Dekho bhailogo aur candidates jis exam ki bhi Aap taiyari karna chaho ya kar rahe ho agar uska detailed roadmap aapke paas hai toh exam qualify kar paaoge,,,,uske liye kya padhna hai kaha se padhna hai thoda help aur suggestion dena chahta hu ki pehle us exam ka Syllabus likh lo copy pe ya download, uske baad us exam ke previous year question paper uthao aur dekho question kis type ke ,kis level ke, aur kaha se aa rahe hai,,,,uske baad joh theory cover karni hai jaise Math ,reasoning, gk, gs,,english etc,,,,voh aap kisi bhi joh bhi manpasand ya jo aapko sahi lage teacher online ,,us se concept aur chaper cover karlo aur batch ya cource lekar karna chaho jaisi aapki iccha vaise karo lekin syllabus concept topic chapter cover karna jaruri hai,,,kyuki uske bina ek sawaal tak nahi hilega ya solve nahi ho payega agar us se related aa gaya exam me,,,,jaise hai topic chapter khatm ho,,,,practice karo us particular chapter ya topic ki question lagake usi type ke uske liye PYQ solved ki practice set book jarur rakho saath me bus end me practice aur mock dete jao bus ye strategy hai kisi bhi exam ki chahe voh railway ho ya ssc ho ya koi bhi departmental ya educational exam hi kyu na ho,,,,,,,,,,baki baat rahi particular Ntpc ya group-d ki toh Kiran publications ke pyq practice set ki book lagao rrb ke exam aur bhi cover kar loge ,,,math rwasoning gk gs,,,,,aur speedy aur Lucent,,,,,dekho bhailogo in kitabo me compilation hai saalo se puche jane vale question ka aur unke solution bhi ,,aur ek level ke type ke bhi question hai ,,,,toh pyq aur sabse jyada practice jaruri hai ye dhyan rakho,,,1 topic ya chapter ke me kehta hu book se 100 question laga daalo kese nahi cover hoga,,,,question pareshan hi nahi kar payeega agar thoda out bhi aaya,,,,,bus taiyaari us level ki karlo ki exam acche se qualify ho,,,,,aur main cheej practice practice and only practice and Analysis of pyq or pattern 🙏🙏🙏🙏
@@Satishsingh-un4zz kisi se bhi karo par concept clear karo tareeka samajhne ke baad practice lagao pyq ki aur practice set,,,,mock etc..uske bina accuracy aur question ka level nahi jaan paoge, paper pattern me hard level question banke aate hai isliye kitab se practice karo,,,jo nahi aaye tick karo aur aage karo,,,fir uska solution dekhlo,,,,,baar baar practice bohot jaruri hai varna sab bhul jaoge
Sahil sir samjhate bilkul nhi h ese lagta h khud pad rhe h pichhli baar ntpc m sahil sir se pde the but math m score achchha nhi hua. Bhai life barbaad ho jayegi kisi achche teacher se pdo
@@ankitkumar-jk7iqtu accha teacher kon hai bhai math k liye, gagan partab v best teacher hai but unka na hi youtube pr all classes available hai or nahi ntpc k liye paid batch k purchase kr le
Bhai achchha content pdne ke liye paisa to Dena pdega aapko jiska bhi achha lage gagan sir ,aditya sir ,Rakesh yadav jiska bhi samajh m aye unka Lelo m to aditya sir se pdta hu apko jiska samajh aye
@@naushadalam8984 bhai telegram per free course ka link Diya ha ( active satya ) per . Gagan Pratap aur Aditya ranjan dono ka padh ke dekh lo Jo sahi Lage padh lena .
Bhaiya please reply me ki ug level ka alag book h kya ur 12th level ka alag book h kya please reply mujhe sajm ni aa raha h 12 toh ke liye konsa book h
First step -Previous year dete rehna ,2- Gk/Gs pehle attempt krna Uske baad reasoning +Math time pressure nhi rahega ,3rd -Kewal previous year ka mock jis session me LG rha ho ki kamjor hai wha practice krna bs itna hi kr lo ❤
@@Anonymous-nu2wo Ntpc previous year book 19 saal Wale se gk gs yaad kro aur mock test do nikal jayega 5-5 set yaad krna Karne ke baad phir piche se Nikal jaayega Himmat banye rkhna Positive socna
@@Aashy_Z pehle core subject kero . Computer ka 1 question aa sakta ha Bo bhi full form ya shortcut key se related or basic knowledge per . Usko badd me ker lena. Pehle main subject ko cover kero . Math reasoning , gs
@@RajkumariDevi-w9m bola to yahi ha railway ne ki her saal aayegi baaki kuch keh nahi sakte. CBT 1 और cbt 2 ke beech 2,3 month ka anter rahega aaram se , is se jyada ho sakta ha kam nahi 👍
@@meghadubey76 kisi bhi plateform se le lo aur padhai me lag jaao main hota ha Syllabus Complete kerna aur fir pyq practice. Rwa , adda , mdclasses, exampur, kisi ka bhi le lo sab best hain rwa ek baari check ker lena. Batch dekho teacher dekho kaun hain aur unki classes youtube per jarur padi hongi unko padh ke dekh lo samajh aaye jiska uska batch purchase ker lena 👍😊 Aur jyada bhago mat jald se jald batch purchase kerke apna पढ़ना स्टार्ट कर दो 👍😊
BHAIYA AUGUST SE LEKAR SEMPTER KE BEECH MEI NTPC KA FORM AYEGA TO PAPER DECEMBER YA JANUARY KE BEECH MEI HOGA ............... KYA 3-4 MAHINE MEI PORA SYLLABUS PORA HOO SAKTA H
