तवील मुद्दत के बाद आयी हुसैन की सोगवार|Noha Arbaeen|Shafqat Taqi

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 3 дек 2024

Комментарии • 7

  • @Yawarabbas-fd7bp
    @Yawarabbas-fd7bp 6 месяцев назад +1

    😢😢

  • @zeeshanasgharnasiri682
    @zeeshanasgharnasiri682 Год назад +2

    😭😭😭😭😭

  • @iftekharabbas8512
    @iftekharabbas8512 Год назад +1

    😭😭😭😭😭😭😭

  • @Asmat_.kazmi0
    @Asmat_.kazmi0 Год назад

    Plz send me

    • @AzadariBaragaonGhosiMau
      @AzadariBaragaonGhosiMau  Год назад +1

      LYRICS
      Taweel muddat ke baad aayi Husain ki sogawar zainab
      fogha'n hai karti mazaar e shah se, Lipat ke be akhtiyar Zainab
      Taweel muddat ke ------------------------------------
      Na koi hamdard juz Khoda Tha, Zamana itna badal chuka tha,
      Teri shahaadat ke baad bhaiyya, aseer thi bedayaar Zainab,
      Taweel muddat ke-----------------------------
      Tumhara sar Tasht me rakha tha, hamaara bazoo bandha hua tha,
      Yazeed ke roo baroo khadi thi, Barahna sar sharmsaar Zainab
      Taweel muddat ke--------------------------------
      Na aisa duniya me saaneha ho, Bahan na bhai se yu'n juda ho,
      Tumhare laashay pe bain kar ke, Na ro saki dil fegaar Zainab.
      Taweel muddat ke-----------------------------------
      Na teray kaam aa saki ai bhaiyya, ye sadma taa zindagi rahega,
      Feda kiye dono Laal Lekin, na ho saki khud nesaar Zainab.
      Taweel muddat ke--------------------------------------
      Milaa na ik boond tumko paani, ai tashna lab fatema ka jaani,
      ab apne ashko'n se tar karegi, Husain tera mazaar Zainab.
      Taweel muddat ke----------------------------------
      Na poochho beemaar ki tabaahi, ki pusht ki khaal udhad chuki thi,
      Ghareeb Abid ki bekasi par, Tadapti thi baar baar Zainab.
      Taweel muddat ke----------------
      Hai iska afsos mujhko bhaiyya, Na kar saki ik kafan mohayya,
      Aseer thi kis tarah se karti, Tumhe supurde mazaar Zainab.
      Taweel muddat ke-----------------_-------------
      YOU CAN FIND LYRICS IN DESCRIPTION TOO