HRMS me e Pass ke liye apply kaise kare | How to apply for e Pass in HRMS | hrms pass apply

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 21 янв 2025

Комментарии • 187

  • @pratibhaajalgaonkar4058
    @pratibhaajalgaonkar4058 2 года назад +1

    बहुत् अच्छी जाणकारी देने के लिये धन्यवाद.आगे हमे ऐसेही मदत करे ताकी हमे पास अप्लिकेशन देने और पास निकालाने मे आसनी हो जाय.

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Ji....
      Bilkul..hmm app sabhi ko ese hi jankari dete rahenge.....

  • @balmukundshaw8966
    @balmukundshaw8966 2 года назад

    मुझे आपका विडीयो बहुत ही अच्छा लगा ।
    कयू की आपने बहुत ही अच्छी तरीके से समझाया है।
    धन्यवाद

  • @maheshprasad5498
    @maheshprasad5498 5 месяцев назад

    Very useful video for railway employees thankyou

  • @antwalmobhia141
    @antwalmobhia141 Год назад

    वेरी नाइस बहुत ही अच्छा

  • @SurendraDhakde
    @SurendraDhakde 11 месяцев назад

    Bahut acchi information bhai thank you

  • @manabendranarayansinha8676
    @manabendranarayansinha8676 2 года назад

    After issue e pass on 14/12/2022 from hrms , then download shows processing , please wait still now .please tell me how to download my complimentary pass , please help as early as possible.

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Aap ek baar HRMS App me try kijiye....

  • @sarfarazansari2881
    @sarfarazansari2881 2 года назад

    Nice explaination sir ji

  • @ramanandasadhu2817
    @ramanandasadhu2817 10 месяцев назад

    Excellent

  • @vilasdhoke1713
    @vilasdhoke1713 Год назад

    Bahut badhiya sir ji

  • @ashokmalhotra2208
    @ashokmalhotra2208 2 года назад +1

    Excellent explaination Ravi ji. Keep it up 🙂

  • @SatyawanSatyawan-dn1ix
    @SatyawanSatyawan-dn1ix 5 месяцев назад

    2400 grade pye Wala aadmi AC Two tier ME seat bna skta h kya

  • @raviranjan-ih3pi
    @raviranjan-ih3pi 9 месяцев назад

    Very good

  • @Yoge_aap_ka_hai
    @Yoge_aap_ka_hai 2 года назад

    Attendent ka nh hai option???
    Mere.father ko satabdi aur rajdhani ka v hai pass me to main "upgrade pass" me click krunga??

  • @ramachandransrinivasan641
    @ramachandransrinivasan641 2 года назад

    How to apply pass from CAPE to APH via TPJ,MAS,SBC,CSMT,ADI in HRMS on line

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Jaise Maine video me bataya hai waise aap apply kar lijiye....
      Apply karne me yadi apko kahi problem aa rahi hai to aap comment kar dena

  • @eknathtayade9019
    @eknathtayade9019 Год назад

    Thank you sir ji

  • @vmoj9399
    @vmoj9399 2 года назад

    Good information sir

  • @Ansh39862
    @Ansh39862 Год назад

    Sir mera family decreletion kha hoga kaise pta kare

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  Год назад

      Sir Ji,
      Apne family declaration submit kar diya hai to wo dealing Clark ke pas hogi ...

  • @randhirkumar8759
    @randhirkumar8759 Год назад

    Bahut achha

  • @yogeshynr4686
    @yogeshynr4686 2 года назад

    Superb information👍🙏

  • @competitiveexamstudy5636
    @competitiveexamstudy5636 2 года назад

    Mast analysis❣️

  • @mubarakkhan243
    @mubarakkhan243 2 года назад

    Bct to ndls ka breakjourney ddr borivally bdts hoga

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir,
      M apko ek baat achchi tarah se bta du.....aap jis route ka pass le rahe ho us route par jo bhi station aayenge... Wo aap break journey me dal sakte ho .....
      Aap BCT se NDLS ka pass le rahe ho to....es route pat dadar western, borivali.....aata h.....lekin bdts es route par nahi padta h.....wo side me padta h........