Agar koi topic cover krne k liye batch na kharid ske to kya recorded batch ya recorded videos se taiyari kar skte hai kya ya phir jaisa ki bhai ne btaya paid course ya batch hi kharidna pdega kirpya btaye
TELEGRAM का लिंक Description में है, बहा मैने एक चैनल का लिंक दिया है active satya का, इसमें मैने Math Gagan pratap और aditya Ranjan दोनो teachers के batch free में दिए हैं link 🖇 देख लो पढ़ो।
@@abhaychhetri3843 kiran aur Aditya sir ki book me se koi bhi le lo sahi ha Kiran me jyada questions hai. Aditya sir baali me kam hain but solution acha ha
Jaisa ki bhai ne btaya pyq book revision ye sab samajh me to aa gya mere paas topic bhi hai har subject ka lekin topic ko cover kaise kre matlab padhe kaise koi bhi sajjan sahi se samjha paye kirpya marag-darshan kre mai beginner hu
@@yadav12321 किरण और आदित्य रंजन में से कोई si le lo Aditya ranjan sir ki 250 rs ki pad jaayegi aur kiran 400 rs ke ass pass padegi Kiran me questions repeate hue hain But Aditya ranjan Bali book me questions ki repeatetion nahi ha .baki solution bhi achaa diya ha isme . To meri preference Aditya ranjan
Mere pass reasoning ki piyush sir ki aur math ki Aditya ranjan ki 2022 ka batch ke saree recording video meri friend se liye hai jisse maí. Abhi tayari kr rhi hu to kya mujhe new batch lene ki jarurat hai please reply me mai new hu please
@@AngadKumar-t1c crown ka pata nahi bhai dekhi nahi ha Lucent sab prefer kerte hain baaki koi bhi book le lo Notes bhi sab Maine telegram per send kiye hain ...👍
TELEGRAM का लिंक Description में है, बहा मैने एक चैनल का लिंक दिया है active satya का, इसमें मैने Math Gagan pratap और aditya Ranjan दोनो teachers के batch free में दिए हैं link 🖇 देख लो पढ़ो।
@@factbyAshu-ki6rw sabkuch ek jagah chahte ho to Lucent le lo. Nahi to kisi teacher ke subject wise Class Notes Buy ker lo Khan sir ke gs ke her subject ke Notes hain Market me bo le lo chal jaayega. Khan sir ke notes ki pdf send ki ha Telegram per uski Help le sakte ho dekh lena
Sir menne apki video dekh kr book kharidi thi but vo a gai math ki or mujhe chahiye thi gk ki or jese hi menne use vapis kiya na mujhe mere rupye mile Or na hi book
Koi difference नहीं हैं बस Level कम ज्यादा होता है, SSC में QUESTIONS का LEVEL TOUGH रहता है, RAILWAY में आसान पूछता है। इसी लिए दोनो की अलग अलग PYQ BOOK बताता हूं।
@@SSCSatya15 sir ek request hein mujhe bas yeh bataiye maine ssc CGL ke liye Kiran ka jo pyq aata hein woh complete kia hua hein... I am a core student of ssc... Mujhe extra kia padhna hoga is exam k liye?
Bhai jitna bhi aaye demotivate nahi hona ha . Starting me sabko dikkat hogi score jo bhi aaye bas mock ka analysis kero aur uske hisaab se apni aage ki taiyari kero . Ho jaayega 👍😊
Bhaiya ji me 5mocktest diye hai mera score 60+ hai aur me ne current affairs bhi nhi padhe hai abhi suru karunga aur bahut revision bhi dena hai to score abhi thik hai ki nhi abhi 2months mock hi dena hai for ntpc cbt1
@@vishalsoni1697 Haan sahi ho jaayega kerte raho regular bases per Mock ka analysis jarur kerna math reasoning gd me jis topic se questions galat ho rahe hain unke concept aur Bo topic ache se revise ker lo . Aise keroge to score boost hoga 💯
@@ankankumarghosh8769 kiran और Pinnacle दोनो सही है। Kiran में number of questions ज्यादा हैं और Pinnacle में कम तो किरन ज्यादा सही रहेगी। 👍 बाकी aditya ranjan की pyq book भी सही है, उसमे 4000 selective questions हैं।
Sir jo railway form bhar te wakt obc caste certificate upload karna hota hai wu railway format mai karna hota hai ya jo tehsil se banata hai central ka wu wala pls bataye , jis se mai pahele hi ban wa longa railway format mai rrb Gp d ke liye
Bhai agar khan sir ki book ha apke pass to app book but mat kero aur agar nahi ha to pinnacle hi le lena. Explanation achaa diya ha aur gs ke her part ke pyq hain fir chahe science ho ya Static Gk.👍😊
10 days ago TELEGRAM का लिंक Description में है, बहा मैने एक चैनल का लिंक दिया है active satya का, इसमें मैने Math Gagan pratap और aditya Ranjan दोनो teachers के batch free में दिए हैं link देख लो पढ़ो।
Sahil sir sahi ya Aditya ranjan sir koi bolra hi ki railway ka maths alag hai koi khta ssc wala pdh liye to sab ban jayega bhaut confusion hai samjh nhi aa rha
Agr math weak hai to sahil sir se bilkul Mt krna bahut bekar padhte hai,maine paid batch liya hai unka foundation ka vo Banda esa hai khud hi questions solve krta rehta hai bs or batata bi nahi ki kaha se kya kra hai
