How to Use GTN Cream Correctly? Surgeon Dr Imtiaz Hussain

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 25 ноя 2024

Комментарии • 880

  • @drimtiazhussain
    @drimtiazhussain  10 месяцев назад +18

    Lahore mein check up aur operation ya phr online consultation kliay hum say whatsapp number (+923216303551) par sirf message kar kay rabta karein.(No messages or call between 9pm to 7am). Hmara whatsapp number hmari har video ki description mein diya gaya hai but sirf whatsapp messages kar kay rabta karein. Call bilkul nahin karni plz. Yaad karwany kliay Miss call bhi na karein. Hum free ho kar bari bari har messages ka reply krty hain.

  • @alvikhan5259
    @alvikhan5259 29 дней назад +3

    ڈاکٹر صاحب اللہ پاک نے آپ کو مسیحا بنا کہ بھیجا ہے ایسے خلوص اور تفصیل سے کوئی ڈاکٹر نہ بتاتا ہے اور نہ سمجھاتا ہے اللہ پاک آپ کو عافیت اور سلامتی میں رکھے جزاک اللہ خیرا

  • @Temptingfood704
    @Temptingfood704 Год назад +7

    Ma Shaa Allah Sir apki video sy boht faida ho raha ha logon ko

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад +1

      Hmein khushi hui apko hmari video achhi lagi. Hum barri mehnat say video bnaty hain aur logon ki preshani ko door karny ki koshish karty hain. Please subscribe to our channel for informative videos like these.

  • @sindhuelectronics4706
    @sindhuelectronics4706 Месяц назад +1

    Thank u Soo much sir Apne gtn forte ka Sahi istamal bataya 5 mint me farak aagya jsa Apne kaha wesa karny se Allah pak apko jaza e Khair da

    • @SumairaAli-y1z
      @SumairaAli-y1z 3 дня назад

      Please mojhe Samaj nahi Aya Kase Laga ha gtn cream

  • @arslanraj5413
    @arslanraj5413 28 дней назад +1

    Doctor saab 6 month sy constipation thi ab annal fissure ho gai hai jo apne tariqa btaya h wo zror amal main lau ga aur agr Khuda k fazal sy thk ho gya to mai apko zror visit kruga lhr main. Kyu k mainy bht medicines aur check up krway hai but nhi thk ho rha apne bht acha explain kia khuda k fazal sy zror thk ho jauga apke tariqy sy

  • @rehmatjr617
    @rehmatjr617 Месяц назад +1

    I used this way and Alhamdullaih. I have recovered. Thank you, Dr.❤❤

  • @iffetnaseem9902
    @iffetnaseem9902 8 месяцев назад +4

    Dr sb Allah pak ap ko jazaye khair ata kray. Ap bohat bri insanyat ke khidmat kr rhay hn. Allah pak ap ko apnay hiz o aman mei rakhay..Ameen. Mn bhi isi bemari ke patient hu... bohat takleef mei hu. Symtomes to yehi hn bt mn ap sy consult krnay k bad is ilaj ko apply kr sakti hu... plz help me n guide me. Jzallha.

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  7 месяцев назад +2

      Thanks a lot for your positive feedback.
      Lahore mein check up aur operation ya phr online consultation kliay hum say whatsapp number (+923216303551) par sirf message kar kay rabta karein.(No messages or call between 9pm to 7am). Hmara whatsapp number hmari har video ki description mein diya gaya hai but sirf whatsapp messages kar kay rabta karein. Call bilkul nahin karni plz. Yaad karwany kliay Miss call bhi na karein. Hum free ho kar bari bari har messages ka reply krty hain.

  • @nadishhussain21
    @nadishhussain21 4 месяца назад +1

    Mashallah doctor shab Allah pak apko jazey kher de .ameen❤

  • @tanzeelrehman289
    @tanzeelrehman289 Год назад +6

    MashaAllah. i have no words to prais u sir, . Allah ap ko asanian ata frmay. Aameen

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад

      Ameen and shukriya. Please share with others who have this problem

  • @abuusman6475
    @abuusman6475 Год назад +3

    جزاكم الله خير بهای جان الله تعالی اپکو سلامت راکهے آمین ثمه آمین 🎉

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад

      Thanks for the appreciation. Plz don’t foreget to subscribe. Aur hmari video baqion say bhi share karein so that wo bhi faida lein. Thanks again

  • @ashokmonde9694
    @ashokmonde9694 7 месяцев назад +1

    बहोत ही सुंदर तरिका आपने बताया .धन्यवाद

  • @RabiaImtiaz8075
    @RabiaImtiaz8075 2 месяца назад +8

    Sir apki vedio dykh k many apna Fisher ka treatment kiya h alhmduillah ma thek ho gai ho

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  2 месяца назад +1

      MashaAllah.

