@@alliswell2140 Jee whip antenna ya arial jo radio mein bahar lagi hoti hai..uski jarorat nahin hai . Medium waves ke liye ferrite antenna radio ke andar lagi hoti hai..haan MW pe behtar reception ke liye..ek vishesh loop antenna hoti hai..but I have not used it..so can't say about the performance of loop antenna... 😊👍
I still have my Grandpa's 📻 Philips Radio& Philips TapeRecorder , TapeRecoder is Still working it Catches also the International Channels and the volume is just wow. That time Philips used to be Finland its still written on the Radio 📻 and TapeRecoder,absolute gem .But, now this Philips is an Indian brand and Indian made so, the quality isn't like that Finland Philips ,but still better than some local brands yeah
@@anandgoswami3055 yes the TapeRecoder still works 💪🏽, itcatches all international channels,ive heared personally china pakistan egypt england ireland saudi, it's sooo loud that I don't play it in full volume.its made In Finland. I mean it's Finland Philips. It Catches more and more far country channel at night 🌙. I've heard usa channel also at night
💥💥💥🎉🎉🎉Congratulations for brand new Radio Anand ji, Galti ki koi baat hai bina script ke video banate hai yahi apki originality hai waise sir iske antenna ki lambai kitni hai cm please batayein❤️👍
@@avdeshmishra3618 Sir TV band wala Radio,ab Philips ne discontinue kar diya hai,kyonki ab tv band kaam nahin karte. Jo RUclips pe seller hain we purane radio sell karte hain..aap unhen wahan se purchase karna chahen to kar sakte hain...but wo kitne reliable hain ye dekh kar lijiyega.
@@swapankarmakar1628 Power se electricity ki wajah se interference bahut jyada hoti hai...Radio sunne ka saara maja kharab kar deta hai...haan powerbank se chala kar dikhaunga ...jo ek achchha option hai...👍
💥💥💥💥Very good evening Anand ji khushkhabri khushkhabri 🎉🎉🎉🎉🎉 Philps champion radio wapas aa gaya Amazon par lekin is baar twist ye hai ki isbaar apko "Philps radio RL 384\94" search karna padega tabhi radio show karega dusre koi bhi keyword kaam nahi kar rahe hain jo log chahe buy kar le kub chala jaye koi khabar nahi hai ❤️👍
@@vinodchadha4709 jee ye bijli aur cell dono se hi chalta hai, bijli se chalane ke liye aapko 4.5 v ac to dc adaptor ki jarurat hogi jiska pin 1.5mm ka ho. Iske alawa aap ise power bank se bhi chala sakte hain jo 1amp current tatha 3.7v wala ho..iske liye aapko usb to 2.5mm wire ki awasyakta hogi.
@@SandeepKumar-mq5qr Suprabhat Sandeep Jee🙏. ...Purane wale champion ko maine nahin suna hai...Kai purane Philips ke radios ko suna hai maine... Naye Champion ki aawaz thodi tez to hai but thodi teekhi hai, bass add rahne achchha rahta..lekin kahunga Not Bad.. Kyonki ye apne price segment mein sabse aage hai .is segment mein iske jaisa reception, selectivity aur sensitivity dusre radio mein nahin dekha maine,,antenna ki ltagdi lambai, aur dur ke station catch karne ki iski chhamta gajjab ki hai..So enjoy it..Ab purane Analouge radio naam matra ke ban rahe hain...aur naye mein ye ek behtareen radio hai.