@@arvuuuuyk bro maine sahil sir ka rrb foundation math liya tha, ek to is bande ne be faltu main bahut jyda kheecha hua simplification 14-15 day m complete Kiya, sb ese hai Maine iska simplification se suru Kiya tha starting main mujhe kuch smjh nahi aa rha tha pr maine socha koi bt nahi aa jaye ga isi liye ek topic to pura krta hu,pr nhi bhai 14 din bd bi wahi tha jha suru kiya tha ,mere to smjh aya ni iska kuch bi, Aditya sir best hai m to un se kr rha hu
@@SSCSatya15sir ntpc k liye current affair kitna month ka pdhna chahiye, notification ane k baad current affair pdhni chahiye ya notification se pahle or notification se pahle pdhe tu kitne month ka pdhe, means avi August hai exam January approx me hoga tu kis month se kis month ka pdhna hai
Sir mere pas pinnacle ki gk ki book hai ssc wali.2022 addition.jisme cgl cpo chsl mts ka previous year question hai. Yahi padhu ya koi or kitab please reply
@@DebrajKumar-q9q kerte raho best ha . Maine ye beginners ke liye bataya ha baaki jo jaha पढ़ता ha Bo teacher best bhai syllabus complete kero aur mock dena start ker do
@@raushankumarsharma4787 sab teachers ache hain bhai jaldi se kisi ek teacher ko select kero aur course complete kero jaldi se jaldi Fir mock test start kero kyunki only teacher se padhke selection nahi hoga Khud bhi efforts dalne padenge
Science ke liye youTube per free playlist bata do ager kisi ko jaankari ho to Physics, chemistry, biology ke liye teacher bata do koi Baki mai ker lungi Bus science ka samajh nhi aa rha hai
Dekho bhailogo aur candidates jis exam ki bhi Aap taiyari karna chaho ya kar rahe ho agar uska detailed roadmap aapke paas hai toh exam qualify kar paaoge,,,,uske liye kya padhna hai kaha se padhna hai thoda help aur suggestion dena chahta hu ki pehle us exam ka Syllabus likh lo copy pe ya download, uske baad us exam ke previous year question paper uthao aur dekho question kis type ke ,kis level ke, aur kaha se aa rahe hai,,,,uske baad joh theory cover karni hai jaise Math ,reasoning, gk, gs,,english etc,,,,voh aap kisi bhi joh bhi manpasand ya jo aapko sahi lage teacher online ,,us se concept aur chaper cover karlo aur batch ya cource lekar karna chaho jaisi aapki iccha vaise karo lekin syllabus concept topic chapter cover karna jaruri hai,,,kyuki uske bina ek sawaal tak nahi hilega ya solve nahi ho payega agar us se related aa gaya exam me,,,,jaise hai topic chapter khatm ho,,,,practice karo us particular chapter ya topic ki question lagake usi type ke uske liye PYQ solved ki practice set book jarur rakho saath me bus end me practice aur mock dete jao bus ye strategy hai kisi bhi exam ki chahe voh railway ho ya ssc ho ya koi bhi departmental ya educational exam hi kyu na ho,,,,,,,,,,baki baat rahi particular Ntpc ya group-d ki toh Kiran publications ke pyq practice set ki book lagao rrb ke exam aur bhi cover kar loge ,,,math rwasoning gk gs,,,,,aur speedy aur Lucent,,,,,dekho bhailogo in kitabo me compilation hai saalo se puche jane vale question ka aur unke solution bhi ,,aur ek level ke type ke bhi question hai ,,,,toh pyq aur sabse jyada practice jaruri hai ye dhyan rakho,,,1 topic ya chapter ke me kehta hu book se 100 question laga daalo kese nahi cover hoga,,,,question pareshan hi nahi kar payeega agar thoda out bhi aaya,,,,,bus taiyaari us level ki karlo ki exam acche se qualify ho,,,,,aur main cheej practice practice and only practice and Analysis of pyq or pattern 🙏🙏🙏🙏
@@vaibhavsharmaaaaa 👍👍🔥🔥
Yes 💯
reasoning kha se kre
@@vaibhavsharmaaaaa rrb ntpc ke lie reasoning sahil tiwari sir 👍🏻
@@Satishsingh-un4zz kisi se bhi karo par concept clear karo tareeka samajhne ke baad practice lagao pyq ki aur practice set,,,,mock etc..uske bina accuracy aur question ka level nahi jaan paoge, paper pattern me hard level question banke aate hai isliye kitab se practice karo,,,jo nahi aaye tick karo aur aage karo,,,fir uska solution dekhlo,,,,,baar baar practice bohot jaruri hai varna sab bhul jaoge
Best RUclips channel for railway Devotion Institute
Yes
RAILWAY 🚂 Mathe:-Sahil sir 🔥
Reasoning:-Deepak sir 🔥
Sahil sir samjhate bilkul nhi h ese lagta h khud pad rhe h pichhli baar ntpc m sahil sir se pde the but math m score achchha nhi hua. Bhai life barbaad ho jayegi kisi achche teacher se pdo
@@ankitkumar-jk7iqtu accha teacher kon hai bhai math k liye, gagan partab v best teacher hai but unka na hi youtube pr all classes available hai or nahi ntpc k liye paid batch k purchase kr le
Bhai achchha content pdne ke liye paisa to Dena pdega aapko jiska bhi achha lage gagan sir ,aditya sir ,Rakesh yadav jiska bhi samajh m aye unka Lelo m to aditya sir se pdta hu apko jiska samajh aye
@@naushadalam8984 bhai telegram per free course ka link Diya ha ( active satya ) per .