    • @ridawaseemridawaseem1936
      @ridawaseemridawaseem1936 2 месяца назад

      Sister apne knsi cream use ki

    • @adnanshaheen8448
      @adnanshaheen8448 2 месяца назад

      Gtn​@@ridawaseemridawaseem1936

    • @shamsaiqbal401
      @shamsaiqbal401 24 дня назад

      ​@@drimtiazhussainkya jo gosht ka tukra bahir Aya hota to wo b thik ho jata is sy ??

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  7 дней назад

      ruclips.net/video/a3SqkOzHUMg/видео.htmlsi=MmWJZGIgyy2gJQ3p
      Yeh video dekhein

  • @maqsoodrajaraja522
    @maqsoodrajaraja522 Год назад +3

    آللہ آپ کو اجر دے بھاہی صاحب

  • @amazingtech767
    @amazingtech767 Год назад +5

    I was in search of a channel that recommends medicine and I found it.
    Good work keep it up.

  • @shahidimam2549
    @shahidimam2549 Год назад

    Sab se acha trika btaia hai .kaney ke baare ka maloom hai .bhote shukria

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад +1

      Thanks for the appreciation. Plz don’t foreget to subscribe. Aur hmari video baqion say bhi share karein so that wo bhi faida lein. Thanks again

  • @RabiaImtiaz8075
    @RabiaImtiaz8075 2 месяца назад +1

    Thank you Allah pak apko bhter ajer dy

  • @MunazzaMudasser-iv2tu
    @MunazzaMudasser-iv2tu 4 месяца назад

    Thnk u soo mch sirvdr ne kai barvye recommend ki bt apply ka sahi tarika nai btaya asy.....is k side effect ki waja se mei isyvuse nai krsaki bt ill use it now after ur appying method Allah ap pe apko salamt rakhy

  • @amjadmehmood9448
    @amjadmehmood9448 Год назад +1

    Respected sir I m from Peshawar and I am your big fan 😊❤

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад +2

      Hmein khushi hui apko hmari video achhi lagi. Hum barri mehnat say video bnaty hain aur logon ki preshani ko door karny ki koshish karty hain. Please subscribe to our channel for informative videos like these.

  • @arhammajid9811
    @arhammajid9811 Месяц назад +1

    Mashallah great Imtiaz Bhai supppppperb sir very informative video

  • @malikanaz5704
    @malikanaz5704 9 месяцев назад +2

    Thanks for such an informative videos

  • @mohibhussain5641
    @mohibhussain5641 7 дней назад +1

    Great sir. Stay blessed.❤

  • @fsmotorfarrukh9193
    @fsmotorfarrukh9193 Год назад +3

    Allah Tala apko lambi ummar or be baha rizq atta farmae Allah ka shokar hy me bahut bahut thik ho gaya ap ki video dekh kar Dr Allah apko khosh rakhy

  • @chiqbalmultan2627
    @chiqbalmultan2627 9 месяцев назад +2

    Marvel's way to treatment,❤

  • @tasawarhussain7504
    @tasawarhussain7504 Год назад +1

    Thanks very very nice Doctor

  • @jararhaider2990
    @jararhaider2990 Год назад +3

    Very Nice and humble person I have ever met. Salam to dear Sir ❤️

  • @muhammadharoon7683
    @muhammadharoon7683 Год назад +3

    Dear sir very informative video

  • @BarbieDoll-e3l
    @BarbieDoll-e3l 4 месяца назад +1

    Very informative video Thank you sooo much sir

  • @anamzaheer7337
    @anamzaheer7337 Год назад +5

    A BIG yes! One can heal from Anal fissure if follows prescribed method religiously. I healed from this disease properly by following the right way of taking high fibre food, required as well the right amount of applying creams, and lastly, sitz bath helped a lot for muscle relaxation.
    Dr. Imtiaz! A big thanks to these videos for giving proper knowledge for this disease..🎉🎉🎉😊

  • @jamalabdulnasir4373
    @jamalabdulnasir4373 9 месяцев назад

    Very informative jazak ALLAH

  • @JamilAhmad-kk2dp
    @JamilAhmad-kk2dp 4 месяца назад +1

    Great information

  • @AdnanKhan-ts8rq
    @AdnanKhan-ts8rq Год назад

    Mere bache KO ye masla hay.thankyou g

  • @KhurramAli-v2s
    @KhurramAli-v2s 5 месяцев назад +5

    Dr sahb best GTN cream konsee hai please nam bataden

  • @Rehanusman832
    @Rehanusman832 6 месяцев назад +7

    Sir .plz mai buhat takleef mai hu meri age 41 hy aj sy 20 saal pehly pregnancy mai mujhy kabaz hui thi jb pakhana aya to aik skin tot gai tb blood b aya tha zoor lagany ay aisa howa tha ab mujhy loose motion lagy to zakham bn gy jo barh gy hy aur wo skin b baher agai hy jo buhat pain full hy mujhy blood bilkul nai hy sirf jalan hy pakhna hard aye ya patla jalan aur dard buhat hy plz plzz allah k wasty meri madad kry plzzzz

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  6 месяцев назад +1

      Ap ky feedback ka shukriya Jab tak check na karein koi medicines nahin leni chahiein. Yahan 5 say 6 conditions aisi hain jo aik jaisi alamaat kay sath hoti hain. Pictures say bhi koi idea nahin hota. Jab tak check na karein kuch nahin bta sakty.Aapko apne general surgeon say raabta karna chahiye takay woh aapki health history sun sake, aapke symptoms ka tafseeli jaaiza le sake, aur phir aapko sahi tajweezat aur ilaj de sakein. Is tarah ke masail ka hal asal wajah par munhasir hota hai.