Dhanyavad reply karne ke liye. Radio kharidne ke bare me soch raha hu lekin man me kuchh saval hai jaise 1. Agar radio bhavishya me warranty period samapt hone ke baad kharab hua to usko repair karane ke liye villege se dur 60km city me Jana padega aur chuki Maine dekha hi nahi hai ki repair kaha hota hai to, paresani bhi hogi. 2. Purane wala champion leta hu kyuki mujhe uska sound achha lagta hai, to usko company pahle hi band kar chuki hai, to parts bhi nahi milenge. Aam taur par kisi bhi analog radio ke sabhi tarah ke parts market me milte hi nahi hai jaldi se. 3. Aaj kal koi bhi repair karne wala radio ko repair karna hi nahi chahata aisa Mera khud ka anubhav hai, electrician bolta hai ki utna time kiske pas hai 20 50 rupay ke liye utne samay me to main koi led tv ya kuchh aur repair kar dunga. Samay ka jyada value hai. 4. Reception - agar youtube par hi dekhe to khud aap aur baki bhi dusre Kai sare sabhi log radio ka bahut achha review dete hai aur tamam tarah ke video banate hai radio ke bare me lekin sabhi video me ek baat common hoti hai ki" sabhi log video upar chhat par hi banate hai, matlab agar radio sunna ho aaj ke samay me to seedhe chhat par hi Jana padega. Nahi to phir kisi jamane me jis antenna se tv chalti thi usi antenna se ab radio sunna padega jo pahle aisa nahi tha pahle kahi bhi radio bina kisi bahri antenna ke aaram se sabhi band par sare channel ko catch kar leta tha. To aaj kal vaisa antenna bhi nahi milta aur rahi baat khud se banane ki to sirf radio ko sunne ke liye bar bar chhat pe Jana padega lambi si wire jo radio ke antenna se jodi hai hamne usko thik karne ke liye. Kul mila kar baat yah hai ki pahle jitna strong signal ab nahi milta hai. 5. Mobile pe online radio-- yah mujhe jyada achha lagta hai kyuki bahut sare apps aur website maujud hai jinse hum radio ko apne mobile pe live sun sakte hai AIR aur Vividh Bharti sahit. Main bhi filhal aise hi sunta hu aur jyada sound ke liye apne mobile ko purane kharide hue red colour ka chhota sa speaker ko repair karwa ke usme bluetooth lagva kar ke usse sunta hu yah speaker Maine janbujh ke kharab hi kharida tha 90 rupay me kyuki iska sound mujhe jyada achha laga. Mera manna yahi hai ki device bhale hi kharab mile lekin agar vo achha avaj de to thik hi hai. Ab baat kare online radio ki to ispar bhi sare channel maujud nahi hai jaise ki redfm ,mirchi fm, radio City, fever fm, aur bhi hai main naam bhul Raha hu, kyuki inko sirf radio pe hi sun sakte hai inka prasaran online nahi hota hai pata nahi kyu. Aur yadi mil bhi jate hai to ve dusre city ke hote hai apne local city ke nahi matlab dusre state ke.lekin phir kabhi internet hi kaam nahi karta hai aur kabhi mobile bhi recharge nahi rehta to yah bhi ek samasya hai. 6. Radio agar mobile me diye gaye fm se sunte hai to uske liye bhi chhat par hi Jana padta hai niche to bajta hi nahi hai. 7. Phir bhi mujhe radio sunna pasand hai kyuki sirf battery lagao on karo aur radio bajne lagta hai. Lekin aaj kal radio ka sambandh chhat se aur aur utni uchai jitni lambi copper wire se ho gaya hai, kitna ajeeb baat hai ki radio ke liye itna taam jham. 8. Inhi sabhi vajah se kabhi kabhi radio ko kharidne ka bahut man bhi hota hai to bhi nahi kharid pata hu aur phir jab aapka aur baki sabhi logo ka video dekhta hu to phir radio kharidne ki bahut jyada iksha man me utpann ho jatai hai. Ajib hal ho gaya hai. 9. Chhat se wire lakar radio ke antenna ke sath jodne ka matlab hai ki ab apka radio ek khas jagah pe fix hogaya hai usko idhar udhar nahi le ja sakte apne sath. 10. Itna sab ke baad bhi sochta hu ki kaash main bhi market me niklu aur ek se dusre dukan me ghumte hue alag alag tarah ke radio ko dekhu unke price ko jaanu aur yadi koi acha sa sound wala mil gaya to lelu. Ya phir purana vala champion mil jaye to bhi thik. Lekin fir vahi baat hogi bar bar chhat pe Jana padega aur nahi to lambi wire se connect kar ke radio ko ek hi jagah pe fix karna hoga Ghar me kisi jagah par kyuki wire ke sath kaise idhar udhar le ja sakte hai. Ajeeb hal hogaya hai aaj kal ke radio station ka signal hi strong nahi chhodte hai aur hum tak thik se pahunchta bhi nahi hai. 10. Kya kare kharide ki na kharide? Aapka kya kehna hai is baare me?