Gagan Pratap aur Aditya ranjan dono ka padh ke dekh lo Jo sahi Lage padh lena .
@@ankitkumar-jk7iq Bhai Ralways ke liye Aditya Ranjan sir ka konsi batch lena hoga ? woh jo Champions 17.0 wala batch le le kiya???
Bhai ye book sirf railway ke liye ya phir one day exam ke liye bhi hai
@@RAVIYADAV-bz6wt railway
Bhaiya please reply me ki ug level ka alag book h kya ur 12th level ka alag book h kya please reply mujhe sajm ni aa raha h 12 toh ke liye konsa book h
@@snehakumari7854 nahi sab isi me mil jaayenge
First step -Previous year dete rehna ,2- Gk/Gs pehle attempt krna Uske baad reasoning +Math time pressure nhi rahega ,3rd -Kewal previous year ka mock jis session me LG rha ho ki kamjor hai wha practice krna bs itna hi kr lo ❤
Mai complete beginner hu kaha se start kru pata nhi chl rha😢
@@Anonymous-nu2wo Ntpc previous year book 19 saal Wale se gk gs yaad kro aur mock test do nikal jayega 5-5 set yaad krna Karne ke baad phir piche se Nikal jaayega Himmat banye rkhna Positive socna
भईया undergraduate ke liye same hai n strategy..
@@Ashukumar-l2l sab same hi ha
Sir me ek beginner hu apse ye puchna ha ki Lucent gk or static gk ye dono karne ha yaa 1 se hi kaam chalega?
@@mayanksharma933 start Lucent se karna phir aur videos dekh sakte ho
Please share the playlist of Science by Neeraj Sir
@@nabonitadey6484 please join our telegram channel. Link in। Description
Join kerke comment ker do send ker denge
mene rrb ka graduation level p form fill kiya hai. to kya muje bi Science ki alag se Lucent leni padegi. kyonki mera technical field nahi h
@@Aashy_Z Bina book ke bhi kaam chala sakte ho agar kisi teacher ke notes le lo to ....
@@SSCSatya15 ek question aur bro. kya computer bi karna padega
@@Aashy_Z pehle core subject kero .
Computer ka 1 question aa sakta ha Bo bhi full form ya shortcut key se related or basic knowledge per .
Usko badd me ker lena.
Pehle main subject ko cover kero .
Math reasoning , gs
Math Rakesh Yadav sir se pdh skte h kya ntpc k liye plz reply
Sir cbt 1 or cbt 2 me kitne months ka gap hota h or ye vacancy railway ki hr sal aaygi ....
@@RajkumariDevi-w9m bola to yahi ha railway ne ki her saal aayegi baaki kuch keh nahi sakte.
CBT 1 और cbt 2 ke beech 2,3 month ka anter rahega aaram se , is se jyada ho sakta ha kam nahi 👍
@@SSCSatya15 ok sir thank you
Sir plz maths k liye railway rrb je batch bta dijiye .... Confused hu
@@meghadubey76 kisi bhi plateform se le lo aur padhai me lag jaao main hota ha Syllabus Complete kerna aur fir pyq practice.
Rwa , adda , mdclasses, exampur, kisi ka bhi le lo sab best hain rwa ek baari check ker lena.
Batch dekho teacher dekho kaun hain aur unki classes youtube per jarur padi hongi unko padh ke dekh lo samajh aaye jiska uska batch purchase ker lena 👍😊
Aur jyada bhago mat jald se jald batch purchase kerke apna पढ़ना स्टार्ट कर दो 👍😊
Sir 2025 me ntpc ka exam hoga to 2025 ke book se hi padhna pdega kya pls btaiye sir 🥺✍️🙏🙏
@@MinnyKhiladi tab tak time hi kaha rah jaayega books to sab 2024 ki hain unse padho aur books padhne se kaam chalega ....
Sir Science k liye Arihant ki book kaisi hai??? Science l liye Lucent sahi hai ya Arihant?
kisi ko bhi le lo topic padho aur pyq practice kero bas
BHAIYA AUGUST SE LEKAR SEMPTER KE BEECH MEI NTPC KA FORM AYEGA TO PAPER DECEMBER YA JANUARY KE BEECH MEI HOGA ............... KYA 3-4 MAHINE MEI PORA SYLLABUS PORA HOO SAKTA H
@@NiteshRawat-by5kd January ke baad hi hoga
Agar abhi se lag ke karoge to ho jaayega aur revision bhi ker loge aaram se
or bhaiya mei 17 kaa hoo abhi 12th pass kiya h iss december 14 ko 18 ka hoo jaoga kya mei exam mei appear hoo ki agle sal dena padega ,.......
@@NiteshRawat-by5kd Notification ane se pehle 18 year age ho jaani chahiye.
These are all good books.
