Sughra Ka Khat Aaya Hai Noha

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 10 фев 2025
  • صغرا کا خط آیا ہے
    Noha - Sughra (s.a) Ka Khat Aaya Hai
    Nohekhwan - Jb. Mirza Sardar Ali Sankhnavi
    Kalam - Jb. Muneer Sahab Chhaulasi
    Editor - Hidayat Raza
    Social Accounts :
    Facebook : / hidayatraza819
    Instagram : / tanzeemewila
    WhatsApp : +91 8810626507
    ................................................................................................................
    Lyrics :
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya Hai..... (x2)
    Ek Musafir Yasrab se Sughra (s.a) ka Namah laya hai
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Laashe Pisar Par Sheh (a.s) Ne Jaa Kar, Noha ye Farmaya hai
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Likha hai Khat mein ye Baba Main Tanha Tanha Rehti Hu
    Yaad Jo Sabki Aati Hai to Raato'n Ko Main Roti hu,
    Chhodh ke Baba Ghar mein Tanhaa Jo Humko Rulwaya hai...
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Keh Ke Gaye the Baba Humse Tumko Main Bulwaunga
    Bhaiyya Akbar (a.s) Ne bhi kaha tha Tumko Lene Aaunga,
    Kyo nahi Baba Ab tak Humko Bhaiyya se Bulwaya hai...
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Eidi Paakar Meri Saheli Mujhko Jo dikhlaati hain
    Yaad Bahut Phir Humko Baba Tum Sabki Tadpaati hai,
    Eid ke din bhi Humko baba Furqat ne Tadpaaya hai....
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Eidi dene Behno'n ko jab Sabke Bhaiyya Jaate Hain
    Yaad Bahut phir Humko Baba, Bhaiyya Akbar (a.s) Aate Hain,
    Bhej Do Baba Mera Jodha Eid Pe Jo banwaya hai....
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Bhool na Jaana Humko Baba Shaadi Ho jab Bhaiyya Ki
    Mehndi Lagaye Bhai Ko Apne, Hasrat hai Ye Behna Ki,
    Mere Bina Hi Bhaiyya Ne Kya Sehra bhi Bandhwaya Hai....
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Meri taraf se Pyar Bahut Sa Karna Bhaiyya Asghar (a.s) Ko
    Mera Shikwa Jaake Bataana Mere Bhaiyya Akbar (a.s) Ko,
    Chalte Chalte Qasid Se Sughra (s.a) ne Ye Farmaaya Hai...
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Beti Ka Khat Padhkar Sarwar (a.s) Khoon Ke Aansu Rote the
    Asghar o Akbar Ki Laasho'n par Jaan Ko Apni Khote the,
    Dekh lo Bhai Qismat Ne Ye Din Kaisa Dikhlaya hai.....
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Turbate Asghar (a.s) Qasid Ko Phir Sarwar (a.s) Ne Dikhlaayi hai
    Aur Kaha Hai Usse Rokar, Sughra (s.a) Ka Ye Bhai Hai,
    Pyar Bahut Sa Jisko Bhai Sughra (s.a) Ne Bhijwaya hai...
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Kaise Batau Bhai Main Tumko Sughra (s.a) Ka Jo Pyara tha
    Mere Budhaape ka Tha Sahaara Aankho'n Ka meri Taara tha,
    Fauj e Sitam ne Maar ke Neza usko bhi tadpaaya hai....
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Dekh ke Ghurbat Sarwar (a.s) ki Qasid Bhi Rann Mein Rone laga
    Sheh (a.s) Ke Masayeb sun sun kar wo jaan ko apni khone laga,
    Haal Sunakar Qasid Ko phir Sarwar (a.s) Ne paltaaya hai....
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Ahle Azaa Mein Hashr Hai Barpaa Aankho'n ko Namm karte hain
    Apne Gham Ko Bhoolke Hum to Sheh (a.s) Ka maatam karte hain,
    Roko Muneer Kalam Ko ab to Dil Gham se Bhar aaya hai...
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x2)
    Ek Musafir Yasrab se Sughra ka Naamah laaya hai..
    Sughra (s.a) Ka Khat Aaya hai .......(x4)
    ................................................................................................................
    Copyright ©TanzeemEWila. All Rights Reserved 2020. Any uploading of our audio/visual content is strongly prohibited and the result will be ending up with a Strike, copyright infringement notice & penalties.
    #TanzeemEwila #SankhniNohey

Комментарии • 59