Urdu poetry - Independence Day - ghazal - 'daldal' - یَومِ آزادی ۔ غَزَل ۔ دَلدَل

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 18 сен 2024
  • Independence Day ghazal
    ‘Daldal’
    Chal kay seedhay, sanbhal naheen saktay
    Ultay qadmon bhi cal naheen saktay
    Aisi daldal main aa phansay hain ham
    Mar kay bhi ab nikal naheen saktay!
    Hukm pe aasman kay chaltay ho?
    Phir to haalat badal naheen saktay!
    Gham hain utray ba-soorat-e-lashkar
    Aa gayay hain to tal naheen saktay!
    Larrkharratay charaagh hain ghar main
    Bujh to saktay hain, jal naheen saktay!
    Girrgirrana falak kay aagay kya?
    Aisay pathar pighal naheen saktay!
    Kon marta naheen hai jannat per?
    Rind hain jo phisal naheen saktay!
    Jaantay sab hain kaun fitna hai!
    Raaz-e-dil per ugal naheen saktay!
    woh jo tum ko nazar naheen aatay
    harf-e-daanish nigal naheen saktay!
    Aisi fikr-o-nazar pe bandish hai
    Khuwab main bhi machal naheen saktay!
    Qaum ki sochtay bhalaayi ho?
    Tum siyasat main chal naheen saktay!
    Daikhtay hain bahaar pat-jharr main
    Khuwab apnay kuchal naheen saktay!
    Kuch kataayib ka haath hai warna
    Khoon kay dariya ubal naheen saktay!
    Jabr kuch aur ho fuzoon hakim!
    Yun to muflis behal naheen saktay!
    woh jo gulshan ko raund jaatay hain
    khushbuon ko masal naheen saktay!
    Aisay noha-gari main uljhay hain
    Ab to keh bhi gazal naheen saktay!
    Kya zehr hai tumhaari baaton main!
    Sher geeton main dhal naheen saktay!
    chhin gaya hai qalam Aqeel apna
    goyaa aansoo nikal naheen saktay!
    sikander aqeel Ansari
    #independenceday #freedomofspeec

Комментарии • 2