New Noha 2023 | Jaan Ali Akbar | Noha Shahadat Hazrat Ali Akbar a.s

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 20 сен 2024
  • 5 Moharram 2023 | Noha 2023 | Jaan Ali Akbar 2023 | Anjuman Sipah-e-Hussaini - Bhanauli Sadat 2023/1445 | Noha Shehzada Ali Akbar 2023, Mola Ali Akbar Noha 2023/1445, Muharram Nohay 2023, Muharram 1445 Hijri Nohay, New 2023 Nohay
    5 Moharram, Juloos-e-Azan-E-Ali Akbar a.s
    Jaan Ali Akbar | जान अली अकबर | جاں علی اکبر
    Poetry & Composition- Nadeem Abbas Sultanpuri
    Venue- Chota Imambargah
    Lyrics:-
    Aye noor e do chashmanam
    Aye lakht e dil e madar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar
    Jaan ali akbar jaan ali akbar
    Maa jee nahi sakti hai bachche se juda ho kar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar
    Jaan ali akbar jaan ali akbar
    1.
    Ye khoon me tar gesu ye khak bhara chehra
    Maqtal me tujhe maine aise to na bheja tha x2
    Ummeed ke sooraj ko bilkul hi bujha daala
    Kisne mere bache ka ye haal bana daala
    Mai dekh na paungi ab tera rukhe anwar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    2.
    Aye chaand ali akbar tu ghar ka jiyala tha
    Tujhse hi to laila ki duniya me ujala tha x2
    Dooba meri qismat ka pardes me yu'n taara
    Hai baad tere beta andher jaha saara
    Neze se sitamgar ne laila ka ujara ghar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    3.
    Is gham se sulagta hai seene me jigar mera
    Mai sun na sakungi ab awaaz teri beta x2
    Khamosh hua akbar ab chain kaha hoga
    Phat jayega dil mera jab waqt e aza'n hoga
    Wo tera labo lehja yaad ayega reh reh kar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    4.
    Mitti me mile arma mitti me mila sehra
    Pehna ke gayi tujhko aye laal qaza sehra x2
    Kaisa tha ghamo ka ye sailaab ali akbar
    Mitti me mile mere sab khwab ali akbar
    Mai apne dukhe dil pe kis tarha rakhu patthar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    5.
    Socha tha teri dulhan mai byah ke laungi
    Har waqt use apne palko pe bithaungi x2
    Yasrab ka tu shahzada dulhan teri shahzadi
    Aye noor e nazar hoti kya khoob teri shaadi
    Maari mere khwabo ko qismat ne ajab thokar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    6.
    Aye lakht e dil e laila aye yusuf e man akbar
    Khoo'n mujhko rulayegi sadme ki chubhan akbar x2
    Aye laal teri madar tujhko na bacha payi
    Paani bhi tujhe waqt e akhir na pila payi
    Ta hashr rahega ab ye daagh mere dil par
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    7.
    Khaime me nadeem us dam ek hashr ka manzar tha
    Sar apna jhuka kar ke rote the shahe waala x2
    Ek maa ka ye noha tha nashad hui laila
    Akbar ko laga neza barbaad hui laila
    Ta umr na paungi mai chain kabhi pal bhar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    8.
    Gar jism pe bacche k halki si kharash aaye
    Dil maa ka dahel jaye wo zabt na kar paye x2
    Tu khud hi bata akbar mai sabr karun kaise
    Aye laal mai ek maa hun ye dard sahun kaise
    Aaya hai tera lasha maqtal se lahu me tar
    Aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    7.
    Khaime me nadeem us dam ek hashr ka manzar tha
    Sar apna jhuka kar ke rote the shahe waala x2
    Ek maa ka ye noha tha nashad hui laila
    Akbar ko laga neza barbaad hui laila
    Ta umr na paungi mai chain kabhi pal bhar
    aye rahat e jaa'n akbar aye mere jawa'n akbar jaan ali akbar jaan ali akbar
    ►Social Media:-
    Subscribe : / azadaribhanauli
    Want to chat? Hit me up on social media!
    Instagram: / iamrizvi
    Facebook: / bhanaulisadat
    Hashtag:-
    #newnoha2023 #azadaribhanauli #noha #anjumansipahehussainibhanaulisadat

Комментарии • 31