  • @onlyeshaaaaaa
    @onlyeshaaaaaa Год назад

    Helpful ,❤😊

  • @scsharma5381
    @scsharma5381 2 года назад

    Sir mai Jun 2021 me retire ment huwa usese pahle army me 30 yr service ki hai 8 sal rly me service hai nps me hone se PPO nahi mila ab hrms se pass kaise banaye

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir,
      Retirement ke bad koi manually pass liya tha....apne...??

  • @SandeepKumar-wt2uc
    @SandeepKumar-wt2uc Год назад

    good

  • @17somnathghorai5
    @17somnathghorai5 2 года назад

    1. 2022 ka Pass/PTO ka expire date December 2022 hain or March 2023?
    2. 2023 ka Pass/PTO January 2023 me hii aa jayega keya?
    Please replay

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      1) Year 2022 ke pass/pto ki Validity 30 May 2023 tak hai.......or Pass/pto ki Validity 05 Months hoti hai...
      2) Year 2023 ke pass/pto 01 January 2023 ko hi credit ho jate hai...

    • @17somnathghorai5
      @17somnathghorai5 2 года назад

      @@technicalravi__ Sir pay protection ke bare me ek question tha...
      Agar kisi ne pehele as a Alp mutual form submit kar diya, aur during process uss larke ne Sr. Alp ka promotion le liya but uska Sr. Alp promotion ke only 1 month salary milne ke baad dusre division me transfer ho jati hain... Toh keya dusre division me jane ke baad uska BASIC pay 25500 hii rahega iya basic decrease karke pahele jaysa tha 21100 karwa dega!?
      Agar apke pass sehi jankari hain toh please bataiye

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Mutual Transfer apply karte samay jo apki Rank thi (ALP) .......
      Usi Rank (ALP) par apko mutual Transfer jana padega.....

    • @17somnathghorai5
      @17somnathghorai5 2 года назад

      @@technicalravi__ wo malum hain seniority loss hoga...
      Iss me problem nehi hain but mera question hain agar ek month ka salary vi Sr. Alp ka mil jaye, uske baad transfer process complete hota hain...
      Toh keya neya division me ja kar uss ek month ka salary me jo basic increase huya hain wo basic same rahega or decrease karke Purana wala basic de dega??
      Iye apka keya malum hain??

  • @Railfanbathinda5566
    @Railfanbathinda5566 2 года назад +1

    Pass apply krne k baad jab clerk application ko forward krega to apna pass bankar ready ho Jayega kya ?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir Ji,
      Apke comment ka reply maine aaj ke video me de diya hai...

    • @Railfanbathinda5566
      @Railfanbathinda5566 2 года назад +1

      @@technicalravi__ ok thanks sir ji

    • @bikashbhagat8866
      @bikashbhagat8866 2 года назад +1

      Pass clerk jab pass application ok kr deta hai tab UPN pin Kab tak mil jata hai.

    • @Railfanbathinda5566
      @Railfanbathinda5566 2 года назад +2

      @@bikashbhagat8866 PIA ke dwara verify Karne k baad

  • @deepak_shrivastava
    @deepak_shrivastava 2 года назад

    Sir 2023 ka half pass lene ke bad half 2023 lagne pr expire ho jayega ya valid rhega plz reply?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir Ji,
      Abhi 2023 ka half set lete ho to half set hi detect hoga.....
      Baki ka half set aap kabhi bhi bad me (2023) le sakte ho....

  • @senapatidileswari8205
    @senapatidileswari8205 2 года назад

    thanks for information

  • @ramachandransrinivasan641
    @ramachandransrinivasan641 2 года назад

    Mr Ravi How to find alternative route in HRMS Railway .please answer .

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      HRMS me aap find nahi kar sakte ho.....
      Uske liye apko dusri App/Website se hi help milegi....

  • @Prits_Lifestyle_And_Fashion
    @Prits_Lifestyle_And_Fashion 2 года назад

    Sir kya me 2021 ka pass 2022 me use kr skta hu kya

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Ma'am,
      Ha use kar sakte ho.......
      Yadi aap ab year 2021 ke pass/pto lete ho to unki validity 30 May 2022 tak hi hogi ........

