I'm glad! Heathrow express at London costs 2500 rupees for a 20 minutes journey (150 kmph speed though). Another slight slower alternative still costs 1200 rupees.
Aap Dono Bag Leke Bhi Ja Sakto Ho, Koi problem nahi hoti hai. Bas Aapko Apne Tickets Me Ye Dekhna Hai Ki Aapke Backpack 🎒 me Kitna wait Allowed hai aur Trolly Bag me Kitna allow Hai. Agar backpack Me Jyada wait Hai tou wo Luggage ki tarah hi Jayega Aap Sath me nahi rakh Sakte.
@@ExclusiveYograj aree sir gate mtlb jaha se aerobridge connected hote h wo wale gates or main baat h meri mummy ko jana h pune flight se to unko pta nhi h unko bilkul aerobridge tk chod k aa skte h kya visitor pass se
Bhaiji main first time airport metro se travel karne jara hu to pls kya aap mujhe bata sakte ho ki new delhi metro station pe ya fir igi metro station pe in dono mese kisi bhi metro station pe kya baggage check in ki facility bhi hoti hai kya?or pls kya aap mujhe apni taraf se bhi koi special point bata sakte ho as im traveling for the first time in airport metro?🙏
Delhi Metro Me bas Aapke Bag Ko xray machine se Check kiya jayega. Bag Check in metro Par nahi Hota wo AirPort Par offline Hota Hai Ya Phir app apne aap online Bhi Kar sakte ho.
DO WE NEED TO come out of new delhi metro station and walk to catch airport express ya andar andar connection hei dono ka ....one u tuber is showing ke u have to come out walk 50 mtrs ..iam confused ..plz tell sir ..khub saman aur family hei saath mein
Metro se connect hai airport thoda sa walk karke jana hoga T 3 tak, agar T2 jana hai tou thoda sa jyada walk karna padega, more details wath this video 🔗 ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlsi=Z_pP88bhiB6uj6Vy
And New Delhi metro station or AirPort Express line bhi connect hai aapko exit Nhi karna padega wahi se AirPort Express line me entry kar sakte ho jaise waki metro line me change karte hain waise hi.
If i want to go from Nangloi metro to Shivaji Stadium metro station...toh kya mujhe new delhi tak alag ticket aur new Delhi se shivaji stadium ka alag ticket lgega kyuki phir paisa zyada lgega na ? ya phir ek hi ticket se Nangloi se airport express line p entry hojati hai ?
Ha Aap New Delhi Metro Station Se Bina Exit Kie Hi AirPort Express Metro Me Ja Sakte Ho. Aur Agar Aap Direct New Delhi AirPort Express Metro Station Aate Ho Tou Gate No 5 se entry hogi aapki.
Airport Ke Bahar Maschine Hai Aap Waha Se Kar Sakte Ho, Ya Phir Online Bhi Check in karke Boarding Paas Nikal sakte Ho, Aur Last Me 2 ghante pahle Airport Jakar Bhi Boarding Paas Le Sakte Ho but wo chargeable Hota Hai.
Same wahi tareeka Hai Jo iss Video Me Maine bataya Hai, jaise Main New Delhi Se Igi Gaya Waise hi Aap Dwarka Se igi Ja sakte ho. Please Watch new video for AirPort visitor Paas.
@@ExclusiveYograj thanks a lot. Iam a student and i come down to delhi to write my exam. Traveling alone I have to sit in a chair for whole night. And flight land at 11:30pm.traveling alone to Meerut at that time is not possible. Looking to spend 7to6hr a cheaper and safe place.
Sorry for late reply 🙏🏻 AirPort T3 Se Adarsh Nagar Metro Station Ke Liye First Aapko New Delhi Metro Station Aana Hoga, uske baad aap change karke yellow line Direct Adarsh Nagar Metro Station Ja Sakte Ho. Samaypur Badli Ki taraf Jane Wali Metro pakdni Hai Aapko New Delhi se.
New Delhi Railway Station se New Delhi Metro Station Jao, Aur Airport Metro Express Me Entry Karo Waha Se Sidhe T3 & T2 Tak Ja Sakte Ho, Aap Ek Baar Video Theek Se Dekho Samjh Aa Jayega Aapko.
New delhi metro se airport pochne me kitna tym lagta hai bhaiya g plss mujye batyo Or new delhi se mane upar ki tarf aaya ho mujye viedo kuj samjh ni aayi bahiya plss batyo mujye
Bro I need help mjhe receive krne kana h igi metro se jake waha kidhar jana hoga international flight wale pillar no 7 pe.kiase Jaya Jaye or koi ticket bhi Leni padegi kya airport me jane ki
Ji ha international passenger Ko receive karne ke liye aapko visitor paas Lena hoga. Full details ke liye aap Meri Visitor paas wali video dekh sakte hain. 👇🏻 ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlsi=8x8srQ5irjiXZs3b
From New Delhi Station: 4:45 am (First Train) - 11:30 pm (Last Train) From Dwarka Sector-21 Station: 4:45 am (First Train) - 11:15 pm (Last Train) Note: Trains will run at 10 to 15 min.
Delhi Railway Station Se New Delhi Metro Station Aa Jao. AirPort Express Line Me Entry Karne Ke Liye New Delhi Metro Station Gate No 5 Se Entry Karo. Aur Airport T3 Ki Ticket Le Kar Airport Pohach Jao.
Achhe Se Samjhne ke Liye Aap iss Video Ko poora Dekho. ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlfeature=shared Isme AirPort ke Andar tak Jane Ki Details Hai.
Ji hnji vedio dekhli h smjh b aagai h ..1st time jaogi na isliye thodra puch liya ...nice vedio ..apne bhut ache se guide Kiya h ..thank you 😊 radhe radhe
Metro me koi problem nhi hoti hai, Jitne luggage Le Jane hai aap le Jao. kyuki Waha aapke luggage Ka wait nhi kiya jata, Wait Ki Problem AirPort Par Check in Ke time hoti Hai jab Aapke luggage ka Ticket ke according wait kiya jata Hai.
