Don't Do These Mistakes If you want To Be Pro. Noone will tell you this secret

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 27 авг 2024
  • Kya aap bhi har baar 1v1 fight haar jate ho
    Aaj ki iss video mai hum kis time konsi movement kiase use krni hoti hai sabke baare mai baat krenge
    Kyuki bhot se players ki movement speed bhoot slow hai ya bo movement ke time aim nahi samhal pate
    Toh aaj ki iss video mai aapko inn sabhi problems ka solution mil jaega aur video ke end mein mene ek aisi monster movement batai hai jo ki use krne mai bhi bhot aasan hai aur usmai aiming se related koi problem aati hi nahi hai
    toh video ko poora dekhiyega
    So hello and welcome guys, mai joon Onyx gaming aur aaj hum baat krenge movement ke baare mai toh chaliye bina kisi deri ke video ko start krte hai
    Sabse pheli baat aati hai jiggle kya hota hai aur jiggle kitne type ke hote hai
    Toh video ke starting mai aapko pta chal hi gya hoga ki Jiggle kya hota hai
    Jiggle ke 2 type hote hai short jiggle jise hum fast jiggle Bolte hai
    And long Jiggle jiise hum slow Jiggle bhi bolte hai
    Fast jiggle mai aapko apni joystick ko fastly move krna hota hai lekin ismai movement range less hoti hai
    Slow Jiggle mai apko joystick ko slowly move krna hota hai jiske movement range zayada hoti hai
    Aabb aapko ye toh pta chal gya hoga ki Jiggle ke kitne type hote hai
    Abb ek bhot hi important topic aata hai ki joystick ka size kya rakhna chahiye aur konsa better hai
    Chaliye aapko eska solution bhi de deta hoon
    Dekho
    Jab aap apni joystick ka size small rakhte ho toh aapko jiggle ke time apne thumb ko jayada left right nahi krna padta jo ki aapko bhot bada advantage deta hai apki aiming ko , kyuki tab aapka hand almost stable hota hai jaise ki aap seedha seedha diffrence meri screen pr dekh sakte ho ki jitna kam mai apne thumb ko move kr raha hoon mera hath utna kam Shake kr raha hai aur utna better hi mera aim hai
    Toh khene ka matlab ye hai ki small joystick aspko stable aim deti hai
    Lekin iske ek bhot bda disadvantage bhi hai
    Jo hai undesirable movement
    Abb ye undesirable movement kya hota hai
    Aapne bhot baar notice kiya hoga ki kabhi kabhi aap koi movement dena nahi Chate ho lekin phir bhi boo ho jati hai
    For example aspko kahi cover mai jana tha lekin joystick stuck ho gai isse liye aap cover mai jaa hi nahi paye toh issiliye mai kabhi bhi small joystick prefer nahi krta
    Abb bhot se bande sooch rahe honge ki agar hum big joystick rakhenge to Humara aim Shake hoga
    Toh isska solution bhi hai mere pass
    Aap apni sprint sensitivity ko full kr lijiye
    Iss hoga ye ki agar aap itna sa bhi joystick ko move krenge toh aap small joystick movement se hi high character movement de paaoge jiise aspko jiggle ke time toh koi pareshani hogi nahi
    Aur joystick large hone ki bjah sa aapki movement kabhi bhi Stuck nahi hogi ya jiise hum undesirable movement Bolte hai boo nahi hogi
    Abb baat aati hai jiggle ki ,
    Ki hume kab konsa Jiggle dena chahiye
    Toh dekho ye aapki situation pr depend krta hai
    Agar aap enemy ke 0 se 8 meter ke distance pr ho toh aap fast jiggle dijiyega aur fast jiggle ko hum short jiggle bhi bolte hai kyuki issmai movement toh fast Hoti hai lekin distance kam travel kiya jata hai
    Aur agar enemy aapke 10 se 15 meter ki range mai hai toh aapko long Jiggle dena hai ya jiise hum slow Jiggle bhi bolte hai
    Agar enemy isse bhi High distance pr hai toh aap ek secret movement ka istemal krenge
    Ab ye jo mai aapko movement batane jaa raha hoon aagar aap iss movement ko use krte hon toh aap kabhi fight haroge hi nahi
    Toh movement ko hum bolte hai monster movement
    Iss hum krna kya hota hai ki baar baar hum postion change krke Crouch krna hota hai , aap bilkul hi unpredictable ho jaoge iss movement ki bajah se
    enemy ko pta hi nahi chalega ki aap left move krne wale ho ya right aur ek advantage iska ye hai ki
    Jaise hi aap movement dene ke baad rest position msi aakr Crouch kroge toh aapka bullet spread bhot bhot kam hoo jaega jiise aapke uss fight ko jitne ki 90 percent chances ho jaenge
    Abb bhot se bande apni bad aiming se bhi pareshan ho gaye honge toh aap iss video pr click kr dijiye ismai maine aiming improve krne ki Tips de rakhi hai
    Dekho yrr script likhne aur video banene mai bhot ime lagta hai toh channel ko subscribe zarur kr dena aur apne noob dosto ke sath share bhi krna
    Agar aapke abhi bhi kuch doubts reh gaye hoon toh comments mai bta digeye ya aap agli video ka topic kya chate ho , uss topic pr mai detailed video bna dunga
    Aaj ke liye bass itna hi
    Milte hai aapse agli video mein
    Tab Tak ke liye Jai shree Ram
    #bgmishorts #pubgmobile #howtoimproveyouraim #pubg #aimimprove #aimimprove #gaming #aimdrills #pubgm
  • ИгрыИгры

Комментарии • 3

  • @venom-wr4hv
    @venom-wr4hv Месяц назад +3

    Nice 😊

  • @venom-wr4hv
    @venom-wr4hv Месяц назад +3

    Bro aapko short banana chahiye

    • @OnyxGaming22
      @OnyxGaming22  Месяц назад +1

      thanks for your advice and support bro, i will create shorts soon,