  • @vmoj9399
    @vmoj9399 2 года назад

    Family members ko kaise add karte h sir??
    Kya ham apne se family members ko add kar sakte h??

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      apke comment ka reply maine aaj ke video me de diya hai.....

  • @anishkassar2433
    @anishkassar2433 2 года назад

    Good job

  • @Ansh39862
    @Ansh39862 Год назад

    Ravi sir ek problem aarhi hai mai family declaration de rha hu mera beta 23 saal ka hai toh usme add kar rha hu toh yhe likha aarha hai... Please upload relevant documents adhar card and bonafide documents of your son.. Sir please reply

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  Год назад

      Sir Ji,
      Son ke case me jab uski age 21 year ho jati hai to har sal bonafide certificate upload karna jaruri hai....
      Son abhi kya kar Raha hai??

    • @Ansh39862
      @Ansh39862 Год назад

      @@technicalravi__ sir ji boafiled kya hota hai

    • @Ansh39862
      @Ansh39862 Год назад

      @@technicalravi__ sir ji aap meri help kardo aap apna no share kardo please🙏

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  Год назад

      Bonafide me likha hota hai ki....ye ...es school/college me padta hai jo es class/ stream me hai jiska registration number ye hai...es type se likha hota hai....
      Jab hmm children education allowance lete the usme bhi bonafide certificate dena hota hai jo school bharke deta hai...
      Or aap apke Babu se bhi bonafide certificate ka format le sakte ho ya fir apke sathi karmchari se bhi le sakte ho.....ya fir online bhi download kar sakte ho....

  • @teenakumari7627
    @teenakumari7627 2 года назад

    Mene preview pass application par lgaya tha tick toh kya mera pss khrab ho gya

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Ma'am,
      Preview par click karne se pass kharab nahi hota hai.....
      Preview only ye check karne ke liye hota hai hamne pass thikk apply Kiya hai ya nahi.....

    • @383uzair
      @383uzair 2 года назад +1

      @@technicalravi__ MERE SAATH BHI YAHI HUA THA AB WO KAISE WAAPIS AAYEGA??

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Eske liye maine 25 September 2022 ko video upload Kiya hai.....
      aap mere chennal par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko video mil jayega.....
      Video Title:- HRMS me e Pass ke liye apply kaise kare | How to apply for e Pass in HRMS | hrms pass apply
      Es video me maine bahut achche se bataya ki pass preview par click karne ke bad wo dobara kaha par milta hai....

  • @homeremedytips131
    @homeremedytips131 Год назад

    Sir mere pass issue nhi hua Draft me ho gaya ?? Kya koru ?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  Год назад

      Sir Ji,
      Draft me save pass pto ko kaise edit/delete karna hai eske liye maine already video upload kar rakha hai..

  • @abiteofjoy6678
    @abiteofjoy6678 2 года назад

    Submit karne ka baad pass ane tak kitna samai lagta hai

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Jyada time nahi lagta hai.....
      Wo depend karta hai apke pass Clark or PIA par......ki wo kitna jldi karte hain....

  • @AAnari3588
    @AAnari3588 2 года назад

    Sir, full set pass half set pass मे बदल सकता है क्या?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir,
      Nahi esa nahi hota h...
      Ek baar jab pass issue ho jata h to...use kisi bhi tarh se change nahi kar sakte hai...

    • @AAnari3588
      @AAnari3588 2 года назад

      @@technicalravi__ apply करते समय कर सकते है कि नही?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir,
      Jaha par Apply/view ka option hota h wahi par full set or half set ka bhi option hota h.......
      Yadi apko half set Lena h to apko half set wale option ke niche apply/view ka jo option hota h us par click karna hota h ........
      Sir half set ke liye bhi maine already video upload kar rkha h aap mere chennal par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko video mil jayega......

