Hello sir Mere pas dzire petrol hai 2011 model Maine abhi 2nd hand purchase ki hai Ek mechanic ne uske catalytic converter ko nikal ke workshop pe leke tod ke saf karta hu aisa bola, aur vapas fit kardiya Tabse gadi me rattling noise aa rahi hai pata nahi kyun. Iska koi solution hai??
😅😢 aisa nahi karna tha abhi apka exhaust ka pressure kafi Jayda ho hai is liye turbo ya valve intake Jayda hone se ho raha hai Is se video me jo bhi problem bataya hai waisa ho sakta hai is liye ap kisi gadi ka scrap se fit karna chahiye mere according 😄
Bajaj paltina ka silencer babut baddha lagta hai cataletic ke karan to old wale silencer lagvane wala tha, lekin aapse iske nuksan jan kar irada badal diya.
Ji bilkul har gadi ke liye catalitic converter jarori hai Purani gadiyo me nahi ata tha is liye pollution kafi Jayda hota tha Or jis gadi me catalitic converter companie dalti hai to kuch karna hi hoga jo video maine batya Good thanks 😄👍
Bhai ji engine oil aur water mix ho raha tha usne mujhe 4000se 4500 Tak ka kharcha btaya mere 12500 LG gye aur uske baad bhi oil water ki problem solve nhi hui.last me usne bola pura engine demeg hai
Super fast ,super information 👍 how any one speak this much fast . Bhai ap kafi Jayda fast bolte hai kaise Excellent information mujhe pata nahi tha i will take care 😀 Thank you Bhai.
@@crackover Sir Namaskar. You have explained very honestly on Catalytic Converter and shared your message to all that, every thing have important role play on their section which is attached to any mechanism. Thanks a lot .
Kya Oxygen sensor kharab hone se catalytic converter damage ho sakta hai kya mere tata manza petrol me silencer ka sound bad gaya hai pahli normal tha abhi abhi badha hai 1st number oxygen sensor kharab hai please suggest me sir ji😢
Gurudev maine apki video dekh k hi car k parts k baare m knowledge mili par yahan rajasthan m thermostat removal break catalytic converter egr block aam he
Bhai aapke wajse hume bhot faida huva.ab hume mechanic bewkhuf nahi bana sakte. Bhai Tata Indigo ka engine oil capacity 5:5 liter ki hai. Par jada tar market me 5 litter ke oil jar hai. Kya 5 litter oil engine me dal sakte hai kya. Market me 4 litter,3.5litter ke jar hi hai.
Ji Bhai apko 1 liter ka bhi milta hai oil lekin acha dealer se purchase karna hoga or ap market se 5 liter le sakte hai or online 1 liter purchase kar sakte hai . Or 5.5 hi dalna hai isme koi compromise nahi karna hai warna 400 ke liye 40000 ka kharcha hoga
Mahindra ki cng pick gai ,usame catalytic converter ka fault code aa raha hai.. Efficiency below threshold. ..aisa Gadi 2.5 yrs old hai.. Esako clean kar sakate hai kya ..? Or any solution?
Converter check Kiya to damage tha , kuch tukade nikal ke gir gaye,kuch part melt ho rakha tha,water pressure se washing Kiya to baki Sara nikal gaya... Finally... All out.... Now no catylic converter material inside... Mistake- water pressure washing....
Bhai indica 2005 se steering modne par sound aarha hai jab shuru me chalate hai to bdhiya chlta hai par bad me hard ho jata hai ....kya problem hai please reply hmne oil level bhi dhekha hai or jab steering hard hota tab gadi ka steering oil ka dakan nhi khulta usme air bn jati hai ..
any alternate solutions having a diesel car very very frustrated by the issue of dpf required cleaning in every 80 to 100 km living in a hilly area and cold weather in whole year mostly running in traffic areas
U can drive car at 30-50-70- due to drive on these speeds your catalytic converters get too hot and it will burn all the carbon and sludge stored in your catalytic converter
Bhai aise hi Corona itna kiya Thoda environment ke liye bhi socho Future kharab kar rahe ho Or ha pollution me Jayda reading bhi ayega check kar sakte ho Please koi bhi Aisa mat Karo please Save environment and save life Don't think for yourself only 😅
Thanks a lot Sir..Mere paas indigo cr4 he aur black smoke de rehi hai..Aaj hi mein mechanic k paas gaya tha woh bol raha tha ki catalytuc converter ko nikal dene k liye...lekin mein ne nehi karaya..Sir engine decarbonization se kya egr, catalytic converter aur turbo intercooler puri tarah se clean hoga kya? Ya fir manually clean karna sahi hota hai?
