Haan aap ja sakte hai.. Sambhaji nagar se aapko Nashik ke liye bus or train easily mil jayngi and Nashik se aapko Trambakeshwar ke liye bus or taxi mil jayngi lekin aap kosis kare ki Grishneswar me early morning darsan kare🙏
Kai special occasions par Aurangabad se grishneshwar ki last bus ka time badal diya jata hai but normally Aurangabad se grishneshwar ki last bus shaam 6.30 ki rehati hai....
Aap yatra dham ki online website hai waha se book kar sakte hai yatradham.org/yatradham-destinations/maharashtra/grishneshwar-ellora.html Ye link hai aap ispe jake book kar sakte hai
Mandir ke pas koi dormitory nahi hai but aap bhaktniwas ya fir mandir ke paas hi mobile locker ki shop hain aap vaha kuchh charge dekar apna luggage rakh sakte hai...🙏
Shani signapur se Aurangabad ke liye aapko bus, private taxi, Sharing taxi mil jayegi Jo aapko Chhatrapati Sambhaji nagar bus stand chhod degi, vaha se grishneshwar ke liye smart City bus mil jayegi....🙏
Bus aapko "Ghodegaon,maharashtra(414607) bus stop" se milegi, joki Shani signapur se 6 se 7 km dur hai...bus subah 10 se 1 baje tak 30-30 min ke gap par chalti hai..lekin dopahar 1 baje ke baad bus direct raat 9 baje hai.... 2nd option ye hai ki aap sirdi se sharing taxi lele jo 300 rupees per person hai , Jo aapko grishneshwar aur Aurangabad ke sabhi jagah ghooma kar vapis sirdi le kar aayegi....agr aap sirdi ke local madir ghoomna chahte hai to main aapko ek auto vale ka no.de deti hu (jisne hume ghoomaya tha)Jo aapko local temples ghooma dega...8767551124...
Itarsi junction se Aurangabad train se pahuch jaaye.... daily itarsi se Aurangabad ke liye 1 train hai Wednesday or Saturday ko 2 train hai. Aurangabad se aage ki jankari mene video me di hui hai. Or koi jankari chahiye to aap comment me puchh sakte hai
@@IndiaTravelTribe ji Mam Me Itarsi se Aurangabad trip me kha kha ghoom skta hu.. Jese 1.ajanta 2.ellora 3.ghrisneswar temple 4....or jo b aap bta skte ho..kha or ja skte h Kesa and kitne din ka tour plan kre.... please
3 day 2 night ka trip rakhiye....Esme 1st day Aurangabad ( Daulatabad fort,Bibi ka maqwara,panchakki,Soneri Mahal.. 2nd day early morning ajanta caves and return to Aurangabad ( agar time to aap ghrishneshwar bhe ja sakte ho vaha stay kar sakte ho) 3rd day grishneshwar jyotirling and Ellora caves...
@@IndiaTravelTribe absolutely right mam Aapne bahut hi achha trip plan bataya Thanks a lot 🙏 1.Stay kha kha kre...ak hi jagah ya alag alg 2.or jo aapane Aurangabad me bataya Bo ak hi din me complete ho jayega Kya ye place ( Aurangabad) me hi h...and kitne distance par h .
Mandir ke aas-pass Dormitory to nahi hai...lekin aapko dharmshala mil jayegi kam price me bhi...aur agar aap baat karenge to kuchh hours ke liye bhi mil jaate hai dharmshala me room ya home stay kam price me....
Sir aapse mujhe 2 question pu6ne hai jisse main aapko 4 day ka trip plan karke de saku...1- aap ujjain mahakal ke darsan kar aaye ya nahi?...2- aur aap kis din aur kis date ko omkareshwar se nikalna chahate hai?
Thanks for comment....Ye mandir tak pahuchne ki, rukne ki , kaha ruke, kaha ghoome etc. detail video hai...maine kosis ki hai ki is video me aapke saare doubt clear ho jaaye ...fir bhi mandir ko lekar kuchh rah gaya hai to aap comment me puchh sakti hai....om namah shivay 🙏
vaha pe private rooms ki suvidha hai kya nearby ...ki bhat niwas hai sirf ..........jitana main janti hu ...bhakt niwas main friends ko nahi dete hai family ko he dete hai ......