    • @AAnari3588
      @AAnari3588 2 года назад

      @@technicalravi__ ok thanks thanks

  • @shahbazalam1511
    @shahbazalam1511 2 года назад

    Sir route ek hi bar set kr skte h kya ,fir dobara change nhi krskte kya

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Eske liye maine already video upload kar rakha hai aap mere chennal par jaiye waha par jaiye waha par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko video mil jayega....

  • @ashishkumargupta5466
    @ashishkumargupta5466 2 года назад

    Railway pass se nagpur to ddu
    Break journey jabalpur pass issue hai bhaiya
    Ngp to jbp ticket ho gya
    But jbp to ddu nii ho pa rha
    IRCTC se ticket krne par km exceeding 1044 km likh rha hai .
    Pass me km 1001 issue hai

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      1) Nagpur to jabalpur konsi train me reservation kiya hai...??
      2) Jabalpur to DDU ke liye konsi train me reservation karne ke liye try Kiya hai ??

    • @ashishkumargupta5466
      @ashishkumargupta5466 2 года назад

      12159 ngp jbp me ticket hua hai bhaiya
      Aur 13202 LTT Patna me jbpse ddu nii ho rha
      Ek pass me 4 digit pin kya ek se ho sakta hai kripya btayie

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Jabalpur to DDU ke liye aap ek baar 12295 me try karke dekh lijiye....yadi ho jaye to kyuki Esme sabse kam kilometre hai mtlb shortest route hai...
      2) Pass booking OTP 4 digit wala wahi same rahega...ye change nahi hota hai....

  • @rohitpatel6830
    @rohitpatel6830 2 года назад

    भाई मैंने मेरीe pass से टिकट बनाने की बहुत कोशिश की ।।लेकिन हमेशा।।डिटेल्स not matched or passenger no more depandant show karta hai।।।kya kru

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji
      Apke es comment ka reply maine aaj ke video me bta diya hai....

  • @naturelver5439
    @naturelver5439 2 года назад

    Kya full set paas issue hone ke baad 1 side ki journey paas se nd dusri side ki journey (due to seat not available) bina ticket krae other transport se aae to wo aane ki journey paas ka use baad me kr skte h kya??
    Plz reply??

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Yadi aap full set lete hai or us per ek side ka reservation kar lete ho tatha dusri side ka reservation nahi karte hai to dusri side ka reservation aap bad me bhi kar sakte ho....

  • @heenakhatoon7969
    @heenakhatoon7969 2 года назад

    Pass k liye application forward ho Gaya ab kitne din k Baad pass milega or pass se tickets kaise kare

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Ma'am...
      Jyada time to nahi lagta hai 01 din bahut hota hai......
      Ab ye depend karta hai apke pass Clark or PIA par ki wo kitna jldi issue karte hai ......
      Jab apka pass/pto issue ho jayega tabhi aap us pass/pto par reservation kar pavoge....jaise hi apka pass/pto issue hoga apke mobile number par ek message aa jayega.....jisme UPN Number or pass booking code or validity ye sab hota hai.......
      Pass/pto se kaise ticket book karna hai eske liye maine already video upload kar rakhe hai, aap mere chennal par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko videos mil jayenge....

  • @DharmendraYadav-vo5fh
    @DharmendraYadav-vo5fh 2 года назад

    Sir mai pass apply kar raha tha to preview pe click kiya preview to dikha lekin woh draft me chala gaya ab woh kaise apply hoga

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Eske liye maine already video upload kar rakha hai aap mere chennal par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko video mil jayega....
      Video Title :- How to Edit/Delete draft pass application....

  • @GyanKiBaat108
    @GyanKiBaat108 2 года назад

    जब हम e pass banwa lete hain to kya kisi bhi train se aur किसी भी date me up to destination travel कर सकते हैं?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Travel to kar sakte ho.....
      Lekin wo TTE par depend karta hai ki bina reservation kiye man jata hai to....
      Aap pass par reservation karke up to destination travel kar sakte ho...

