Rap Devil - Past Present prod:

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 27 окт 2024
  • Artwork : ‪@mashoodmusic1836‬ ‪@WasifIrshad‬
    Prod : ‪@dizzlad-beats-instrumentals‬
    Mix and mastered : ‪@2-Ace‬
    Huge Thanks to : ‪@AileeYT‬
    ‪@KahaniyanKahaniyan‬
    Lyrics :
    ( Hook : 1 )
    Aaj jaatai merai maazi
    Zindagi se jung larta main woh ghazi
    Zindagi khel toh main badal dounga baazi
    Tujhe kiyu masla jab khuda mera raazi (2)
    ( Verse : 1 )
    Yaad ghoomta tha saddar ki galiyon main
    Tab dar na tha phasnai ka alag baliyon main
    Dost na mila aaj keh likho balli aur main
    Hokey football ka nahi pata khelta gilli danda
    Matlab keh liye saath nahi tha aak banda
    Sab saagai keh koi panga karai toh bolai den danda
    14 august jab duniya main aaya aur lahaira mulk ka jhanda
    Baap paraishaan khanai ko 2 waqt ki roti nahi
    BBQ main jaata per merai pass boti nahi
    Shauk baarai per jaib chhoti
    Maa paraishaani se roti
    Har din bhookai jaisai pura saal ramadan
    Phir aaya karachi in red zone
    Jab altaf bhai thai karachi ke backbone
    School se call aati halaat kharab hai
    Logon ke Aak haath main pistol aur doosrai main sharab hai
    Andhaira dekha wahan jisko mila roshani ka khitaab
    School jaata taakai samajh sakoun ilm ki kitaab
    Aagaya bahadurabad
    Laga hogaya abad
    Ghar ke haalat hogai behtar
    Baap kehta batana agar ho koi matter
    Umer thi 8 jab baap ko dekha gunpoint per
    Yeh waqt per hogaya apnai shehar se disappoint
    Woh mujhe nuqsaan na pohanchai
    Tabhi baap mera majboor tha
    Guard khara per woh bohat door tha
    Per unko farq nahi parta
    Aisa hota jab paisai ka naasha charta
    Aur aisai hi koi aak marta
    Lekn har koi apna anjaam bhugat ta
    ( Hook : 2 )
    Aaj jaatai meri maazi
    Zindagi se jung larta main woh ghazi
    Zindagi khel toh badal doun baazi
    Tujhe kiyu masla jab khuda mera raazi (2)
    ( Verse : 2 )
    Aaj khuda ne aisa nawaza khara khud ke pairon per
    Ab kaafi utaardiya parda jo laga tha unke chehron per
    Apno ke liye waqt hi waqt lun per charaya gairon ko
    Aak waqt per baap ka paisa tha mera
    Ab mera paisa hai tera
    Jab bhi zaroorat thi tu merai saath khara
    Beech main rah main apni bhatak gaya
    Galat kaamon main pargaya
    Chars aur weed ka naasha sar chargaya
    Chhoti chhoti baat per bharak gaya
    Tab merai saath khari thi meri bhenai ailee aur lily
    Kitna naseeb daar hoon main jo aisi bhenai mujhe milli
    Har burai waqt main saath diya means alot really
    Ab unki khushi main meri khushi seriously
    Main kehta main akaila pargaya woh kehti abe silly
    Aaj unke motivation se leli main tesla
    Zindagi main liya kaafi mushkil faisla
    Ab main dekhoun ghar ka saara masla
    Hifazat ke liye rakh leta hoon haath main asla
    ( Hook : 3 )
    Aaj jaatai meri maazi
    Zindagi se jung larta main woh ghazi
    Zindagi khel toh badal doun baazi
    Tujhe kiyu masla jab khuda mera raazi (2)

Комментарии • 26