Thanks for the comment sir Ji bilkul nahi todna hai Or maine catalitic converter cleaning ka video upload Kiya hai 3 old video hai usme full Silencer cleaning me batay hai maine
Hello sir Mere paas nissan micra hai 2011 model Maine abhi 2nd hand purchase ki hai seller ne caylyc convertor nikala diya tha, car sound bhi bahut nilak rahi hai only 5km/pl ka average de rahi hai nissan company bol rahi ha baki sab teekh hai, only catlic convertor lagao, average shai ho jayega mechanic bol rahe hai, catluc convertor lagane se itna average sahi nahi hoga Iska koi solution hai??
Ji nahi jab tak bahar se koi chot nahi lagta hai tab Tak lekin aj tak maine dekha nahi ki catylitic converter apne ap hi damage hua ho bas jam ho jata hai usko clean kar ke phir se dal Dena hai
Meri gaadi mei awaz ese aari hai jese catylitic convertor nijaal rkha ho ya fir silenver fata ho,silenver weld kra diya but awaz vesi hi hai,btaaein kya kare
Bhai maine ritz petrol li h 115000 chali hui h par gadi pickup leti h cng pe to bilkul 60 bhi cross nhi krti h. Mechanic ne sab karke dekh liya h uske silencer ka bhi catalyst gayab h . Silencer bhi change krke dekha par koi fark nhi pda
@@crackover Haji khadi gadi me rpm thik h but engine knocking deta h cng me bhi or petrol me bhi. Petrol me bhi agr break lga k slow kiya to 5th gear me 60 par bhi chota gear krna pdta h gadi uthti nhi h
Ji nahi clean hota hai chahe kitna hi jam ho Ap diesel or petrol se clean karenge ko proper clean hota hai Nahi to uper ka metal cut kar bahar nikal ke high temp gas welding flame se jala ke clean ho jata hai 100% or phir wapas dal ke weld kar dena hai Tod ke fekna nahi hai
Hello sir. 1 lakh run ho gyi thi Maine egr nd intake nd intercooler clean karwaya hai. Pehle black smoke nahi tha pickup drop ho rha tha. Clean k baad black smoke start ho gy hai. Grand i10 Aisa ku Intercooler booster sensor without remove diesel nd water wash kar diya tha
Apne catalitic converter ko bhi water or diesel se clean Kiya tha kay Or egr ko clean Kiya sahi hai us se thoda sa black Sooke dikhta hai lekin us se koi problem nahi hai Ap ek bar pura Silencer cleaning karyea .
Bhaiya mere paaa i20 sportz hai 2018 model or meri car ne ek baar highway pr speed down ki taraf drop kr di thi or jaise hi maine kahi baar race di to air engine m hi ghum rhi thi silencer m nhi pahuch rhi thi maine 3 mechanic ko dikhaya unme se ek ne mera silencer ke screw khole air or speed rpm puri chali gai to unhe catalyc converter saaf kra to mittii tuti hui thi wo nikal di OR MERI CAR M CNG FIT hai jab ye problem hui 40000 chali thi ab 55000 chal gai sirf awaz aati h alag si to koi problen to nhi hogi aage.
EGR me pressure kum kaise ho jayega? Aur agar EGR me pressure kum ho gaya to turbo me gas jada kaise aah raha hai? Aur cylinder me mixture comparatively volume jada banega lakin balanced banega kyuki ECM jada fuel release kar raha hai. Wo EGR me pressure kum banane wala part thora explain karo plz.