  • @tarunkashyap1774
    @tarunkashyap1774 Год назад

    New joining Wale ke liye kya process hain sir ?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  Год назад +1

      Sir Ji,
      Ye video kafi pahle banaya tha.....
      Ab Esme update ho gaya hai...ab hmm pass khud hi generate karte hai......
      Eske liye maine already video upload kar diya hai aap mere chennal par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko latest update video mil jayega....
      New joining wale ke liye bhi same process hai...lekin apko pahle family declaration submit karni hogi ...

  • @dkalp5503
    @dkalp5503 2 года назад

    Sir Half set and full set kya hota hai

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir,
      Half Set Pass/PTO me aap ek side ka hi reservation kar sakte ho......
      Or Full Set me aap doni side (Aane v Jane) ka reservation kar sakte hai....

  • @ssikdar5644
    @ssikdar5644 2 года назад

    Sir e-pass issue hone ke baad break journey add ho sakta hai.?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir Ji,
      Pass issue hone ke bad me break journey add nahi hoti hai........

  • @sagnikbairagya
    @sagnikbairagya 2 года назад +1

    What is the meaning of full set and half set ?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Full Set me aane v Jane dono side ka reservation kar sakte ho......
      Or Half Set me only one side ka reservation kar sakte ho.....

  • @skumar2897
    @skumar2897 3 года назад

    Pass se bike carry kar sakte hai kya

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  3 года назад

      Sir,
      Jaisa maine video me bataya waise aap apply karte ho to aapko parsal office me jakar us pass par aap apki bike/ cycle book karwa sakte ho........
      Sir aap ek baar jakar es bare baat karna parshal booking Clark se ....
      Fir aap mujhe bhi btana ki wo es bare me kya bolte h....

  • @Walking_moments
    @Walking_moments 2 года назад

    Sir level 1 employees ko AC pass milta hai kya?

  • @subhash_kumar2408
    @subhash_kumar2408 2 года назад

    Bhai mera save as draft ho gaya hai usko submit kaise karu?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      apke comment ke reply ka video bnakar aaj upload kar diya hai....

  • @shriram8926
    @shriram8926 2 года назад

    Sir agr tickets krne k bad hum cancel krwa lete hai .... is case me kia privilege pass waps humari hrms id me show hone lgega ya fr wo laps ho jayega.. kioki pass se hui hai toh refund toh aana ni uska...or pass b gya

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Apke comment ka reply maine aaj ke video me bta diya hai...

  • @manojmama7575
    @manojmama7575 2 года назад

    Half set ka pass kaise hoga

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Maine half set pass ka already video upload kar rakha hai....
      Aap mere chennal par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko video mil jayega........

  • @Kailash_chand_meena_1267
    @Kailash_chand_meena_1267 2 года назад

    Hrms se paas application accept nahi karta hai. Ye remark aata hai- faster rute not found between MMCT and NDLS .kindly change different set station.

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir Ji,
      Break Journey apne kaha - kaha ki Dali thi....?? Between MMCT to NDLS

    • @Kailash_chand_meena_1267
      @Kailash_chand_meena_1267 2 года назад

      @@technicalravi__ sir ji break journey KOTA,SWA,HAN,BTE dala tha

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji...,
      SWA h Ya SWM hai....??

    • @manish-yl1bl
      @manish-yl1bl 2 года назад

      @@technicalravi__ Kya aapse contact ho sakta hain sir

  • @vishwanath3548
    @vishwanath3548 2 года назад

    Sir break journey nhi daalni to koi problem to nhi hai

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Maine jo aaj video upload kiya hai usme Apke Comment ka Reply maine Video ke madhyam se bta diya hai....

  • @pujayadav6747
    @pujayadav6747 2 года назад

    Sir mere status mein submitted for approval dikha rha hai to ye kab issue hoga

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Ma'am,
      Ye depend karta h apke PIA (Pass Issuing Authority) par ki wo kitna jldi approved karte h .......
      Waise Esme to 5 Minute ka kam hota h PIA ka

  • @PANKAJKUMAR-dn2ck
    @PANKAJKUMAR-dn2ck 3 года назад

    Hello sir HRMS website mein login karne ke bad teer ke Nishan patik click ke bad koi bhi option so nahin hota hai sirf dashboard
    Pass 3.0 apply ka section hi so nahin hota hai
    Help

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  3 года назад

      Sir,
      (1) Apko ye problem kab se aa rahi h.....???
      (2) or apne kitni baar try Kiya h...??

