Lucky Bamboo Brown leaf Problem Solved | How to take care of Lucky bamboo in Summer(HIndi)

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 20 окт 2024

Комментарии • 112

  • @garimasingh1218
    @garimasingh1218 Год назад +3

    Jitne swaal mn me uth rhe the aapne sabka achhe se khud hi bataye.thanks bhayi.

  • @prakritighodki1192
    @prakritighodki1192 4 месяца назад +1

    Thanks for very.....useful gardening tips. 👌 💐

  • @happyindiatv8991
    @happyindiatv8991 3 месяца назад +3

    Barish ke mosam me cutting kar ke laga sakte hai ?

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  3 месяца назад +2

      ha sand me asani se hota hai

    • @happyindiatv8991
      @happyindiatv8991 3 месяца назад

      @@techngarden7904 bhai Thoda Idea Ho to Raber plant ke bare me batavo na Jese bambo ka bataya.

  • @akannath2852
    @akannath2852 4 месяца назад +1

    I like this variety of lucky bamboo. I have with me the deep green one. Can I know the name this variety??

  • @kumudinisandha1974
    @kumudinisandha1974 11 месяцев назад +3

    Me is poudhe ko indoor me lagai hun. Rosni ati he. Par phir v patte sukh ja hahehen. Please bataiye kya karen

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  11 месяцев назад

      plant mitti me hai to ek bar pani dene ke bad upar ka mitti sukhne ke bad pani dijiye 30 din me ek bar mitti ka gudai karna hai compost 50 gram d a p 2 gram milakar dijiye 8 din bad sahi hone lagega

  • @Sentertainmentadda
    @Sentertainmentadda 6 месяцев назад +1

    Hiii kon sa fertilizer use kare....????

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  6 месяцев назад +1

      sarso ka khali 10 gram d a p 2 gram compost 50 gram milakar dijiye

    • @Sentertainmentadda
      @Sentertainmentadda 6 месяцев назад +1

      @@techngarden7904 thanks ❤️👍🏻

  • @Kishori_lover
    @Kishori_lover 6 месяцев назад +1

    Sir very good video. Maine ise room ki table pe chote se plastic k pot me ugaya h. Ky mujhe isme neeche ched krna jruri hoga. Ky bina ched kre plant grow nhi hoga ky .. pl reply.

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  6 месяцев назад

      ched krna jruri hai kyoki pani niche jama hokar plant kharab hone lgega ched ke upar kankad rakhna hai plant jo bhi lagta hai sabhi me ye kam karane hai

  • @gayatrichauhan1034
    @gayatrichauhan1034 Месяц назад +1

    Sir mera bamboo mitti me hai aur indoor hai kuch time se iske sare ptte sukh gye aur iski stem bhi khrab hone lgi toh mene cutting kr ke khrab stem nikal di abhi bhi mujhe nhi pta ki kya vo sukh rha hai ya thik ho rha hai

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Месяц назад

      thik ho jaega pani jyada nahi dena hai purana mitti ko hatakar naya sukha mitti dene se sahi rahta hai

  • @nischaym269
    @nischaym269 4 месяца назад +1

    Bhayia mera bamboo plant pani me tha or pani dalna bhool gye garmi bht hai us ki tehni dhilli ho gaye hai ab pani to dall diya vo tehni sidi ho jayegi kya pls btado vese jta pada hai

  • @Chrysanthemum-m9c
    @Chrysanthemum-m9c 2 месяца назад +1

    Rainy season me fertilizer kese Dena h

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 месяца назад +1

      pani nahi ho raha hai usisamay d a p 2 gram neem ka khali 10 gram compost 50 gram milakar dena hai gudai karke mitti me mila dena hai 40 din me ek bar dena hai

  • @ankitaseth2794
    @ankitaseth2794 Год назад +1

    Sir mai big leaf wala money plant layi hu ek mhine se upr hogya but usme koi growth nhi huyi aur plant khrab horha kuchh idea dijiye

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      plant mitti me compost 50 gram d a p 2 gram milakar dena hai plant ko bahar rakhieye sahi ho jayega

  • @amrutapatil5878
    @amrutapatil5878 Год назад +1

    Hello mera plant yellow leaves horaha hai.. tho mai apna plant ko kaise save Karu..? Aur mera bamboo plant window ke pass rakha hai..

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      plant ka mitti gudai karke compost 50 gram d a p 2 gram haldi powdar 5 gram milakar dena hai aur pani dena hai jo patta yellow hai cut karke hata dijiye sahi ho jayega

  • @sushmanarang3997
    @sushmanarang3997 2 месяца назад +1

    Sir mera Bamboo plant pani me hai .lekin 1 month se uski pattiyan yellow aur brown ho rahi hai.please uske liye kya karna chiye batayen.