Egr to open hoga lekin exhaust gas direct silencer se bahar aa jayega ku ki catylitic converter or agr ke beech ke jagah me exhaust ka pressure bilkul bhi nahi banega or exhaust recirculation nahi hoga or pura exhaust direct freely bahar aa jayega
Bhai jin car me tarbo charge nahi hota jese (santro xing) unke catalyc converter tod de ya market se local silencer dalde toh koi nuksaan hoga? A gar hoga to kya nuksaan hoga? Reply pls
Thanks for the comment sir Turbo nahi hoga to turbo me problem nahi hoga lekin 2 problem internal damage to hoga hi But agar gadi kafi control me chalte hai ap to koi problem nahi hai
Waste gate operates with exhaust pressure from egr signal and manifold pressure correct Then how you are saying it won't affect I think you are a pro engineer 😜 And can you answer one question How power is increasing after removing cat? Explain it I will wait for reply. Do not delete or change your comment.
First read the flow of signal from egr, manifold pressure sensor and waste gate actuator Simple saying bad word is not right I always appreciate what you don't like , but don't say bad words.
Khol ke hi dekhna hota hai Agar first hand gadi ho to sound change ka pata chalta ha but better ki nikal ke check karna hoga Or agar O2 sensor hai to uska bhi signal low rehta hai.
Meri alto 800 me cng kit lgi hui h, gadi start hona band ho gyi thi, matchenic ne kaha silenser ki miti melt ho gyi or silencer band ho gya, us ne miti nikal di, us ke bad gadi heat hone lgi
Ji ha ho sakta hai agar oxygen sensor hoga to Silencer me Turbo over speed pe air ka quantity high hone se ecm maf sensor ka reading le ke fuel ko bhi adjust kar dega Jo Jayda fuel ka quantity hota hai normal se
Hello sir
Mere pas dzire petrol hai 2011 model
Maine abhi 2nd hand purchase ki hai
Ek mechanic ne uske catalytic converter ko nikal ke workshop pe leke tod ke saf karta hu aisa bola, aur vapas fit kardiya
Tabse gadi me rattling noise aa rahi hai pata nahi kyun. Iska koi solution hai??
😅😢 aisa nahi karna tha abhi apka exhaust ka pressure kafi Jayda ho hai is liye turbo ya valve intake Jayda hone se ho raha hai
Is se video me jo bhi problem bataya hai waisa ho sakta hai is liye ap kisi gadi ka scrap se fit karna chahiye mere according 😄
Alto Lxi 2008 same meri Alto ke saath kiya . ab engine noise bhi jyada. koi dummy catalytic convrtor milta jo sasta ho and noise na aye .
Great and deep 👍 Explanation
I think this information is not available anywhere in this deep information.
Thanks for the comment
😀😄👍❤️
Very Deep Explaination..👌
Catalytic converter Cleaning pr bhi video share kijiye..
Ji bilkul sir main upload karunga jaldi hi 😀👍
Bajaj paltina ka silencer babut baddha lagta hai cataletic ke karan to old wale silencer lagvane wala tha, lekin aapse iske nuksan jan kar irada badal diya.
Ji bilkul har gadi ke liye catalitic converter jarori hai
Purani gadiyo me nahi ata tha is liye pollution kafi Jayda hota tha
Or jis gadi me catalitic converter companie dalti hai to kuch karna hi hoga jo video maine batya
Good thanks 😄👍
Mere bhai bhot acche se samjhaya aapne .aur meri nano ke convert ki mitti chura liy Macenic nai kal me uska naam aur number dalunga
😢 bilkul acha nahi kiya mechanic ne ye galt hai
Bhai ji engine oil aur water mix ho raha tha usne mujhe 4000se 4500 Tak ka kharcha btaya mere 12500 LG gye aur uske baad bhi oil water ki problem solve nhi hui.last me usne bola pura engine demeg hai
गाड़ी बेच दो भाई
@@aabidbeig4337gasskit ur gai hay bhai apki or sath mein head bi leak hogya hay
Super fast ,super information 👍 how any one speak this much fast .
Bhai ap kafi Jayda fast bolte hai kaise
Excellent information mujhe pata nahi tha i will take care 😀
Thank you Bhai.
