"Pahari Par Khofnak Awazein | Darawni Awaz Haqiqat Ya Afsaana?"

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 20 окт 2024
  • Aaj main ek bohot hi ajeeb o ghareeb jagah visit kar ke aya hoon. Ye ek chhoti si pahari thi, jo bilkul sunsaan thi, magar sabse darawni baat ye thi ke wahan se ajeeb o khofnak awazein sunai de rahi thi. Jahan main khada tha wahan hawa chal rahi thi, aur kabhi kabhi lagta tha ke koi paas se guzra ho, magar wahan koi nahi tha. Awazein itni teiz aur achanak se aati thi ke ek dum dil dhak se reh jata tha.
    Logo ke mutabiq, is jagah ke saath purani kahaniyan juri hui hain. Kaha jata hai ke is pahari pe kabhi kuch log ghum ho gaye thay aur tab se wahan se ajeeb o ghareeb awazein sunai deti hain. Jab main wahan tha, to mene bhi kuch aisi awazein suni jo samajh nahi aayi ke wo kahan se aa rahi hain.
    Agar aap supernatural ya paranormal cheezon mein dilchaspi rakhte hain, to ye vlog aap ke liye hai. Mein ne koshish ki hai ke jitna ho sake ye tajurba ap tak laoon.
    Pahari ka mahol itna sakht tha ke wahan zyada dair rehna mushkil tha, lekin jo bhi tha, wo ek yaadgar aur thoda darawna tajurba tha. Kya aap bhi wahan jana chahein ge? Video ko like aur share karna mat bhooliye ga, aur comment section mein zaroor batayega ke kya aap ne kabhi aisi jagah dekhi hai?

Комментарии • 8