TataMotors BS6 Phase 2 Range Track Test | New Prima Facelift 2023 Hindi

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 18 окт 2024
  • Launch Event ke liye, aaj hum, Tata Motors ke Pune Plant mein, unke atyaadhunik Test Track pe aaye hue hain. Jahan par, Tata ne, unki poori-nayi, Phase 2 range display ki hui hain. Aur kewal display hi nahin, balki inn saari gaadiyon ka anubahv, media ko dene ke liye High-speed track pe aur khurdure-se, torture-track pe, humein gaadiyon mein bitha kar wahan le kar bhi gaye, taaki in gaadiyon ke pick-up ka, unke smoothness ka aur suspension wagera ka, humein ek andaaza mil jaaye. Khair, iske baare mein baat karne se pehle, gaur farmaate hain, aakhir BS-six phase 2 norms mein, naya kya hain? Doston iss Track Event ke ek-din pehle, Tata Motors ne media ke liye ek conference rakhi thi, jismein Tata Motors ke, varisht adhikariyon ne, Phase 2 niyam, aur Tata-ke har ek model mein kiye gaye upgrades, ke baare mein poori jaankari pesh ki.
    Shuruwaat ki Rajendra Pethkar ji ne, jo Tata Motors ke C.T.O. hain, unhone Phase-two, aur phase-one ke niyam mein, kya fark hain, ye saare media ko, behtareen roop se samjhaya. Unhone bataya, ke phase-two mein, ‘Pems’ - yane ke Portable Emissions Measurement Device dwara, real-world emissions ka testing kiya jayega, athwa I.U.P.R., yane ke in use performance ratio bhi, test kiya jayega. Kul milakar, phase-two compliant gaadiyaan, saalon-puraani hone ke baad bhi, apna pradushan kaboo mein rakhengi, ye RDE norms ka asli faayda hain. Uske baad aaye Aniruddha Kulkarni, jo Tata Motors ke Engineering Head hain. Unhone, pradushan par niyantran badhaane ke saath-saath, saari phase-two range mein, behtar mileage, safety features, driver comfort, behtar pick-up, achi loading kshamata aur connectivity mein-bhi, jo sudhaarna ki gayi hain, uske baare mein bataya.
    Toh chaliye aage dekhte hain, test-track par kaunse naye models maujood the aur unmein kya sudhaarna hui hain?
    Outro:
    Doston sab-se aakhir mein hum ne aap ko dikaane ke liye ek aisa vehicle rakha hain, jo iss event ka show-stopper tha - aur wo hain ye naya Prima Facelift. Premium front Fascia, chrome finish front grille aur aerodynamic design ki badaulat ye kisi Volvo ya Scania se kam nahi lagta. Interiors bhi poori tarah se naye hain, aadhunik dashboard design, nayi Infotainment system, Naya steering wheel aur isi mein ADAS ke Front Collision Warning, Driver Drowsiness Detection jaise features bhi uplabdh hain. Kul milakar, poori media iss Track-seesion se kaafi prabhaavit thi, aur apne darshakon ko bataane ke liye dher saari jaankaari le kar media ne Tata Motors ko alvida kar diya.

Комментарии • 2

  • @randhirkumar6066
    @randhirkumar6066 Год назад +2

    Brother tata winger in bulo color kab tak launch ho sakta hai please replied me brother o am weating 14 seater please replied me brother