Haan vaha per kafi private hotels hai jaise Tulsi restaurant ke pass shivtirth hotel and Atithi residency hai ..wo aapko 1500 se 2000 rupees me room mil jayga and thoda costly chahiye to Tulsi restaurant ke samne hi Ellora resort hai jisme room ka price 5000 se 6000 hai
Aapko vaha room ka koi issue nahi hoga...mandir ke paas hi Kai hotels aur home stay hai...home stay me aapko room 500 se 1000 ke beech mil jayega aur hotel me 1500 se 2000 me room mil jayega...🙏
Aapko sabse pahle sambhaji nagar centre bus stand ( Aurangabad)aana hoga vaha se aap pata kar sakte hai ki koi direct bus hai shani shingnapur ke liye ya nahi 2nd option hai aap vaha se Shirdi ke liye bus le le aapko easily bus mil jaygi Shirdi se shani shingnapur ke liye sharing texi chalti hai jo aapse 50 to 80 rupay per person charge karti hai
🌼🌸🏵 ૐ નમઃ શિવાય 🏵🌸🌼
🙏
Har har mahadev.....🙏
Om namah shivay. Behen apne video bahut acha auur informative bannya hai 😇🙏
Om namah shivay.....Thank you so much....🙏😊
Kya voice hai ❤❤
Thank you so much ....🙏
Very Nice Video
Thank you so much 🙏
Khoop. Sundar...💓
Thank you so much..😊
Abhi m yhi ghumne aya hu har har Mahadev
Har har Mahadev 🙏
Aas pas ghumne ke liye e riksha ki subhida hai kya
E riksha nahi aapko auto mil jaynge and aas pass ki jagah sb 1.5 km ke andar hai aap Chal ke bhe cover kar sakte hai...
Om namah sivay jaisairam
Om namah shivay....hai sia ram...🙏
Mobile locker safe hai na??
Haan safe hai vo mobile leke aapko 1 slip denge jisme aapka mobile ka model number and kitne mobile hai vo likhe honge
Ek din me hi return hoke triyambak ja sakte h kya please reply
Haan aap ja sakte hai.. Sambhaji nagar se aapko Nashik ke liye bus or train easily mil jayngi and Nashik se aapko Trambakeshwar ke liye bus or taxi mil jayngi lekin aap kosis kare ki Grishneswar me early morning darsan kare🙏
AURNGABAD SE LAST BUS KITNE BAJE KI HAI GRISHNESWAR KE LIYE
Kai special occasions par Aurangabad se grishneshwar ki last bus ka time badal diya jata hai but normally Aurangabad se grishneshwar ki last bus shaam 6.30 ki rehati hai....
Om namah shivay 🙏
Om namah shivay 🙏
Bhakt niwas me room booking karna hai batay ghrneswar
Aap yatra dham ki online website hai waha se book kar sakte hai
yatradham.org/yatradham-destinations/maharashtra/grishneshwar-ellora.html
Ye link hai aap ispe jake book kar sakte hai
Aager aap chahte hai me isper video banau to aap comment kar de me jaldi se jaldi video upload kar dungi
Bus M kitna tym lgta h ji aurngabaad se
Aurangabad railway station se aapko Kareeb ek ghanta lagta hai grishneswar pahuchne me....
Shravan main long weekend 15th august ka bahut bhid hogi kya ? Vip pass hota hai kya ?
Yaha koi Paid Entry aur VIP Pass nahi hai ...
Last bus ya auto kab tak milti hain Ellora to chhatrapati Shambha jii nagar ke liye night timing for bus or auto
Bus no 42 last bus 7.50 pm
Bus no 27A last bus 10 pm
Auto aapko 10 baje tak mil jaynge
Apaka video dekhakar hamabi Grishameshwarma 6
🙏
Mandir ke pass koi dormitory hai , just for luggage ya any locker
Mandir ke pas koi dormitory nahi hai but aap bhaktniwas ya fir mandir ke paas hi mobile locker ki shop hain aap vaha kuchh charge dekar apna luggage rakh sakte hai...🙏
Mdm Indore se jana h ghrishneshwar plss kesa kree
7 Am se pehle buses available hoti hai kya?
7 baje se phele aapko sharing auto ya phir maharashtra transport ki bus mil jayngi
Bas stand se mandir ke liye bas kitne kitne time pe hoti hai?
Every 1 hour. morning me 7 am per start hoti hai and evening me 7 pm last bus hai
Om shidheswar bhakti niwas
👍
Ladies ke liye dress code h kya ? And h toh kya h?
