bahut benifit hogi
Sir best book
Please.....aap ku request hai rpf constable quater dikha dijiye hum ku thodi motivation bhi mil jayegi....aur kesa hai rpf ka quater
Sir khana khud banana hoga ?
Haa but ap chahe to paisa de ke cook rakh sakte h
Railway me cctc ka mess ni hota hai ky@@Railterra
@@yuvraj1830 running room hota h usi me khane ke liye mess v hota h
Bhaiya group d ki study keliy kuch idea doana
Kuch samj nahi ara kese
Group d ki study start karu
Sir group d me employee contract base pr hai ya government hai ye kaise pta kre ?..unke id card me valid upto date hai 2028 to wo contract base pr honge kya? Aapse bat. Krni hai sir kaise kr skte hai bs iski information chahiye k samne wala contact base pr hai ya real government
@@ns123-x7u jo railway employees hote h unko salary slip milta h or jo contract base me hote h unko railway ka salary slip ni milta h, niche jo link diya h usme click kr ke ap dekh sakte h railway ka salary slip kaisa hota h or usme kya kya details diya hota h
ruclips.net/video/PLhbxliFI-c/видео.html
@@Railterra thank you sir 🙏
Hy
Sir mai previous year mock par ache se dekha, 90% science ke questions sirf 10th class ki he. Class 9 or 8 ke question nahi he. Class 9 or 8 ka science books nahi padhne se kuch dikkat hoga kya?
Haa bhot dikkat ho skti h qki 2018 me 9th and 10th dono se barabar questions puche gye the, isliye ye confirm ni h ki 2024 me sirf 10th hi puchega ya dono
@@Railterra ok sir, 9th ka science bhi padh lunga🥹. Thank you sir, aap guide na karte to Lucent padhrha hota mai.
Bhai me ek exam de raha hu useme likha hai 7th standard leval ki chemistry, physics and biology to ncert ke books se all cover jo jayega please reply?❤
@@rohitmhaske9361 only 7th standard manga h to isse cover ho jayega
@@Railterra Physics, Chemistry and Life Sciences of seventh standard level. Esa likha he to mujhe konse konse book se study karna padega? please reply 🙏
@@Railterra chota bhai samajh ke kuch tips de dijiye kokan railway exam de raha hu kokan railway ka science syllabus hai.
@@rohitmhaske9361 kam se kam 10th tak kr hi lijiye qki minimum 10th tak ka hi pucha jata h
Kon sa bord sabse achha hai
RRB bhubaneswar
Waw bhai sahab kitna शांत mahual है वहा
Haa sant to h
Ye kounsa place hai sir @@Railterra
Sir mujhe koi log bolte hai kismat ager rahegi tab he gov job pa sakoge chahe mehnat jitna karo koii fayda nahi yeh bat per kitna sachai hai sir??
@@TARABARI-qx9kq 0% sachai h agar ap acha se mehnat krenge to kismat v apka sath dega or agar padhenge hi ni or bolenge kismat ke bharose ho jaye aisa to kvi ho ni sakta
Bhaiya kya abhi se taiyari start karke Group D kya exam first time hi nikal sakta h kya??😢😢
Please bataye
Haa nikal skte h par mehnat bhut jyada krna hoga
@@Railterra Ji Bhaiya hum Mehnat ke liye taiyari hai ap Bas ab shi guidence dete chaliye....hum usi ko follow karte rahenge
bhai salry kitna milta approximately group d pointsmen ko
ruclips.net/video/PLhbxliFI-c/видео.html
Isse thora sa kam qki hmlog ko TA ni milta h
Medical attendant ki vacancy kb tak ayegi
Level-1 ke sth hi ati h
Bhai aapki joining kab hui thi
Aapki Salary aur posting kahaa pr hai
@@sachinbaghel2373 april 2024, post- Pointsman
Happy diwali bhai
Railway ka naam hi bahoot hai ..
Happy diwali 🪔
Sir aapki next video ka kab se wait kar rahe hai 😢😢😢
Next video kis topic par lau ?
@@Railterra Aap Group D per A to Z video phir se laiye matalab ki books ,PYQ , mock test kyoki RAILWAY me jane ka ek hi tareeka hai GROUP D phir department exam k trough aage badha jayega
Technician grade 3 me is baar qualify hone ke baad quarter milegi ya khud mess ya room lena padegi please reply confusion me hu aur me kalkata zone se aaply ki hu to kalkata me ho hogi kya exam?? And me math reasoning science 2024 yct book me padh rehi hu sab cover ho jayegi na??
Technician -III me hone se apko aisa hi quarters milega. Exam kahi v ho skta h jaruri ni h Kolkata me hi hoga. Math and reasoning ap koi v book se padh skte h jo apko acha lgta ho par science ke liye NCERT class 9th and 10th ka hi best h
Sir quarter me mahine me Paisa Dena padegi kya or kitni dena padegi ,,
@@TOP10-y3r apka salary se kat jata h
Electricity - 200
House rent - 350
Water - 15
@@Railterra sir technician grade 3 qualify karne ke badd training hoti hai aur ट्रेनिंग में ही महीने में salary deti hai wahi salary se kat lenge kya?
