Vandematram: Series on unknown freedom fighters of India

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 11 сен 2024
  • Bhaarat ki aazadi ki ladaayi me 1857 kaa vidroh, Alipore Bomb case, Rampa Vidroh, Chittagong Armoury par kabja, Kakori Train Dacaiti, Central Assembly bomb case, Delhi Lahore Conspiracy, jaisi kai aisi ghatnaaye ghati, jinhone na sirf Angreji Shaasan kee choole hilaa dee, balki in ghatnaao se jude kraantikaariyo ko har bhartiy ke dilo me basaa diya. Kraantikaariyon ki tasveero waale vastr pahne jaane lage, mahilaao ne apni saadion ke border par unka naam likhwa liya. Sarfaroshi ki tamanna ab humaare dil me hai, jaisi unki likhi rachnaaye poore desh ki aazaadi kaa prerna strot ban gayi to Vandematram to jaise raashtriy geet hi ban gaya. Kintu samay ne aaj in kraantikaariyo ke yogdaan ko jaise bhula diya hai… Puli Thevar, Vasudev Balwant Phadke, Begum Hazrat Mahal, Birsa Munda, Khudiram Bose, Yatinder Nath Mukherjee, Surya Sen, jinhe deshvaasiyo ne to kya shaayad itihaaskaaro ne bhi bhula diya hain. Aaj unke yogdan ko ek baar phir se yaad karne kee aavashykata hai. Desh ke alag alag hisso me ghati kraanti ki alag alag ghatnaao aur us ghatna se jude humaare desh ke naayko kee kahaaniyon se desh duniya ko ru ba ru karaane ke prayaas ka hee naam hai, ‘Vandematram’, Jisme in forgotten kraantikaariyon se judi uski kahaani dikhaayi jaayegi…. Jiska ek season ek kraantikaari ke jeewan sangharsh par bhi based ho sakta hai to season ka har episode ek par bhi….

Комментарии •