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  6 месяцев назад +2

      Sub say pehly ap apny qareebi general surgeon say examination kliay check up karwaein. Wo check up kay baad decide kary ga keh apko kia marz.hai. Aapko general surgeon se munsalik raabta karna chahiye takay woh aapki health history sun sake, aapke symptoms ka tafseeli jaaiza le sake, aur phir aapko sahi tajweezat aur ilaj de sakein. Kionkeh yahan 5 say 6 bemarian aisi hain jinki aik jaisi alamaat hoti hain maga ilaaj mukhtalif hai.
      aur agar hum say Lahore mein check karwana hai to hmara number har video ki description mein dia gaya hai but sirf whatsapp messages karein. Call bilkul nahin karni plz aur na hi miss call day kar yaad karwaein. Hum khud free ho kar rabta lazmi karty hain.

    • @MadhusudhanPal
      @MadhusudhanPal 5 месяцев назад +2

      Mam Daily warm water 3time, only 2:45 green vegetables just 3 month , finally fiber 80% 4 l water hot, don't use cool water, dahi 2 cup, lemon juice, 3month follow this rules, completey cure fissure and piles

  • @AbeehaNazam
    @AbeehaNazam 2 дня назад

    Sir mery mohka bna hwa hai dard hoti us k liye konsi tube use kro

  • @kalasgujjar785
    @kalasgujjar785 Месяц назад

    Thnx doctor sb

  • @manzoormoryani3883
    @manzoormoryani3883 11 месяцев назад

    Nice information thanks so much

  • @Rajaattullah
    @Rajaattullah 10 месяцев назад +1

    Thnku sir❤ it's v informative ✨

  • @faisiiawan6189
    @faisiiawan6189 Год назад +2

    Men ney kall operation kerwaya fissure ka dua kren Allah theak ker dy

  • @AliRaza-od1nu
    @AliRaza-od1nu 4 месяца назад +1

    Sir g m n ap ki video aj dykhi hy,but bht achi tarah sy ap NY guide kia,,,sir ap ye bata dyn cream 3 kisam ki hy ,,gtn plus b hy ,forte b hy or plyn b hy,to use kon c karni hy ,,plzzz ye bats dyn

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  4 месяца назад +3

      GTN cream (glyceryl trinitrate) anal fissures ke liye use hoti hai aur yeh teen types mein available hai: GTN Plain, GTN Plus, aur GTN Forte. In types ke beech mein jo farq hai, woh concentration aur formulation ka hota hai. Aapko kaunsi aur kitni use karni chahiye, yeh aapke doctor ke prescription aur aapki specific condition par depend karta hai. Yahan kuch general guidelines hain:
      1. **GTN Plain**: Iski concentration lowest hoti hai aur mild cases ke liye use ki ja sakti hai. Usually 0.2% concentration hoti hai.
      2. **GTN Plus**: Iski concentration moderate hoti hai aur yeh moderate severity ke fissures ke liye suitable hoti hai. Usually 0.4% concentration hoti hai.
      3. **GTN Forte**: Iski concentration highest hoti hai aur severe cases ke liye use hoti hai. Usually 0.6% concentration hoti hai.
      ### Istemaal Ka Tareeqa:
      - **Doctor ki Salah**: Sabse zaroori baat yeh hai ke aap apne doctor ki salah lein. Woh aapko best type aur dosage prescribe kar sakte hain based on aapki condition.
      - **Istemaal Ka Tareeqa**: GTN cream ko affected area par lagane se pehle aur baad mein haath ache se dhoyein. Usually, cream ko din mein 2-3 baar lagaya jata hai.
      - **Amount**: Cream ki choti matra (pea-sized amount) affected area par lagayi jati hai.
      ### Side Effects:
      - **Headache**: GTN cream se headache ho sakta hai kyunki yeh blood vessels ko dilate karti hai.
      - **Burning Sensation**: Lagane ke baad kuch burning ya tingling sensation ho sakta hai.
      - **Skin Irritation**: Kabhi kabhi skin par irritation ya redness ho sakti hai.
      Agar aapko koi severe side effects mehsoos hote hain ya cream se discomfort ho raha hai, to fouran apne doctor se consult karein.
      Lahore mein check up aur operation ya phr online consultation kliay hum say whatsapp number (+923216303551) par sirf message kar kay rabta karein.(No messages or call between 9pm to 7am). Hmara whatsapp number hmari har video ki description mein diya gaya hai but sirf whatsapp messages kar kay rabta karein. Call bilkul nahin karni plz. Yaad karwany kliay Miss call bhi na karein. Hum free ho kar bari bari har messages ka reply krty hain.