@@SandeepKumar-mq5qr Kya baat...😊👍 Sarvapratham to dhanyawad Sandeep Jee apne man ke bhav aur sanshay ko mere sath share karne ke liye,, Kuchh baat karne se pahle main clear kar doon ke mere koi bhi video chhat par banaye hue nahin hain, sabhi Ghar ke andar room mein hi banaye gaye hain. Ab aata hoon sanshay pe, aapki baat sahi hai ki aaj mechanic dhuundhna radio ke liye mushkil hai,, Main ye nahin kahunga ki radio lijiye hi,, par ye kahunga ki yadi shauk hai , budget hai..to apne needs ke anuroop radio lijiye.. Pahle apne local market mein jaroor dekh lijiye.Ek Idea milega..Shesh shubh..😊🙏
@@SandeepKumar-mq5qr Sandeep Jee , Amazon pe abhi Diafield ka pocket radio sale mein 399/- mein mil raha hai..mujhe achchha laga ye . Aap chahen to ye purchase kar sakte hain..mere channel pe iske review sahit 4 videos aa chuke hai, yadi aap interested hain to dekh len.. Diafield ka medium waves reception bhi mujhe pasand aaya,, iske MW ke reception kavideo jald hi upload kiya jaayega...
Sir, apka bahut bahut dhanyawad apne kimti samay me se kuchh samay mujhe Dene ke liye aur mere comments pe reply karne ke liye. Mujhe aapka yah tarka bahut achha aur uniq laga aisa to koi bhi youtuber nahi karta hai, bahut bahut achha. Main bahut khus hu. Apne jo radio ka price bataya hai wo radio mere address pe 599 ka dikha raha hai. Maine offline market me banne wale radio ka price pata Kiya tha 600 me to rechargeable+ usb+ blutooth with 5band ya 3 band me mil ja raha hai lekin uski body kamjor hai. Mujhe radio pe sirf gane nahi sunna hai balki us pe alag alag bands pe alag alag frequency pe hamesha kuchh na kuchh sunna jyada pasand hai ki kab kaha kya de Raha hai. Isliye kewal ek simple radio jisme simple features ho mujhe jyada pasand hi nahi hai. Kash India me bhi digital radio banne suru ho jata! Mujhe reply karne ke liye ek bar phir se apka ❤ se dhanyawad. Sukh Shanti aur Smridhi bani rahe.
💥💥💥💥Very good evening sir khushkhabri khushkhabri 🎉🎉🎉🎉🎉 Philps champion radio wapas aa gaya Amazon par lekin is baar twist ye hai ki isbaar apko "Philps radio RL 384\94" search karna padega tabhi radio show karega dusre koi bhi keyword kaam nahi kar rahe hain jo log chahe buy kar le kub chala jaye koi khabar nahi hai ❤️👍
@@loneranger5700 Yes SIR..very true... Ab to saare radio companies ne analogue se DSP ki taraf rookh kar liya hai... Abhi Jo uplabdh hai unme se hi achchha select karna hai..true analogue foreign countries me kuchh bante hain jinhe yahan mangwana kaafi costly pad jaata hai..ek aam aadmi ke liye ye possible nahin hai...aur radio apne yahan aam admi ki jindagi ka ek hissa hote the kal tak...ab hum jaise Radio ko pasand karne wale logon ko aaj radio phir se ek dusre se jod raha hai...to aaj market me jo behtar hai use enjoy karen..JAI HIND..LONG LIVE RADIO 📻🚩🚩🚩🚩🚩
@@anandgoswami3055 Chinese brand Tecsun abhi bhi kuch models mein Analog de rahe hai..like mod-R9012..but Dsp cheapset is very cost sufficient & Signal bhi achha catch karta hai.. isliye sab company Dsp pe move kar liye.. 🙏😉😎
@@loneranger5700 Jee bilkul..Tecsun is also doing an amazing work in this field.. Also I've heared some American companies are also doing well.... And Sir analogue ho ya DSP ....enjoy the life...👍
@@radheyshyam210 koi baat nahin uske bina bhi iska koi muqabla nahin... Rahi rechargeable battery lagane ki baat wo warranty period ke baad install kar lunga..no problem..
