Jagjit Singh - Dene Waale Mujhe Maujon Ki Rawaani De De-(Echoes).

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 23 дек 2024
  • Dene Waale Mujhe Maujon Ki
    Rawaani De De-(Shadaab Lahori)
    by Jagjit Singh.
    (Album: Echoes).
    ( साझा किए गए वर्शन’स:
    09 सितम्बर, 2021-(जगजीत सिंह-एल्बम एको’स):
    • Jagjit Singh - Dene Wa...
    10 नवम्बर, 2023-(जगजीत सिंह-लन्दन-1990’स):
    • Jagjit Singh - Dene Wa... )
    Lyrics in Hindi & English:-
    देने वाले मुझे मौजों की रवानी दे दे-
    (शादाब लाहौरी) - जगजीत सिंह.
    कमेंट्री (चुटकुला).....................
    सरगम...........................
    आलाप....................................
    देने वाले…
    देने वाले मुझे मौजों की रवानी दे दे
    देने वाले मुझे मौजों की रवानी दे दे
    फिर से इक बार मुझे मेरी जवानी दे दे
    देने वाले (मुझे) मौजों की रवानी दे दे
    अब्र हो, जाम हो, साक़ी हो मेरे पहलू में
    (अब्र = बादल)
    अब्र हो, जाम हो, साक़ी हो मेरे पहलू में
    कोई तो शाम मुझे ऐसी सुहानी दे दे
    कोई तो शाम मुझे ऐसी सुहानी दे दे
    देने वाले मुझे मौजों की रवानी दे दे
    फिर से इक बार मुझे मेरी जवानी दे दे
    देने वाले मुझे मौजों की रवानी दे दे
    देने वाले......
    नशा आ जाए मुझे तेरी जवानी की क़सम
    नशा आ जाए मुझे तेरी जवानी की क़सम
    तू अगर जाम में भर के
    तू अगर जाम में भर के मुझे पानी दे दे
    तू अगर जाम में भर के मुझे पानी दे दे
    हर जवाँ दिल मेरे अफ़साने को दोहराता रहे
    हर जवाँ दिल....
    हर जवाँ दिल मेरे अफ़साने को दोहराता रहे
    हश्र तक ख़त्म न हो ऐसी कहानी दे दे
    (हश्र =कयामत)
    फिर से इक बार मुझे मेरी जवानी दे दे
    देने वाले मुझे मौजों की रवानी दे दे
    फिर से इक बार मुझे मेरी जवानी दे दे
    देने वाले मुझे मौजों की रवानी दे दे
    देने वाले.....
    (शादाब लाहौरी)
    ----------------------
    Dene Waale Mujhe Maujon Ki
    Rawaani De De-(Shadaab Lahori)
    by Jagjit Singh.
    (Album: Echoes).
    ( Versions shared on:
    September 09, 2021-(JS-Album Echoes):
    • Jagjit Singh - Dene Wa...
    November 10, 2023-(JS-London-1990s):
    • Jagjit Singh - Dene Wa... )
    Commentary (Joke)..............
    Sargam...........................
    Aalaap...............
    Dene waale…
    Dene waale mujhe maujon ki ravaani de de
    Dene waale mujhe maujon ki ravaani de de
    Phir se ik baar mujhe meri jawaani de de
    Dene waale (mujhe) maujon ki ravaani de de
    Abr ho jaam ho saaqi ho mere pehloo mein
    Abr ho jaam ho saaqi ho mere pehloo mein
    Koyi to shaam mujhe aisee suhaani de de
    Koyi to shaam mujhe aisee suhaani de de
    Dene waale mujhe maujon ki ravaani de de
    Phir se ik baar mujhe meri jawaani de de
    Dene waale mujhe maujon ki ravaani de de
    Dene waale......
    Nasha aa jaaye mujhe teri jawani kee qasam
    Nasha aa jaaye mujhe teri jawani kee qasam
    Tu agar jaam mein bhar ke
    Tu agar jaam mein bhar ke mujhe paani de de
    Tu agar jaam mein bhar ke mujhe paani de de
    Har jawaan dil mere afsaane ko dohraata rahe
    Har jawaan dil….
    Har jawaan dil mere afsaane ko dohraata rahe
    Hashr tak khatm na ho aisee kahaani de de
    Phir se ik baar mujhe meri jawaani de de
    Dene waale mujhe maujon ki ravaani de de
    Phir se ik baar mujhe meri jawaani de de
    Dene waale mujhe maujon ki ravaani de de
    Dene waale......
    (Shadaab Lahori)
    ==============
    Jagjit-Chitra Singh Ghazals @ URL: • Jagjit-Chitra Singh - ...
    Jagjit Singh-Hindustani Classical @ URL: • Jagjit Singh - Hindust...
    Gulzar's Mirza Ghalib @ URL: • Gulzar's Mirza Ghalib
    Vinod Sehgal @ URL:
    • Vinod Sehgal
    Asha Bhosle @ URL:
    • Asha Bhosle
    Mukesh - Film Songs-(Videos) @ URL:
    • Mukesh - Film Songs-(V...
    Hariharan - Ghazals @ URL:
    • A. Hariharan - Ghazals
    Devotional Music @ URL:
    • Devotional Music
    Indian Classical (Instrumental) Music @ URL:
    • Indian Classical (Inst...
    Ameer Khusrau @ URL:
    • Ameer Khusrau
    Punjabi Music @ URL:
    • Punjabi Music
    Anup Jalota - Ghazals & Bhajans @ URL:
    • Anup Jalota - Ghazals ...
    Talat Mahmood - Ghazals/Film Songs @ URL:
    • Talat Mahmood - Ghazal...
    Pankaj Udhas - Ghazals @ URL:
    • Pankaj Udhas - Ghazals
    Mukesh - Ghazals @ URL:
    • Mukesh - Ghazals
    Lata Mangeshkar - Ghazals @ URL:
    • Lata Mangeshkar - Ghazals
    Ghulam Ali - Ghazals @ URL:
    • Ghulam Ali - Ghazals
    Mohammed Rafi - Ghazals @ URL:
    • Mohammed Rafi - Ghazal...
    And, many more @ scsharma is back @ URL:
    / @scsharmaisback
    #jagjitsingh #chitrasingh #ghulamali #hariharan #chhayaganguli #sudhamalhotra #mohammedrafi #latamangeshkar #ashabhosle #mukesh #anupjalota
    ====
    Copyright Disclaimer: This is a Non-Profit Channel. No copyright infringement is intended. If any copyright holder has any objection, please mail on: scsharma6@hotmail.com.