  • @RazaHasan-e6v
    @RazaHasan-e6v 7 месяцев назад

    (GTN) Glyceryl Tri Nitrate. Glyceryl trinitrate, also known as nitroglycerin, is a medication used to treat chest pain (angina) and heart failure. It works by dilating blood vessels and increasing blood flow to the heart, which helps to relieve chest pain and reduce the workload on the heart. Glyceryl trinitrate is typically taken as a sublingual tablet or spray, and can also be administered through a patch or intravenously in certain situations.

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  6 месяцев назад

      These are some other uses of GTN but Its cream form is used to treat anal fissure beacuse it is smooth muscle ralaxant

    • @muhammadArham-ey2xn
      @muhammadArham-ey2xn 4 месяца назад

      Thank you 😊 doctor Apny Jo method btya tha mne wasa hi kiya ma thk ho .. GTN cream ki jaga xyloaid jelly (lidocaine) pharmacy wlo NY di thi y b wahi formula ha na ?

  • @salehaghaffar6756
    @salehaghaffar6756 10 месяцев назад +2

    Thanks bhoat bhoat shukriya

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  10 месяцев назад +1

      "Thank you for your kind words! We appreciate your support and are delighted that you find our content valuable. If there are specific topics you'd like us to cover or if you have any questions, feel free to let us know. Your encouragement means a lot to us!"

    • @Sadboy-sl4cr
      @Sadboy-sl4cr 9 месяцев назад

      Ab ap kasa ho dr

    • @Sadboy-sl4cr
      @Sadboy-sl4cr 9 месяцев назад

      Operation ka bd Kitna pain hova tha

  • @zakirullahausking6449
    @zakirullahausking6449 3 месяца назад

    Jazak Allah khair

  • @bapisaha5746
    @bapisaha5746 10 месяцев назад +1

    Hello Dr sahab
    me Assam India se
    Appka har video dekhta hu
    appka samjhane ka tarika bahothi sundar he
    Kay app ...GTN cream ..ka generic name bata sakte he bahot jaruri he
    Mujhe 15 dino se Bleeding horaha he
    mayne surgeon ko dikhaye unhone Smooth cream diye lekin arram nehi huya he

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  10 месяцев назад +2

      Shukriya! Khushi hui ke aapko hmari videos pasand aati hain. GTN cream ka generic name "Glyceryl Trinitrate" hai. Yeh aam tor par anal fissure ke ilaj mein istemal hoti hai. Lekin, aapko apne healthcare provider se consult karna behtar hai, taake sahi tajaweez di ja sake aur aapke specific case ke mutabiq treatment ho. Sehatmand rahein!

    • @bapisaha5746
      @bapisaha5746 10 месяцев назад

      ​@@drimtiazhussainSukriya Dr sahab aapko
      Appne Reply diye
      mayne dr ko dikhaye he
      unhone mujhe smooth cream Khoni bawasir me lagwane diye he
      aur OSIL capsu khane ko aur Emty oral solution pine ko diya lekin DR SAHAB
      MERA KHOON NIKALNA BAND HI NEHI HORAHA HE
      KRIPA APP KOI GENERIC MEDICINE
      BATAYE TAKI ME THIK HO SAAKU
      SUKRIYA APPKO DR SAHAB

  • @yaqoobanjam5624
    @yaqoobanjam5624 3 месяца назад

    Very good and very nice sir

  • @zeeshanmahmood5697
    @zeeshanmahmood5697 2 месяца назад

    Well done 👍🏽 Doctor sahib

  • @alinasir1023
    @alinasir1023 28 дней назад +1

    doc Sb ye GTN aur Gell din main kitni dfa lganai chahiye?
    Aur Kindly yeh bta dain In Dono k elawa ap kis cheez ka name bta rhy hain GTN Cream xylocane Gel aur Aik Warm k agay Kya hy smjh nhi aa rhy kindly reply

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  27 дней назад +1

      ruclips.net/video/LiTTh9HA5Ek/видео.htmlsi=SCjnRjCLHapYh7QQ
      Yeh video dekhein

  • @tasawarhussain7504
    @tasawarhussain7504 Год назад +2

    Very well

  • @MuneerBalouch-d5y
    @MuneerBalouch-d5y 27 дней назад

    Sir mycitracin or GTN kaise istmal kary sir subah sham please bata da?

  • @muhammadakram-ie1jw
    @muhammadakram-ie1jw Год назад +3

    Wao... U. R rite sir. AP NE pehly qu NE btaya. Hm to tube k Sath di hoi applicator k Sath under lgaty thy .. sergn NE kaha tha k 2ono ko mix kr k lgai.. AP NE sehe treeqa btaya Hy.