@@krishnakarmakar1986 Yes Sir, electric interference causes problems in reception of radio... If the radio will be played village or field area far from electrical interference radio gives a better output..👍😊
@@manishkundnani5924 Dost,,ye video Unboxing cum short review" hai. First 8 minutes are related with unboxing part... And then the remaining part is for review..
Jay radio sabse bekar hai jo pahle wala champion radio tha vah bahut achcha tha Jay uski copy hai aur ek baat Jay radio dur ke channel pakdata nahin hai FM per. Thode dinon bad aapko pata chal jaega
Sir,aap Qudoson le len....kyonki under 2000/- koi bhi India me bani Radio,,,, isse behtar nahin hai... Aur mere champion 2024;ne to dur dur ke station's asani se catch karke dikhaye...utne hi jitne xhdata ke D-808 ne...to Kami to nahin lagi mujhe.
@@aakstravelling3433 Oh..Aisa kya..thik hai koshish karunga ,,ise thik karne ki... Waise mera latest video dekh ke please batayen wo thik hai ya usse bhi fast speed rakhni hai... actually main technical knowledge kam rakhta hoon editing ki..but koshish jarur karunga..aapke salah ke liye dil se dhanyawad 🙏😊🌹
@@bashirahmad7642 no , it is made in india ..look at the box... May be some of the internal components are imported from China...but why it is a issue...in this global business world..most of Indians use made in china mobile...and lots of gadgets.. which are made in china...
Sir MW band mein antina ki koi zaroorat nahi hai
@@alliswell2140 Jee whip antenna ya arial jo radio mein bahar lagi hoti hai..uski jarorat nahin hai . Medium waves ke liye ferrite antenna radio ke andar lagi hoti hai..haan MW pe behtar reception ke liye..ek vishesh loop antenna hoti hai..but I have not used it..so can't say about the performance of loop antenna... 😊👍
Badhiya commentary. Purane jamaneki yaad aai. Slow and steady.
@@anantsinnarkar2457 Shukriya 😊
😊 bahut badhiya sir purani yadein taja ho gaya Radio mil raha abhi bhi
Analytical~Bravo! incredibble job!
@@eprohoda Shukriya Bhai 😊🙏🌹
A lots of thanks dear sir..💐
❤🎉🎉🎉🎉🎉🎉🎉🎉🎉🎉❤ for describing the RADIO ❤
@@kailashchandrapadhiary5512 Thanks from my heart Sir 🙏
Satisfied Philips radio No 1
@@vans5203 Yes Sir..it is 😊👍
PHILIPS RADIO COMPANY SHOULD PRODUCE OLD LIKE TRANSISTOR RADIO, for better Radio future ❤❤❤❤❤❤❤
@@kailashchandrapadhiary5512 Bilkul Sir..yadi Philips Aisa karti hai to ye hum sabhi radio premiyon ke liye ek bada achievement hoga...🙏😊
Super sir
@@hidayathalikhan896 Shukriya Sir 🙏
Just subscribed!
@@alwyndsouza5361 Thanks Sir...🙏
I still have my Grandpa's 📻 Philips Radio& Philips TapeRecorder , TapeRecoder is Still working it Catches also the International Channels and the volume is just wow. That time Philips used to be Finland its still written on the Radio 📻 and TapeRecoder,absolute gem .But, now this Philips is an Indian brand and Indian made so, the quality isn't like that Finland Philips ,but still better than some local brands yeah
@@bikramchandraroy9721
Great Sir..kya baat hai..abhi bhi ye kaam kar raha hai kya..apne anubhaw jaroor share karen.😊👍
@@anandgoswami3055 yes the TapeRecoder still works 💪🏽, itcatches all international channels,ive heared personally china pakistan egypt england ireland saudi, it's sooo loud that I don't play it in full volume.its made In Finland. I mean it's Finland Philips. It Catches more and more far country channel at night 🌙. I've heard usa channel also at night
@@bikramchandraroy9721 excellent 👍
💥💥💥🎉🎉🎉Congratulations for brand new Radio Anand ji, Galti ki koi baat hai bina script ke video banate hai yahi apki originality hai waise sir iske antenna ki lambai kitni hai cm please batayein❤️👍
@@VikasGupta98701 thank you..
