Lataif Ki Mehfil Ka Tarika - Ramzan Ka Akhri Ashra - Laylatul Qadr!!!
HTML-код
- Опубликовано: 15 янв 2025
- Zikr lataif ki mehfil ka tarika, ramzan ke akhri ashra mein laylatul qadr ki raat ati hai. Total 7 lataif hote hain, lataif ki mehfi kis tarah ki jati hai ye ap ko is video mein bataya jaye ga. Ramzan ke akhri ashra mein agar ap chahte hain ke ap ko bhi laylatul qadr ki raat ki fazilat naseeb ho, to ap bhi koshish karin ke jis tarhan is islami video mein lataif ki mehfil ka tarika bataya hai ap bhi usi tarhan lataif ka zikr karin. Agar ap ramaz ke akhri ashra mein itikaf mein baithay hain to ap itikaf mein baithne ki barkat ki waja se lataif ki mehfil karin, Inn Sha Allah is lataif ki mehfil ki barkat ki waja se ap ko laylatul qadr ki raat zaror naseeb ho gi.
Ramzan ka Akhri Ashra Aur Laylatul Qadr Ki Fazilat
Islam mein laylatul qadr ki raat ko boht ziyada fazilat hai. Aur laylatul qadr ki raat ramzan ke akhri ashra mein ati hai. Aksar log ramzan ke akhri ashra mein boht ibadar aur dua karte hain ke un ko bhi ramzan ki fazilat ki waja se ye laylatul qadr ki raat naseeb ho. Islam mein Quran aur Hadees mein ata hai ke jo ramzan ke akhri ashra mein laylatul qadr ki raat ati hai, ye hazaar sal ki raton ki ibadat se bhi ziyada afzal aur fazilat wali raat hai. Laylatul qadr ki fazilat ko hasil karne ke liye log kitni dua aur ibadat karte hain, ke ye raat humare naseeb ho jaye. Lakin laylatul qadr ki raat Allah ki taraf se khas logon ko hi naseeb hoti hai. Ramzan ke is akhri ashra mein laylatul qadr ki raat ki fazilat ke liye hi ap lataif ki mehfil ka tarika bataya ja raha hai ke, is lataif ki mehfil ke zikr ki fazilat aur barkat ki waja se Allah pak ap ke naseeb mein bhi laylatul qadr ki raat baseeb farma day.
Lataif Ki Mehfil Ka Tarika
Islam mein jo sufi log sufism ikhtiyar karte hain, aisa nahi ke sufism ko sirf Religion Islam mein muslim log hi mante hon. Balke Sufism ko duniya ke tamam Religions wale mante hain. Ramzan ke is akhri ashra mein ap laylatul qadr ko raat ko pane ke liye 7 lataif ki mehfil kar sakte hain. Ap 7 lataif ko zinda kar sakte hain. 7 lataif ki mehfil fikar ke sath kar sakte hain, Ab in 7 lataif ki mehfil tarteb se kar rahe hain. Ap apne gharon mein baith ke bhi in 7 lataif ki mehfil kar sakte hain. light off kar ke andhere mein baith ke lataif ki mehfil karein to ziyada behtar hai, take duniya ka khayal bhi ap ke dil mein na aey. Aur lataif ki mehfil ke doran ye tasawwur karin ke Allah ap ko dekh raha hai. Allah ke tasawwur mein mehwar ho kar lataif ki mehfil raat 1 baje se 2 ke darmiyan karin, aur isi waqt mein ap ko laylatul qadr bhi naseeb ho gi. jis tarhan is video mein ap ko lataif ki mehfil ki ja rahi hai ap bhi sath mein apne gharon meni baith ke lataif ki mehfil kar sakte hain.
-No1 Latifa Qalb: sab se pehla latifa hai Qalb aur is latifa qalb mein zikr hota hai "La Ilaha Illallah" aur is mein tasawwur kiya jata hai "Lillah" ka rang goldan.
-No 2 Latifa Roh: Latifa roh ka zikr hai "Ya Allah" aur latafia roh mein tasawwur kiya jata hai "Lahoo" aur is latifa ka rang hai surkh.
-No 3 Latifa Sirri: Latifa Sirri ka zikr hai "Ya Hayyu Ya Qayyum" aur latifa sirri mein tasawwur "Hoo" aur rang safaid.
-No 4 Latifa Khafi: Latifa khafi ka zikr hai "Ya Wahid" aur latifa khafi ka tasawwur hai "Muhammad" aur rang sabz.
-No 5 Latifa Akhfa: Latifa akhfa ka zikr hai "Ya Ahd" aur latifa akhfa ka tasawwur hai "Faqr" aur rang jamni.
-No 6 Latifa Anna: latifa anna mein zikr hai "Ya Hoo" aur latifa anna ka tasawwur hai "Allah aur Muhammad" aur is ka koi rang nahi.
-No 7 Latifa Nafs: Latifa nafs ka zikr hai "La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah" aur latifa nafs ka tasawwur hai "Allah" aur rang nila.
More Related Videos Vist For
/ fikar_iqbal
/ advocate-zuhaib-hafeez...
Imam Mahdi Ka Lashkar!!!
• Imam Mahdi Ka Lashkar!!!
Alien Reality - Alien Haqeeqat Ya Afsana!!!
• Alien Reality - Alien ...
Zikr Allah Ka Tarika
• Zikr Allah Ka Tarika!!!