  • @sanahayat6713
    @sanahayat6713 Месяц назад

    Doc kia fissure sath ager skin tag at 12o clock ho to bhi med se sehi hosekta?plz reply

  • @anjumkhan1851
    @anjumkhan1851 Год назад +2

    السلام علیکم سر کیسے ہیں آپ دوا کرتا ہوں آپ خیریت سے ہوں گے سر جی میں اس تکلیف سے بہت زیادہ پریشان ہوں آپ نے جو tiub بتائی ہے یھ دبئی میں نئی ملتی پلیز مجھے کوئی آور حل بتاؤ

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад +1

      Ap wahan general surgeon ko check karwaein. Dekhny kay baad medicines btai jati hain

  • @saranoor6506
    @saranoor6506 Год назад +1

    Kya is mai intiboitic madican use kr sakhte hain. Ya sirf cream lagana haj

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад +1

      Cream hi faida day gi. Antibiotics sirf kuch dinnon kliay

  • @eagleentertainment3229
    @eagleentertainment3229 Год назад

    excellent job Dr sahib, u have done great job and explanation tnx,

  • @waqassain646
    @waqassain646 Год назад +1

    Sir jo creem dono mix kr ky lgani hain plz un dono ka name bta dejye mery ek aziz ko fishr hy

  • @Healthy45
    @Healthy45 Месяц назад

    kya ya cream anul itching ma b use kr skty hn??

  • @FaisalAli-sy7gl
    @FaisalAli-sy7gl Год назад +2

    Sir kaya gtn stool kernay say pehlay use kernay hay. Gtn ko lignocaine ya tronolane Kay Sath mix kerna hay.

  • @HamzaHusnain-o1w
    @HamzaHusnain-o1w 10 месяцев назад +1

    Assalamualaikum.sir mujhy c section delevry k bd construction ki wajah se enall fiushr bn gaya or 6 weeks ho gaye Hn thik nhi ho Raha

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  10 месяцев назад +1

      "Shukriya aapke comment ka. C-section ke baad 6 haftay guzar chuke hain aur constipation ki wajah se anal fissure ho gaya hai, yeh toh bohot common issue hai. Main aapko suggest karoonga ke aap apne doctor se consult karein takay sahi ilaj mil sake.

  • @fahadkhan-r3c
    @fahadkhan-r3c 8 месяцев назад +1

    ❤ thanks

  • @umehaya-jv5yc
    @umehaya-jv5yc 6 дней назад +1

    Please please sir mujhe reply karen mujhe and kuch nahin hey ak maas k tokra hey bhar ase feel hota hey wo moment kar raha hey please mujhe batai ye kia hey

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  6 дней назад +1

      Aapka concern samajh gaya hoon. Jo "massa" (skin tag ya polyp) aap describe kar rahe hain, jo movement karta hai, yeh aksar fissures ya hemorrhoids ke baad banta hai. Agar yeh massa discomfort ya problem create kar raha hai, to uska proper evaluation aur treatment zaroori hai.
      ### Yeh Massa Kya Ho Sakta Hai?
      1. **Skin Tag**:
      - Yeh fissures ke baad hota hai, jo harmless hota hai, lekin kabhi kabhi irritation ya hygiene issues create kar sakta hai.
      2. **External Hemorrhoid (Piles)**:
      - Agar massa soft aur vascular feel hota hai, to yeh piles bhi ho sakta hai.
      3. **Anal Polyp ya Sentinel Tag**:
      - Yeh chronic irritation ya fissure ki wajah se ban sakte hain. Agar iska size barh raha ho ya movement unusual ho, to uska proper check-up karna zaroori hai.
      ---
      ### Kya Karna Chahiye?
      1. **Doctor Se Muaina Karwayein**:
      - Yeh confirm karna zaroori hai ke yeh harmless skin tag hai ya kuch aur, jese piles ya polyp. Examination ke bagair iski asal nature ka pata nahi lagaya ja sakta.
      2. **Hygiene Ka Khayal Rakhein**:
      - Har bowel movement ke baad **gentle cleaning** karein (lukewarm pani aur soft tissue ka istemal karein).
      - **Sitz bath** continue rakhein, yeh area ko saaf aur infection-free rakhta hai.
      3. **Surgical Removal** (Agar Zarurat Ho):
      - Agar massa discomfort de raha hai, irritation ya bleeding kar raha hai, to doctor aapko iska simple procedure recommend kar sakte hain (laser ya excision).
      ---
      ### Gharelu Tadabeer:
      - **Fiber aur Pani**: Stool ko soft rakhne ke liye fiber-rich diet aur zyada pani ka istemal karein.
      - **Topical Ointments**: Agar irritation ya swelling ho rahi ho, to doctor ke mashwara se soothing creams (jese barrier cream) lagai ja sakti hai.
      ---
      ### Zaroori Maloomat:
      Aap is massa ke issue ke liye apni tasveer ya symptoms discuss karne ke liye **+923336303550** par WhatsApp kar sakte hain ya hamari website [surgeondrimtiazhussain.com](surgeondrimtiazhussain.com) par FAQs aur blogs ka mutala karein. Proper diagnosis aur treatment ke liye in-person consultation best hai.