Nahi, ladies ke liye koi dress code nhi hai grishneswar me....🙏
Madam gufa aur jyotirling ke darshan ek din mein ho sakte hain kya jo ham sham ko ham wapas a jaen agrim dhanyvad
Haan ji bilkul ho sakte hai agr aap early morning pahuch jaye grishneshwar....humn bhi ek din me hi kiye the aur shaam ko return hue the....🙏
@@IndiaTravelTribe thanks 🙏
Most welcome 🤗
Shani singhnapur se ghrishneshawar jyotirling kaise jaye?
Shani signapur se Aurangabad ke liye aapko bus, private taxi, Sharing taxi mil jayegi Jo aapko Chhatrapati Sambhaji nagar bus stand chhod degi, vaha se grishneshwar ke liye smart City bus mil jayegi....🙏
@@IndiaTravelTribe thanks
Most welcome... Aapko koi aur jankari chahiye to aap comment me puchh sakte hai 🙏
@@IndiaTravelTribe bus ki timings or bus stand etc ki location kaha s dekh skte h??
Bus aapko "Ghodegaon,maharashtra(414607) bus stop" se milegi, joki Shani signapur se 6 se 7 km dur hai...bus subah 10 se 1 baje tak 30-30 min ke gap par chalti hai..lekin dopahar 1 baje ke baad bus direct raat 9 baje hai....
2nd option ye hai ki aap sirdi se sharing taxi lele jo 300 rupees per person hai , Jo aapko grishneshwar aur Aurangabad ke sabhi jagah ghooma kar vapis sirdi le kar aayegi....agr aap sirdi ke local madir ghoomna chahte hai to main aapko ek auto vale ka no.de deti hu (jisne hume ghoomaya tha)Jo aapko local temples ghooma dega...8767551124...
Kya shravan maas me bheed jyada hoti hai jaise Bhimashankar me hoti hai?
Haan shravan me bheed jyada hoti hai lekin Monday ko bahut jyada hoti hai Monday ko ho sakta hai 3 se 4 ghante lage
@@IndiaTravelTribe Thank you
Om namah shivay 🙏
Hi, ye video kabka hain? Is it raining heavily in aurangabad? I am planning to go this week.
Ye video 20th July ka hai...aur Aurangabad me heavy rainfall nhi hai .. heavy rainfall bas mumbai side hai.....
Shravan main bahut bheed hai kya ?
Sravan hai to thodi bheed to rahegi par kosis kare early morning jaaye....om namah shivay..🙏
Mai mai 13 August ko jara hu darshan k liye
Happy journey 😊....aapko koi jankari chahiye ho to aap comment me puchh sakte hai...om namah shivay 🙏
Itarsi se kese jayega
Itarsi junction se Aurangabad train se pahuch jaaye.... daily itarsi se Aurangabad ke liye 1 train hai Wednesday or Saturday ko 2 train hai. Aurangabad se aage ki jankari mene video me di hui hai. Or koi jankari chahiye to aap comment me puchh sakte hai
@@IndiaTravelTribe ji Mam
Me Itarsi se Aurangabad trip me kha kha ghoom skta hu..
Jese
1.ajanta
2.ellora
3.ghrisneswar temple
4....or jo b aap bta skte ho..kha or ja skte h
Kesa and kitne din ka tour plan kre.... please
3 day 2 night ka trip rakhiye....Esme
1st day Aurangabad ( Daulatabad fort,Bibi ka maqwara,panchakki,Soneri Mahal..
2nd day early morning ajanta caves and return to Aurangabad ( agar time to aap ghrishneshwar bhe ja sakte ho vaha stay kar sakte ho)
3rd day grishneshwar jyotirling and Ellora caves...
@@IndiaTravelTribe absolutely right mam
Aapne bahut hi achha trip plan bataya
Thanks a lot 🙏
1.Stay kha kha kre...ak hi jagah ya alag alg
2.or jo aapane Aurangabad me bataya Bo ak hi din me complete ho jayega
Kya ye place ( Aurangabad) me hi h...and kitne distance par h .
@@IndiaTravelTribe mene iska screenshot rkh lia .
Mandir ke aas-pass dormitory milehi?
Mandir ke aas-pass Dormitory to nahi hai...lekin aapko dharmshala mil jayegi kam price me bhi...aur agar aap baat karenge to kuchh hours ke liye bhi mil jaate hai dharmshala me room ya home stay kam price me....
@@IndiaTravelTribe lekin dharmashala mein solo traveller ko room nahi dete
Mandir ke saamne vale road par kafi homestay hai jo budget friendly hai...aap vaha try kar sakte hai...
Madam ambrella barsati ki jarorat bargains.
Is time par rainy season to nahi hai ...fir bhi by chance kabhi kabhi ho jaati hai varis to umbrella rakh lena.....