😅🙂 thanks 👍
Bhai engine main kuch prblm ayaga kiya catalytic converter remove karke chalne main.. mere pass bullet tha ek so please reply
Good explanation..... 👍......
Thanks bhai.....
Thanks for liking❤️👍
Thanks for your excellent information.
Thanks for the comment sir
😄😀👍
@@crackover Sir Namaskar. You have explained very honestly on Catalytic Converter and shared your message to all that, every thing have important role play on their section which is attached to any mechanism. Thanks a lot .
Kya Oxygen sensor kharab hone se catalytic converter damage ho sakta hai kya mere tata manza petrol me silencer ka sound bad gaya hai pahli normal tha abhi abhi badha hai 1st number oxygen sensor kharab hai please suggest me sir ji😢
Thank you sir thank you aapane bahut acchi baat batai
Thanks sir 😁😊🙏
Bhai gadi ka milage kaise badha sakte hai us pe video upload karo ap
Excellent information 👍❤️
Thanks bro main next week video upload karunga is pe full detailed
👍😀
Mere esteem car ki catalytic converter se mitti chori ki hai fitter ne , to awaaz aati hai silencer se jada, solution batao please
Kya rpm zarurat se jyada badhte hai cat con ki dust na hone ke karan. Plz reply krna
Ji cat converter nahi hone high rpm ka bhi problem hota hai
Same question because I've experienced it after cleaning the cat
Gurudev maine apki video dekh k hi car k parts k baare m knowledge mili par yahan rajasthan m thermostat removal break catalytic converter egr block aam he
Ji sir lekin nahi karna chahiye
Ku ki mere hisab se pollution Jayda hota not good for Sustainable development
Tata ace EX ka catalytic converter tor Diya Mane ab Kiya hoga mera gari ka engine kharab ho jayega kiya
Ji ha life kam hoga
Baba junction ki Tata Ace gold batti kyon a Rahi convert Ashok ho gaya hai kya
Very good Bhai good information ℹ️
So nice of you thanks bhaiya ❤️
Nice information👍👍👍👍 bai
Thanks for the comment sir
😃😄👍🔥
Bhai aapke wajse hume bhot faida huva.ab hume mechanic bewkhuf nahi bana sakte.
Bhai Tata Indigo ka engine oil capacity 5:5 liter ki hai. Par jada tar market me 5 litter ke oil jar hai. Kya 5 litter oil engine me dal sakte hai kya. Market me 4 litter,3.5litter ke jar hi hai.
Ji Bhai apko 1 liter ka bhi milta hai oil lekin acha dealer se purchase karna hoga or ap market se 5 liter le sakte hai or online 1 liter purchase kar sakte hai .
Or 5.5 hi dalna hai isme koi compromise nahi karna hai warna 400 ke liye 40000 ka kharcha hoga
Mahindra ki cng pick gai ,usame catalytic converter ka fault code aa raha hai.. Efficiency below threshold. ..aisa
Gadi 2.5 yrs old hai..
Esako clean kar sakate hai kya ..?
Or any solution?
Cleaning karyea nikalna nahi hai warna engine ka Km life kam ho jayega
Converter check Kiya to damage tha , kuch tukade nikal ke gir gaye,kuch part melt ho rakha tha,water pressure se washing Kiya to baki Sara nikal gaya... Finally... All out.... Now no catylic converter material inside...
Mistake- water pressure washing....
Without turbo engine ya cng engine gadi me se catalytic converter nikalane se kitna fark padega?
Kafi phark padega , is se pollution hota hai so please do not remove
Ek number
Thanks sir 😁☺️❤️🙏
Sir swift petrol car 2013 model start ta 1st self me ho jati hai, after 5 - 10 second me hi gadi off ho ja rhi hai
Ji
Ap ek bar throttle body clean kar ke dekhyea
Sir maine aapne bullet ki catalytic converter ko nikal diya hai,,, koyi problem hoga kya???
😅 engine ka life kam hoga
Gear shift karte time car race nhi chodti or jhatke v leti h kya Catholic converter na rehne se problem h?