  • @RanaAli-zn5mh
    @RanaAli-zn5mh 2 месяца назад +1

    Acha jao skin pa waite waite nesan ban jata hain aos ka ley istamal kr sakta haun kya

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  2 месяца назад +1

      **White spots** jo skin par ban jate hain, unki wajah mukhtalif hosakti hain, jaise ke fungal infection, vitiligo, ya doosri skin bimariyan. **GTN cream (Glyceryl Trinitrate)** aam tor par **anal fissures** ke liye istemal hoti hai, taake muscles ko relax kare aur blood flow ko behtar banaye. Yeh cream white spots jaise skin problems ke liye aam tor par recommend nahi ki jati.
      ### White spots ke liye mumkinah wajahain aur ilaj:
      1. **Fungal Infection (Tinea Versicolor)**:
      - Agar white spots fungal infection ki wajah se hain, toh antifungal creams ya medications ki zarurat ho sakti hai.
      2. **Vitiligo**:
      - Agar yeh vitiligo hai (jisme skin ka rang chala jata hai), toh khaas ilaaj hotay hain, jaise topical steroids ya doosri dawaaiyan jo skin ko dobara rang dene mein madad karti hain.
      3. **Pityriasis Alba**:
      - Yeh aik halkee condition hai jo skin par white spots paida karti hai, aur iske liye halka ilaj zaroori hota hai.

  • @DrMubeenNasir
    @DrMubeenNasir Год назад

    Very informative video sir 🎉

  • @arhumahmed7093
    @arhumahmed7093 Год назад +1

    Sir gtn 0.2 cream kitny din aur kitni dafa lagaye

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад

      is video ko.pora dekhein. Is mein btaya gaya hai

  • @shahzadavlogs726
    @shahzadavlogs726 Год назад

    Nice advice MN to andar lga rha tha serjon ne bhi mix Kar ke lagane ko Kaha hum to tube ke sath lga rhe the

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад

      Glad it helped. Don't forget to subscribe

    • @mubasharhassan6496
      @mubasharhassan6496 Год назад

      Theek huwa hai aap

    • @SyedAli-k8t
      @SyedAli-k8t 10 месяцев назад

      Gtn cream only use krni ha ya kuch or b mix karty kindly tell me

  • @rajuveda632
    @rajuveda632 Год назад

    Thanks sir good information

  • @shahidbhutto71
    @shahidbhutto71 3 месяца назад

    Assalam Walakum dr shab gtn Creem key sat or kon si Creem lagni hey pine rellef key liya

  • @coolmind5488
    @coolmind5488 Год назад +4

    Nice

  • @khadijakousar-gb9vg
    @khadijakousar-gb9vg 2 месяца назад

    Sir please tell me kya gtn cream pregnancy mein use krskty hain long time???????

  • @Qayyum-v6i
    @Qayyum-v6i 3 дня назад

    Sar mary maqd pr sozash ha ak Said pr pakhna ka bad khon or dard bohat hota ha do char ghanty bad sozach khod khatm ho gati ha suba Kay wqt msla bnta ha or sath chotay pashab ki nali main dard rahta ha

  • @azharaslam3733
    @azharaslam3733 Год назад +3

    Good

  • @mubasharhassan6496
    @mubasharhassan6496 Год назад

    As Salam O Alikum Sir ap sab ko reply karta hain mujhe khushi hui ap ki video dekh kar Sir kya ap mujhe reply karya ga Mujhe bohut Taklif hoti hain Pakhana wali jaga jalti hain or Teese uthti hain andar or Pakahna karu tu Bohut zeyada blood be ataa hain

  • @noornaeem8775
    @noornaeem8775 8 месяцев назад +1

    lhr kis jga adrs

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  8 месяцев назад +1

      Lahore mein check up aur operation ya phr online consultation kliay hum say whatsapp number (+923216303551) par sirf message kar kay rabta karein.(No messages or call between 9pm to 7am). Hmara whatsapp number hmari har video ki description mein diya gaya hai but sirf whatsapp messages kar kay rabta karein. Call bilkul nahin karni plz. Yaad karwany kliay Miss call bhi na karein. Hum free ho kar bari bari har messages ka reply krty hain.

  • @mubiali14
    @mubiali14 10 месяцев назад

    Thank you

  • @AbuzarKhan-yj9cf
    @AbuzarKhan-yj9cf 4 месяца назад +1

    Asalamualaikum sir
    Sir khone atha ha kabhi kahbi ghab koy kam krtha hon wasi nahe hotha ha kouch bhe na dard hotha ha keya GTN cream use krshkti ha help full ha lzmi btha de p/z shukriya ❤️

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  4 месяца назад +1

      Surgeon say check up kay baad ilaaj shuru karein

  • @memeskiduniyamemeskiduniya1921
    @memeskiduniyamemeskiduniya1921 Год назад +1

    Dctr saab meri beti ki umer 5yer hy our usko b boti wali jaga pay bohat pain hy beliding nai hy.g t n creem b use ki hy but farq nai prta