Hello sir aap ghar se tayari krte hai ya labariye se please reply sir ❤❤
@@SHUBHAM_ARMY358 Ghar se bahar rent per rehker library nahi jate 👍
UPSI ke liye math pdh rhe h rwa se NTPC ke liye ho jayega इससे ki nhi sir 😐
@@AmitVerma-ys6gk advance bhi aata ha ntpc teir 2. और UPSI में airthmatic आता है।
Agar koi topic cover krne k liye batch na kharid ske to kya recorded batch ya recorded videos se taiyari kar skte hai kya ya phir jaisa ki bhai ne btaya paid course ya batch hi kharidna pdega kirpya btaye
TELEGRAM का लिंक Description में है, बहा मैने एक चैनल का लिंक दिया है active satya का, इसमें मैने Math Gagan pratap और aditya Ranjan दोनो teachers के batch free में दिए हैं link 🖇 देख लो पढ़ो।
Bhaiya Ek Question Tha Jo Ye Course Hote hai Teacher ke Kya Woo Matha , Reasoning Bilkul Basic se padhate Hain Pls Reply kijiyega..
@@mustufaali8785 yes
Telegram per free course ka link Diya ha complete padh ke dekh lo
@@SSCSatya15 kaha hai telegram course plz link plz
@@meghadubey76 telegram ka Link description ma ha join kerke msg kero
@SSCSatya15
Bhai mere pass aditya sir ka jo recording batch hai vo bhi pada hai or jo unka champion 16.0 batch hai vo bi hai konsa padhu?
Bhaiya Mock test konse lagaye CBT-1 KE AUR CBT-2 KE LIYE
@@Ayazkhan__77 test book
Reasoning k liye deepak tirthyani aur akash chaturvedi ❤❤❤❤
Deepak ka bekar hai, उससे bipine sir hai
आपने कौन से exams nikale है??
Pyq k liye aditiya ranjan sir ki book kaise hai railway maths ?
@@abhaychhetri3843 kiran aur Aditya sir ki book me se koi bhi le lo sahi ha
Kiran me jyada questions hai.
Aditya sir baali me kam hain but solution acha ha
@@SSCSatya15OR GS k liye
Sir speedy RPf constable ke liye pdh sakte hai gk aur science dono book to gk gs cover ho jayega
Jaisa ki bhai ne btaya pyq book revision ye sab samajh me to aa gya mere paas topic bhi hai har subject ka lekin topic ko cover kaise kre matlab padhe kaise koi bhi sajjan sahi se samjha paye kirpya marag-darshan kre mai beginner hu
Free maths course का Link 🔗टेलीग्राम पर डाल रखा है active satya पर देख लो।
Sir agar mai English language select karunga exam ke time toh mujhe Marathi aur English dono language mai questions dikhege kya?
@@samarth3977 English
Bhaiya math me kiran ki book le ya pinnacle ki ya aditya ranjan ki please reply bhaiya
@@yadav12321 किरण और आदित्य रंजन में से कोई si le lo
Aditya ranjan sir ki 250 rs ki pad jaayegi aur kiran 400 rs ke ass pass padegi
Kiran me questions repeate hue hain
But Aditya ranjan Bali book me questions ki repeatetion nahi ha .baki solution bhi achaa diya ha isme .
To meri preference Aditya ranjan
CBT 1 & cBT same day exam honge kya please reply???
@@Inspiredbyislam8887-h8c nahi
Pehle cbt 1 hoga usme Jo pass hoga unka hi sirf cbt 2 hoga 👍
@@SSCSatya15 thank you
Bihar yoddha channel kaisa hai wahan complete math karayi gai hai aur reasoning bhi please reply Kariye
@@vipinsingraul6490 पढ़ सकते हो सही है।
Sir Lucent English medium link click nahi horha
@@neha1219-q8u now you can check ✅
sir mere pas kiran publication ki ssc vali maths and reasoning ki pyq book padi h, railway JE ke liye alag se kiran railway vali book leni padegi?
Aap इनको पढ़ो और Mock Test दे के देखो, अगर questions हो रहे हों तो फिर सही है ,।
रेलवे में reasoning का level अच्छा पूछते हैं।
Sir railway wali blackbook kaisi h wo nayi aai h abi ya fir ssc wali hi thik h
@@ektasarwan3700 bo book pointer ha bhai
Aise book lo jisme thoda sa explanation ho 👍
Hello Sir which PYQ book will be best for NTPC ......KIRAN/ PINNACLE/ YCT...Plz reply
@@futuremandal4400 pinnacle and kiran 👍
Dono best hain pinnacle le lo
@@SSCSatya15 Okay
Mere pass reasoning ki piyush sir ki aur math ki Aditya ranjan ki 2022 ka batch ke saree recording video meri friend se liye hai jisse maí. Abhi tayari kr rhi hu to kya mujhe new batch lene ki jarurat hai please reply me mai new hu please
@@ArtiShrivas-iw2sk aaap apna syllabus complete kero , sath sath jo bhi chapter ker lo uske pyq questions jarur lagate chalo
Bhai gk ke liye lucent sahi rahega ya crown please replay bheya
@@AngadKumar-t1c crown ka pata nahi bhai dekhi nahi ha
Lucent sab prefer kerte hain baaki koi bhi book le lo Notes bhi sab Maine telegram per send kiye hain ...👍
Sir ..Books to sbhi purchase kr liye But Isko samjhna or padhna kaise hai usske liye video..v purchase karna hoga alag se
@@AkashYadav-ch6io bhai telegram per math aur reasoning ke batch ka free link Diya ha dekh lo us se padh lo
Science k liye science magnet mei konsi playlist mei se pde?
@@Shayna2444 bhai telegram group me send ki ha playlist
Bhai Aditya sir ka math ka batch ssc chl ke liye kya vo lena chahiye rrb ntpc ke liye pls bataye, ya sahil sir ka ?