Ha engine ka Boost uncontrollable ho jata hai catylitic nahi hone se is liye jhatka le rahi hai lekin ap ek bar clutch ka play ko set karwa ke dekhyea
Kya service center walo log catalytic converter se kuch chura sakte hai?
Ji ha bilkul
Bhai indica 2005 se steering modne par sound aarha hai jab shuru me chalate hai to bdhiya chlta hai par bad me hard ho jata hai ....kya problem hai please reply hmne oil level bhi dhekha hai or jab steering hard hota tab gadi ka steering oil ka dakan nhi khulta usme air bn jati hai ..
Check power steering pump and ball joints
any alternate solutions
having a diesel car
very very frustrated by the issue of dpf
required cleaning in every 80 to 100 km
living in a hilly area and cold weather in whole year
mostly running in traffic areas
U can drive car at 30-50-70- due to drive on these speeds your catalytic converters get too hot and it will burn all the carbon and sludge stored in your catalytic converter
Try to heat the engine full and then give 4000 rpm acceleration in standstill just for 2 sec for 3 time
Regular you need to do this may be weekly
Bs6 ke catalict converter ko change krke bs4 ka lga skte hai kya..kuch nuksaan hoskta hai kya...hyundai aura deisel model 2020.
Size same hona chahiye baki koi problem nahi hoga
coverter me bypass hole kar sakte hai kya? please reply
Sure Kar sakte hai , maine kiya hai apni Ford Figo mein and results r good
Ji nahi karna hai cleaning hi karyea
Bhai aise hi Corona itna kiya
Thoda environment ke liye bhi socho
Future kharab kar rahe ho
Or ha pollution me Jayda reading bhi ayega check kar sakte ho
Please koi bhi Aisa mat Karo please
Save environment and save life
Don't think for yourself only 😅
@@crackover ok sir jaisa aap kahein mein woh hole band kara dunga 😇🙏
Thanks a lot Sir..Mere paas indigo cr4 he aur black smoke de rehi hai..Aaj hi mein mechanic k paas gaya tha woh bol raha tha ki catalytuc converter ko nikal dene k liye...lekin mein ne nehi karaya..Sir engine decarbonization se kya egr, catalytic converter aur turbo intercooler puri tarah se clean hoga kya? Ya fir manually clean karna sahi hota hai?
Thanks for the comment sir
Ji bilkul nahi todna hai
Or maine catalitic converter cleaning ka video upload Kiya hai
3 old video hai usme full Silencer cleaning me batay hai maine
@@crackover thanks sir
Wall joint kesa change karte ha
Hello sir
Mere paas nissan micra hai 2011 model
Maine abhi 2nd hand purchase ki hai
seller ne caylyc convertor nikala diya tha, car sound bhi bahut nilak rahi hai
only 5km/pl ka average de rahi hai
nissan company bol rahi ha baki sab teekh hai, only catlic convertor lagao, average shai ho jayega
mechanic bol rahe hai, catluc convertor lagane se itna average sahi nahi hoga
Iska koi solution hai??