Sorry for late reply 🙏🏻 AirPort T3 Se Adarsh Nagar Metro Station Ke Liye First Aapko New Delhi Metro Station Aana Hoga, uske baad aap change karke yellow line Direct Adarsh Nagar Metro Station Ja Sakte Ho. Samaypur Badli Ki taraf Jane Wali Metro pakdni Hai Aapko New Delhi se.
@swetajoshi1824 Aap Anand Vihar Metro Se Rajiv Chowk Jao Aur Rajiv Chowk Se New Delhi Metro Station. New Delhi Metro Station Se Aapko Airport Ke Liye Ticket Milegi Aur Waha Se Aap Airport Ja Sakte Ho, Aur Main Delhi Metro Card Ki Baat Kar Raha Hoon Jisse Hum Delhi Metro Me Travel Karte Hain.
Yes, Kyuki Delhi Metro Aur AirPort Express Metro Alag - Alag Hai. Lekin Agar Aapne Pas Delhi Metro Ka Smart Card Hai Tou Aap usi Card Se Dono Jagah Travel Kar Sakte Ho.
@@kannu178 Agar metro se jana hai tou New Delhi metro ana padega, nahi tou phir taxi kar ke ja sakte ho.. ya phir Hauz Khas metro se direct T1 Aa jao aur phir waha se Airport suttle bus me baith kar T2 chale jao…👍🏻
No, Only AirPort Express Line Se Hi Aap Airport Tak Ja Sakte Ho. Aur AirPort Express Line Me Entry Karne Ke Liye Aap New Delhi Metro Station, Shivaji Stadium, Dhaula Kuan, Delhi Aerocity, Ya Phir Dwarka Sector 21 Se Bhi entry Kar Sakte Ho.
Shalimarbagh se aap New Delhi Metro station Aa jao, and New Delhi Metro station se change karke AirPort Express line wali metro me baith kar aap T3 aur T2 tak aa sakte ho…👍🏻
Main new delhi railway station utrunga...to waha se airport line kaise pakdunga. Thoda idea dedo uska bhi New delhi railway station se airport metro line tk ka
@Shivamgoswami01 New Delhi railway station se New Delhi Metro Station pass me hi hai. Aap gate number 5 se entry Karna Wahan se app airport express line me Jaoge or airport wali Metro mein baith kar airport T3 and T2 tak Jaoge. 🔗 ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlsi=9lOIzXO_H4g7FG4F ise watch kar lo.
Coin se Bhi ja sakte ho, aur ab tou qr wali ticket milti hai usse bhi ja sakte ho. Card se Aapka time bach jata hai aur aapko ticket ki line me nhi lagna padta hai….
Bina tickets ke pura airport nahi ghum paoge, but ha kuchh aria ghum sakte ho aur uske liye paas lena hoga jo ₹100/- ka hota hai uski video maine bana rakhi hai Airport Visitor Paas ke Naam se aap usko dekh sakte ho…
Ek cheez aur, flight time ke kitne pehle se ham wha jakar baith sakte hai? Kyonki, flight lagbhag 12 ghante ke antar par hai. Delhi me 5 baje hi pahuch Jayenge lekin flight lagbhag 10-12 ghante ke baad hai Please Guide Yograj Ji (if you want, please take help of your friend who is working in airlines) Please guide, thank you so much
Jitne time ki Aapki flight ✈️ hai usse 2 ghante Pahle Airport pohchna Hota Hai. Full Information ke liye Aap Ye Video ( ruclips.net/video/darI6K9IBgA/видео.html ) First time in flight dekh lo.
Bro make one video on how to search timings of metro. Iam from south Indian so to avoid confusion make one video for all south Indians it will help full
Ha koi bhi ja sakta hai, New Delhi metro se airport metro tak ₹60/- kiraya hai. Aur Metro card se ₹54/- lagta hai…👍🏻 aur New Delhi se airport metro 20 se 25 minutes me pohcha deti hai…👍🏻
जय हिन्द सर में NSG मानेसर में हूँ और मेरी कल सुबह दस बजे दिल्ली एयरपोर्ट टर्मिनल 3 से लेह के लिए फ्लाइट है इन शोर्ट में मानेसर से जल्दी से जल्दी एयरपोर्ट के टर्मिनल थ्री पर कैसे पोहोच पाऊँगा ये बताना सर प्लीज़
Agar aap metro se aate ho tou aapko Iffco chowk ana hoga waha se metro se ja sakte ho. But metro se aap airport time par nahi pohach paoge kyuki aapko 8 bje airport pohchna padega. Tou best ye rahega ki aap Ola ya uber taxi 🚕 kar lo aur time par pohach jao…👍🏻
Ha Kar Sakte Ho, Aapko Card Ki Jagah Token Mil Jayega. Aur Aap Chaho Tou New Card Bhi Le Sakte Ho only ₹.200 Me jisse Aapko Lambi Line Me Nahi Lagna Padega, Aur Kiraya Bhi Token Se 10% Kam Lagega.
Airport par job bina reference ke nahi mil pati hai, tou Jo log airport par job karte hain aap unse pata kar sakte ho, aur agar koi hai pahchan me tou usse bolo wo lagwa sakta hai, mujhe iske bare me jyada pata nahi hai.
The Airport Express Line (AEL) of the Delhi Metro runs from 4:45 AM to 11:30 PM, with trains running every 10 minutes during peak times (8 AM-8 PM) and every 15 minutes during non-peak times. The first train leaves from New Delhi Station and Dwarka Sector 21 at 4:45 AM, and the last train leaves from New Delhi Station and Dwarka Sector 21 at 11:40 PM….🙂
@@roninr8199sorry but 1k budget me airport ke paas koi hotel nhi milega.. aap New Delhi station ke pas dekh sakte ho aur wahi se direct New Delhi metro station to AirPort Express metro station tak ja sakte ho…👍🏻
New Delhi Metro Station Aa jao waha se metro milegi Airport ke liye ( AirPort Express Line ) Aur Gate no 5 se entry karna New Delhi Airport Express Metro Station ke liye…👍🏻
@@gargcreation9081 metro se terminal 3 aur 2 Pohach jaoge waha se bahar nikloge tou T1 ke liye shuttle bus mil jayegi jo Bilkul free hoti hai… T1 par bhi metro hai but wo alag line hai tou yaha se nahi ja paoge..