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 месяца назад

      plant ka jo patiya pili ho rahi hai usako hata dijiye aur brownho rahi hai usako cutt kar dena hai pani ko 8 din bad dekar badlana hai

  • @manishasoni6299
    @manishasoni6299 Год назад +1

    Mene online plant mgvah h pr would bhut patli leyar h to usko hra kese kr plz btaye

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      compost 50 gram d a p 2ml milakr dena hai 30 din me ek bar

  • @nishabali3426
    @nishabali3426 7 месяцев назад +1

    Sir plant glass ki bottle m pani m rkha h ghar ke ander fir b sukh rhi h

  • @BaljeetChaudhary-bj8kd
    @BaljeetChaudhary-bj8kd Год назад +1

    Sir mere plant pele gren tha pr ap yeh yellow sa ho rha ha upar k leaf kya koi problem ha

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      plant ko ek bar pani dene ke bad upar ka mitti sukh jane par duba pani dijiye compost 50 gram d a p 2 gram milakar mitti gudai karke dena hai 10 din me sahi hone lagega

  • @purbashadatta8153
    @purbashadatta8153 Год назад +1

    Mere bamboo plant me brown leaves ho rhe hain..kya kr sakte hain? Dhoop nhi padta us par. Pani me mitti sukhne pe deti hu.. pls help niche k leaves brown ho rhe bohut sare

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      brown pattta ko cutt karke hata dena hai mitti ko gudai karke 1 din mitti sukhega usame compost 50 gram dena hai pani dena hai

    • @celesty42
      @celesty42 Год назад

      @@techngarden7904 healthy plants growing in soil usme pani kaisi deni hai.. aap bole har din thoda thoda dijiye raki nami rahe mitti me ..phir bole upar ki mitti sukhne par pani deni hai.. please bataiye.... 🙏

  • @PragnaVasava-m5c
    @PragnaVasava-m5c 11 месяцев назад +2

    Bambu plant ki soil kese banaye.Kya milana chahiye

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  11 месяцев назад +1

      1 part soil 1 part sand 1 part compost milakar plant lagane se sahi rahata hai plant lagane ke ke 30 din bad d a p 2 gram dena hai

    • @PragnaVasava-m5c
      @PragnaVasava-m5c 11 месяцев назад

      @@techngarden7904 thanks

    • @PragnaVasava-m5c
      @PragnaVasava-m5c 11 месяцев назад

      D a p kese dena he

  • @PoonamSingh-rr1bm
    @PoonamSingh-rr1bm Год назад +1

    Hello sir mere bambu plant ki patti yellow ho rahi hai mai kya karu plz reply kare

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад +1

      plant me pani jyada hone ke karn bhi patti yellow hota hai brsat ka mausam hai plant ko shed me rakhna sahi hoga compost 50 gram d a p 2 gram neem ka khli 10 gram milakar mitti gudai karne ke bad dena hai mitti sukha hona jruri hai

  • @anshikaatripathi
    @anshikaatripathi Год назад +1

    crassula ke niche ki pattiya gir rhi h kya kre uper se growth achi ho rhi h

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      shed aria me rakhna hai aur pani ek bar dene ke bad mitti upar ka sukhne ke bad pani dena hai plant sahi rahega

  • @shallugupta3967
    @shallugupta3967 Год назад +1

    Mere bambu plant m leaves aane band ho gye he jaise plant ruk gya ho to kya kre

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      plant mitti hai to d a p 2gram sarso ka khali 5gram copopst 50 gram milakar mitti gudai karke dena hai plant me pani samy se dena hai plant pani me laga hai to n p k 19 19 19 2 gram 1 lt pani me milakar spary karna hai 30 din me ek bar

  • @healwithsudeshna
    @healwithsudeshna 2 года назад +1

    Sir terracotta pot me kaisa soil mix chalega

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 года назад

      sand mila huwa mitti sahi rahatahai kuch compost milakar sahi rhega

  • @soniaaahi7109
    @soniaaahi7109 2 года назад +1

    palm ki care aur pani ke baare mein bataye sunlight de ki nahi indoor rakha hai

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 года назад

      palm ko jad me pani dena hai aur plant ko dhona jaruri hai grami ke mausame indoor rahega subah ka sunlight lagna thik hai ya green net hai to usame rakhna sahi hoga ek bar pani dene ke bad upar ka mitti sukhe to pani dena hai

    • @soniaaahi7109
      @soniaaahi7109 2 года назад

      @@techngarden7904 thanks

    • @soniaaahi7109
      @soniaaahi7109 2 года назад

      sir maine one week pahle nursery se palm liya hai aur usko indoor rakha hai light khoob hai but uski lwaf yellow ho rahi hai kya karoo

