"Ae Sar Ko Katane Wale Ae Ghar Ko Lutane Wale" | Matami Noha | Al-Shia | Dawoodi Bohra

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 15 окт 2024

Комментарии • 8

  • @malikaabbas7440
    @malikaabbas7440 3 месяца назад +1

    Aye sar ko katane Wale, aye ghar ko lutaane Wale,
    Roye ga tujh ko zamana - × 2
    Nana ke Deen ko bachane, aaya tha jaane payambar
    Ek azme shahadat le kar, aaya tha Ali ka dilbar
    Aye wada nibhaane Wale
    Zahra ke goad ke paale,
    rooye ga tujhko zamana
    Aye sar ko kataane Wale,
    aye ghar ko lutaane Wale
    Hangaame Bala hai lekin, ye shan dikhaaye ga wo,
    Laasho se bhare khaimo mein ek shaadi rachaye ga,
    Dulha ko sajaane Wale
    Jalwe hai tere niraale
    Rooye ga tujhko zamana
    Aye sar ko kataane Wale
    Aye ghar ko lutaane Wale
    Abbas tere laashe par, aaya wo kamar ko thaame
    Kya guzri thi uski Dil pe, ye baat toh wo hi jaane
    Bhai se pichdane Wale
    Iss jahan pe sambhalne Wale
    Roye ga tujhko zamana
    Aye sar ko kataane Wale
    Aye ghar ko lutaane Wale
    Jis waqt jawan bete ke seene se nikaali barchi
    Sar goad mein apni le kar, rootaa tha nabi ka jaani
    Aye sabr dikhane Wale
    Laashe ko uthane Wale
    Rooye ga tumko zamana
    Aye sar ko kataane Wale,
    aye ghar ko lutaane wale
    Kis tarah mazaare Asghar, karbal mein banaya tune ?
    Apne hi jigar ka tukda, haye kaise litaya tune ?
    Aye kabr banaane wale
    Besheer pe rone Wale
    Roye ga tujhko zamana
    Aye sar ko kataane Wale,
    Aye ghar ko lutaane Wale
    Jo ashq bhari nazro se padhta tha salaam-e- aakhir
    Jo ehle haram pe ho ga, uss zulm pe tha wo muztar
    Ghar chor ke jaane wale,
    Rann se na palatne Wale
    Roye ga tujhko zamana
    Aye sar ko kataane Wale
    Aye ghar ko lutaane Wale
    Dil jiska ghamo se challni aur solah pahar ka pyaasa
    Koi maarta usko patthar, aur teer kisi ne naiza
    Maindaan mein aane wale,
    Har daagh uthaane Wale
    Roye ga tujhko zamana
    Aye sar ko kataane Wale
    Aye ghar ko lutaane Wale
    Aalam ko churaane wala, aur jalti zamin par sajda
    Uss dum bhi dua karta tha, jab shimr ne khanjar phera
    Khuun apna bahaane Wale
    Karbal ko sajaane Wale
    Roye ga tujhko zamana
    Aye sar ko kataane Wale
    Aye ghar ko lutaane Wale

  • @sukaynaalyraza3973
    @sukaynaalyraza3973 2 года назад +3

    Beautiful Nauha.

  • @fatemabamboat9908
    @fatemabamboat9908 Год назад +1

    Ya husain ya husain

  • @sameersheikh2797
    @sameersheikh2797 2 года назад +2

    Hussain Hussain ya Hussain

  • @agameersaheb6554
    @agameersaheb6554 2 года назад +2

    Godbless.allteem.

  • @alifiyapachmarhiwala6698
    @alifiyapachmarhiwala6698 2 года назад +2

    😭😭🤲🙏

  • @agameersaheb6554
    @agameersaheb6554 2 года назад

    Lirics.sendme