    • @PANKAJKUMAR-dn2ck
      @PANKAJKUMAR-dn2ck 2 года назад

      @@technicalravi__ sar family declaration Aaj confirm hone ke bad
      Pass apply per click Kiya uske bad logout kar diya
      FIR login karne ke bad dashboad par koi bhi option so nahin kar raha hai
      Aaj 5-6 try kar liya same problem

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir,
      Ek baar HRMS app se or try karke dekhiye.....
      Usme kya kya show ho raha hai....

    • @PANKAJKUMAR-dn2ck
      @PANKAJKUMAR-dn2ck 2 года назад

      @@technicalravi__ sir HRMS app mein sare option so kar rahe hain but website par Sone nahin kar rahe hain

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir,
      Aap Google Chrome use karke dekhiye......

  • @Priyankakumari-sc6bm
    @Priyankakumari-sc6bm 2 года назад

    Sir mujhe AC k liye reservation krna h pr wo automatically sleeper ka kyu ho rha.. Kaha option aata h ye chose krne k liye.. Kindly help

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Ma'am,
      Aapko 3rd ka Pass Apply karte time problem aa rahi h....?? Ya...
      3rd AC ka Reservation karte time problem aa rahi h ??.....

    • @Priyankakumari-sc6bm
      @Priyankakumari-sc6bm 2 года назад

      Hnji sir... Mai 3rd AC ka krana chahti hu or wo sleeper ka aarha h

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Ma'am,
      Okkkkkk.....

    • @Priyankakumari-sc6bm
      @Priyankakumari-sc6bm 2 года назад

      Jaise aapki video me bhi top me red colour me highlighted h sleeper class... Wo change krna h mujhe 3rd AC k pass me..

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Ma'am,
      Jaha par last me Submit ka option aata hai uske uper upgrade Pass ka option hota hai or uske samne check box ka option hota hai us check box ☑️ par apko click karna h....fir submit kar dena h.......

  • @vishnubaghel6477
    @vishnubaghel6477 2 года назад +1

    Detail Galat dikha rha h hrms m wo kese Shi kre Jese Ki level or designation ? Ress me detail or kuch h

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +2

      Sir Ji,
      Aap Branch Officer ke name application likh dijiye....
      Jo galti apke HRMS me hai..
      Wo sabhi usme mention karna hai.....
      Or ha pahle aap es sambandh me dealing Clark se bhi baat kar sakte ho......

  • @harimohansingh4662
    @harimohansingh4662 2 года назад

    Sir kisi family member ko add krna ho to kese krenge please iski bhi video bnaiye sir🙏🙏

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir,
      Eske liye maine already video upload kar rakha h .....aap mere chennal par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko video mil jayega..........
      Lekin online process se kahi - kahi par time bhut jyada lg gaya h ....or kisi kisi ko to 5 se 6 mahine ho gaye h process kiye huye lekin abhi tak add nahi huaa h ...........
      ye sab depend karta h ki dealing click, verify authority etc ......ki wo kitni jldi process karte h........
      Meri mano to aap online bhi process kar do or sath me application ke jariye offline bhi process kar do ........

  • @er.rajkumar423
    @er.rajkumar423 2 года назад

    Sir maine online railway pass apply kiye jo bn v gya or verify v hoga lekin online ticket bahut waiting show ho rha tha esliye maine online ticket book nhi kiye or counter se jake ticket book karwaye hai... Mera problem ye hai online pass pr 5 members show ho rha h lekin offline couunter ticket pr 4 members hi likha h ..aise kaise ho gya plz btaye

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      5 Members ki age kitni - Kitni hai....??