@@TOP10-y3r training ke time apko quarters ni milta h hostel me rahna hoga or uske liye koi chargers ni kata jata h
Bhaiya group d ka form bharte time kon kon sa document lagega
Educational qualification, caste certificate (ST/SC/OBC), photo and signature
Custe certificate kis level ka lagega
@@bharatsoren7985 minimum SDO
Bro namaste ap odisha me bhubaneswar me job karte ho Sayed,aur me v odisha Cuttack se hun❤kabhi mil paoge to Bahut acha hota Bhaiya
Mai odisha Rayagada me job krta hu
Bhai ek phir request 🙏😢 NTPC, group D and RPF
Bhai mere pass
math RS agrawal
reasoning Kiran publication
GK GS speedy lucent abhi esi complete kr rha hu
Practice ke liye h
math Aditya ranjan sir railway math
Reasoning Kiran pub
GK GS principal publication5200
aur kuch lena chahiye abhi ya nhi 😥 please reply
Bhai only Math 50% syllabus complete practice kr rha hu
Reasoning start kiye hai
Avi inhi good ko complete krne ka kosis kijiye
@@Railterra Bhai kisi ko htana to nahi hai
👍👍👍👍
Bhai aapane kaun si marksheet se apply Kiya tha pointsman ko join karna ke liye
10th pass
@@Railterra or kya document laga tha
Bhaiya ji RCF Kapurthala aao Kabhi yaha ka quarters dikhate hai....😅
Account clerk typist job main Quarter milta hai kya.......???
Type-3 quarters milta h
Sir Railway mai kitna chutti milta hai....?
@@MrMDboy-ge4sm 1 year me CL-10, LAP-30 and LHAP-20
I like it home
❤Bhaiya jo padh rahe hai vo bhul ja rahe hai , revision kaise kare , aur kitane din per kare , ❤aap kaise karte the ,aap kisi chij ko padh ke kitne din baad rivision karte the bhaiya thora detail me bataiye❤🙏
Mai ek chapter khtm hone ke baad hi revision krta tha
Nice
Railway group D ki bharti kab aayegi
@@juhimishra876 tentative date October diya h
@@Railterra ok thanks sir
Hii bhai me
Jeee
Sir girls ke liye group d sahi rehta h
Haa kuch kuch post girls ke liye best hota h
kha ka ka ha bhai je
🎉🎉🎉
Sir,G hamko ye bataye ki Jaise Bilaspur division me gdce ki vacancy nikli, to kya ushe (division/zone) me jo posted hai wahi us form ko apply kar Sakta hai
@@indreshpal1210 agar apka GDCE zonal nikla h to us zone ke sabhi employees bhar skte h or agar divisional nikla h to us perticular division ke sabhi employees bhar sakte h. Jaisa is bar east coast me sab division apna apna GDCE ka form nikal rha h
Location kha ki hai
@@satishdhatterwal1398 odisha
Kis zone s h bhai
East Coast railway bhubaneswar
Bhaiya me bhi SR zone se hu
Vaiya maine rrb Siliguri se ntpc ki form fill kiya post preference mein srif cctc aur junior cum typist tha maine sirf cctc ke liye apply Kiya tha lekin nhi ho raha tha isliye junior cum typist ke apply Kiya kuch dikkat nhi hai to
@@AmanKanu-pz3zg ni usse koi dikkat ni h
❤❤❤🚩👍👍
सर आप प्लीज ग्रुप डी की तैयारी कर दीजिए एनसीईआरटी बुक से
Bhai plzzz reply mai 12th pass hu lekin ITI nhi kiya hu kya mai group d ki taiyyari kar sakta hu plz reply bhai
Haa jis jis post me only 10th manga jayega usme ap apply kr sakte h
Ak baar aap apna pura rail colony ka video bnaiye
Ok 🆗
Bhai north india me naukro ki try treat krte hain Group D valo ko , specialy UP Bihar me , south me thk hoga , and quarter bhi type 1 hi milte hain vo bhi 15-20 sal purane 😅
Aisa kuch ni h operating me har jagah same hi treat kiya jata h sabko chahe ap north me ho ya south me
Zone konsa hai
Waltair division
Abhi tm kaha ho bhai kis state me
Odisha
Brother aap kisme aate ho OBC ya SC please reply
@@susantpatro6863 General
@@Railterra brother agar East cost me obc ka vecancy bhut km rhta hai kya woha se bharna sahi rhega
Group D ka
@@susantpatro6863 obc+ur dono ka seat count kr ke dekhiyega qki obc ka seat aplog ke liye reserved h and aplog acha number lane par UR ka v seat le skte h
@@Railterra thank you bhaiya ye jankari dene ke liye. Aap se or bhi tips Leni hai. 👍