Bhai Airport par Job 90% Reference se hi lagti hai. Tou Aapka koi friends ya family ya padosi job karta ho airport par usse bat karo wahi lagwa sakta hai.. direct tou kafi mushkil se milti hai airport par job…👍🏻
Aap Metro Se T3 Jao, Aur Airport Metro Station Se Bahar Nikalte Hi Samne Aapko T3 Se T1 Tak Ke Liye Bus Mil Jayegi Jo Free of Cost Hogi Aur Aapko 10 Se 15 Minute Me T1 Pohacha Degi.
New Delhi Railway Station se aap New Delhi Metro Station aa jao Gate No. 5 se entry karna. Dono station pas pas me hi hain. Aur waha se AirPort Express Line Wali metro me baith kar Airport tak ja sakte ho…👍🏻
that's my New Delhi having world class metro. Itna well maintained shayad London tube ya NY metro bhi nahi hai😍😍😍
New York subway tbh ganda hey ... but I really like London underground
I'm glad!
Heathrow express at London costs 2500 rupees for a 20 minutes journey (150 kmph speed though).
Another slight slower alternative still costs 1200 rupees.
Just a shame the rest of the nation is a shit hole.
NY Metro😂😂😂😂
@@professorofbusesyour country too is a shithole
Thanks buddy
Merko mohan estate se entry karni thi igi airport ke liye
Thanks for information
Always Welcome dear, for more information please Watch AirPort Visitor Paas Video.
Sir mere flight h t3se to kya mai pithu beg le Jaa skti trolley beg ki jgaah
Aap Dono Bag Leke Bhi Ja Sakto Ho, Koi problem nahi hoti hai. Bas Aapko Apne Tickets Me Ye Dekhna Hai Ki Aapke Backpack 🎒 me Kitna wait Allowed hai aur Trolly Bag me Kitna allow Hai. Agar backpack Me Jyada wait Hai tou wo Luggage ki tarah hi Jayega Aap Sath me nahi rakh Sakte.
Aap Meri Ye Video Dekh Lo Aapko Kafi Help Mil Jayegi. ( First Time travel in flight - Goa Tour ) ruclips.net/video/darI6K9IBgA/видео.html
आपका बहुत-बहुत धन्यवाद जी! ❤
Most Welcome Sir.
Nyc video bro mujay bot help meli thanx
Sir kya metro card na ho to token le Kar ja sakte hein
Ha Ja Sakte Ho, Aapko AirPort Express ka Ticket 🎫 Mil Jayega Ticket Counter Par. And After 2 days full video Aa Jayegi Zaroor Dekhna. 🙂
@@ExclusiveYograj ok sir Subscriber kr liya h
Thank you 🙏🏻
Tarminal 1 , tarminal 2 ahsa hai to Airport alg alg hote hai kya bhaiya,ya 1hi airport me tarminal 1 , tarminal 2 ahesa rahta hai
Alag Alag Hote hain, IGI AirPort par 3 Terminal Hain. T1 , T2 aur T3 Jisme T3 international aur domestic Flight ✈️ dono ke Liye Hai.
Indra Gandi International AirPort 1 Hi Hai, But Terminal Alag Alag Hain.
Thankyou bhaiya
Welcome bro 🙂
Airport express me charne keliye kya bas metro card se hojata hai ya fir flight ticket b lagta hai
Metro card se ja sakte ho, aur card nhi hai tou normal ticket lekar bhi ja sakte ho Baki metro station ki tarah..👍🏻
yograj bhai suno new delhi metro se airpot express jaue fir terminal 3 pe direct utarti hain kya
Yes Aap Metro Se Exit karoge tou samne Terminal 3 hoga. Jyada Informationen ke liye aap meri Airport Visitor Paas Wali video Dekh lo.
@@ExclusiveYograj ok
bhai jese airport jate time new delhi me exit aur fir entry leni pdti hai wese hi agar airport se dwarka jaye to wahan bhi esa krna pdega kya
Ha AirPort Express Se Bahar tou Nikalna hi padega but shayd Station Se aapko bahar na Jana Pade wahi Se Aap Delhi Metro Me entry Kar Pao.
द्वारका सेक्टर 21 मैट्रो स्टेशन के अंदर से ही मेट्रो से उतरते ही सामने एयरपोर्ट लाइन की मेट्रो खड़ी रहती है कोई बाहर निकलने की आवश्यकता नहीं होती है
@@azharazizsiddiqui4050 thanks for answering 🙂
sir visitor entry pass se gates tk ja skte h kya
Gate Tak without Paas ke Ja sakte Ho, Gate Ke Andar Jane Ke Liye Paas chahiye Hoga. Link comment me pin 📌 kar Rakhi hai check Kar Lo.
@@ExclusiveYograj aree sir gate mtlb jaha se aerobridge connected hote h wo wale gates or main baat h meri mummy ko jana h pune flight se to unko pta nhi h unko bilkul aerobridge tk chod k aa skte h kya visitor pass se
Visitor Paas se Airport ke Andar Ghum sakte Ho, but aerobeidge yani boarding gate tak nahi ja sakte.
Bhaiji main first time airport metro se travel karne jara hu to pls kya aap mujhe bata sakte ho ki new delhi metro station pe ya fir igi metro station pe in dono mese kisi bhi metro station pe kya baggage check in ki facility bhi hoti hai kya?or pls kya aap mujhe apni taraf se bhi koi special point bata sakte ho as im traveling for the first time in airport metro?🙏
Delhi Metro Me bas Aapke Bag Ko xray machine se Check kiya jayega. Bag Check in metro Par nahi Hota wo AirPort Par offline Hota Hai Ya Phir app apne aap online Bhi Kar sakte ho.