Комментарии • 31

  • @karanatwal8546
    @karanatwal8546 Год назад +2

    Bhut hi umda Ghazal hai 🍷🍷

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  Год назад +1

      Dhanyawaad, Karan Atwal Ji, aapki sarahana ke liye.👌💐

  • @palchhinyadonkasafar7707
    @palchhinyadonkasafar7707 Месяц назад

    Super, Classic unforgettable Ghazal.

  • @dr.adityalangthasa5720
    @dr.adityalangthasa5720 Месяц назад

    Classic 👍🏽👍🏽👍🏽👍🏽👍🏽🙏🏻

  • @rajkamal6401
    @rajkamal6401 9 месяцев назад +1

    Awesome 😊

  • @muktitiwari5658
    @muktitiwari5658 3 года назад +2

    Har jawaa'n dil mere afsaane ko dohraata rahe....
    Hashr tak khatm na ho aisi....kahaani de de ❤️
    Beautiful poetry ❤️

  • @user-lb7lu6nx3i
    @user-lb7lu6nx3i Год назад +1

    Laajawab!!umda!!
    Shukriya sir!!

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  Год назад

      Bahut shukriya, aapke samay aur sarahana bhari tippanee ke liye, L Ji. Dekhte rehiye.👍💐

  • @muktitiwari5658
    @muktitiwari5658 3 года назад +1

    Starting sargam ❤️
    Koe to shaam mujhe aisi suhaani de de....behad khoobsurat ❤️
    Shukriya saanjha karne k liye 😊

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад +1

      Dhanyawaad, Mukti Tiwari Ji. Aik-do roz aapka comment nazar neheen aaya. Swasth rehain, Khush rehain.👍

    • @muktitiwari5658
      @muktitiwari5658 3 года назад

      @@scsharmaisback 😊🙏

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад

      @@muktitiwari5658: 👍

  • @paranraj
    @paranraj 3 года назад +1

    Kya kehne ❤️❤️❤️

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад

      Bahut shukriya, Paran Raj Bhatia Ji, aapki sarahana ke liye.👍

  • @vitthalpawar-jz4dg
    @vitthalpawar-jz4dg 2 года назад +1

    🙏🙏

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  2 года назад

      Thanks, Vitthal Pawar Ji, for your time and appreciation. Keep watching for many more gems.👍💐

