Ik Roz Hoga Jana - Naat Shareef by Hafiz Hammad Hussain Ahmed

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 2 окт 2024
  • ikk roz hoga jana Sarkar ki gali mei’n
    Hoga wahi thikana Sarkar ki gali mei’n
    Aankhe toh dekhne ko pehle hi Muztarib thi
    Dil bhi hua ravana Sarkar ki gali mei’n
    Kabhi ho hasee’n tasawwur kabhi khud mei’n jau chalkar
    Rahe yu hee aana jana Sarkar ki gali mei’n
    Dil me nabi ki yaade’n lab par nabi ki naate
    Jaana toh aise jana Sarkar ki gali mei’n
    Go paas kuch nahi hai lekin yeh dekh lega
    Ek din hame zamana Sarkar ki gali mei’n
    Samajhei’n ge ham niyazi Unki karam nawazi
    Jis roz hoga jana Sarkar ki gali mei’n

Комментарии •