@@ExclusiveYograj bhaiji boarding pass bhi metro station pe hi ban jaega kya?
Nahi wo Bhi Airport Par hi milega, Ya Phir Aap use Bhi online Nikal sakte ho
@@ExclusiveYograj okay thank you bhaiji🙏❤
Welcome bhai 🙂 aap ye wali ruclips.net/video/darI6K9IBgA/видео.html video dekh lo aapko Kafi help Mil jayegi.
Kitna time lagata hai railway station se igi Tak by metro
Metro me baithne Ke Baad 20 Minute Lagte Hain. ( New Delhi AirPort Express Station to AirPort Metro Station )
Taxi direct terminal 3 ke pass nahi aati he ya ghum ke Jana padta hee
Terminal 3 Se Bahar Nikalne k bad aapko Taxi Metro Aur Bus Sabhi Mil Jayenge.
I don’t have a metro card. Can I still use metro from NDLS railway station to reach IGI T-2?
@@iSVX1103 yes, you can buy physical metro ticket or QR M ticket by whatsapp and Paytm
T3 to t2 kitna dur hae by walking
Video ke end Me Dekho T2 Dikh Jayega, Walking Se Aap 10 Minute Me Pohach Jaoge.
Sorry, Actually Wo Doosri Video Hai. Aap AirPort Visitor Paas Wali Video Dekh Lo usme Aapko Full Details Dekhne Ko Mil Jayegi. 🙂
Terminal 3 jaane k liye dekhi aerocity m utrna h ya igi airport m?
IGI airport par utarna hai
@@ExclusiveYograj Thankyou so much❤️
Most welcome 🙏🏻
Metro se utarne ke baad t3 departure tak pahunchne mai kitna time lagta hai jyada walking hai kya ? Chote bacho ke sath ja sakte hai ?
Only 2 Minute Me AirPort Ke Gate Tak Pohach Jaoge Aap 👍🏻
Aap iss Video Ko pura dekh lo Sab Samjh Aa jayega Aapko. 👉🏻 ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.html
DO WE NEED TO come out of new delhi metro station and walk to catch airport express ya andar andar connection hei dono ka ....one u tuber is showing ke u have to come out walk 50 mtrs ..iam confused ..plz tell sir ..khub saman aur family hei saath mein
Metro se connect hai airport thoda sa walk karke jana hoga T 3 tak, agar T2 jana hai tou thoda sa jyada walk karna padega, more details wath this video 🔗 ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlsi=Z_pP88bhiB6uj6Vy
And New Delhi metro station or AirPort Express line bhi connect hai aapko exit Nhi karna padega wahi se AirPort Express line me entry kar sakte ho jaise waki metro line me change karte hain waise hi.
@ExclusiveYograj thanks a lot sir.
Most welcome
Bhai metro station se terminal 3 kaise pahuchenge? By walk hai ya bus hai ?
Walking Distance just 1 Minute. Please Watch This Video Full Video ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.html
If i want to go from Nangloi metro to Shivaji Stadium metro station...toh kya mujhe new delhi tak alag ticket aur new Delhi se shivaji stadium ka alag ticket lgega kyuki phir paisa zyada lgega na ? ya phir ek hi ticket se Nangloi se airport express line p entry hojati hai ?
Airport Line Me Entry karne ke liye Alag se tickets Lena padta hai, But Agar Metro card hai tou usi se entry kar sakte ho but paise double hi lagenge.
@@ExclusiveYograj okay brother. Thank You
@featuringbhuvneshwar most welcome 🙂
Bhaiya please reply me kiya new delhi metro station and airport metro attached hai
Ha Aap New Delhi Metro Station Se Bina Exit Kie Hi AirPort Express Metro Me Ja Sakte Ho. Aur Agar Aap Direct New Delhi AirPort Express Metro Station Aate Ho Tou Gate No 5 se entry hogi aapki.
Aur ye boarding pass kese print krne h
Airport Ke Bahar Maschine Hai Aap Waha Se Kar Sakte Ho, Ya Phir Online Bhi Check in karke Boarding Paas Nikal sakte Ho, Aur Last Me 2 ghante pahle Airport Jakar Bhi Boarding Paas Le Sakte Ho but wo chargeable Hota Hai.
agar him dhola kua se lena chahe metro to nhi le payege kya?
Ha Le Sakte Ho Dhola Kuan Se.
Dhola Kuan se Airport jayegi ya fir delhi jana hoga waha se
@friendsclublibrary1991 airport jayegi AirPort Express line hai na ek baar station par poochh Lena normal line me mat chale Jana.
Thank you ji
@friendsclublibrary1991 most welcome 🙂
Sir, mujhe old delhi se IGI jaana hai to uska kya route rahega
Pahle Aap New Delhi Metro Station Aa Jao Waha Se Aapko Direct IGI T3 Ke Liye Metro Mil Jayegi. ( Airport Express Line )
Bhai New Delhi se airport ke liye last metro night mein kitne bje tkk available hai?
First Train ( on all days) at 4:45 AM and last train at 11:15 PM.
Sir T2 seT3 jaane me kitna time lagta h?
Sir bta dijiye kal Jana h mereko
T2 aur T3 Paas - Paas Me Hi Hain, Tou Aap 10 Minute Me paidal Bhi Ja Sakte Ho.
Airport metro timings are 04:45 Am in the morning to 11:40 pm in the evening.
Dwarka mod metro station se igi kaise Jaye by metro?
Same wahi tareeka Hai Jo iss Video Me Maine bataya Hai, jaise Main New Delhi Se Igi Gaya Waise hi Aap Dwarka Se igi Ja sakte ho. Please Watch new video for AirPort visitor Paas.
Can u tell me a safe place to stay at delhi airport metro station for couple of hour.
Delhi Aero City, Airport Ke Paas Me Hi Hai, Aur Hotel Bhi Kaafi Safe Aur Luxury Hain.