TELEGRAM का लिंक Description में है, बहा मैने एक चैनल का लिंक दिया है active satya का, इसमें मैने Math Gagan pratap और aditya Ranjan दोनो teachers के batch free में दिए हैं link 🖇 देख लो पढ़ो।
Bhai sahil sir k batch mai 400 lecture hai total kya Aditya ranjan sir scc k teacher hai unse pad ke railway math bhi cover hojaega
@@mdehtesham6529 bhai mere pass hai sahil sir ka maine liye bahut bekar hai befaltu ka contant jyda hau
@@mdehtesham6529 agar sahil sir ki classes hai to unhi se padho jyada betteer rahega.
Baaki Ssc ka math पढ़ने बाला allrounder ban jata hai.
Please bhaiya batao rpf si main agar RRB ke sare pyq complete karle to kya math or gk main 30+ asakti hai please reply🙏
Bilkul aa sakte hain . Multiple time practice and notes revise .
Best book konse hai sir jismai sare subject ke previous year question papers hu
Ek book me sab subject ke pyq nahi मिलेंगे।
Seperate लेनी पड़ेंगी।
Sir speedy ki science ki book railway RPF k liye ....or speedy ki hi gk gs ki railway vali book shi hai 😢 please tell me sir 🙏
Bhaiya science ke liye ntpc safalta batch neeraj sir ka bs pade n
@@factbyAshu-ki6rw batch to mujhe nahi pata kaun sa ha but complete agar science ha to sahi ha
Baaki teacher best ha bhai 👍❣️
@@SSCSatya15 bhaiya ek baat puchna tha ki general awareness and general science ke liye kaun si book le I am beginner
@@factbyAshu-ki6rw sabkuch ek jagah chahte ho to Lucent le lo.
Nahi to kisi teacher ke subject wise Class Notes Buy ker lo
Khan sir ke gs ke her subject ke Notes hain Market me bo le lo chal jaayega.
Khan sir ke notes ki pdf send ki ha Telegram per uski Help le sakte ho dekh lena
Sir ji book kya NTPC CBT 1 and CBT 2 dano exam ka liya haa
@@Mr..Arpit..Debnath yes
Railway ke liye best teacher sahil sir and Deepak tirathyani hai samjhe 2018 se hai
@@NAVEEN-SSC70420 okkk brother 😊 padhte raho 👍
Hello bro kya ye group b keliye sahihe kya pls batao ki ye book group b keliye sahihe
Yes
ye railway ke her exam ke liye best hain. 👍😊
Gk gs k liye Railway speedy sahi h ya koi or batana jaroor please
@@Prfsnal_mahdi_aart786 pinnacke pyq or kiran pyq 👍
@@SSCSatya15 Railway speedy book kesi hai.
@@Prfsnal_mahdi_aart786 agar isme question objective type se aur unke extra fact de rakhe hain to sahi ha 👍
Aur one liner ha to sahi nahi ha
@@SSCSatya15 Bhai one liner h abhi aayi nhi order ki h Aapne padhi nhi h
@@Prfsnal_mahdi_aart786 Lucent + pinnacle or kiran pyq le lo jyada behter ha👍
Sir NTPC or RPF SI mein syllabus same hota hai kyaa
@@sandeepkumar-tt8sk ntpc ma achaa level poochata ha .
Thoda change ha 👍
Sir menne apki video dekh kr book kharidi thi but vo a gai math ki or mujhe chahiye thi gk ki or jese hi menne use vapis kiya na mujhe mere rupye mile Or na hi book
@@RohanKumar-dd6df Amazon customer care से बात कर लो आ जायेंगे रुपए।👍
Sir math k liye m rwa k rahul tewito sir ko follow karta hu vho kaafi h kya sir and ntpc m math ka level kya h sir
Padhte raho best hain 👍
In book se ssc chsl ki bhi tayari kar sakte hai kya
@@devendrakok3353 Lucent use ker sakte ho only baaki nahi
Aur sab ssc ki hi Leni padegi
Afitya sir ki batch konsi app se purchase kare?
@@preetylilprincess1204 chahe to complete NTPC ka Batch buy ker lo
Ya Aditya sir ka rankers gurukul per mil jaayega use purchase ker lo 👍
Sir Form apply krne pr jo fees pay karte hai wo wapas milate hai ya nhi
मिलती ha exam dene ke baad payment detail mangte hain bo fill keroge kuch din ma vapas aa jati ha
Ssc maths aur railway maths mein kia difference hein?
Koi difference नहीं हैं बस Level कम ज्यादा होता है,
SSC में QUESTIONS का LEVEL TOUGH रहता है,
RAILWAY में आसान पूछता है।
इसी लिए दोनो की अलग अलग PYQ BOOK बताता हूं।
@@SSCSatya15 sir ek request hein mujhe bas yeh bataiye maine ssc CGL ke liye Kiran ka jo pyq aata hein woh complete kia hua hein... I am a core student of ssc... Mujhe extra kia padhna hoga is exam k liye?
Bhai ab ap exam tk so jao @@ShrutiSarkar-df2qn
@@ShrutiSarkar-df2qn science को अच्छे से पढ़ लो और reasoning का level अच्छा आता है , इसे पड़ लो।👍
खुप आभारी भावा... मीं मराठी आहे... Love from महाराष्ट्र ❤
@@bhagvaraj9527 ❤️
Sk jha science ke Best teacher hai 🙏🙏🙏🙏
Bhai mera maths me kuch kuch topic baki hai sep month se mock test suru karunga bhaiya kitna score karna sahi rahega phele 10 mock me
Bhai jitna bhi aaye demotivate nahi hona ha .