Approx 4ft...lambai hai iski.
Shukriya anand ji❤️
@@VikasGupta98701 😊🙏
VERY GOOD VIDIO , PHILIPS RADIO RL 384, MW, SW, FM TV, BAND , TV BAND WALA RADIO BANAYA JAYE
@@avdeshmishra3618 Sir TV band wala Radio,ab Philips ne discontinue kar diya hai,kyonki ab tv band kaam nahin karte.
Jo RUclips pe seller hain we purane radio sell karte hain..aap unhen wahan se purchase karna chahen to kar sakte hain...but wo kitne reliable hain ye dekh kar lijiyega.
Power se chala kar dekhaye, eske saath 4:5 volt ke cord Nehi dete?
@@swapankarmakar1628 Power se electricity ki wajah se interference bahut jyada hoti hai...Radio sunne ka saara maja kharab kar deta hai...haan powerbank se chala kar dikhaunga ...jo ek achchha option hai...👍
💥💥💥💥Very good evening Anand ji khushkhabri khushkhabri 🎉🎉🎉🎉🎉 Philps champion radio wapas aa gaya Amazon par lekin is baar twist ye hai ki isbaar apko "Philps radio RL 384\94" search karna padega tabhi radio show karega dusre koi bhi keyword kaam nahi kar rahe hain jo log chahe buy kar le kub chala jaye koi khabar nahi hai ❤️👍
@@VikasGupta98701 lots of thanks....Vikas Jee..post mein link daal diya maine...bahut log ichchhuk hain ..😌😊👍👍
Nice 👍👍👍
@@Ganga.Prasad525 Thank you 😊
❤ main radio lunga❤
@@sopanbawne
Jaroor lijiye, World of Radio is waiting for you....📻❤️🎶🎼🎶❤️🎼🎶🎼❤️📻
Amazon pe nahi show kar raha hai bhai
@@ajitgupta8755
Jee abhi nahin hai..wait karna hoga phir se uplabdh hone tak...
@@ajitgupta8755 go fast , just abhi available hua hai..kewal 2 sets hain......runnnn
Kya yeh bijli Aur cell se chalta hai
@@vinodchadha4709 jee ye
bijli aur cell dono se hi chalta hai, bijli se chalane ke liye aapko 4.5 v ac to dc adaptor ki jarurat hogi jiska pin 1.5mm ka ho. Iske alawa aap ise power bank se bhi chala sakte hain jo 1amp current tatha 3.7v wala ho..iske liye aapko usb to 2.5mm wire ki awasyakta hogi.
Iske liya kausa Adaptor best haii sir.
@@Raj-pr8kn
Market se lripil ya lapcare ka
4.5 v ac to dc adaptor le lijiye 0.5 ampere ka.
ये रेडियो है मेरे पास❤
@@vinayakbhamare4490 Good,, enjoy it..ye ek behtareen radio hai..👍
Sir, iska sound to utna achha nahi hai jitna ki purane vale champion ka hai. Aapka kya kehna hai is bare me?
@@SandeepKumar-mq5qr Suprabhat Sandeep Jee🙏. ...Purane wale champion ko maine nahin suna hai...Kai purane Philips ke radios ko suna hai maine...
Naye Champion ki aawaz thodi tez to hai but thodi teekhi hai, bass add rahne achchha rahta..lekin kahunga Not Bad..
Kyonki ye apne price segment mein sabse aage hai .is segment mein iske jaisa reception, selectivity aur sensitivity dusre radio mein nahin dekha maine,,antenna ki ltagdi lambai, aur dur ke station catch karne ki iski chhamta gajjab ki hai..So enjoy it..Ab purane Analouge radio naam matra ke ban rahe hain...aur naye mein ye ek behtareen radio hai.
Dhanyavad reply karne ke liye.