@@ExclusiveYograj thanks a lot. Iam a student and i come down to delhi to write my exam. Traveling alone I have to sit in a chair for whole night. And flight land at 11:30pm.traveling alone to Meerut at that time is not possible. Looking to spend 7to6hr a cheaper and safe place.
Most Welcome 🙏🏻 if you want any other information about Delhi. Please Comment or DM on Insta.
Pls sir give detail report from t3 terminal delhi metro to adarsh nagar metro kaise jana hai exact process as I have to go soon and I am stuck
Sorry for late reply 🙏🏻 AirPort T3 Se Adarsh Nagar Metro Station Ke Liye First Aapko New Delhi Metro Station Aana Hoga, uske baad aap change karke yellow line Direct Adarsh Nagar Metro Station Ja Sakte Ho. Samaypur Badli Ki taraf Jane Wali Metro pakdni Hai Aapko New Delhi se.
Bhai new delhi railway station se Airport line metro kaise pakde
New Delhi Railway Station se New Delhi Metro Station Jao, Aur Airport Metro Express Me Entry Karo Waha Se Sidhe T3 & T2 Tak Ja Sakte Ho, Aap Ek Baar Video Theek Se Dekho Samjh Aa Jayega Aapko.
@@ExclusiveYograj bhai ye batao ki me 11baje rat ko to metro new Delhi se airport terminal 3 koi mil Jaye gi bhai reply kar ke batao bhai
@shoebrayeen3632 Mil jayegi last Metro 11:30 Ki Hai, and Kabhi kabhi 11:45 tak Bhi wait Karti Hai Station Par but Aap 11:30 tak Pohach Jana.
@@ExclusiveYograj thanks bro
@shoebrayeen3632 most welcome 🙏🏻
New delhi metro se airport pochne me kitna tym lagta hai bhaiya g plss mujye batyo Or new delhi se mane upar ki tarf aaya ho mujye viedo kuj samjh ni aayi bahiya plss batyo mujye
15 se 20 minutes lagte hain. Aur aap ye wali video dekh lo 🔗 ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlfeature=shared
Bro I need help mjhe receive krne kana h igi metro se jake waha kidhar jana hoga international flight wale pillar no 7 pe.kiase Jaya Jaye or koi ticket bhi Leni padegi kya airport me jane ki
Ji ha international passenger Ko receive karne ke liye aapko visitor paas Lena hoga. Full details ke liye aap Meri Visitor paas wali video dekh sakte hain. 👇🏻
ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlsi=8x8srQ5irjiXZs3b
Sir kitne time k baad chalti hai metro airport k liye
From New Delhi Station: 4:45 am (First Train) - 11:30 pm (Last Train) From Dwarka Sector-21 Station: 4:45 am (First Train) - 11:15 pm (Last Train)
Note: Trains will run at 10 to 15 min.
Dwarka mor se igi airpor terminal 3 kese jau please reply
Pahle Aap Dwarka Sec 21 Metro Station Jao, Aur Waha Se AirPort Express ke Liye Change Karo Aur AirPort Express Metro Station T3 par Utar jao.
Delhi railway stations to metro station
Metro station to airport...keise Jaye.. . railway station se kon se metro station jna hoga
Delhi Railway Station Se New Delhi Metro Station Aa Jao. AirPort Express Line Me Entry Karne Ke Liye New Delhi Metro Station Gate No 5 Se Entry Karo. Aur Airport T3 Ki Ticket Le Kar Airport Pohach Jao.
Achhe Se Samjhne ke Liye Aap iss Video Ko poora Dekho. ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlfeature=shared
Isme AirPort ke Andar tak Jane Ki Details Hai.
Ji hnji vedio dekhli h smjh b aagai h ..1st time jaogi na isliye thodra puch liya ...nice vedio ..apne bhut ache se guide Kiya h ..thank you 😊 radhe radhe
Radhe - Radhe 🙏🏻 And Thank you so for your feedback.
New Delhi railway station se Metro train timings kya h airport Jane ka ..
Kitna Luggage le ja skte hai metro k andar. Bada Trolley? Aur bag.
Metro me Sab Le Ja Sakte Ho, Bus Jo Chize Allowed Nahi (🔪🍻🔫) Hai wo mat Le Jana.
@@ExclusiveYograj agr 15 kg trolley and bag ho tb? Weight ka koi issue nhi hai na. Aur sham me 7 8 bje koi issue nhi hogi na
Metro me koi problem nhi hoti hai, Jitne luggage Le Jane hai aap le Jao. kyuki Waha aapke luggage Ka wait nhi kiya jata, Wait Ki Problem AirPort Par Check in Ke time hoti Hai jab Aapke luggage ka Ticket ke according wait kiya jata Hai.
@@ExclusiveYograj rat ko safe hogi na? 8 9 bje? Ya khali khali ho jata hai tb tk?
Metro me aap safe Ho, chahe Aap kabhi Bhi chale Jao. Phir Chahe Aap poori Metro me Akele hi Kyu na Ho, because CCTV camera bohut Hote Hain Metro Me.
Sir new delhi metro station se airport jane ke liye metro me kitna vara lagta hain??
₹60 ka tickets hai, New Delhi Metro Station Se Airport T3 tak ka…👍🏻
Delhi airport metro station only have elivators or lift also?
Both are available…👍🏻
Bhai kashmeri gate metro station se igi airport kese pohoche ???
Kashmiri Gate se New Delhi jao phir New Delhi se change karke direct IGI T3 aur T2 tak ja sakte ho…👍🏻
Sir I want to go from delhi airport metro to adarsh nagar metro.. Pls tell me..do I need to change metro or anything. .I am confused guide me
Sorry for late reply 🙏🏻 AirPort T3 Se Adarsh Nagar Metro Station Ke Liye First Aapko New Delhi Metro Station Aana Hoga, uske baad aap change karke yellow line Direct Adarsh Nagar Metro Station Ja Sakte Ho. Samaypur Badli Ki taraf Jane Wali Metro pakdni Hai Aapko New Delhi se.