Scrap se kisi or gadi ka le ke same size ka silencer pe gas welding karwa lijyea new pe apko 60000 lag jayega
Old pe 10000 se 15000 me ho jayega
thank you very much @@crackover
Bhai catalytic converter apne AAP damage hoo sakta hai kya bhei
Mechanic pehele se hi damage hogaya bolke usko Tod ke nikaldiya😢
Ji nahi jab tak bahar se koi chot nahi lagta hai tab Tak lekin aj tak maine dekha nahi ki catylitic converter apne ap hi damage hua ho bas jam ho jata hai usko clean kar ke phir se dal Dena hai
Nahi karna chahiye tha usne 20000 se 30000 me bech Diya hoga mitti ko ku ki usme platinum nikalta Jo gold se bhi costly hota hai
Meri gaadi mei awaz ese aari hai jese catylitic convertor nijaal rkha ho ya fir silenver fata ho,silenver weld kra diya but awaz vesi hi hai,btaaein kya kare
Silencer ko pura check karyea kahi se lekage hai kay
Or egr ka ka pipe ko bhi karyea or main exhaust manifold ka mount check karyea
Bhai maine ritz petrol li h 115000 chali hui h par gadi pickup leti h cng pe to bilkul 60 bhi cross nhi krti h. Mechanic ne sab karke dekh liya h uske silencer ka bhi catalyst gayab h . Silencer bhi change krke dekha par koi fark nhi pda
CNG ka jo regulaor ko check karyea CNG ka flow limit ho raha ek point pe
Khadi gadi me rpm full jata hai kay batyea
@@crackover Haji khadi gadi me rpm thik h but engine knocking deta h cng me bhi or petrol me bhi. Petrol me bhi agr break lga k slow kiya to 5th gear me 60 par bhi chota gear krna pdta h gadi uthti nhi h
Bhai isme jali atak jaye to tod na hi hoga na kya dusra solution hai iska
Ji nahi clean hota hai chahe kitna hi jam ho
Ap diesel or petrol se clean karenge ko proper clean hota hai
Nahi to uper ka metal cut kar bahar nikal ke high temp gas welding flame se jala ke clean ho jata hai 100% or phir wapas dal ke weld kar dena hai
Tod ke fekna nahi hai
Kya oxygen sensor kharaab hone se pick up low hota hai
Ji ha bilkul hota hai
ECM sahi signal read nahi karne se fuel delivery me effect padta hai
Bhai meri bhi indigo cs2009 model 1 start me problem hoti hai let strat hoti or res Krna padta bina accalitor pakde bina chalu ni hoti
Kya egr ki vajha se problem hoskti hai ??
Thanks for the comment sir
Kitna long self leta hai
Engine kitne bar round leta hai or
Kabhi High pressure fuel pump ka kam hua kay kabhi.
Kabhi bhi high pressure ka kam nhi hua
अगर गाड़ी गर्म होने पर लेट स्टार्ट नही करती है तो हीटर प्लग बदलें।ठंडी गाड़ी में लेट स्टार्ट की समस्या खत्म हो जाएगी।
Hello sir. 1 lakh run ho gyi thi Maine egr nd intake nd intercooler clean karwaya hai. Pehle black smoke nahi tha pickup drop ho rha tha. Clean k baad black smoke start ho gy hai. Grand i10 Aisa ku
Intercooler booster sensor without remove diesel nd water wash kar diya tha
Apne catalitic converter ko bhi water or diesel se clean Kiya tha kay
Or egr ko clean Kiya sahi hai us se thoda sa black Sooke dikhta hai lekin us se koi problem nahi hai
Ap ek bar pura Silencer cleaning karyea .
@@crackover catalitic converter nd silencer nahi karwaya clean
you solved a big problem of engine heatting but i show this sollution late
Thanks for the comment sir
I know any suggestions from your side i will appreciate it 🤠
Right bay
Bro agar car mai turbo na ho toh Kya hoga ???
Phir bhi engine ka life Kam hoga cold start me
Bhaiya mere paaa i20 sportz hai 2018 model or meri car ne ek baar highway pr speed down ki taraf drop kr di thi or jaise hi maine kahi baar race di to air engine m hi ghum rhi thi silencer m nhi pahuch rhi thi maine 3 mechanic ko dikhaya unme se ek ne mera silencer ke screw khole air or speed rpm puri chali gai to unhe catalyc converter saaf kra to mittii tuti hui thi wo nikal di OR MERI CAR M CNG FIT hai jab ye problem hui 40000 chali thi ab 55000 chal gai sirf awaz aati h alag si to koi problen to nhi hogi aage.
i20 meri cng fitted hai
Bhaiya mere comments ka bi reply kr do
EGR me pressure kum kaise ho jayega? Aur agar EGR me pressure kum ho gaya to turbo me gas jada kaise aah raha hai? Aur cylinder me mixture comparatively volume jada banega lakin balanced banega kyuki ECM jada fuel release kar raha hai.
Wo EGR me pressure kum banane wala part thora explain karo plz.