    • @soniaaahi7109
      @soniaaahi7109 2 года назад

      sir maine gudhal ka paudha chota hai uako aaj pot mein lagaya hai but wo to murjha gaya kya karoo

  • @chaitalidutta1663
    @chaitalidutta1663 2 года назад +1

    Mera indoor hi h bright light me mitti me h pr growth ruk gaya jo pani me h acha chl raha to kya kre jo growth acha ho mitti me jo h

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 года назад +1

      mitti ko gudai karke mitti 1din sukhega aur usake bad compost 50 gram d a p 2 gram milakar dena hai usake 15 din bad sarso ka khali pani me bhigokar 4 din rakhana hai patla karke dena hai 1plant ke liye 5 gram tak dena hai

    • @chaitalidutta1663
      @chaitalidutta1663 2 года назад

      @@techngarden7904 sarso khali to deti hu patla kr k bt d a p nhi di kvi
      Thank u sir🙏

  • @happyindiatv8991
    @happyindiatv8991 3 месяца назад +1

    इसको कटिंग के बाद पानी में डालकर उसके झाडे जब तक न आए, तब तक रख सकते हैं, फिर उसके बाद मिट्टी में डाल सकते हैं?

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  3 месяца назад

      ha mitti me bhi laga sakte hai barsat ka mausam hai ho jayega

  • @ArtiKumari-qd9xe
    @ArtiKumari-qd9xe Год назад +1

    Sir mere plant me ek v leaf 🌿 nahi hai sirf stick hai....patta nahi nikal raha hai

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      pllant mitti me hai ya pani me aapaka plant ka jad ka bikas sahi nahi ho raha hai plant mitti me hai to 2gram fungcide 1 lt pani me milakar dijiye plant me mitti sukhane ke bad pani dijiye plant ko khula jagah rakhiye hawa rosani pura mile 15 din bad phir plant kaisa hai batye

  • @BeautifulDrawingdoneyme
    @BeautifulDrawingdoneyme Год назад +1

    इसके जिस भाग को आपने काटा हैं क्या उसको पानी में उगा सकते हैं l

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      ha pani me uga sakte hai pani 8 din bad bdalna hoga jad hone me 30 din lgata hai

  • @ankitaseth2794
    @ankitaseth2794 Год назад +1

    Mai lucky bamboo 1mhine pahle layi thi mitti me lgayi hu aur room me rkhi hu leaf brown ho rhe aur growth ekdm nhi huyi ab tk kya kru btayiye ?

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад +1

      mitti ko gudai karke 3 din mitti sukhega usake bad 2gram d a p compost 50 gram milakar dena hai aur pani dena hai ek bar pani dene ke bad upar ka mitti sukhne ke bad dubara pani dena hai

  • @PayalRai-ge7cv
    @PayalRai-ge7cv 8 месяцев назад +1

    Sir mere bomboo plant ki patiya Kali ho Rahi hai aur ,phele bhi kya karu please help kare

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  7 месяцев назад

      plant mitti me laga hai to mitti ko gudai karke mitti sukhana hoga aur compost 50 gram d a p 2 gram dijiye 10 din me sahi hone lagega

    • @PayalRai-ge7cv
      @PayalRai-ge7cv 7 месяцев назад

      @@techngarden7904 thank you so much sir 😇💝

  • @garimasingh1218
    @garimasingh1218 Год назад +1

    Kis size ka pot shi rhta h bmboo plant ke liye?

  • @kamalakakati8479
    @kamalakakati8479 2 года назад +1

    Mera lucky bamboo ko cut kiya hua 8/10 months hua hein lakin ekdom groth nehi hua , pl kya kore?

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 года назад +1

      compost 50 gram neem ka khali 10 gram milakar mitti gudai karke dena hai 30 din bad bad 2 month me sahi ho jayega sarso ka khali pani me bhigokar plant me dete hai to usame se 15 din me ek bar dena hai thik ho jayega

  • @diptanshu_raaz_sri
    @diptanshu_raaz_sri Год назад +1

    Lucky bamboo ko room me rakha hai
    Tab bhi plant ki leaves suukh rahi hain
    Or 1 saal ho gaye
    1 inch v growth nahi hua hai
    Watering v 2 2 din pe hoti hai
    Kaise growth hoga iska?
    Please batayien

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      plant ko night me bahar rakhiye mitti gila ho uas samy pani nahi dena hai upar ka mitti sukhne ke bad pani dijiye `plant me haldi ka powdar 10 gram compost 50 gram milakar mitti gudai karke dena hai usake 10 din bad d a p 2 gram dijiye

    • @diptanshu_raaz_sri
      @diptanshu_raaz_sri Год назад

      @@techngarden7904 thank you sir

  • @rituravindra89
    @rituravindra89 Год назад +1

    Lucky bamboo ki lambai kaise badhaen Kaun sa fertilizer de ???