Radio kharidne ke bare me soch raha hu lekin man me kuchh saval hai jaise 1. Agar radio bhavishya me warranty period samapt hone ke baad kharab hua to usko repair karane ke liye villege se dur 60km city me Jana padega aur chuki Maine dekha hi nahi hai ki repair kaha hota hai to, paresani bhi hogi.
2. Purane wala champion leta hu kyuki mujhe uska sound achha lagta hai, to usko company pahle hi band kar chuki hai, to parts bhi nahi milenge. Aam taur par kisi bhi analog radio ke sabhi tarah ke parts market me milte hi nahi hai jaldi se.
3. Aaj kal koi bhi repair karne wala radio ko repair karna hi nahi chahata aisa Mera khud ka anubhav hai, electrician bolta hai ki utna time kiske pas hai 20 50 rupay ke liye utne samay me to main koi led tv ya kuchh aur repair kar dunga. Samay ka jyada value hai.
4. Reception - agar youtube par hi dekhe to khud aap aur baki bhi dusre Kai sare sabhi log radio ka bahut achha review dete hai aur tamam tarah ke video banate hai radio ke bare me lekin sabhi video me ek baat common hoti hai ki" sabhi log video upar chhat par hi banate hai, matlab agar radio sunna ho aaj ke samay me to seedhe chhat par hi Jana padega. Nahi to phir kisi jamane me jis antenna se tv chalti thi usi antenna se ab radio sunna padega jo pahle aisa nahi tha pahle kahi bhi radio bina kisi bahri antenna ke aaram se sabhi band par sare channel ko catch kar leta tha. To aaj kal vaisa antenna bhi nahi milta aur rahi baat khud se banane ki to sirf radio ko sunne ke liye bar bar chhat pe Jana padega lambi si wire jo radio ke antenna se jodi hai hamne usko thik karne ke liye. Kul mila kar baat yah hai ki pahle jitna strong signal ab nahi milta hai.
5. Mobile pe online radio-- yah mujhe jyada achha lagta hai kyuki bahut sare apps aur website maujud hai jinse hum radio ko apne mobile pe live sun sakte hai AIR aur Vividh Bharti sahit. Main bhi filhal aise hi sunta hu aur jyada sound ke liye apne mobile ko purane kharide hue red colour ka chhota sa speaker ko repair karwa ke usme bluetooth lagva kar ke usse sunta hu yah speaker Maine janbujh ke kharab hi kharida tha 90 rupay me kyuki iska sound mujhe jyada achha laga. Mera manna yahi hai ki device bhale hi kharab mile lekin agar vo achha avaj de to thik hi hai. Ab baat kare online radio ki to ispar bhi sare channel maujud nahi hai jaise ki redfm ,mirchi fm, radio City, fever fm, aur bhi hai main naam bhul Raha hu, kyuki inko sirf radio pe hi sun sakte hai inka prasaran online nahi hota hai pata nahi kyu. Aur yadi mil bhi jate hai to ve dusre city ke hote hai apne local city ke nahi matlab dusre state ke.lekin phir kabhi internet hi kaam nahi karta hai aur kabhi mobile bhi recharge nahi rehta to yah bhi ek samasya hai.
6. Radio agar mobile me diye gaye fm se sunte hai to uske liye bhi chhat par hi Jana padta hai niche to bajta hi nahi hai.
7. Phir bhi mujhe radio sunna pasand hai kyuki sirf battery lagao on karo aur radio bajne lagta hai. Lekin aaj kal radio ka sambandh chhat se aur aur utni uchai jitni lambi copper wire se ho gaya hai, kitna ajeeb baat hai ki radio ke liye itna taam jham.
8. Inhi sabhi vajah se kabhi kabhi radio ko kharidne ka bahut man bhi hota hai to bhi nahi kharid pata hu aur phir jab aapka aur baki sabhi logo ka video dekhta hu to phir radio kharidne ki bahut jyada iksha man me utpann ho jatai hai. Ajib hal ho gaya hai.
9. Chhat se wire lakar radio ke antenna ke sath jodne ka matlab hai ki ab apka radio ek khas jagah pe fix hogaya hai usko idhar udhar nahi le ja sakte apne sath.
