Best Naat , Ye Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman By Qari Rizwan khan.

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 19 сен 2024
  • Ye Raza ka chaman
    Aaj ikkhata hai Daanish warane watan
    Yaani Ulma wa Shoraye fikr aur fann
    Saahibane nazar haasile anjuma
    Nukta daano fasihane Ahle Sunan
    Hai Adeebo Khatibe zubano sukhan
    Ye Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Azmate Sidke Siddiqe Akbar liye
    Adle Farooqe Aazam ka mazhar liye
    Sabr e Usman gani ka samandar liye
    Kuwate daste baazuye haidar liye
    Nikhate range hazrat Hussain o Hassan
    Ye Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Isme Ajmeri Khwaja ki hai Khwajgi
    Sayyed Masood Gaazi ka gulshan yahi
    Ye hai Phulwari Ashraf Jahangir ki
    Rang o Buwe Bareili wa Mahrehravi
    Ispe saaya fagan panjaye panjatan
    Ye Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Isme Haji Ali isme Haji Malang
    Sare dariya samandar pahaad iske sang
    Shahameena ki sehba ka josho umam
    Warise Pak ka zafrazaar rang
    Gulbada ma Gul Afroz e Gul pairahan
    Ye Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Fazle Haq Khairabadi ka Isme Usool
    Iske haami badau ke fazle Rasool
    Shaha maarehravi Sayyed Aale Rasool
    Kar liya peer ne bhi Raza ko kubool
    Isliye uspe naaza hai Ahle Sunan
    Ye Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Isme ilme Alimi naemi sefa'a
    Mehrumaaye Shari'at ke din aur raat
    Hamidi Amjadi Mustafaai hayaat
    Isme simti hui bekara kayenaat
    Isme dasht o jabal bahrobar bag o ban
    Ye Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Mustafa ke Raza ki baharey liye
    Lalao gul mehektey lehektey huey
    Jagmagatey charaga pe Noori diye
    Noor he Noor hai jis taraf dekhiye
    Noor ki shamma hai Noor ki anjuman
    Ye Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Isme Sayyed Muhammad kichaocha ki shaan
    Mufti Abdul Hafeez Aagra ki hai aan
    Isme Hafeez e Millat ke misba heyaan
    Aur Mujaheed e Millat Habeeb ur Rehman
    Saadgi jispe kurbaan har bakpan
    Ye Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Dekho Ahmed Raza Khan ke neyzey ki maar
    Padh gaya jisse aada ke seena me gaar
    Hashmati sherbey shaye Sunnat ka waar
    Bach ke jaane na paaye wahabi shikaar
    Zarbey Sadrushriya hai baatil shikan
    Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman
    Iske reyha ki Ajmal mahak chaar soo
    Iske Akhtar ki Azhar Minashamas khoo
    Ya ilahi salamat rahe mubamu
    Mufti e Aazame hind ki aabru
    Hai duao me masruf Ahle Sanan
    Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman

Комментарии • 23