  • @vichitram7037
    @vichitram7037 3 года назад +1

    Suresh ji, aaj aapne ye kaisi ghazal upload kar dii hai, ki dil hi nahi bhar raha, bas mann karta hai sunte hi rahen..Itna dil ko to kya, rooh ko hi chuu liya, iss khoobsurat shaayari aur Jagjitji ki madhosh aawaaz mein gaaye in alfaazon ne....Nasha aa jaaye mujhe, teri jawaani kee kasam...Tuu agar Jaam mein bhar ke, mujhe Paani de de....Har jawaa.n ♥️ Dil, mere afsaane ko dohraata rahe..Hashr tak, khatm na ho, aisee kahaani de de ...
    Wah.! Wah.! Aaj toh sach mein dil khush kar diya aapne, itnee khubsurat ghazal sunva ke ..Anek aabhaar 🙏 Shubh raatri.! 😴

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад

      Main aik ke baad aik ghazlen saajha karta rehoon aur aap sunkar jhoom uthen aur poora lutf uthaayen, yehee laalsa hai. Aajkal main JS kee private mehfil main gaayi kuchh ghazlen, kuchh Nepali kuchh Gujarati aur kuchh Nirankari shabads main masroof hoon. October ke pehle hafte ke qareeb aap sun paayengi. Wish me speed and luck. I am sure you will enjoy all these tracks whenever these are shared. My gratitude to you for your time, patronage and your beautifully explained comments of appreciation of my uploads. Stay happy and healthy.👍🙏

    • @vichitram7037
      @vichitram7037 3 года назад +1

      @@scsharmaisback My blessings and good wishes are always there with you.! Looking forward for these uploads.! Best wishes.! 👍🙏 😴

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад

      @@vichitram7037: 👍🙏🙏

  • @utkarshkurdukar6349
    @utkarshkurdukar6349 3 года назад +1

    Evergreen 🎉🎊
    Super classic 💚💙💜

  • @sandeepbhatnagar9489
    @sandeepbhatnagar9489 3 года назад +2

    Sharma sb ye aapne six months ki dose de di, koti koti dhanyawad sir, khuda kare ye aap ka anmol khazana khali na hoye, jese jese aap in behatarin bandisho se ru baru karaye vese vese khazane Mai aur eijafa hota jaye. Ek benam Shayar ki kuch lines yaad aa raha hai sir...pesh-e-khidmat hai "ki kuch mantra phuk de saaki mere jaam par, ki peeta bhi jaoo aur jaam khali bhi na ho. Again thank you and big regards sir.

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад

      Purzor koshish rehegi ki jaam kabhi khali naa ho! Main pesh karta rehoon aur aap sunte rehain, yehee kaamna hai, Sandeep Bhatnagar Ji. Sunte rehiye aur mast rehiye.👍

    • @vichitram7037
      @vichitram7037 3 года назад +2

      Sandeep Bhatnagar ji, aapne theek farmaaya hai ki Suresh ji ka khazaana kabhi khaali na ho...Woh apne anmol ratan upload karte rahein aur hum uska bharpoor anand uthate rahen...hamari bhi dil se yahi kaamna hai..
      Bahut achhi abhivyakti hai aapki...Shubh kaamnaayein.! 👍🙏

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад

      @@vichitram7037: 👍

  • @vichitram7037
    @vichitram7037 3 года назад +1

    Shukriya aapka, ek aur naayaab aur khoobsoorat ghazal upload karne ke liye...Iss ghazal ki haseen shaayari, Jagjitji ki makhmali aawaaz mein gaayi, dil mein utar gayi....Behad khushi huyi sunn kar...Shubh kaamnaayein.!....👌👍🙏

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад

      Aaj to aapki subah jaldi ho gayi! Shukriya, Vichitra M. Ji, aapki sarahana ke liye. Har din aik naya rang. Dekhte rehain. Swasth aur khush rehain.👍🙏

    • @vichitram7037
      @vichitram7037 3 года назад +1

      Suresh ji, subah toh meri roz hi jaldi shuru ho jaati hai, par har ghazal, jo main sunti hun, uski dil se sarahna karna pasand karti hun, isi liye time lag jaata hai...Ek do line likhne mein kaunsa waqt lagta hai.. Aapke channel mein to, isi se maqsad poora ho jaata hai, phir jiyada zahmat karne ke kya zaroorat hai..Aap description box mein to itne vistaar se likh dete ho, ghazal ki tasveer saamne aa jaati hai...lske liye hum sabhi aapke aabhaari hain.! ...Khush rahein.!...🙏

    • @scsharmaisback
      @scsharmaisback  3 года назад

      @@vichitram7037: Aabhari hoon, Vichitra M. Ji.👍🙏