10. Itna sab ke baad bhi sochta hu ki kaash main bhi market me niklu aur ek se dusre dukan me ghumte hue alag alag tarah ke radio ko dekhu unke price ko jaanu aur yadi koi acha sa sound wala mil gaya to lelu. Ya phir purana vala champion mil jaye to bhi thik.
Lekin fir vahi baat hogi bar bar chhat pe Jana padega aur nahi to lambi wire se connect kar ke radio ko ek hi jagah pe fix karna hoga Ghar me kisi jagah par kyuki wire ke sath kaise idhar udhar le ja sakte hai.
Ajeeb hal hogaya hai aaj kal ke radio station ka signal hi strong nahi chhodte hai aur hum tak thik se pahunchta bhi nahi hai.
10. Kya kare kharide ki na kharide?
Aapka kya kehna hai is baare me?
@@SandeepKumar-mq5qr
Kya baat...😊👍
Sarvapratham to dhanyawad Sandeep Jee apne man ke bhav aur sanshay ko mere sath share karne ke liye,,
Kuchh baat karne se pahle main clear kar doon ke mere koi bhi video chhat par banaye hue nahin hain, sabhi Ghar ke andar room mein hi banaye gaye hain.
Ab aata hoon sanshay pe, aapki baat sahi hai ki aaj mechanic dhuundhna radio ke liye mushkil hai,,
Main ye nahin kahunga ki radio lijiye hi,, par ye kahunga ki yadi shauk hai , budget hai..to apne needs ke anuroop radio lijiye..
Pahle apne local market mein jaroor dekh lijiye.Ek Idea milega..Shesh shubh..😊🙏
@@SandeepKumar-mq5qr
Sandeep Jee ,
Amazon pe abhi Diafield ka pocket radio sale mein 399/- mein mil raha hai..mujhe achchha laga ye .
Aap chahen to ye purchase kar sakte hain..mere channel pe iske review sahit 4 videos aa chuke hai, yadi aap interested hain to dekh len..
Diafield ka medium waves reception bhi mujhe pasand aaya,, iske MW ke reception kavideo jald hi upload kiya jaayega...
Sir, apka bahut bahut dhanyawad apne kimti samay me se kuchh samay mujhe Dene ke liye aur mere comments pe reply karne ke liye. Mujhe aapka yah tarka bahut achha aur uniq laga aisa to koi bhi youtuber nahi karta hai, bahut bahut achha. Main bahut khus hu. Apne jo radio ka price bataya hai wo radio mere address pe 599 ka dikha raha hai. Maine offline market me banne wale radio ka price pata Kiya tha 600 me to rechargeable+ usb+ blutooth with 5band ya 3 band me mil ja raha hai lekin uski body kamjor hai. Mujhe radio pe sirf gane nahi sunna hai balki us pe alag alag bands pe alag alag frequency pe hamesha kuchh na kuchh sunna jyada pasand hai ki kab kaha kya de Raha hai. Isliye kewal ek simple radio jisme simple features ho mujhe jyada pasand hi nahi hai. Kash India me bhi digital radio banne suru ho jata! Mujhe reply karne ke liye ek bar phir se apka ❤ se dhanyawad. Sukh Shanti aur Smridhi bani rahe.
R L 384 on Amazon ? Not even in Flipkart or in Company website !
@@alm114
yes it is unavailable now..but hope it will come again in next sell...be prepared always and keep an eye on the site Amazon.👍
I also love radio❤❤❤❤
Mil nehi Raha he
@@sudiptasen6181 Jee abhi nahin dikh raha Amazon pe,,parantu ummid hai aa jaayega jaldi hi...
💥💥💥💥Very good evening sir khushkhabri khushkhabri 🎉🎉🎉🎉🎉 Philps champion radio wapas aa gaya Amazon par lekin is baar twist ye hai ki isbaar apko "Philps radio RL 384\94" search karna padega tabhi radio show karega dusre koi bhi keyword kaam nahi kar rahe hain jo log chahe buy kar le kub chala jaye koi khabar nahi hai ❤️👍
Pahle ka model mein tv bands hote the..ab bandh ho chuka..Aur Cheap bhi true analogue se Dsp kar diye 😂😭🤣..
@@loneranger5700 Yes SIR..very true...