Egr to open hoga lekin exhaust gas direct silencer se bahar aa jayega ku ki catylitic converter or agr ke beech ke jagah me exhaust ka pressure bilkul bhi nahi banega or exhaust recirculation nahi hoga or pura exhaust direct freely bahar aa jayega
Sar ak swift ki ak prblem he suk derahae nikalne ki bad
Nahi samjha please ache se apna problem batyea
If convert mitti bake ho to repair kaise hoga
You need to replace you can not rebuild
Good 💥💥🔥
Thanks ❤️👍🙏
Bhai jin car me tarbo charge nahi hota jese (santro xing) unke catalyc converter tod de ya market se local silencer dalde toh koi nuksaan hoga? A gar hoga to kya nuksaan hoga? Reply pls
Thanks for the comment sir
Turbo nahi hoga to turbo me problem nahi hoga lekin
2 problem internal damage to hoga hi
But agar gadi kafi control me chalte hai ap to koi problem nahi hai
@@crackover thanks bhai
क्या बिना टर्बो वाली गाड़ी में इसे हटा सकते ह
Ji nahi Bhai nahi hatana hai turbo nahi hoga lekin egr me problem hoga
Good boy
Thank you 👍🙏
Catalytic converter kitne kilometres pr clean hota hai Diesel car me?
every 40k kms
Sir.. 🙌🙌🙌
Background Music ka Naam Batav..
♥️♥️♥️♥️
Club
Thanks bro
👍😀❤️❤️
Tata Ace gold ka converter saaf kaise karen bhai
Bhaiya mere channel pe tata Indigo or Ford ecosport ka cleaning video hai ap dono ko check karyea same process follow karna hai
Sir aap kaha se ho
Thanks for the comment sir
😃 Sir I am from Ranchi Jharkhand
But currently in Bangalore
Ok
Guys don’t worry about turbo he doesn’t know anything every turbo have watergate which prevent it to over speed
He is a fucking noob he doesn’t know
Waste gate operates with exhaust pressure from egr signal and manifold pressure correct
Then how you are saying it won't affect
I think you are a pro engineer 😜
And can you answer one question
How power is increasing after removing cat? Explain it I will wait for reply.
Do not delete or change your comment.
First read the flow of signal from egr, manifold pressure sensor and waste gate actuator
Simple saying bad word is not right
I always appreciate what you don't like , but don't say bad words.
Sir ns 125 mein cat kaha hota hai? Bs6 mein?
Underbelly exhaust me hai
Meri gadi mein kitne converter kharab ho gaya hai pickup Nahin banati Hai
Kon si gadi hai apki
Catalytic converter he ya nahi he. Kaise pata chalega???
Khol ke hi dekhna hota hai
Agar first hand gadi ho to sound change ka pata chalta ha but better ki nikal ke check karna hoga
Or agar O2 sensor hai to uska bhi signal low rehta hai.
👍
Thank you 👍🙏
Please bataye na sir
Engine ka life kam hoga
Meri alto 800 me cng kit lgi hui h, gadi start hona band ho gyi thi, matchenic ne kaha silenser ki miti melt ho gyi or silencer band ho gya, us ne miti nikal di, us ke bad gadi heat hone lgi
Melt nahi hota hai jam hota hai
Second hand dal dijyea scrap se
Aapki workshop ka address or contact no ??
Mera shop nahi hai only RUclips videos
@@crackover my car mileage and pickup is dropped ..and catylic converter is missing is the issue?
catalytic na hona petrol ⛽️ ziyada kata hain
Ji ha ho sakta hai agar oxygen sensor hoga to
Silencer me
Turbo over speed pe air ka quantity high hone se ecm maf sensor ka reading le ke fuel ko bhi adjust kar dega Jo Jayda fuel ka quantity hota hai normal se
Aap ne sahi jankari diya he bhai bilkul samaj aagaya bhai hosake to mere number par kontekt karo bhai 9036864177 thoda help chahiyetha
Ji bhaiya ap batyea yahi main apko help karunga
Call pe to abhi sabhi to time nahi de pata
Aur Jis vehicle me turbo he na no 🙂
Phir turbo ke alawa teen problem hoga milage , starting me problem hoga
Engine ka life kam hota hi hai isko nikal Dene se
😂😂😂😂😂 Toyota
😀😅