Sarovar kitne din bandh hai
Aisa kuchh mention nahi tha vaha par, lekin ab khul gaya hoga kyunki wo bas cleaning ke liye band tha ....
Thanks 🙏
Most welcome...🙏plz like, share & subscribe....🙏
बिना होटल लिए,,,,नहाने की कोई व्यवस्था हैं क्या
हां आपको शिवालय तीर्थ कुंड के पास ही सुलभ शौचालय और स्नानगृह की सुविधा मिल जाएगी, जो मंदिर से कुछ ही दूरी पर है।
Didi yaha pakka bus milega na kyoki mujhe 17september ko jana hai didi❤😊
Haan mil jayegi morning me 6.30 am se evening me 6.30 pm tak
@@IndiaTravelTribe railway station ke pas milega kya didi
Nahi, central bus stand se milegi, station se aapko auto mil jayega central bus stand ke liye....
@@IndiaTravelTribe tq didi 🙂🙏
Most welcome 🙏
Hme tryambkeshwar se jana h to kese ja sakte h din ke tym mandir bnd rhta h kya
Aapko trambakeshwar se pahle Nashik aana hoga.. Nasik road railway station se aapko Aurangabad ke liye kaafi train mil jaayengi....
Grishneswar mandir din me bhi darsan ke liye khula rehta hai....
80 rupee ka pass pure din valid hai ?
Haan ji....
Bss ek br guide krodo ..hmne BHT tym se follow Kia hua h apko
Koi question hai to aap puchhiye me jaldi reply dungi......
Hmko Indore se ghirshnewar jana chaiye ya omkaleshwar se
By public transport
@@IndiaTravelTribe aur agr meko 4 din rukna hoga to iske bd kha kha ja skta hu ..Shirdi .trimbaleshawar ..khi aur
Sir aapse mujhe 2 question pu6ne hai jisse main aapko 4 day ka trip plan karke de saku...1- aap ujjain mahakal ke darsan kar aaye ya nahi?...2- aur aap kis din aur kis date ko omkareshwar se nikalna chahate hai?
Ghrishneshwar bhakti niwas trust online booking karsakte hai kya
Haan aap (yatra dham.org) site par Jake book kar sakte hai
रूम के अलावा, नहाने धोने की क्या व्यवस्था है,
अगर आप रूम नही ले रहे तो शिवालय तीर्थ के पास ही स्नानगृह और सुलभ शौचालय की सुविधा है, आप वहां नहा सकते है।।।🙏
TQ so much 🙏🏻
Most welcome...🙏
Mandir se kitna dur hain aur charges
Mandir se 500 se 600 meeter ki duri per hai. Uska charge 20 rupees per person hai
Mandir ka info batao Naa time badhane ke liye faltugiri bta Rahi ho
Thanks for comment....Ye mandir tak pahuchne ki, rukne ki , kaha ruke, kaha ghoome etc. detail video hai...maine kosis ki hai ki is video me aapke saare doubt clear ho jaaye ...fir bhi mandir ko lekar kuchh rah gaya hai to aap comment me puchh sakti hai....om namah shivay 🙏
vaha pe private rooms ki suvidha hai kya nearby ...ki bhat niwas hai sirf ..........jitana main janti hu ...bhakt niwas main friends ko nahi dete hai family ko he dete hai ......
Haan vaha per kafi private hotels hai jaise Tulsi restaurant ke pass shivtirth hotel and Atithi residency hai ..wo aapko 1500 se 2000 rupees me room mil jayga and thoda costly chahiye to Tulsi restaurant ke samne hi Ellora resort hai jisme room ka price 5000 se 6000 hai
@@IndiaTravelTribe okay thanks
Most welcome 🙏
Ha main bhi Jane wala hu diwali ke baad par room ka hi pata nahi
Aapko vaha room ka koi issue nahi hoga...mandir ke paas hi Kai hotels aur home stay hai...home stay me aapko room 500 se 1000 ke beech mil jayega aur hotel me 1500 se 2000 me room mil jayega...🙏
Ghrishneshwar se Shani Shignapur kaise ja sakte hai?
Aapko sabse pahle sambhaji nagar centre bus stand ( Aurangabad)aana hoga vaha se aap pata kar sakte hai ki koi direct bus hai shani shingnapur ke liye ya nahi
2nd option hai aap vaha se Shirdi ke liye bus le le aapko easily bus mil jaygi Shirdi se shani shingnapur ke liye sharing texi chalti hai jo aapse 50 to 80 rupay per person charge karti hai