Ab to saare radio companies ne analogue se DSP ki taraf rookh kar liya hai...
Abhi Jo uplabdh hai unme se hi achchha select karna hai..true analogue foreign countries me kuchh bante hain jinhe yahan mangwana kaafi costly pad jaata hai..ek aam aadmi ke liye ye possible nahin hai...aur radio apne yahan aam admi ki jindagi ka ek hissa hote the kal tak...ab hum jaise Radio ko pasand karne wale logon ko aaj radio phir se ek dusre se jod raha hai...to aaj market me jo behtar hai use enjoy karen..JAI HIND..LONG LIVE RADIO 📻🚩🚩🚩🚩🚩
@@anandgoswami3055 Chinese brand Tecsun abhi bhi kuch models mein Analog de rahe hai..like mod-R9012..but Dsp cheapset is very cost sufficient & Signal bhi achha catch karta hai.. isliye sab company Dsp pe move kar liye.. 🙏😉😎
@@loneranger5700
Jee bilkul..Tecsun is also doing an amazing work in this field..
Also I've heared some American companies are also doing well....
And Sir analogue ho ya DSP ....enjoy the life...👍
Radio laut aya hai....aur range lana chaiye philips ko ..which is poor company now.
Antena to kutubminar ka aadha lag raha hsi
@@Quest3669 Jee sahi kaha aapne 😊
LIKE
@@firozmohammed222 Thank you 😍
Charging point hona chahiye isme
@@radheyshyam210 koi baat nahin uske bina bhi iska koi muqabla nahin...
Rahi rechargeable battery lagane ki baat wo warranty period ke baad install kar lunga..no problem..
Bhai ye dsp based radio hai purane wale ka reception top pe hai ye bekar hai
@@ajitgupta8755
Reception ke maamle mein naya wala jyada behtar hai..
Analogue mein tuning behtar hai..
Sound ke maamle mein dono bas 19/20 hain ..
Battery saving me purana wala behtar hai ...
Dono ki apni khubiyan aur kamiyan sath sath hain.
....kisi ko bhi sire se bilkul nakara nahin jaa sakta..
Current destroys radio listening
@@krishnakarmakar1986 Yes Sir, electric interference causes problems in reception of radio...
If the radio will be played village or field area far from electrical interference radio gives a better output..👍😊
8 minutes are wasted before showing actual product😢
@@manishkundnani5924
Dost,,ye video Unboxing cum short review" hai.
First 8 minutes are related with unboxing part...
And then the remaining part is for review..
Jay radio sabse bekar hai jo pahle wala champion radio tha vah bahut achcha tha Jay uski copy hai aur ek baat Jay radio dur ke channel pakdata nahin hai FM per. Thode dinon bad aapko pata chal jaega
Sir,aap Qudoson le len....kyonki under 2000/- koi bhi India me bani Radio,,,, isse behtar nahin hai...
Aur mere champion 2024;ne to dur dur ke station's asani se catch karke dikhaye...utne hi jitne xhdata ke D-808 ne...to Kami to nahin lagi mujhe.
Atal bihari lg rhe ho😅😂
@@aakstravelling3433 Bhai Sahab ,wo bahut mahan vyakti the ..main ik jarra matra hoon unke samaksh...
🙏
@@anandgoswami3055 भाई, आप बहुत धीरे धीरे बोलते हो, speed करनी पड़ती है video की
@@anandgoswami3055 भाई, आप बहुत धीरे धीरे बोलते हो, speed करनी पड़ती है video की
@@aakstravelling3433
Oh..Aisa kya..thik hai koshish karunga ,,ise thik karne ki...
Waise mera latest video dekh ke please batayen wo thik hai ya usse bhi fast speed rakhni hai... actually main technical knowledge kam rakhta hoon editing ki..but koshish jarur karunga..aapke salah ke liye dil se dhanyawad 🙏😊🌹
@@anandgoswami3055 jldi jaldi bolna chahiye...
made in china
@@bashirahmad7642
no , it is made in india ..look at the box...
May be some of the internal components are imported from China...but why it is a issue...in this global business world..most of Indians use made in china mobile...and lots of gadgets.. which are made in china...