Huzoor Aa Gaye Hain ❤ | Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharon Original | New Naat 2024

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 3 окт 2024
  • Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharo Huzoor Aa Gaye Hai | Rabi ul Awal New Naat 2024 New Naat Eid Milad Un Nabi Naat | Latest Rabi Ul Awal Naat | Falak Ke Nazaro Zameen Ki Baharon Original
    SONG - Huzoor Aa Gaye Hai
    SINGER - Mazhar Hussain
    AUDIO RECORD - KGN Audio Studio
    COPYRIGHT - Mazhar Hussain
    Singer - Mazhar Hussain
    Copyright Notice:
    ► Every content we made are licensed to our channel.
    ► The audio is also the production of our own studio and no one is allowed to distribute it.
    ► All audios, videos and images are copyrighted and fully licensed.
    ► So, you do not have permission to use or reupload our content without our permission.
    Copyright © 2024 Muhammad Ali. All rights reserved.
    Lyrics :
    Falak ke nazaro zameen ki baharo
    Sub Eidein manao Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Uttho bay saharo chalo gham ke maaron
    Khabar yeh sunao Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Anokha niraala woh zishaan ayaa
    Woh saare Rasoolon ka Sultan ayaa
    Arey baadshahon arey kaj’kulaon
    Nigahein jhukao Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Sama hai Sana e Habeeb e Khuda ka
    Yeh Milad hai Sarware Ambiya ka
    Nabi ke gadao sub ek doosre ko
    Khabar yeh sunao Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Hawaun me jazbaat hain Marhaba ke
    Fazaon me naghmaat Salle’Alla ke
    Daroodaun ke gajre Salaamaon ke tohfe
    Ghulamo sajaao, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aagaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aagaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Huwaa char su Rahmataun ka basera
    Ujaala ujaala sawera sawera
    Halima ko pohonchi khabar Aamina ki
    Mere ghar mae aao, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Kahaan mai Zahuri kahaan unki baatein
    Karam hi karam hain yeh din aur raatein
    Jahaan par bhi jaao dilaun ko jagao
    Yehi kehte jaao, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain
    Huzoor aa gaye hain, Huzoor aa gaye hain

Комментарии • 16 тыс.