Anand vihar railway station se airport Jane ke liye ticket kaha milega aap konse card ki baat kr rhe hai
@swetajoshi1824 Aap Anand Vihar Metro Se Rajiv Chowk Jao Aur Rajiv Chowk Se New Delhi Metro Station. New Delhi Metro Station Se Aapko Airport Ke Liye Ticket Milegi Aur Waha Se Aap Airport Ja Sakte Ho, Aur Main Delhi Metro Card Ki Baat Kar Raha Hoon Jisse Hum Delhi Metro Me Travel Karte Hain.
@@ExclusiveYograj thanku sir for quick response.
@swetajoshi1824 most welcome 🙂
Sir jisko travel nahi karna hai. Kya eo bhi kisi ko drop krne k liye metro se aa sakta hai?
Ha Bilkul Aa Sakta Hai, aur airport ke andar bhi ja sakta hai kuchh aria tak.. full information ke aap meri Airport Visitor Paas Wali Video Dekh Lo…👍🏻
New Delhi metro station se exit krke airport k liye alg ticket leni h?
Yes, Kyuki Delhi Metro Aur AirPort Express Metro Alag - Alag Hai. Lekin Agar Aapne Pas Delhi Metro Ka Smart Card Hai Tou Aap usi Card Se Dono Jagah Travel Kar Sakte Ho.
@@ExclusiveYograj agr card nhi h to ticket Kitne ki padegi?
@@simuch315 ₹60
Thanks for information
Chandichwak to airport metro ki direct lena padta hai?
Nahi, New Delhi To Airport Hai Direct Line.
Chandnichwak to new Delhi
New Delhi to airport?
Mera Delhi 1st tour hoga ..Uber nahi hai ?
@chefparthopramanick1704 ji Ha.
Mujhe ye puchna tha. Bhai ki job kaise lagi. Airport me. Tips bhaiye the.
Bhai Job Ke Baare Me Mujhe Information Nahi Hai, Wo Tou usko Hi Pata Hai, Maine usse puchha Nahi.
To koi airport job ke liye video bnao. Kuch
Okay
Bhai ye Line T2 takk jaati hai? Kyuki online route me T3 dhikara
T3 and T2 pas pas me hi hain, aur ek hi metro station hai Wahi se walk karke jana hota hai.
@@ExclusiveYograj vo metro station Aerocity h ya airport h?
@Shivamgoswami01 airport T 3
Very nice thanks for sharing
bro subah kis time chalu hoti h airport metro?
First 4:45am Last 11:30pm
Love you sir ji
Thank you dear…🙂
@@ExclusiveYograj because I have to go today igi airport
Dilli haat ina to igi airport t2 kese jaye
@@kannu178 Agar metro se jana hai tou New Delhi metro ana padega, nahi tou phir taxi kar ke ja sakte ho.. ya phir Hauz Khas metro se direct T1 Aa jao aur phir waha se Airport suttle bus me baith kar T2 chale jao…👍🏻
Metro se terminal 2 pe jane m kitna time lgta he ???
15 to 20 Minutes from New Delhi to T3 and T2
Thank you so much dear ❤💞
Most welcome 🙂
Agar kisi ko new delhi se igi airport jana ho aur vapas Phir New Delhi Jana ho
Toh entry kaha se hai
New Delhi Metro Station Jao, Waha Se Airport Metro Express Me Entry Karo Aur Airport Pohach Jaoge, Usi AirPort Express Metro Se Return Aa Sakte Ho.
Bhai while chair me job kaise lagati hai ?
Passport Hai Aapke Paas.
Yes
Good 👍🏻 Aap AirPort Chale Jao Aur Jo Ladke While Chair Me Job Karte Hain, unse HR Ka No Le Lo Aur HR Se Baat Karo Wo Aapko Sari Details Bata Denge.
Aap apne friend ka no de do baat kar ke agar mera lag jaya to mai unko paise bhi de sakta hu
Paise ki baat nhi Hai bhai, Main baat karke bata dunga aapko
Ye metro cant se bhi chalti h kya
Sorry Main Kuchh samjha nhi, Ye Cant Ka Kya Matlab Hota Hai ?
We can reach to Delhi airport from any train station
No, Only AirPort Express Line Se Hi Aap Airport Tak Ja Sakte Ho. Aur AirPort Express Line Me Entry Karne Ke Liye Aap New Delhi Metro Station, Shivaji Stadium, Dhaula Kuan, Delhi Aerocity, Ya Phir Dwarka Sector 21 Se Bhi entry Kar Sakte Ho.
@@ExclusiveYograj ye station konsa train station se pass me hoga
Aap Kon Se Station ke Pas rahte Ho ?
Dwarka ya kasa jana Terminal 1 2 3 jana hoga
Dwarka Sector 21 Se Aap T2 & T3 par ja sakte ho T1 ke liye Megenta line se jana hoga waha tak AirPort Express line nahi jati hai.
Airport metro se terminal 3kitne dur par hai ...kitna chalna padega?
Sirf 2 Minutes ka walking distance hai.
How to travel from shalimarbagh to T2
Shalimarbagh se aap New Delhi Metro station Aa jao, and New Delhi Metro station se change karke AirPort Express line wali metro me baith kar aap T3 aur T2 tak aa sakte ho…👍🏻
Airport to railway station timing kya hai
4:45am to 11:30pm ( every day )
Thank you 😊
Bihar ke bhi aesa hi airport h
Ohh very good…👍🏻
Very good information ℹ️
Thank you so much…🙂
Bhai airport express pe normal smart card work krega na joh baki metro pe work krta jaise red line , green line etc etc?
Ha Kar Jayega, Main usi card se Gaya tha. Agar koi problem ho to customer care par card Dikha Lena wo Theek Kar Denge. And Sorry for Late Reply 🙂
Bhai. Video bahot achchi lagi. Tumhri
Thank You So much 🙂
Yha photo khichna mna h😂😂
Which airport metro station is suitable for terminal 2 ?
IGI T 3 & T 2 ek hi metro station hai, Exit karne par pahle T 3 ayega waha se 5 minutes ke walking distance par T 2 hai…👍🏻
@@ExclusiveYograj in metro map it's Aerocity and Airport kaha utarna h?