Starting me sabko dikkat hogi score jo bhi aaye bas mock ka analysis kero aur uske hisaab se apni aage ki taiyari kero .
Ho jaayega 👍😊
@@SSCSatya15 thanku bhaiya ❤️ 3months regular 1 test of ntpc dunga kyu syllabus lag bhag khatam hi hai me abhi graduation 2nd semester me hu
@@vishalsoni1697 lage raho 👍😊
Bhaiya ji me 5mocktest diye hai mera score 60+ hai aur me ne current affairs bhi nhi padhe hai abhi suru karunga aur bahut revision bhi dena hai to score abhi thik hai ki nhi abhi 2months mock hi dena hai for ntpc cbt1
@@vishalsoni1697 Haan sahi ho jaayega kerte raho regular bases per
Mock ka analysis jarur kerna math reasoning gd me jis topic se questions galat ho rahe hain unke concept aur Bo topic ache se revise ker lo .
Aise keroge to score boost hoga 💯
Upsc nhi nikalna itne sare book padhne ke liye bol rhe hai to the point topic padhna chahiye
Phir to tune upsc nikal liya hoga kyuki related content ptd h tumhe to
Study IQ Ki Static wali book kaisi hai please Reply
Railway ganit ( Aditya ranjan sir) ye book liya hai maine ..sahi rhega ..?
@@Shub_Hum sahi ha 👍
@@SSCSatya15 bhaiya 2 baar complete kr chuka hu mai is book ko...ab kya kru...
@@Shub_Hum sectional mock start kero jaha bhi mile jyada se jyada sectional mock
Bro ek banda ntpc ke dono level ke form bhar saktaa hain graduate or 12 th level dono basis par
@@himanshunegi554 Yes
@@SSCSatya15 mein samja nahi kya dono level ke form sath me bhar skata hain
@@himanshunegi554 dono alag alag
Graduation ke start ho gaye fill hona
12 th ke aayenge aage
bhiya RPF SI k liye guide kro?
@@abhaychhetri3843 okkkk
@@SSCSatya15 hanji btao kux maths kaise prepare kree pyq sufficient h ky?
Thank you......sir 🙏
Pyq book math konsa best hai?
@@ankankumarghosh8769 kiran और Pinnacle दोनो सही है।
Kiran में number of questions ज्यादा हैं और Pinnacle में कम तो किरन ज्यादा सही रहेगी। 👍
बाकी aditya ranjan की pyq book भी सही है, उसमे 4000 selective questions हैं।
@@SSCSatya15 acchaa sir thank you sir
Confused tha 🙂🙂
@@ankankumarghosh8769 👍
Winners Institute ka course purchase kia h bhaiya ntpc ka math reading k liye sahi rhega baha se padhu to
Sab teachers badiya hain bhai ab man lagaker Syllabus complete kero jaldi jaldi.
Trust rakho aur mehnat kerte raho Selection Ho jaayega 👍
Bina teacher k Khali books se tyari nhi kr sakte kya
@@RadhikaMakeover.Artist bilkul ker sakte hain agar khud se concept samajh lo to .
Aur kuch help youtube se bhi mil jaayegi 👍
Science khe liye best teacher kahn sir
Sir jo railway form bhar te wakt obc caste certificate upload karna hota hai wu railway format mai karna hota hai ya jo tehsil se banata hai central ka wu wala pls bataye , jis se mai pahele hi ban wa longa railway format mai rrb Gp d ke liye
tehsil wala.. centre ka
Sir railway pyq aditya ranjan sir ki book original hai n amazon mai kyuki price different hai Flipkart mai
@@pragyatiwari8529 yes
Bhai aapne khan sir ki sar sangrah dekhi hai?? Kaisi hai book vo please btaye ...
Bhai agar khan sir ki book ha apke pass to app book but mat kero aur agar nahi ha to pinnacle hi le lena.
Explanation achaa diya ha aur gs ke her part ke pyq hain fir chahe science ho ya Static Gk.👍😊
Bilkul bhi Sahi nhi h bhai mene li thi bekar h koi or lelo
Kiran ke GK GS sahi nahi hai kya sir by khan sir
@@moinsmartty3045 sahi ha bhai Bo le lo ye dekh lena chapter wise ho topic wise ho pyq questions ho. Tab sahi ha
# Aditya ranjan sir railway maths ka pdf kaise milega...
Piyush sir acha deepak sir reasoning k.. Course ki price bhe kaam hai
@@meghadubey76 okkk padho ache se 👍😊
Bhai railway ntpc ke liye reasoning &maths pinnacle pyq book lesakthe
@@rohithkumar2683 le sakte ho le lo
@@SSCSatya15 thank for replay bhai
Sir मेरा qualification isc 49% है, railway ntpc apply कर सकता हूँ क्या, कृपया मार्ग दर्शन करें
@@Amitkumar-c4t1y ISC kya ha bhai 👍
इंटर मे science
@@Amitkumar-c4t1y hmm ker sakte ho aply
Bhaiya ghatna chakra 2024 science ki book achi nhi h railway ke liye
@@Komusinghbhati le sakte ho 👍
Best books batau gk gs maths reasoning plz 🙏🏽
Bhai Ranjan sir k kon s batch purchase kre unka railway
10 days ago
TELEGRAM का लिंक Description में है, बहा मैने एक चैनल का लिंक दिया है active satya का, इसमें मैने Math Gagan pratap और aditya Ranjan दोनो teachers के batch free में दिए हैं link देख लो पढ़ो।
Bhaiya lucent science ke jagah pe koi aur book use kar sakte hai
Bhai mujhe tumse baat karni hai study related
Hahahah acha@@AnmayTutorialLr
Manohar Pandey sir ki book Lelo
@@bhushanprasad3368 sk jha और 9th 10 th ncert
Aditya ranjan maths hindi book 260 ki hai hor English 390 language change karne ka 130rs extra
😂😂😂
Bhaiya gs ke liye ganta chakra ki ssc pyq h usse cover kr skte btye plz
@@ganpatibappa9139 agar ha apke pass to bohi padho nahi ha to pinnacle le lo
Bhya jiii reasoning kii best teacher btayee nhh online jo apko best lgtii ho....