  • @unnatisharma678
    @unnatisharma678 7 месяцев назад +1

    Growth nhi badh rhe hai uske liye kya kre

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  7 месяцев назад

      compost 50 gram d a p 2 gram milakar dijiye 30 din me ek bar

  • @Cutebabygirl27
    @Cutebabygirl27 8 месяцев назад +1

    Mera plant k leaf yellow ho rhe h kis vjh s horha h ye

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  8 месяцев назад

      plant me pani ek bar dene ke bad upar ka mitti sukhne ke bad dubara pani dena hai 15 din me ek bar mitti ko gudai karke 1 din mitti ko sukhna hai compost 50 gram aur d a p 2 gram dena hai 30 din me ek bar yellow leaf ko cutt karke hatta dena hai

  • @ajaypal9498
    @ajaypal9498 Год назад +1

    Mere lucky bamboo plant ki pattiyan peeli ho rahi hai kya kare

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      mitti me lagaye 30 din ho gaya hai to sarso ka khali 5gram aur d a p 2 gram 15 din me ek bar dena hai peeli patta ko hata dijiye

  • @karinavevo7111
    @karinavevo7111 Год назад +1

    What was the soil mix?

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      1 part soil 1 part sand 1part compost 1 sppon fungicide

  • @soniaaahi7109
    @soniaaahi7109 2 года назад +1

    mere croton ki leaf gir rahi aur wo sukh raha hai kya kare

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 года назад

      potas ke kami se aisa hota hai 2 gram potas dena hoga sahi ho jayega

  • @shraddhakambale1830
    @shraddhakambale1830 Год назад +1

    Sir Mera lucky bamboo ka plant abhi sukh raha hai, winter hai aur totally indoor rakhati hu me

  • @sonalidash7381
    @sonalidash7381 2 года назад +1

    Sir bazar se Lana wala pani wala lucky bamboo ko kaise grow kare soil main ?.

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 года назад

      mitti 1 part sand 1 part compost 1 part milkar usame laga dena hai shed me 8 din rakhna hai usake bad bahr rakh sakte hai pani wala lucky bamboo pahale mitti me hi rahta hai

  • @jabardast2900
    @jabardast2900 Год назад +1

    Winters m mera plant peela ho jata h

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      pani ek bar dene ke bad upar ka mitti sukhane ke bad pani dena hai to sahi rahega

  • @somapan9868
    @somapan9868 Год назад

    How many days it will take to grow roots in water

  • @Funnyvideos-ql8kr
    @Funnyvideos-ql8kr 2 года назад +1

    Main Chennai se hu yahan garmi bahut hai soil me lagaya hai maine aur indoor me rakha hai lekin koi growth nahi hai aur plant sukh Raha hai

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 года назад +1

      plant ka mitti gudai karke compost 50 gram aur d a p 2 gram milakar dena hai 30 din bad ek bar aur dena hai growth hone lagega plant ka patta dhona sahi rahata hai pani jyada nahi dena hai upar ka mitti sukhega to pani dena hai

    • @jyotiarora2584
      @jyotiarora2584 Год назад

      Sir fertalizer kyu nhi dena 1 mnth tam??

  • @Habansheikh573
    @Habansheikh573 6 месяцев назад +2

    سر ہمارابمبوپلانٹ سو گھ گیا

  • @jokes_junction0628
    @jokes_junction0628 2 года назад +1

    Growth nahi ho raha hain. Upay bataiye

  • @ajaypal9498
    @ajaypal9498 Год назад +1

    Or bo mitti me laga hai

  • @ShaileshRota-j5q
    @ShaileshRota-j5q Год назад +1

    Lucky bamboo ke patte so gaye hain

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  Год назад

      plant jyada lamba hone se esa hota hai jo branch lamba ho gaya usako cutt karke dusare pot me laga dena sahi rahega

  • @GGT111
    @GGT111 16 дней назад +1

    Shi se pate nahi hoti

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  15 дней назад

      plant ko mitti laga dijiye pate hone lagegi

  • @priyanshimathur4842
    @priyanshimathur4842 11 месяцев назад +1

    पत्ते जल रहे है और phele se bahut jayada patla ho gya

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  11 месяцев назад

      plant ko sunnlight me rakhna hai thand ka mausam hone wala hai mitti sukhane ke bad pani dena hai compost 50 gram d a p 2 gram neem ka khali 10 gram milakar dena hai 10 din bad sahi hone lagega

  • @soniaaahi7109
    @soniaaahi7109 2 года назад +1

    mere croton ki leaf gir rahi aur wo sukh raha hai kya kare

    • @techngarden7904
      @techngarden7904  2 года назад

      plant ko aisa jagah par rakhnahai jaha sunlight halka kam ata ho mitti me neem ka khali compost milakar dene se sahi hoga