Mahindra Blazo X 49 Bs6-P2 | Mahindra16 Wheeler Truck | Mahindra Truck Review 2024 | Truck Junction

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 27 дек 2024

Комментарии • 7

  • @stevedesa2606
    @stevedesa2606 2 месяца назад

    Best mahindra blazo x48 im using all mahindra vehicles now...mahindra is way far better than tata..

  • @Jethalalking842
    @Jethalalking842 5 месяцев назад +1

    Super truck h

  • @syedwajeed6950
    @syedwajeed6950 5 месяцев назад

    14 tayar vdeo

  • @9tiesNostalgia
    @9tiesNostalgia 4 месяца назад

    42 ton ke upar koi bhi truck 300 HP aur 1100 Nm se kam nahi hona chahiye warna load khinch nahi paega chadhai pe, overload to bhul hi jao. Fir ek banda extra rakhna padega chadhai pe but specially mod pe reverse karwane ke liye aur baar baar teka lagane ke liye piche ke tyres mein. Ashok Leyland mujhe isliye pasand nahi hai kyunki uska 55 ton GVW ka tractor 250 HP aur 900 Nm ka aata hai jo 48 ton ke liye bhi paryapt nahi hai, Ashok Leyland mein kabhi 1 driver akela nahi milega, usmein 1 helper hamesha chahiye driver ke sath, ab ya to truck mailk uska paisa dega ya driver apni jeb se dega, isliye Ashok Leyland 35 ton se upar avoid karna better hai, uska to 35 ton bhi bahut underpowered hai. Mahindra 42 ton tak ka acha hai uske 280 HP aur 1050 Nm ke engine ke sath par X48 aur x55 mein kam se kam 300 HP aur 1150 Nm dena chahiye Mahindra ko, warna wahi Ashok Leyland wali halat hogi. 20 saal ke trucking experience walon ko to utni problem nahi hogi par jo log apna truck leke chalana chahte hain unko 48 ke liye Bharat Benz 4832 aur 55 ke liye Prima 5530 par dhyan kendrit karna chahiye, ye 2 brands ke truck chalane mein bahut aasan hain load ke sath aur inka power bahut gazab ka hai, stability ke features bahut badhiya hain aur isliye ye truck kabhi palat te nahi aur chadhai pe khade nahi hote, sarsarr nikal jate hain. Waise bhi Tata Prima rigid body mein nahi milta aur Mahindra ke features bahut kam hote hain, isliye rigid chassis mein Bharat Benz ka koi competition hi nahi hai. Bharat Benz 3528, 3832, 4232, 4832 ye sare itne adhik stability aur driver assist features ke sath aate hain ki driver ko kabhi ghabrahat mehsoos nahi hoti, wahin Mahindra mein bahut se driver assist ke features aate hi nahi hain, optional bhi nahi hain. Isliye yadi aapko apna truck swayam chalana hai to Tata Prima ka tractor trailer ya Bharat Benz ke 35-48 tak ke solid chassis aapke liye best hain. Yadi aapko truck driver se chlwana hai to Tata Signa best hai kyunki wo inn sabse sasta aata hai aur Mahindra next best hai 48 aur 55 ki ctegory mein kyunki uska mileage better hai kamzor engine ke karan. Bharat Benz 5532R next best option hai Tata Prima FL 5530.S ke baad ghoda aur trawla mein khud chalkane ke liye, driver se chalwane ke liye to fir best Signa 5530 hai aur uske baad Mahindra 5528 ya Ashok Leyland 5525 theek honge.

  • @9tiesNostalgia
    @9tiesNostalgia 4 месяца назад

    Review mein kabhi payload mat miss karo kyunki wahi main hai. 35 ton ke GVW wale truck ka weight yadi 13 ton hai to uski passing aapko kewal 22 ton ki milegi, jisse better hai 28 ton GVW ka truck lena kyunki uski passing be 20 ton ki hoti hai. Isliye payload nahi batana asli mein gehri baat chupane jaisa hai jo shak paida karta hai, truck ke bare mein bhi aur review dene wale ki credibility ke bare mein bhi. Uske alawa iske suspension ke faydon ke bare mein batana chahiye ki kyun yr truck kachche maal aur cement dono pe chalaya ja sakta hai jabki 48 ton wala nahi, yr log janna chahte hain, zyadatar ko lagta hai ki yadi paisa ho to agriculture ya kachche maal pe 48 ton ka truck chalaya ja sakta hai kyunki X35 aur X49 dono mein bell and crank suspension aata hai, par unko ye nahi pata ki 49 ton ki gadi mein saman itna adhik bharta hai ki usko jhtkon mein bachane ke kiye air suspension lagana padta hai jiska joda 1.5-2.5 lakh rupay ka aata hai, lagwai alag. Usko bolte hain review, kabhi angrezon ka review dekho jo America aur Europe mein karte hain, danton mein ungaliyan daba loge, wo to ye tak bata dete hain ki falan truck ke manual transmission ko kaunse aftermarket ke best automatic transmission se badla ja sakta hai kitna kahrcha aata mileage mein kitna antar padta hai labh kya hai nuksan kya hai etc.? wo hota hai review, yr to kewal specification gian rahe ho aap jo adhiktar truck driver ko uska fayda bhi nahi pata ki inko janna kyun zaruri hai?

  • @DebobrataYadav
    @DebobrataYadav 5 месяцев назад +1

    Price 😢

    • @truckjunction
      @truckjunction  5 месяцев назад

      हैलो,सर
      अगर आप पुराना या नया ट्रक खरीदना या बेचना चाहते हैं तो हमें 9773-363-853 नंबर पर कॉल करें या अपना मोबाइल नंबर हमें सेंड करें। हम आपसे तुरंत संपर्क करेंगे।