@@laxmimahato2329 Piyush Varshney or Arun sir
@@SSCSatya15 ohkkk tqq bhyaaa..❤️
Sahil sir sahi ya Aditya ranjan sir koi bolra hi ki railway ka maths alag hai koi khta ssc wala pdh liye to sab ban jayega bhaut confusion hai samjh nhi aa rha
Agr math weak hai to sahil sir se bilkul Mt krna bahut bekar padhte hai,maine paid batch liya hai unka foundation ka vo Banda esa hai khud hi questions solve krta rehta hai bs or batata bi nahi ki kaha se kya kra hai
@@Tradingboyhindi ok then
@@TradingboyhindiMere pass bhi rrb batch hai bhai par kisse padhe ab bataye
@@arvuuuuyk bro maine sahil sir ka rrb foundation math liya tha, ek to is bande ne be faltu main bahut jyda kheecha hua simplification 14-15 day m complete Kiya, sb ese hai
Maine iska simplification se suru Kiya tha starting main mujhe kuch smjh nahi aa rha tha pr maine socha koi bt nahi aa jaye ga isi liye ek topic to pura krta hu,pr nhi bhai 14 din bd bi wahi tha jha suru kiya tha ,mere to smjh aya ni iska kuch bi, Aditya sir best hai m to un se kr rha hu
@@Tradingboyhindi bro par Aditya ranjan sir ssc ke question karate hai sab railway mai chalega kya
Piyush sir ka jo reasoning batch link nahi mill raha haii telegram main... Please reply
Sir ye aapke pass pej hain ue kaise nikal wane padhenge sir bta dena ye pdf kaise nikalwani hai aap bta dena mujhe nahi pta hai
Railway speedy kaise padhe batao bhai
Bhaiya Lucent yaad kaise hoga smjh ni aaa raha hai😢😢
topic wise classes start ker dunga cover ker lena us se.
baaki padhna aur ratna dono padega.
gs me is bach nah sakte
@@SSCSatya15sir ntpc k liye current affair kitna month ka pdhna chahiye, notification ane k baad current affair pdhni chahiye ya notification se pahle or notification se pahle pdhe tu kitne month ka pdhe, means avi August hai exam January approx me hoga tu kis month se kis month ka pdhna hai
Lucent sa ni padha jata please kyoi tachara bato GK ka liye
Sir mere pas pinnacle ki gk ki book hai ssc wali.2022 addition.jisme cgl cpo chsl mts ka previous year question hai. Yahi padhu ya koi or kitab please reply
Mere paas bhi hai
@@htms1004k3 bhai railway me science ke questions ache aate hain to mere point of view se railway ki pyq book lena jyada behter rahega.
Sir science cbse class 10 books se hoga?
bilkul hoga
ncert to sabse best ha.
science magnet ( neeraj sir ) se chapter padho aur book se revise kero fir pinnacle se pyq practice kero
Thanks sir ji🎉😊
Sir sun ne ke layak abhi nahi hue hain app bhai boliye jyada achaa lagega 👍😊
Sir gs and science ke liye Khan sir ka class kerta ha
@@DebrajKumar-q9q kerte raho best ha .
Maine ye beginners ke liye bataya ha baaki jo jaha पढ़ता ha Bo teacher best bhai syllabus complete kero aur mock dena start ker do
Tq
Sir appne itni thodi help or ker do youtube per history geography polity economics ke teacher ke link de do kisse padna hai
Okkk brother kisi mock video me bata dunga teacher bhi.
Ok sir 🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏
Sir rrb ntpc ki sari class RUclips pe mil jayegi
@@AsifAnsari-rp1nr mil sab jaayengi thoda sa effort lagana padega
Math ke liye gagan pratap sir kaise rahenge
@@raushankumarsharma4787 sab teachers ache hain bhai jaldi se kisi ek teacher ko select kero aur course complete kero jaldi se jaldi
Fir mock test start kero kyunki only teacher se padhke selection nahi hoga
Khud bhi efforts dalne padenge
Science magnet Neeraj sir gajab aadmi hh bhai sandar padate h
padhte raho bhai
Me bhi unse hi padta hu
Science ke liye youTube per free playlist bata do ager kisi ko jaankari ho to
Physics, chemistry, biology ke liye teacher bata do koi
Baki mai ker lungi
Bus science ka samajh nhi aa rha hai
@@KhushiYadav-gh3ov neeraj sir ( Science Magnet )
@@SSCSatya15 physics, chemistry or bio teeno ke liye?????????
Sir science ke arihant encyclopedia kesi hai,,
Bhaiya gk ka liya pharmar ssc ko follow kar raha hu ..apka hisab sa sahi hoga kya
@@debasisgiri8564 lage raho 👍 😊