@Shivamgoswami01 aerocity se dur padega, and metro station ka naam hai IGI T3 & T2 waha par utro waha se walking distance par hai T3 aur T2
Main new delhi railway station utrunga...to waha se airport line kaise pakdunga. Thoda idea dedo uska bhi
New delhi railway station se airport metro line tk ka
@Shivamgoswami01 New Delhi railway station se New Delhi Metro Station pass me hi hai. Aap gate number 5 se entry Karna Wahan se app airport express line me Jaoge or airport wali Metro mein baith kar airport T3 and T2 tak Jaoge. 🔗 ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.htmlsi=9lOIzXO_H4g7FG4F ise watch kar lo.
Timings kya kya hai new delhi to terminal 3 ??
from 4:45 AM to 11:30 PM, currently operates with a peak frequency of 10 minutes and a non-peak frequency of 15 minutes…👍🏻
Can we travel with baggage inside the metro?
Yes you can travel with
New Delhi se airport Tak kitna time lagta hai metro par
20 se 30 minutes…
Bhai saab card anivary hai kya... Ya coing sestem hai
Coin se Bhi ja sakte ho, aur ab tou qr wali ticket milti hai usse bhi ja sakte ho. Card se Aapka time bach jata hai aur aapko ticket ki line me nhi lagna padta hai….
@@ExclusiveYograj qr wali ticket sabhi jgah kaam krti hai?
agar mai paytm se lu
@Prince36ism ha sabhi jagah kaam karti hai, aap Paytm se ticket le sakte ho…👍🏻
Bhai agar mere pass flight ticket nahi hai lekin airport ghumna chhata hu tab ticket kaha se Lena padega
Bina tickets ke pura airport nahi ghum paoge, but ha kuchh aria ghum sakte ho aur uske liye paas lena hoga jo ₹100/- ka hota hai uski video maine bana rakhi hai Airport Visitor Paas ke Naam se aap usko dekh sakte ho…
Kya jisko Jana hai, uske sath ek vyakti ka sakta hai?
1 visitor Paas par 1 person hi allowed hai. Full details ke liye aap new wali video dekh lo.
@@ExclusiveYograj Thank you so much Yograj ji. Vaise ek vyakti ko hi andar Jana hai.
Is condition me airport ke kitne andar Tak ja sakte hai?
Ek cheez aur, flight time ke kitne pehle se ham wha jakar baith sakte hai?
Kyonki, flight lagbhag 12 ghante ke antar par hai. Delhi me 5 baje hi pahuch Jayenge lekin flight lagbhag 10-12 ghante ke baad hai
Please Guide Yograj Ji (if you want, please take help of your friend who is working in airlines)
Please guide, thank you so much
Jitne time ki Aapki flight ✈️ hai usse 2 ghante Pahle Airport pohchna Hota Hai. Full Information ke liye Aap Ye Video ( ruclips.net/video/darI6K9IBgA/видео.html ) First time in flight dekh lo.
@@ExclusiveYograj thank you so much Yograj Bhai for your reply. Sure, will watch this video :)
Thank you so much for the information and help
Hai brother I want to go IGR T3 from New Delhi metro. Can you give last metro timings from New Delhi
Sure, 5 AM-11:40 PM from New Delhi…👍🏻
@@ExclusiveYograj Thankyou bro
You given immediately reply
Bro make one video on how to search timings of metro. Iam from south Indian so to avoid confusion make one video for all south Indians it will help full
@vinod437 most welcome 🙂
Bhai ji is metro me koi bhi ja skta h i mean meri job lgi h vja muje rasta nhi pta, kese jaye kitna time lgega,kiraya vgera sb,
Ha koi bhi ja sakta hai, New Delhi metro se airport metro tak ₹60/- kiraya hai. Aur Metro card se ₹54/- lagta hai…👍🏻 aur New Delhi se airport metro 20 se 25 minutes me pohcha deti hai…👍🏻
@@ExclusiveYograj thankyou so much
@shivvishivvi most welcome dear…🙂
THNQ ❤️
Welcome…🙂
जय हिन्द सर में NSG मानेसर में हूँ और मेरी कल सुबह दस बजे दिल्ली एयरपोर्ट
टर्मिनल 3 से लेह के लिए फ्लाइट है इन शोर्ट में मानेसर से जल्दी से जल्दी एयरपोर्ट के टर्मिनल थ्री पर कैसे पोहोच पाऊँगा ये बताना सर प्लीज़
Kya aap maneshar, Gurugram me ho abhi ?
@@ExclusiveYograj जी सर
Agar aap metro se aate ho tou aapko Iffco chowk ana hoga waha se metro se ja sakte ho. But metro se aap airport time par nahi pohach paoge kyuki aapko 8 bje airport pohchna padega. Tou best ye rahega ki aap Ola ya uber taxi 🚕 kar lo aur time par pohach jao…👍🏻
@@ExclusiveYograj ओला से कितना समय लगता है सर टर्मिनल थ्री के लिए
@@noidsayyad5382 aapki location se 1:30 Hrs tak lag jayega…
Bina card ke travel kar sakte hai kya?
Ha Kar Sakte Ho, Aapko Card Ki Jagah Token Mil Jayega. Aur Aap Chaho Tou New Card Bhi Le Sakte Ho only ₹.200 Me jisse Aapko Lambi Line Me Nahi Lagna Padega, Aur Kiraya Bhi Token Se 10% Kam Lagega.
Thankyu sir ❤️
Most welcome 🙏🏻
Abhi bhi yahi process hai ya change ho gayi
Yahi process hai bhai…
And me paharganj me hu to ajmeri gate se metro lena hai ya new delhi metro station se
First New Delhi metro station ana padega, kaise bhi aao..
Nice bhai
Thank you sir 🙂
Airport par bike nhi jate kya
Bilkul Jati Hai Bhai, Terminal 2 Par Bike and Car Parking Hai. Aap Second Video ( Airport Visitor Paas ) Mein Dekh Sakte Ho.