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад +1

      Sub say pehly ap apny qareebi bachon waly surgeon say examination kliay check up karwaein. Wo check up kay baad decide kary ga keh kia karna hai

  • @sarailyas10
    @sarailyas10 8 месяцев назад +1

    Sir antibiotics and analgesia

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  8 месяцев назад +1

      Sub say pehly ap apny qareebi general surgeon say examination kliay check up karwaein. Wo check up kay baad decide kary ga keh apko kia marz.hai. Aapko general surgeon se munsalik raabta karna chahiye takay woh aapki health history sun sake, aapke symptoms ka tafseeli jaaiza le sake, aur phir aapko sahi tajweezat aur ilaj de sakein. Kionkeh yahan 5 say 6 bemarian aisi hain jinki aik jaisi alamaat hoti hain maga ilaaj mukhtalif hai.

  • @sadiyasadaf3326
    @sadiyasadaf3326 26 дней назад +1

    Ointment ka name bataye plzz

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  26 дней назад +1

      Is mein btaya hai. Koi bhi medicines surgeon kay mashwry kay baad istemal karein

  • @KamranAfzal-n5s
    @KamranAfzal-n5s 28 дней назад +1

    Sir mera beta 2 saal ka hai us ko b ye problem hai to us k liye b use kr skti hn?

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  27 дней назад +1

      Sub say pehly check karwaein general surgeon ko

  • @aliajan9510
    @aliajan9510 10 месяцев назад

    Good boy good informstion

  • @faqirhussain1089
    @faqirhussain1089 3 месяца назад +1

    Can use cream on external hemorid/piles

  • @AyatFatima-ot2kz
    @AyatFatima-ot2kz 3 месяца назад

    Dr saab kya fissure ma blood b ata stool ky sath??

  • @hassanzain9357
    @hassanzain9357 Год назад +1

    Good job

  • @rucworkmianwali1732
    @rucworkmianwali1732 2 месяца назад +1

    Nice Bhai

  • @MuhammadBilal-gj4xf
    @MuhammadBilal-gj4xf 2 месяца назад +1

    Dr sb GTN cream hath se lgani ha ya phr cream k sath aek nozel si milti ha ya phe us k sath lgani ha plz reply dena shukriya

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  2 месяца назад +1

      Is mein btaya hai keh ungli par rakh kar lgaein

  • @action940
    @action940 2 месяца назад

    Sir g yeh tube or jel k name bata do

  • @amirnoshkhan7440
    @amirnoshkhan7440 9 месяцев назад

    Very dood Dr sir Imtiaz sab

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  9 месяцев назад

      Thank you so much for your kind words! We appreciate your support and are grateful for the opportunity to contribute to your well-being. If you have any questions or need further assistance, feel free to ask.

  • @tayyabairfan3915
    @tayyabairfan3915 Год назад +1

    Timing for using how many time and whats yge ratio

  • @YouTubertarakai
    @YouTubertarakai Год назад +1

    Thank u soo much

  • @AasiaKhatoon-y4u
    @AasiaKhatoon-y4u Год назад +1

    Sir mujhe fissure bhi he or baadi bewaseer bhi he bewaseer se mokey bane huwe he jo bohut teklif dete he plz elaj beta den shukria

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад +1

      Moky bahar hain to operate ho ga aur sath fissure ka bhi ilaaj ho jaey ga. Sub sy pehly check up karwaein

  • @MuhammadAhmad-ni1oj
    @MuhammadAhmad-ni1oj 11 месяцев назад

    Hypertension k patient ye oilment use jr skty hn?

  • @kainatafzal7558
    @kainatafzal7558 10 месяцев назад

    Kitny time bad use kry plz ans me

  • @faizaaq1888
    @faizaaq1888 5 месяцев назад +1

    I am using this for 2 days but koi fark nhi pr raha zakham hoa hy pain hoti hy motion jab b ata hy. Healing kyun nhi ho rhi? Apky btay hoy tareeky sy hi apply kia

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  5 месяцев назад +1

      Yahan 5 say 6 conditions aisi hain jo aik jaisi alamaat kay sath hoti hain. Pictures say bhi koi idea nahin hota. Jab tak check na karein kuch nahin bta sakty.Aapko apne general surgeon say raabta karna chahiye takay woh aapki health history sun sake, aapke symptoms ka tafseeli jaaiza le sake, aur phir aapko sahi tajweezat aur ilaj de sakein. Is tarah ke masail ka hal asal wajah par munhasir hota hai.

