Heartbreak Kid - Talha Anjum [ instrumental ]

Поделиться
HTML-код
  • Опубликовано: 4 дек 2024

Комментарии • 2

  • @amanshukla607
    @amanshukla607 4 дня назад +3

    Ye dil bechara tasalli bhi chahe kabhi
    Ab ke woh aaye toh itni be-dardi se jaaye nahi
    Ye dil awaara nikal hi jaata hai kahin
    Thehrao nahi
    I'm gone again, I'm gone again
    Baad-e-saba toh wahi hai bas hai ek kami
    Ke ab teri zulfon ko chhu ke woh mujhsay guzarti nahi
    Baad-e-saba toh wahi hai bas hai ek kami
    Ke ab teri zulfon ko chhu ke woh mujhsay guzarti nahi
    Teri saadgi ke sadqe
    Teri aajzi pe marte
    Tere saaye se ho gaye hum
    Tere saath he toh chalte
    Saray gair mere liye khush
    Mere apnay mujhse jaltay
    Lagay saal ab ek pal se
    Mere shows lagay jalsay
    Rahay wazan mere kal pe
    Baray gunah mere sar thay
    Par zindagi bas ek rawani ka naam
    Mere gaane sab jawani ke naam
    Nasha hai ab tere hijr mein jaanam
    Sharab toh ab jaisay paani ka naam
    Tanhai, tareeki, aur tark-e-ta'alluq
    Phir wahi maut, aur phir wahi taboot
    [Bridge]
    Dil ek sholay ki tarah dehakta bhi hai
    Dil parinda fajr pe chehekta bhi hai
    Behekta bhi hai ye mehekta bhi hai
    Sharab mein gholay ittar sa hi hai
    Tu beparwah hai befikar sa bhi hai
    Mein likhta hun shayari jiske liye
    Woh padhta bhi hai aur mukarta bhi hai
    [Chorus]
    Ye dil bechara tasalli bhi chahe kabhi
    Ab ke woh aaye toh itni be-dardi se jaaye nahi
    Ye dil awaara nikal hi jaata hai kahin
    Thehrao nahi
    I'm gone again, I'm gone again
    Baad-e-saba toh wahi hai bas hai ek kami
    Ke ab teri zulfon ko chhu ke woh mujhsay guzarti nahi
    Baad-e-saba toh wahi hai bas hai ek kami
    Ke ab teri zulfon ko chhu ke woh mujhsay guzarti nahi
    [Verse 2]
    Mere ghar mein ab ek kamra khaali bhi hai
    Wahan se ab hosh hata di gayi hai
    Ek saf-e-matam bicha li gayi hai
    Us kamre mein ab bas kitaabein hi baaqi hein
    Aqal wahan se utha li gayi hai
    Nuskha-e-Ishq toh sabko chahiye
    Nuskha-e-dard bata dijiye
    Jo likhe hein khat woh jala dijiye
    Mujhay humdardiyan samajh aati nahi hein
    Jo tujh pe beeti tu sab pe ayaan kar
    Jo mujh pe beeti woh koi baat hi nahi hai
    Judayi mein bhi kuch wafa ke takazay
    Ke aib pe parde uthate nahi hein
    Ek yaar jiske ghar pe maa hi nahi
    Ek mein jo ghar pe raat tha hi nahi
    Jo mayassar ho kyun uski chah hi nahi
    [Bridge]
    Dil ko tasalli toh de
    Dil ko tasalli nahi
    Ye dharkanein larkharati hein
    Be-tarteebiyan hein bari
    Tu jab bhi mili bari sard si
    Dawa hai paas har dard ki
    I got rocks aur thori si Hennessy
    Jab tu sochon mein rehti hai rent free