Ek Maa ka yeh ran me nala hai - Old Nauha from Lucknow
HTML-код
- Опубликовано: 10 ноя 2024
- Ek Maa ka yeh ran me nala hai
Old Nauha from Lucknow by - Janab Sadr Ijtehadi
Anjuman-e-Shabbiria - Lucknow
===================
Ek Maa ka yeh ran me nala hai
Subha ka chaak chaak hai seena
Shaam e gham ka libaas kaala hai
Ek Maa ka yeh ran me nala hai
Jaan le li diya nahin paani
Yeh tarika yahan nirala hai
Ek Maa ka yeh ran me nala hai
Yeh to batlao tum gao ho jahan
Koi jhoola jhulane wala hai
Ek Maa ka yeh ran me nala hai
De diya Shah ki goad mein maine
Yeh na samjhi thi chuttne wala hai
Ek Maa ka yeh ran me nala hai
Jab suna rann mein mar gaya bachcha
Maa ne mushkil se dil sambhala hai
Ek Maa ka yeh ran me nala hai
Sadr* kismat ka kyon karo shikwa
Ho rahe ga jo hone wala hai
Ek Maa ka yeh ran me nala hai
=====
Please Comment / Like / Share / Subscribe.
You can download a BAYAAZ of all nauhas on this channel from:
archive.org/de...
Please Like my Official Facebook Page : / oldnohay
#OldNohay #NohaWordings #LucknowNauhas #LucknowAnjuman #QadeemiNauha #NauhaLyrics