Quality👏👏
Thanks you dear.
@@ExclusiveYograj keep it up bro found your channel really interesting ❣️
Thank you so much 🙏🏻 bro.
Metro se utarne k bd airport tk pahochne m kitna tym lgta h?
Only 2 minutes 🙂
Waise Aapko Kis Terminal Par Jana Hai ?
Distance between IGI Airport Metro station to T3 Departure??
2 minutes walking distance.
@@ExclusiveYograj okay
@@ExclusiveYograj and Distance between Terminal 3 Arrival and Terminal 3 departure?
Bhai yaha job ke liye resume kaha diya jata hai iske bare main bta sakte ho
Airport par job bina reference ke nahi mil pati hai, tou Jo log airport par job karte hain aap unse pata kar sakte ho, aur agar koi hai pahchan me tou usse bolo wo lagwa sakta hai, mujhe iske bare me jyada pata nahi hai.
Bhai apke friend hai please unse bol sakte ho @@ExclusiveYograj
@@entertainment_shorts96-l8 usne job chhod di hai, 1 year hone wala hai wo delhi me nahi rahta hai ab sorry bro.
Ok @@ExclusiveYograj
Visitors pass...kaha se purchase karna hai bhai
Please Watch Visitor Paas video for full details.
Thanks for sharing 👍
Jo aapane Delhi airport ki video Banai hai vahan mujhe bahut Jaruri kam hai per main ja Nahin sakti bhaiya
Kya aap kyu nhi ja sakte ?
What is the timings? My international flight is at morning 1 AM
The Airport Express Line (AEL) of the Delhi Metro runs from 4:45 AM to 11:30 PM, with trains running every 10 minutes during peak times (8 AM-8 PM) and every 15 minutes during non-peak times. The first train leaves from New Delhi Station and Dwarka Sector 21 at 4:45 AM, and the last train leaves from New Delhi Station and Dwarka Sector 21 at 11:40 PM….🙂
@@ExclusiveYograj thank you 🙏can you Mention any site where I can check hotel close to metro? Budget at 1k odd
@roninr8199 you mean near by airport metro station ?
@@ExclusiveYograj yes. So that I can catch metro at around 10 pm. Walkable to any metro because of bags I would have.
@@roninr8199sorry but 1k budget me airport ke paas koi hotel nhi milega.. aap New Delhi station ke pas dekh sakte ho aur wahi se direct New Delhi metro station to AirPort Express metro station tak ja sakte ho…👍🏻
Bro new delhi station se airport via metro kese aaye
New Delhi Metro Station Aa jao waha se metro milegi Airport ke liye ( AirPort Express Line ) Aur Gate no 5 se entry karna New Delhi Airport Express Metro Station ke liye…👍🏻
@@ExclusiveYograj bro agar terminal 1 pe jana ho to kese
New delhi railway station se metro station kitni dur hai
@@ExclusiveYograj ticket lene ke liye kya kehna hai. Mean terminal 3 boldu ya kuch aur
@@gargcreation9081 metro se terminal 3 aur 2 Pohach jaoge waha se bahar nikloge tou T1 ke liye shuttle bus mil jayegi jo Bilkul free hoti hai… T1 par bhi metro hai but wo alag line hai tou yaha se nahi ja paoge..
Bhy air port pr kese job mil sakti h.
Bhai Airport par Job 90% Reference se hi lagti hai. Tou Aapka koi friends ya family ya padosi job karta ho airport par usse bat karo wahi lagwa sakta hai.. direct tou kafi mushkil se milti hai airport par job…👍🏻
बहुत अचछी विडियो
Dhanyabad bhai…🙂
New Delhi se airport T-1 jana ho to metro se ??
Aap Metro Se T3 Jao, Aur Airport Metro Station Se Bahar Nikalte Hi Samne Aapko T3 Se T1 Tak Ke Liye Bus Mil Jayegi Jo Free of Cost Hogi Aur Aapko 10 Se 15 Minute Me T1 Pohacha Degi.
Aur Aap iss Video Ko poora dekh lo Sab Samjh aa jayega aapko. ruclips.net/video/Jy0eASaBBX8/видео.html
Ok ji thankyou 😎
@@chetankatta5604 most welcome sir.
Airport express line metro India Ka Sabse Fastest metro hai
Airport pe hi job dila dijiye please.....
@@Ranveer-gk nalayak
New delhi yellow line se exit Leni h
@@kannu178 yes yellow line se orange line ( Airport Express Line ) par jana hoga..
3 hours se jayada nhi Rukh sakte?
Nahi.
Bhai kaunse station PE utra tha woh toh bata deta
Station Ka Naam IGI Airport Metro Station hai, Jo Delhi Airport T2 aur T3 dono ke pas hi hai. Video Skip karke mat dekha karo Bhai…👍🏻
New Delhi me
Metro
Or Air Port metro alag ae root hai
Airport metro video me bata raha hai
Metro stesan bata deta
Ohh Maaf Kar Do Sir Galti Ho Gayi, Next Time Yaad Rakhunga Main Okay 👍🏻
Bhai news Delhi railway se kha jay bato detail kha ki metro le
New Delhi Railway Station se aap New Delhi Metro Station aa jao Gate No. 5 se entry karna. Dono station pas pas me hi hain. Aur waha se AirPort Express Line Wali metro me baith kar Airport tak ja sakte ho…👍🏻
@@ExclusiveYograj sidha airport ki milegi kya terminal 3 ki ya change krni padegi
@RealVibes-eq9ju Ha sidhe Airport ke liye mil jayegi…👍🏻
@@ExclusiveYograj kha ki ticket leni padegi terminal 3 first tym ja rha bahi 9 bj Delhi puchhe 12 bj flight h khi late to nhi ho jayga metro se
T3 ki ticket lenı padegi, and New Delhi se T3 tak metro se 30 minutes ka time leke Chalo…👍🏻
Kaun sa camera hai bhai ❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️
iPhone hai bhai, Camera Nhi hai Abhi mere Paas. 🙂
Ok bhai