    • @er.rajkumar423
      @er.rajkumar423 2 года назад +1

      @@technicalravi__
      Mahesh Kumar( HUSBAND)-39 Age
      Soni Kumari - 14 Age
      Sachin kumar - 13 Age
      Shrishti Kumari - 10 Age
      SakilA Devi ( WIFE) - 34 Age
      SakilA Devi ka naam pass pr show ho rha hai but counter Ticket pr show nhi hua h
      Aisa q sir btaye..

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Esa to nahi hona chahiye....
      Ki pass par sakila Devi ka name hai or jab counter pat ticket karwate ho to enka name show nahi ho raha hai......
      Kya apne wo pass download Kiya huaa h jisme skila Devi ka name hai....???
      Yadi esa hai to sir apko HRMS Helpline number par contact karna padega unko aap ye problem bta dena .......
      HRMS Helpline number HRMS website par zone wise diye gaye hai......

    • @er.rajkumar423
      @er.rajkumar423 2 года назад

      @@technicalravi__ yes sir Pass download krke rkhe h
      Yeshwantpur to bhagalpur me v sakila devi ka naam nhi h counter Ticket pr और भागलपुर to YESHWANTPUR me v sakila Devi ka naam nhi h counter Ticket pr
      Jaise aap bole ki HRMS helpline pr call krke pooche h kya bolte h
      Helpline

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Aap ek baar HRMS Helpline number par bhi call kijiye or unko bhi ye problem achche se bta dena.......
      Wo kya bolte hai... comment karke bhi bta dijiye sir ji....

  • @sctiwarisctiwari8328
    @sctiwarisctiwari8328 Год назад

    Clerk ke pass chala gaya hai to kitne din me ayega

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  Год назад

      Sir Ji,
      Ab to Automatically pass/pto genrate ho raha hai....
      Apka aavedan pass Clark ke pas kaise chala gaya??

  • @edulysis5575
    @edulysis5575 2 года назад

    Bhai ek baat batao maine abhi tak pass ke liye apply nhi kiya hai ..
    To first time apply krne se pehle self declaration bhi dena padta hai kya offline apne department me..uske baad online apply kr skte hain
    Please clear krna jaldi...

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Family Declaration le rahe hai to thikk h.....
      Jab offline pass milte the to har sal family Declaration Deni padti thi....jinme hamare dependent family members ki details bharkar Deni hoti thi....
      Lekin Online bhi HRMS me apko pahle family Declaration submit karni hogi ....tabhi pass/pto me apke family members ka name aayegaa...

  • @bhabhijijokes7699
    @bhabhijijokes7699 3 года назад

    Mere status mai epass approved by clerk show ho rha h.. But issue hua abhi tk.. Kitne time or lagega🤔

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  3 года назад +1

      Ma'am,
      Jab pass Clark approved kar deta h to pass application chali jati h PIA (Pass Issuing Authority) ke pas.....
      Jaise hi PIA approved kar dega...tabhi apka pass generate ho jayega or apke pass message bhi aa jayega......
      Ab hmm time ki baat kare to ek minute se bhi km time lgta h PIA ke pas...ab wo depend karega ki wo kitni jldi approved karte h....

  • @ShubhamHans
    @ShubhamHans 2 года назад

    Kitna time lgta hai pass issue hone mein submit krne k baad

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir Ji,
      Apke comments ka reply kal sham ko video me aane wala h .....

  • @nobaljeetsingh6693
    @nobaljeetsingh6693 2 года назад

    sir
    pass application no. aane k baad
    pass issue kese krna hai??

  • @ramachandransrinivasan641
    @ramachandransrinivasan641 2 года назад

    Iam awaiting your answer one or twodays

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      HRMS me aap find nahi kar sakte ho.....
      Uske liye apko dusri App/Website se hi help milegi....

  • @TarunKumar-sn4gl
    @TarunKumar-sn4gl 2 года назад

    Sir e pass apply krne ki kitne din baad pass aayega

    • @TarunKumar-sn4gl
      @TarunKumar-sn4gl 2 года назад

      Reply sir

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Jyada time nahi lagta hai Maximum 1 din....
      Ab ye depend karta hai apke pass Clark or PIA par ki wo kitna jldi karte hai.....

