Ae Jaate Hue Lamhon 💘 Border 💘 Roop Kumar, Sunny Deol, Suniel Shetty, Akshaye Khanna, Raakhe

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 5 фев 2025
  • Movie/album: Border
    Singers: Roop Kumar Rathod
    Song Lyricists: Javed Akhtar
    Music Composer: Anu Malik
    Music Director: Anu Malik
    Music Label: Venus Music
    Starring: Sunny Deol, Suniel Shetty, Akshaye Khanna, Raakhee, Jackie Shroff, Tabbu, Pooja Bhatt, Kulbhushan Kharbanda, Puneet Issar
    Release on: 13th June, 1997
    Lyrics
    Ae jaate hue lamhon
    Zara thehro zara thehro
    Ae jaate hue lamhon
    Zara thehro zara thehro
    Main bhi to chalta hoon
    Zara unse milta hoon
    Jo ek baat dil mein hai unse kahoon
    To chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
    To chaloon to chaloon to chaloon
    To chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
    To chaloon to chaloon to chaloon
    Ae jaate hue lamhon
    Zara thehro zara thehro
    Unke chehre ki yeh narmiyaan
    Unki zulfon ki yeh badliyaan
    Unki aankhon ke roshan diye
    Unke honton ki yeh surkhiyaan
    Unke chehre ki yeh narmiyaan
    Unki zulfon ki yeh badliyaan
    Unki aankhon ke roshan diye
    Unke honton ki yeh surkhiyaan
    Sab unke hain jalwe
    Main chalne se pehle
    Saanson mein aankhon mein
    Khwaabon mein yaadon mein
    Aur is dil mein unko chhupaake rakhoon
    To chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
    To chaloon to chaloon to chaloon
    Ae jaate hue lamhon
    Zara thehro zara thehro
    Main kahin bhi rahoon ae sanam
    Mujhko hai zindagi ki kasam
    Faaslein aate jaate rahe
    Pyaar lekin nahin hoga kam
    Main kahin bhi rahoon ae sanam
    Mujhko hai zindagi ki kasam
    Faaslein aate jaate rahe
    Pyaar lekin nahin hoga kam
    Jinhe chaahoon jinhe poojoon
    Unhe dekhoon unhe chhoo loon
    Zara baatein to kar loon
    Zara baahon mein bhar loon
    Main is chaand se maathe ko choom loon
    To chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
    To chaloon to chaloon to chaloon
    Ae jaate hue lamhon
    Zara thehro zara thehro
    Main bhi to chalta hoon
    Zara unse milta hoon
    Jo ek baat dil mein hai unse kahoon
    To chaloon to chaloon hm hm hm hm hm
    To chaloon to chaloon to chaloon.

Комментарии •