Naayib-e-Khairul Wara Hain | Qasidaa

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 20 сен 2024
  • naayib-e-khairul waraa hain,
    naayib-e-khairul waraa hain,
    saiyed-e-ahmed kabeer
    aur maashook-e-khudaa hain
    aur maashook-e-khudaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    koi kya jaane ke kya hain saiyed-e-ahmed kabeer
    noor-e-chasme mustafa hain
    noor-e-chasme mustafa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    di bashaarat mustafa ne khwaab me mansoor ko
    aaftaab-e-auliya hain
    aaftaab-e-auliya hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    naam lete hi fanaa hon mushkilen ik aan me
    waaris-e-mushkil kushaa hain
    waaris-e-mushkil kushaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    har kisi ke kaam aayee roshni har daur me
    aisi ek shamm-e-hudaa hain
    aisi ek shamm-e-hudaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    kon aisa hai jo shaidaaee nahin hai aapka
    do jahaan tum par fidaa hain
    do jahaan tum par fidaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    aandhiyaan baatil ki bhi jisko bujha sakti nahin
    aisa ek roshan diyaa hain
    aisa ek roshan diyaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    jaan nisaar-e-mustafa hain paikar-e-akhlaaq hai
    deen-e-haq ki har adaa hain
    deen-e-haq ki har adaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    shaairon se kya bayaan sarkaar ki tauseef ho
    jo kahen uss se siwaa hain
    jo kahen uss se siwaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    khatm bas iss baat par 'mazhar' ne kissa kar diyaa
    dard-e-insaan ki dawaa hain
    dard-e-insaan ki dawaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    naayib-e-khairul waraa hain,
    naayib-e-khairul waraa hain,
    saiyed-e-ahmed kabeer
    aur maashook-e-khudaa hain
    aur maashook-e-khudaa hain
    saiyed-e-ahmed kabeer
    SULTAAN-UL-AULIYAA,
    ABUL ALAMAIN,
    QUTBUL AQTAAB, MAASHOOK ALLAH,
    HAZRAT SAIYED AHMED KABEER REFAI (RA)
    ke 862 URS ke mubarak mauqe par,
    Hazrat Saiyed Ahmed Kabeer Refai (ra) ki shaan me,
    Hazrat Saiyed Kamaluddin Mazharullah almaaroof ba Mazhar Refai (Sajjada Nasheen, Khanqah-e-Refaia, Baroda-Surat) ki likhi hui mashhoor-o-maqbool manqabat ko
    BAZM-E-REFAI (Khanqah-e-Refaia, Baroda) ki jaanib se Hazrat Saiyed Ahmed Kabeer Refai (ra) ki baargaah me ba taur-e-nazraana-e-aqidat pesh karne ki sa’aadat haasil ki jaa rahi hai.
    Allah (swt) Huzoor (saw) ke sadqe me hum tamaam ko qayaamat ke din tak Hazrat Saiyed Ahmed Kabeer Refai (ra) ke fuyuz-o-barakaat se mustafeez farmaaye. AAMEEN.

Комментарии • 161