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Jyada time nahi lagta hai Maximum 1 din....
      Ab ye depend karta hai apke pass Clark or PIA par ki wo kitna jldi karte hai.....

  • @ChandanKumar-tf3gm
    @ChandanKumar-tf3gm 2 года назад

    Sir apne kaha ki--" yadi aap break journey sahi dale hai to box ko click kre". Lekin aap ne box pe click nahi kiya???

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Maine Demo diya h........
      maine bataya hai ki apne click karna h......

    • @Rah647
      @Rah647 2 года назад

      @@technicalravi__ mumbai to varanasi k liye bahot sare route hai to break journey station ek hi route ka daal skta hu ya dusre route m station bhi dal sakta hu advance m thank you

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Apko Ek route par padne wale stationo ko hi break journey me dal sakte ho.....

  • @danish.zyannn
    @danish.zyannn 2 года назад

    Kitna time lgta hai pass bnne me

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      Jyada time nahi lgta hai....1-2 din kafi hai...
      Ye depend karta hai..pass Clark or apke incharge par ki wo kitni jldi issue karte hai..

  • @ssikdar5644
    @ssikdar5644 2 года назад

    Can I cancel my e-pass after issue?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir Ji,
      Aap kis - kis condition me pass ko cancel karne ki request dal sakte ho.
      Eske liye maine already video upload kar rakha hai aap mere chennal par jaiye waha par apko HRMS name ki playlist milegi usme apko video mil jayega.....
      Video Title :- How to cancel issued pass in HRMS

  • @upendrakumar9874
    @upendrakumar9874 2 года назад

    सर, मेरे पिताजी रेलवे में हैं। उनको जो पास मिलता है, उस पास पर केवल पिताजी और माताजी का ही नाम है। पर उस पास में अटेंडेंट की सुविधा दी गई हैं,तो क्या में अटेंडेंट के जगह मताजी के साथ सफर कर सकता हूं यदि पिताजी उस समय साथ में सफर नही कर रहे हो?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      apke comment ka reply maine aaj ke video me de diya hai.....

  • @FATAFAT10GK
    @FATAFAT10GK 2 года назад

    Bro LAP live sell kr skta hu please reply 🙏🏿🙏🏿🙏🏿🙏🏿🙏🏿🙏🏿

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir,
      Abhi tak to es bare me koi suchana nahi h.....

  • @shivamparamanik01
    @shivamparamanik01 2 года назад

    Pass kitne din me bn ke a jayega hrms pr

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад +1

      Sir Ji,
      Apke comment ka reply maine aaj ke video me bta diya hai....

  • @umashankarshaw9906
    @umashankarshaw9906 2 года назад

    Sir ji mera ek question hai--Mein south eastern railway se mutual transfer leke eastern railway mein ja raha hoon. Toh south eastern railway mein jo Travelling allowance (T.A.) due hai woh Eastern railway mein jake milega kya??

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir,
      Aapka eastern railway ka TA jo due h....use aap bharkar wahi eastern railway me dijiye................
      Kyuki dusre zone wale apka waha ka TA tabhi lagayenge jab wo TA eastern railway ke account branch se verified hokar aayega........jaha tak mujhe knowledge h......

  • @17somnathghorai5
    @17somnathghorai5 2 года назад

    1. Difference between Pass/ PTO?
    2. Assistant loco pilot ke liye 3rd AC milega pass me??
    3. Online form fill up ke kitne fin baad seat booking hoga?

    • @technicalravi__
      @technicalravi__  2 года назад

      Sir Ji,
      1) @Pass par reservation karte hai to apko kuchh bhi Pay karna nahi hota hai... jis class ka apka pass hai uske anusar free me reservation ho jata hai ...
      @PTO par reservation karte hai to apko 1/3 kiraya Pay karna padega.....
      2) Assistant Loco Pilot ko 3rd AC ka pass milta hai...
      3) pahle Pass/PTO ke liye apply karna hoga fir apka pass/pto issue hoga ..fir apka reservation ho payega....

    • @17somnathghorai5
      @17somnathghorai5 2 года назад

      @@technicalravi__ thanks ❤