  • @KhaQanMirza-hi1yr
    @KhaQanMirza-hi1yr 7 месяцев назад +1

    Kal sy main us tube sy LGA ri thi abi apki video k bd sai trah sy lgai.. Bht jlan hoti hai lgany k bd.. Kya ye tube lgany k bd jln hoti hai

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  7 месяцев назад +1

      Har patients ki halat aur medicine ka asar different hota hai

    • @KhaQanMirza-hi1yr
      @KhaQanMirza-hi1yr 7 месяцев назад

      @@drimtiazhussain reply k liye apka bht bht shukria.. ALLAH PAK apko icka ajr dy.. Mjy ye b pochna hai kyaa xylocaine sath mix kr k lgana zruri hai mix kr k Maine lgai wo mjy sari rat pain krti rhi JB k sirf GTN lganay sy pain nai hota

  • @JamshedKhanJimmyGhouri-lw2iv
    @JamshedKhanJimmyGhouri-lw2iv Год назад

    Jazak Allah

  • @tasawarhussain9262
    @tasawarhussain9262 Год назад +25

    Just 1 anjeer raat ko pani main Bego dain aur subho usko Kha lain. Jan chut jay gi app ki hamesha k liya just weight kuch kam ho ga baki app fit ho jain gy

    • @NeloZebu-u3d
      @NeloZebu-u3d Год назад +1

      Main pragnent hun 5th month ha muje bwseer ha zakhm ban gea ha Allah rasol k waste koi behn Bhai Hal bta do medicine boht khai ni aram main pal pal mar rhi hun 😭😭😭😭😭😭

    • @MrrButt
      @MrrButt 10 месяцев назад

      ​@@NeloZebu-u3d kya apkk dard hoty thy jab pehlay hova tha

    • @roomihasan9755
      @roomihasan9755 9 месяцев назад

      الو ویرا جیل لگاتی رھو اور گرم چیزیں۔ مثلا گوشت۔ دال کالی مرچ والی ھر قسم مصالحے۔کچا پیاز ملٹی وٹامن گولیاں اور دیگر تیزابیت والی چیزیں جب تک بند نھی کروگی زندہگی بہر یہ بیماری بار بار ھوگی​@@NeloZebu-u3d

    • @Faateh-the-Solotraveller
      @Faateh-the-Solotraveller 9 месяцев назад

      Tassawarhussain Really?

    • @mehboobjan3550
      @mehboobjan3550 9 месяцев назад

      Kiya khuwa larka pida khuwa ya larki our bemare kisa khe. Aap ka ​@@NeloZebu-u3d

  • @sarfraznawaz9737
    @sarfraznawaz9737 Год назад +1

    Sir Gtn cream ki jagah pathoderm h istamal kar sakty hain

  • @noornaeem8775
    @noornaeem8775 8 месяцев назад +1

    piles ky liy v y kam kry gi kia

  • @Habib-mh1ps
    @Habib-mh1ps 7 месяцев назад +1

    Dr sahib gtn cream k sat jo cream lgaty us ka name btao

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  7 месяцев назад +1

      Is video mein btaya hai par check up kay baghair kuch use na karein

  • @talhazahid2180
    @talhazahid2180 Год назад +1

    Sir Mena 3 weak phela fissure oprate krwiya tha two week tk normal tha but ab washroom karna baad inflation hoti. Or several hours tk hoti Wht should I do

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  Год назад +1

      Sub say pehly ap apny qareebi general surgeon say examination kliay check up karwaein. Wo check up kay baad decide kary ga keh kia karna hai.
      Apny operating surgeon sy zrur rabta karein

  • @shahidimam2549
    @shahidimam2549 3 месяца назад

    Bhote mehrbani

  • @sohaiArain
    @sohaiArain 4 месяца назад +1

    Doctar sahb hum ne apne bhai ka opretan bwasir ka karwadya hae 8.mahene hogaye han lekin bhai set nain howa hae us ki kabz katam ho kar nahi de rahi hae

    • @drimtiazhussain
      @drimtiazhussain  4 месяца назад +1

      Agar aapke bhai ka operation hua hai aur abhi tak unhe qabz (constipation) ka masla hal nahi ho raha, to kuch cheezein hain jo aap unki madad ke liye kar sakte hain:
      1. **High-Fiber Diet**: Unki diet mein high-fiber foods shamil karen, jaise ke:
      - Sabziyan (vegetables)
      - Phal (fruits)
      - Whole grains (jaise ke bran, brown rice)
      - Beans aur lentils
      2. **Hydration**: Pani zyada peenay ki hidayat dein. Har roz kam az kam 8-10 glass pani peena zaroori hai.
      3. **Physical Activity**: Agar unka physical condition allow karti hai, to halki exercise jaise ke walking ko routine mein shamil karen.
      4. **Stool Softeners**: Doctor se mashwara karke stool softeners ya mild laxatives use kar sakte hain, jo stool ko soften karke bowel movement ko asaan banayenge.
      5. **Avoid Straining**: Bowel movement ke dauran zyada strain na karen. Zyada stress aur pressure lagana complications ko barhawa de sakta hai.
      6. **Sitz Baths**: Garam paani mein baithna (sitz bath) dard ko kam kar sakta hai aur bowel movement ko asaan bana sakta hai.
      Agar ye measures follow karne ke bawajood qabz ka masla hal nahi ho raha, to apne doctor se dobara consult karna zaroori hai. Shayad wo koi aur treatment ya medicine recommend kar sakein.