Kalaam 106 Aata hai dil mei buth ki parastish kiya karoo Rakh kar sanam ko saamne sajda ada karoon Lakshman hoon raam hoon ke kishan jo hoon khud hu mai Zunnar dale apna gale mei phira karon Pad kar fainnama jo nasara kare kalaam Kya taab hai ke iss se mai chu o chara karon Mahraab kaba mei mujhe jane de shaik agar Mimbar par chad ke qhutba sanam ka pada karun Pahunchi hai jaan labo pe mera naak pe hai damm Aye ishq kab talak tere sadme saha karoon Be namo be nishan ke tasawwur mei rakh mujhe Aye dil teri qasam ke na, yade khuda karoo Chupkar dahan mei meem ke goya hai be zubaan Yaar apna iss ki kaun se muh se sanaa karon Lahoot ke makam mei aajaye gar nafas Ek damm mei lakh baar mai sair e baqa karoo Saut o sada ke baag ka khud hoon mai andaleep Kab tak kafas mei tann ke mukaiyad raha karoo Hasil hui hain sab sifate bande ki mujhe Phir kyu na ghar mei rabb ko bula kar mila karoo Mansoor sa mujhe bhi abhi dejiye daar par Keh kar anal haqq apni khudi ko fana karoo Murshid hai mai-faroosh tho kya darr hai phir mujhe Le kar sharab e shouk ko harr damm piya karoo Begane jo bane hain wo hum saya-daar hain Geebat karo mai unn ki na hargiz gila karoo Hablul wareed ka na ho uqda jo tujh se hal Uljhi gira ko tare-nafas ki mai waah karo Badla hai rooh ne jo muqam aye tabib e ishq Taskeen hogi dil ko khud abb kya dawa karoo Hai zaat la-yamoot ki ye sabb ulat palat Kuch kauf kar na yaad agar mai qaza karoo Khwaja moinuddin ki jo aashiq ko hai madad Har ek ko kyu na aap ka phir mubtela karoo.
Kalaam 106
Aata hai dil mei buth ki parastish kiya karoo
Rakh kar sanam ko saamne sajda ada karoon
Lakshman hoon raam hoon ke kishan jo hoon khud hu mai
Zunnar dale apna gale mei phira karon
Pad kar fainnama jo nasara kare kalaam
Kya taab hai ke iss se mai chu o chara karon
Mahraab kaba mei mujhe jane de shaik agar
Mimbar par chad ke qhutba sanam ka pada karun
Pahunchi hai jaan labo pe mera naak pe hai damm
Aye ishq kab talak tere sadme saha karoon
Be namo be nishan ke tasawwur mei rakh mujhe
Aye dil teri qasam ke na, yade khuda karoo
Chupkar dahan mei meem ke goya hai be zubaan
Yaar apna iss ki kaun se muh se sanaa karon
Lahoot ke makam mei aajaye gar nafas
Ek damm mei lakh baar mai sair e baqa karoo
Saut o sada ke baag ka khud hoon mai andaleep
Kab tak kafas mei tann ke mukaiyad raha karoo
Hasil hui hain sab sifate bande ki mujhe
Phir kyu na ghar mei rabb ko bula kar mila karoo
Mansoor sa mujhe bhi abhi dejiye daar par
Keh kar anal haqq apni khudi ko fana karoo
Murshid hai mai-faroosh tho kya darr hai phir mujhe
Le kar sharab e shouk ko harr damm piya karoo
Begane jo bane hain wo hum saya-daar hain
Geebat karo mai unn ki na hargiz gila karoo
Hablul wareed ka na ho uqda jo tujh se hal
Uljhi gira ko tare-nafas ki mai waah karo
Badla hai rooh ne jo muqam aye tabib e ishq
Taskeen hogi dil ko khud abb kya dawa karoo
Hai zaat la-yamoot ki ye sabb ulat palat
Kuch kauf kar na yaad agar mai qaza karoo
Khwaja moinuddin ki jo aashiq ko hai madad
Har ek ko kyu na aap ka phir mubtela karoo.
subhanallaha kalam e Aashiq piya peeli dargha barkas 🙏🧡
واہ جی واہ بہت خوبصورت سبحان اللہ
Dewaan E Ashiq-e-Khwaja R.z
Hazrath Khwaja Shah Kareemullah Ashiq-e-Khwaja chisty Mahmoodi R.z
Peeli Darga Shareef..... Barkas .Hyderabad,Telangana
Subhanallah subhanallah ❤
Subhanallah mashallah 😇
Subhan Allah
Allah.subhan.allah
Beshak subhanallah
Subhan allah
Bahot khub
Beshaq
Haq haq haq
🙏🌹🙏🌹🙏🌹🙏🌹🙏🌹
Assalamualaikum
@@KanzulMakhFi walaikum assalam
Haq
Assalamualaikum
Subhanallah ❤️🌹
❤️
❤️
Assalamualaikum Bhai kya ye main apne channel par upload kar sakta hun ?
👍👍👍👍👍😔😔
Mansoor Sa Mujhe Bhi abhi Diniye Daar Pae Keh Kar Anal Haq Apni Khudi Ko Fana Karon
Sufi Gharna ek baar hamara bhi video dalo na
Yah kavval Kahan Ke Hai bhajan
Hyderabad India
Jk Shaheen qawal ka Naam Hai
Subhan Allah